Ghazals of Hasrat Mohani Ghazal हसरत मोहानी की ग़ज़लें ग़ज़ल

Table of Contents

 जो वो नज़र बसर-ए-लुत्फ़ आम हो जाए हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

जो वो नज़र बसर-ए-लुत्फ़ आम हो जाए

अजब नहीं कि हमारा भी काम हो जाए

शराब-ए-शौक़ की क़ीमत है नक़्द-ए-जान-ए-अज़ीज़

अगर ये बाइस-ए-कैफ़-ए-दवाम हो जाए

रहीन-ए-यास रहें अहल-ए-आरज़ू कब तक

कभी तो आप का दरबार आम हो जाए

जो और कुछ हो तिरी दीद के सिवा मंज़ूर

तो मुझ पे ख़्वाहिश-ए-जन्नत हराम हो जाए

वो दूर ही से हमें देख लें यही है बहुत

मगर क़ुबूल हमारा सलाम हो जाए

अगर वो हुस्न-ए-दिल-आरा कभी हो जल्वा फ़रोश

फ़रोग़-ए-नूर में गुम ज़र्फ़-ए-बाम हो जाए

सुना है बरसर-ए-बख़ि़्शश है आज पीर मुग़ाँ

हमें भी काश अता कोई जाम हो जाए

तिरे करम पे है मौक़ूफ़ कामरानी-ए-शौक़

ये ना-तमाम इलाही तमाम हो जाए

सितम के बाद करम है जफ़ा के बाद अता

हमें है बस जो यही इल्तिज़ाम हो जाए

अता हो सोज़ वो या रब जुनून-ए-'हसरत' को

कि जिस से पुख़्ता ये सौदा-ए-ख़ाम हो जाए

jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

jo vo nazar basar-e-lutf aam ho jaa.e

ajab nahīñ ki hamārā bhī kaam ho jaa.e

sharāb-e-shauq kī qīmat hai naqd-e-jān-e-azīz

agar ye bā.is-e-kaif-e-davām ho jaa.e

rahīn-e-yās raheñ ahl-e-ārzū kab tak

kabhī to aap kā darbār aam ho jaa.e

jo aur kuchh ho tirī diid ke sivā manzūr

to mujh pe ḳhvāhish-e-jannat harām ho jaa.e

vo duur hī se hameñ dekh leñ yahī hai bahut

magar qubūl hamārā salām ho jaa.e

agar vo husn-e-dil-ārā kabhī ho jalva farosh

faroġh-e-nūr meñ gum zarf-e-bām ho jaa.e

sunā hai bar-sar-e-baḳhshish hai aaj piir muġhāñ

hameñ bhī kaash atā koī jaam ho jaa.e

tire karam pe hai mauqūf kāmrāni-e-shauq

ye nā-tamām ilāhī tamām ho jaa.e

sitam ke baad karam hai jafā ke baad atā

hameñ hai bas jo yahī iltizām ho jaa.e

atā ho soz vo yā rab junūn-e-'hasrat' ko

ki jis se puḳhta ye saudā-e-ḳhām ho jaa.e

jo wo nazar basar-e-lutf aam ho jae

ajab nahin ki hamara bhi kaam ho jae

sharab-e-shauq ki qimat hai naqd-e-jaan-e-aziz

agar ye bais-e-kaif-e-dawam ho jae

rahin-e-yas rahen ahl-e-arzu kab tak

kabhi to aap ka darbar aam ho jae

jo aur kuchh ho teri did ke siwa manzur

to mujh pe KHwahish-e-jannat haram ho jae

wo dur hi se hamein dekh len yahi hai bahut

magar qubul hamara salam ho jae

agar wo husn-e-dil-ara kabhi ho jalwa farosh

farogh-e-nur mein gum zarf-e-baam ho jae

suna hai bar-sar-e-baKHshish hai aaj pir mughan

hamein bhi kash ata koi jam ho jae

tere karam pe hai mauquf kaamrani-e-shauq

ye na-tamam ilahi tamam ho jae

sitam ke baad karam hai jafa ke baad ata

hamein hai bas jo yahi iltizam ho jae

ata ho soz wo ya rab junun-e-'hasrat' ko

ki jis se puKHta ye sauda-e-KHam ho jae

न समझे दिल फ़रेब-ए-आरज़ू को हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

न समझे दिल फ़रेब-ए-आरज़ू को

न हम छोड़ें तुम्हारी जुस्तुजू को

तिरी तलवार से ऐ शाह-ए-ख़ूबाँ

मोहब्बत हो गई है हर गुलू को

वो मुनकिर हो नहीं सकता फ़ुसूँ का

सुना हो जिस ने तेरी गुफ़्तुगू को

तग़ाफ़ुल इस को कहते हैं कि उस ने

मुझे देखा न महफ़िल में उदू को

नहीं पानी तो मय-ख़ाने में ऐ शैख़

जो कुछ मौजूद है लाऊँ वज़ू को

समझता ही नहीं है कुछ वो बद-ख़ू

न ख़ुद मुझ को न मेरी आरज़ू को

न भूला घर के आदा में भी 'हसरत'

तिरे फ़रमूदा-ए-ला-तक़नतू को

na samjhe dil fareb-e-arzu ko Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

na samjhe dil fareb-e-ārzū ko

na ham chhoḌeñ tumhārī justujū ko

tirī talvār se ai shāh-e-ḳhūbāñ

mohabbat ho ga.ī hai har gulū ko

vo munkir ho nahīñ saktā fusūñ kā

sunā ho jis ne terī guftugū ko

taġhāful is ko kahte haiñ ki us ne

mujhe dekhā na mahfil meñ udū ko

nahīñ paanī to mai-ḳhāne meñ ai shaiḳh

jo kuchh maujūd hai lā.ūñ vazū ko

samajhtā hī nahīñ hai kuchh vo bad-ḳhū

na ḳhud mujh ko na merī aarzū ko

na bhūlā ghar ke aadā meñ bhī 'hasrat'

tire farmūda-e-lā-taqnatū ko

na samjhe dil fareb-e-arzu ko

na hum chhoDen tumhaari justuju ko

teri talwar se ai shah-e-KHuban

mohabbat ho gai hai har gulu ko

wo munkir ho nahin sakta fusun ka

suna ho jis ne teri guftugu ko

taghaful is ko kahte hain ki us ne

mujhe dekha na mahfil mein udu ko

nahin pani to mai-KHane mein ai shaiKH

jo kuchh maujud hai laun wazu ko

samajhta hi nahin hai kuchh wo bad-KHu

na KHud mujh ko na meri aarzu ko

na bhula ghar ke aada mein bhi 'hasrat'

tere farmuda-e-la-taqnatu ko

कैसे छुपाऊँ राज़-ए-ग़म दीदा-ए-तर को क्या करूँ हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

कैसे छुपाऊँ राज़-ए-ग़म दीदा-ए-तर को क्या करूँ

दिल की तपिश को क्या करूँ सोज़-ए-जिगर को क्या करूँ

शोरिश-ए-आशिक़ी कहाँ और मेरी सादगी कहाँ

हुस्न को तेरे क्या कहूँ अपनी नज़र को क्या करूँ

ग़म का न दिल में हो गुज़र वस्ल की शब हो यूँ बसर

सब ये क़ुबूल है मगर ख़ौफ़-ए-सहर को क्या करूँ

हाल मेरा था जब बतर तब न हुई तुम्हें ख़बर

ब'अद मेरे हुआ असर अब मैं असर को क्या करूँ

kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

kaise chhupā.ūñ rāz-e-ġham dīda-e-tar ko kyā karūñ

dil kī tapish ko kyā karūñ soz-e-jigar ko kyā karūñ

shorish-e-āshiqī kahāñ aur merī sādgī kahāñ

husn ko tere kyā kahūñ apnī nazar ko kyā karūñ

ġham kā na dil meñ ho guzar vasl kī shab ho yuuñ basar

sab ye qubūl hai magar ḳhauf-e-sahar ko kyā karūñ

haal merā thā jab batar tab na huī tumheñ ḳhabar

ba.ad mere huā asar ab maiñ asar ko kyā karūñ

kaise chhupaun raaz-e-gham dida-e-tar ko kya karun

dil ki tapish ko kya karun soz-e-jigar ko kya karun

shorish-e-ashiqi kahan aur meri sadgi kahan

husn ko tere kya kahun apni nazar ko kya karun

gham ka na dil mein ho guzar wasl ki shab ho yun basar

sab ye qubul hai magar KHauf-e-sahar ko kya karun

haal mera tha jab batar tab na hui tumhein KHabar

baad mere hua asar ab main asar ko kya karun

यूँ तो आशिक़ तिरा ज़माना हुआ हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

यूँ तो आशिक़ तिरा ज़माना हुआ

मुझ सा जाँ-बाज़ दूसरा न हुआ

ख़ुद-ब-ख़ुद बू-ए-यार फैल गई

कोई मिन्नत-कश-ए-सबा न हुआ

मैं गिरफ़्तार-ए-उल्फ़त-ए-सय्याद

दाम से छुट के भी रिहा न हुआ

ख़बर उस बे-ख़बर की ला देती

तुझ से इतना भी ऐ सबा न हुआ

उन से अर्ज़-ए-करम तो क्या करते

हम से ख़ुद शिकवा-ए-जफ़ा न हुआ

हो के बे-ख़ुद कलाम-ए-हसरत से

आज 'ग़ालिब' ग़ज़ल सरा न हुआ

yun to aashiq tera zamana hua Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

yuuñ to āshiq tirā zamāna huā

mujh sā jāñ-bāz dūsrā na huā

ḳhud-ba-ḳhud bū-e-yār phail ga.ī

koī minnat-kash-e-sabā na huā

maiñ giraftār-e-ulfat-e-sayyād

daam se chhuT ke bhī rihā na huā

ḳhabar us be-ḳhabar kī lā detī

tujh se itnā bhī ai sabā na huā

un se arz-e-karam to kyā karte

ham se ḳhud shikva-e-jafā na huā

ho ke be-ḳhud kalām-e-hasrat se

aaj 'ġhālib' ġhazal sarā na huā

yun to aashiq tera zamana hua

mujh sa jaan-baz dusra na hua

KHud-ba-KHud bu-e-yar phail gai

koi minnat-kash-e-saba na hua

main giraftar-e-ulfat-e-sayyaad

dam se chhuT ke bhi riha na hua

KHabar us be-KHabar ki la deti

tujh se itna bhi ai saba na hua

un se arz-e-karam to kya karte

hum se KHud shikwa-e-jafa na hua

ho ke be-KHud kalam-e-hasrat se

aaj 'ghaalib' ghazal sara na hua

रविश-ए-हुस्न-ए-मुराआत चली जाती है हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

रविश-ए-हुस्न-ए-मुराआत चली जाती है

हम से और उन से वही बात चली जाती है

उस जफ़ा-जू से बा-ईमा-ए-तमन्ना अब तक

हवस-ए-लुत्फ़-ओ-इनायात चली जाती है

मिल ही जाते हैं पशीमानी-ए-ग़म के अस्बाब

शौक़-ए-हिरमाँ की मुदारात चली जाती है

हम से हर-चंद वो ज़ाहिर में ख़फ़ा हैं लेकिन

कोशिश-ए-पुर्सिश-ए-हालात चली जाती है

दिन को हम उन से बिगड़ते हैं वो शब को हम से

रस्म-ए-पाबंदी-ए-औक़ात चली जाती है

उस सितमगर को सितमगर नहीं कहते बनता

सई-ए-तावील-ए-ख़यालात चली जाती है

निगह-ए-यार से पा लेते हैं दिल की बातें

शोहरत-ए-कश्फ़-ओ-करामात चली जाती है

हैरत-ए-हुस्न ने मजबूर किया है 'हसरत'

वस्ल-ए-जानाँ की यूँही रात चली जाती है

rawish-e-husn-e-muraat chali jati hai Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

ravish-e-husn-e-murā.āt chalī jaatī hai

ham se aur un se vahī baat chalī jaatī hai

us jafā-jū se bā-īmā-e-tamannā ab tak

havas-e-lutf-o-ināyāt chalī jaatī hai

mil hī jaate haiñ pashīmāni-e-ġham ke asbāb

shauq-e-hirmāñ kī mudārāt chalī jaatī hai

ham se har-chand vo zāhir meñ ḳhafā haiñ lekin

koshish-e-pursish-e-hālāt chalī jaatī hai

din ko ham un se bigaḌte haiñ vo shab ko ham se

rasm-e-pābandi-e-auqāt chalī jaatī hai

us sitamgar ko sitamgar nahīñ kahte bantā

sa.i-e-tāvīl-e-ḳhayālāt chalī jaatī hai

nigah-e-yār se pā lete haiñ dil kī bāteñ

shohrat-e-kashf-o-karāmāt chalī jaatī hai

hairat-e-husn ne majbūr kiyā hai 'hasrat'

vasl-e-jānāñ kī yūñhī raat chalī jaatī hai

rawish-e-husn-e-muraat chali jati hai

hum se aur un se wahi baat chali jati hai

us jafa-ju se ba-ima-e-tamanna ab tak

hawas-e-lutf-o-inayat chali jati hai

mil hi jate hain pashimani-e-gham ke asbab

shauq-e-hirman ki mudaraat chali jati hai

hum se har-chand wo zahir mein KHafa hain lekin

koshish-e-pursish-e-haalat chali jati hai

din ko hum un se bigaDte hain wo shab ko hum se

rasm-e-pabandi-e-auqat chali jati hai

us sitamgar ko sitamgar nahin kahte banta

sai-e-tawil-e-KHayalat chali jati hai

nigah-e-yar se pa lete hain dil ki baaten

shohrat-e-kashf-o-karamat chali jati hai

hairat-e-husn ne majbur kiya hai 'hasrat'

wasl-e-jaanan ki yunhi raat chali jati hai

सितम हो जाए तम्हीद-ए-करम ऐसा भी होता है हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

सितम हो जाए तम्हीद-ए-करम ऐसा भी होता है

मोहब्बत में बता ऐ ज़ब्त-ए-ग़म ऐसा भी होता है

भुला देती हैं सब रंज ओ अलम हैरानियाँ मेरी

तिरी तमकीन-ए-बेहद की क़सम ऐसा भी होता है

जफ़ा-ए-यार के शिकवे न कर ऐ रंज-ए-नाकामी

उम्मीद ओ यास दोनों हों बहम ऐसा भी होता है

मिरे पास-ए-वफ़ा की बद-गुमानी है ब-जा तुम से

कहीं बे-वज्ह इज़हार-ए-करम ऐसा भी होता है

तिरी दिलदारियों से सूरत-ए-बेगानगी निकली

ख़ुशी ऐसी भी होती है अलम ऐसा भी होता है

वक़ार-ए-सब्र खोया गिर्या-हा-ए-बे-क़रारी ने

कहीं ऐ ए'तिबार-ए-चश्म-ए-नम ऐसा भी होता है

ब-दावा-ए-वफ़ा क्यूँ शिकवा-संज-ए-जौर है 'हसरत'

दयार-ए-शौक़ में ऐ महव-ए-ग़म ऐसा भी होता है

sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

sitam ho jaa.e tamhīd-e-karam aisā bhī hotā hai

mohabbat meñ batā ai zabt-e-ġham aisā bhī hotā hai

bhulā detī haiñ sab ranj o alam hairāniyāñ merī

tirī tamkīn-e-behad kī qasam aisā bhī hotā hai

jafā-e-yār ke shikve na kar ai ranj-e-nākāmī

ummīd o yaas donoñ hoñ baham aisā bhī hotā hai

mire pās-e-vafā kī bad-gumānī hai ba-jā tum se

kahīñ be-vaj.h iz.hār-e-karam aisā bhī hotā hai

tirī dildāriyoñ se sūrat-e-begānagī niklī

ḳhushī aisī bhī hotī hai alam aisā bhī hotā hai

vaqār-e-sabr khoyā girya-hā-e-be-qarārī ne

kahīñ ai e'tibār-e-chashm-e-nam aisā bhī hotā hai

ba-dāvā-e-vafā kyuuñ shikva-sanj-e-jaur hai 'hasrat'

dayār-e-shauq meñ ai mahv-e-ġham aisā bhī hotā hai

sitam ho jae tamhid-e-karam aisa bhi hota hai

mohabbat mein bata ai zabt-e-gham aisa bhi hota hai

bhula deti hain sab ranj o alam hairaniyan meri

teri tamkin-e-behad ki qasam aisa bhi hota hai

jafa-e-yar ke shikwe na kar ai ranj-e-nakaami

ummid o yas donon hon baham aisa bhi hota hai

mere pas-e-wafa ki bad-gumani hai ba-ja tum se

kahin be-wajh izhaar-e-karam aisa bhi hota hai

teri dildariyon se surat-e-beganagi nikli

KHushi aisi bhi hoti hai alam aisa bhi hota hai

waqar-e-sabr khoya girya-ha-e-be-qarari ne

kahin ai e'tibar-e-chashm-e-nam aisa bhi hota hai

ba-dawa-e-wafa kyun shikwa-sanj-e-jaur hai 'hasrat'

dayar-e-shauq mein ai mahw-e-gham aisa bhi hota hai

और भी हो गए बेगाना वो ग़फ़लत कर के हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

और भी हो गए बेगाना वो ग़फ़लत कर के

आज़माया जो उन्हें ज़ब्त-ए-मोहब्बत कर के

दिल ने छोड़ा है न छोड़े तिरे मिलने का ख़याल

बार-हा देख लिया हम ने मलामत कर के

देखने आए थे वो अपनी मोहब्बत का असर

कहने को ये है कि आए हैं अयादत कर के

पस्ती-ए-हौसला-ए-शौक़ की अब है ये सलाह

बैठ रहिए ग़म-ए-हिज्राँ पे क़नाअत कर के

दिल ने पाया है मोहब्बत का ये आली रुत्बा

आप के दर्द-ए-दवाकार की ख़िदमत कर के

रूह ने पाई है तकलीफ़-ए-जुदाई से नजात

आप की याद को सरमाया-ए-राहत कर के

छेड़ से अब वो ये कहते हैं कि संभलों 'हसरत'

सब्र ओ ताब-ए-दिल-ए-बीमार को ग़ारत कर के

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

aur bhī ho ga.e begāna vo ġhaflat kar ke

āzmāyā jo unheñ zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhoḌā hai na chhoḌe tire milne kā ḳhayāl

bār-hā dekh liyā ham ne malāmat kar ke

dekhne aa.e the vo apnī mohabbat kā asar

kahne ko ye hai ki aa.e haiñ ayādat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq kī ab hai ye salāh

baiTh rahiye ġham-e-hijrāñ pe qanā.at kar ke

dil ne paayā hai mohabbat kā ye aalī rutba

aap ke dard-e-davā-kār kī ḳhidmat kar ke

ruuh ne paa.ī hai taklīf-e-judā.ī se najāt

aap kī yaad ko sarmāya-e-rāhat kar ke

chheḌ se ab vo ye kahte haiñ ki sambhlo 'hasrat'

sabr o tāb-e-dil-e-bīmār ko ġhārat kar ke

aur bhi ho gae begana wo ghaflat kar ke

aazmaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke

dil ne chhoDa hai na chhoDe tere milne ka KHayal

bar-ha dekh liya hum ne malamat kar ke

dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar

kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke

pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salah

baiTh rahiye gham-e-hijran pe qanaat kar ke

dil ne paya hai mohabbat ka ye aali rutba

aap ke dard-e-dawa-kar ki KHidmat kar ke

ruh ne pai hai taklif-e-judai se najat

aap ki yaad ko sarmaya-e-rahat kar ke

chheD se ab wo ye kahte hain ki sambhlo 'hasrat'

sabr o tab-e-dil-e-bimar ko ghaarat kar ke

दीदनी हैं दिल-ए-ख़राब के रंग हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

दीदनी हैं दिल-ए-ख़राब के रंग

आह उस चश्म-ए-पुर-हिजाब के रंग

फ़स्ल-ए-गुल में पड़ें तो ख़ूब खिलें

ख़िर्क़ा-ए-ज़ोहद पर शराब के रंग

शौक़-ए-मय दिल में लब पे हिजव-ए-शराब

हम पे रौशन हैं सब जनाब के रंग

नहीं तौबा की ख़ैर हैं जो यही

जोश-ए-हंगामा-ए-सहाब के रंग

कल के मक़्बूल आज हैं मरदूद

आह इस दौर-ए-इंक़िलाब के रंग

क़ाबिल-ए-दीद हैं विसाल की शब

आरज़ू-हा-ए-कामयाब के रंग

चेहरा-ए-आशिक़ी है पज़-मुर्दा

क्या हुए वो मय-ए-शबाब के रंग

ख़ैल-ए-ख़ूबाँ से एक में भी नहीं

आप के हुस्न-ए-ला-जवाब के रंग

मेरी मायूसियों से हैं पैदा

कशमकश-हा-ए-इज़्तिराब के रंग

दिल के हाथों बहुत रहे हैं ख़राब

हसरत'-ए-ख़ानुमाँ ख़राब के रंग

didani hain dil-e-KHarab ke rang Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

dīdanī haiñ dil-e-ḳharāb ke rañg

aah us chashm-e-pur-hijāb ke rañg

fasl-e-gul meñ paḌeñ to ḳhuub khileñ

ḳhirqa-e-zohad par sharāb ke rañg

shauq-e-mai dil meñ lab pe hijv-e-sharāb

ham pe raushan haiñ sab janāb ke rañg

nahīñ tauba kī ḳhair haiñ jo yahī

josh-e-hañgāma-e-sahāb ke rañg

kal ke maqbūl aaj haiñ mardūd

aah is daur-e-inqilāb ke rañg

qābil-e-dīd haiñ visāl kī shab

ārzū-hā-e-kāmyāb ke rañg

chehra-e-āshiqī hai pazh-murda

kyā hue vo mai-e-shabāb ke rañg

ḳhail-e-ḳhūbāñ se ek meñ bhī nahīñ

aap ke husn-e-lā-javāb ke rañg

merī māyūsiyoñ se haiñ paidā

kashmakash-hā-e-iztirāb ke rañg

dil ke hāthoñ bahut rahe haiñ ḳharāb

hasrat'-e-ḳhānumāñ ḳharāb ke rañg

didani hain dil-e-KHarab ke rang

aah us chashm-e-pur-hijab ke rang

fasl-e-gul mein paDen to KHub khilen

KHirqa-e-zohad par sharab ke rang

shauq-e-mai dil mein lab pe hijw-e-sharab

hum pe raushan hain sab janab ke rang

nahin tauba ki KHair hain jo yahi

josh-e-hangama-e-sahab ke rang

kal ke maqbul aaj hain mardud

aah is daur-e-inqilab ke rang

qabil-e-did hain visal ki shab

aarzu-ha-e-kaamyab ke rang

chehra-e-ashiqi hai pazh-murda

kya hue wo mai-e-shabab ke rang

KHail-e-KHuban se ek mein bhi nahin

aap ke husn-e-la-jawab ke rang

meri mayusiyon se hain paida

kashmakash-ha-e-iztirab ke rang

dil ke hathon bahut rahe hain KHarab

hasrat'-e-KHanuman KHarab ke rang

हम ने किस दिन तिरे कूचे में गुज़ारा न किया हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

हम ने किस दिन तिरे कूचे में गुज़ारा न किया

तू ने ऐ शोख़ मगर काम हमारा न किया

एक ही बार हुईं वज्ह-ए-गिरफ़्तारी-ए-दिल

इल्तिफ़ात उन की निगाहों ने दुबारा न किया

महफ़िल-ए-यार की रह जाएगी आधी रौनक़

नाज़ को उस ने अगर अंजुमन-आरा न किया

तान-ए-अहबाब सुने सरज़निश-ए-ख़ल्क़ सही

हम ने क्या क्या तिरी ख़ातिर से गवारा न किया

जब दिया तुम ने रक़ीबों को दिया जाम-ए-शराब

भूल कर भी मिरी जानिब को इशारा न किया

रू-ब-रू चश्म-ए-तसव्वुर के वो हर वक़्त रहे

न सही आँख ने गर उन का नज़ारा न किया

गर यही है सितम-ए-यार तो हम ने 'हसरत'

न किया कुछ भी जो दुनिया से किनारा न किया

humne kis din tere kuche mein guzara na kiya Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

ham ne kis din tire kūche meñ guzārā na kiyā

tū ne ai shoḳh magar kaam hamārā na kiyā

ek hī baar huiiñ vaj.h-e-giraftārī-e-dil

iltifāt un kī nigāhoñ ne dubārā na kiyā

mahfil-e-yār kī rah jā.egī aadhī raunaq

naaz ko us ne agar anjuman-ārā na kiyā

tān-e-ahbāb sune sarzanish-e-ḳhalq sahī

ham ne kyā kyā tirī ḳhātir se gavārā na kiyā

jab diyā tum ne raqīboñ ko diyā jām-e-sharāb

bhuul kar bhī mirī jānib ko ishārā na kiyā

rū-ba-rū chashm-e-tasavvur ke vo har vaqt rahe

na sahī aañkh ne gar un kā nazārā na kiyā

gar yahī hai sitam-e-yār to ham ne 'hasrat'

na kiyā kuchh bhī jo duniyā se kinārā na kiyā

hum ne kis din tere kuche mein guzara na kiya

tu ne ai shoKH magar kaam hamara na kiya

ek hi bar huin wajh-e-giraftari-e-dil

iltifat un ki nigahon ne dubara na kiya

mahfil-e-yar ki rah jaegi aadhi raunaq

naz ko us ne agar anjuman-ara na kiya

tan-e-ahbab sune sarzanish-e-KHalq sahi

hum ne kya kya teri KHatir se gawara na kiya

jab diya tum ne raqibon ko diya jam-e-sharab

bhul kar bhi meri jaanib ko ishaara na kiya

ru-ba-ru chashm-e-tasawwur ke wo har waqt rahe

na sahi aankh ne gar un ka nazara na kiya

gar yahi hai sitam-e-yar to hum ne 'hasrat'

na kiya kuchh bhi jo duniya se kinara na kiya

देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना

शेवा-ए-इश्क़ नहीं हुस्न को रुस्वा करना

इक नज़र भी तिरी काफ़ी थी प-ए-राहत-ए-जाँ

कुछ भी दुश्वार न था मुझ को शकेबा करना

उन को याँ वादे पे आ लेने दे ऐ अब्र-ए-बहार

जिस क़दर चाहना फिर बाद में बरसा करना

शाम हो या कि सहर याद उन्हीं की रखनी

दिन हो या रात हमें ज़िक्र उन्हीं का करना

सौम ज़ाहिद को मुबारक रहे आबिद को सलात

आसियों को तिरी रहमत पे भरोसा करना

आशिक़ो हुस्न-ए-जफ़ाकार का शिकवा है गुनाह

तुम ख़बरदार ख़बरदार न ऐसा करना

कुछ समझ में नहीं आता कि ये क्या है 'हसरत'

उन से मिल कर भी न इज़हार-ए-तमन्ना करना

dekhna bhi to unhen dur se dekha karna Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

dekhnā bhī to unheñ duur se dekhā karnā

sheva-e-ishq nahīñ husn ko rusvā karnā

ik nazar bhī tirī kaafī thī pa-e-rāhat-e-jāñ

kuchh bhī dushvār na thā mujh ko shakebā karnā

un ko yaañ vaade pe aa lene de ai abr-e-bahār

jis qadar chāhnā phir baad meñ barsā karnā

shaam ho yā ki sahar yaad unhīñ kī rakhnī

din ho yā raat hameñ zikr unhīñ kā karnā

saum zāhid ko mubārak rahe aabid ko salāt

āsiyoñ ko tirī rahmat pe bharosā karnā

āshiqo husn-e-jafākār kā shikva hai gunāh

tum ḳhabardār ḳhabardār na aisā karnā

kuchh samajh meñ nahīñ aatā ki ye kyā hai 'hasrat'

un se mil kar bhī na iz.hār-e-tamannā karnā

dekhna bhi to unhen dur se dekha karna

shewa-e-ishq nahin husn ko ruswa karna

ek nazar bhi teri kafi thi pa-e-rahat-e-jaan

kuchh bhi dushwar na tha mujh ko shakeba karna

un ko yan wade pe aa lene de ai abr-e-bahaar

jis qadar chahna phir baad mein barsa karna

sham ho ya ki sahar yaad unhin ki rakhni

din ho ya raat hamein zikr unhin ka karna

saum zahid ko mubarak rahe aabid ko salat

aasiyon ko teri rahmat pe bharosa karna

aashiqo husn-e-jafakar ka shikwa hai gunah

tum KHabardar KHabardar na aisa karna

kuchh samajh mein nahin aata ki ye kya hai 'hasrat'

un se mil kar bhi na izhaar-e-tamanna karna

बरकतें सब हैं अयाँ दौलत-ए-रूहानी की हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

बरकतें सब हैं अयाँ दौलत-ए-रूहानी की

वाह क्या बात है उस चेहरा-ए-नूरानी की

शौक़ देखे तुझे किस आँख से ऐ मेहर-ए-जमाल

कुछ निहायत ही नहीं तेरी दरख़शानी की

मुझ से वो सग भी है अफ़ज़ल जिसे इज़्ज़त हो नसीब

आस्तान-ए-हरम-ए-यार पे दरबानी की

जब सुना याद किया करते हो तुम भी तो मुझे

क्या कहूँ हद न रही कुछ मिरी हैरानी की

सई-ए-अहबाब को नाहक़ है रिहाई का ख़याल

और ही कुछ है तमन्ना तिरे ज़िंदानी की

वो तबस्सुम भी क़यामत है तिरा बाद-ए-जफ़ा

तू ने दी हो जिसे ख़िदमत नमक-अफ़्शानी की

मुश्किलों से जो मुक़ाबिल हुई हिम्मत मेरी

क़द्र बाक़ी न रही ऐश-ए-तन-आसानी की

रह गया जल के तिरी बज़्म में परवाना जो रात

खींच गई शक्ल मिरी सोख़्ता-सामानी की

रश्क-ए-शाही हो न क्यूँ अपनी फ़क़ीरी 'हसरत'

कब से करते हैं ग़ुलामी शह-ए-जीलानी की

barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

barkateñ sab haiñ ayaañ daulat-e-rūhānī kī

vaah kyā baat hai us chehra-e-nūrānī kī

shauq dekhe tujhe kis aañkh se ai mehr-e-jamāl

kuchh nihāyat hī nahīñ terī daraḳhshānī kī

mujh se vo sag bhī hai afzal jise izzat ho nasīb

āstān-e-haram-e-yār pe darbānī kī

jab sunā yaad kiyā karte ho tum bhī to mujhe

kyā kahūñ had na rahī kuchh mirī hairānī kī

sa.i-e-ahbāb ko nāhaq hai rihā.ī kā ḳhayāl

aur hī kuchh hai tamannā tire zindānī kī

vo tabassum bhī qayāmat hai tirā bād-e-jafā

tū ne dī ho jise ḳhidmat namak-afshānī kī

mushkiloñ se jo muqābil huī himmat merī

qadr baaqī na rahī aish-e-tan-āsānī kī

rah gayā jal ke tirī bazm meñ parvāna jo raat

khīñch ga.ī shakl mirī soḳhta-sāmānī kī

rashk-e-shāhī ho na kyuuñ apnī faqīrī 'hasrat'

kab se karte haiñ ġhulāmī shah-e-jīlānī kī

barkaten sab hain ayan daulat-e-ruhani ki

wah kya baat hai us chehra-e-nurani ki

shauq dekhe tujhe kis aankh se ai mehr-e-jamal

kuchh nihayat hi nahin teri daraKHshani ki

mujh se wo sag bhi hai afzal jise izzat ho nasib

aastan-e-haram-e-yar pe darbani ki

jab suna yaad kiya karte ho tum bhi to mujhe

kya kahun had na rahi kuchh meri hairani ki

sai-e-ahbab ko nahaq hai rihai ka KHayal

aur hi kuchh hai tamanna tere zindani ki

wo tabassum bhi qayamat hai tera baad-e-jafa

tu ne di ho jise KHidmat namak-afshani ki

mushkilon se jo muqabil hui himmat meri

qadr baqi na rahi aish-e-tan-asani ki

rah gaya jal ke teri bazm mein parwana jo raat

khinch gai shakl meri soKHta-samani ki

rashk-e-shahi ho na kyun apni faqiri 'hasrat'

kab se karte hain ghulami shah-e-jilani ki

वस्ल की बनती हैं इन बातों से तदबीरें कहीं हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

वस्ल की बनती हैं इन बातों से तदबीरें कहीं

आरज़ूओं से फिरा करती हैं तक़दीरें कहीं

बे-ज़बानी तर्जुमान-ए-शौक़ बेहद हो तो हो

वर्ना पेश-ए-यार काम आती हैं तक़रीरें कहीं

मिट रही हैं दिल से यादें रोज़गार-ए-ऐश की

अब नज़र काहे को आएँगी ये तस्वीरें कहीं

इल्तिफ़ात-ए-यार था इक ख़्वाब-ए-आग़ाज़-ए-वफ़ा

सच हुआ करती हैं इन ख़्वाबों की ताबीरें कहीं

तेरी बे-सब्री है 'हसरत' ख़ामकारी की दलील

गिर्या-ए-उश्शाक़ में होती हैं तासीरें कहीं

wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

vasl kī bantī haiñ in bātoñ se tadbīreñ kahīñ

ārzūoñ se phirā kartī haiñ taqdīreñ kahīñ

be-zabānī tarjumān-e-shauq behad ho to ho

varna pesh-e-yār kaam aatī haiñ taqrīreñ kahīñ

miT rahī haiñ dil se yādeñ rozgār-e-aish kī

ab nazar kaahe ko ā.eñgī ye tasvīreñ kahīñ

iltifāt-e-yār thā ik ḳhvāb-e-āġhāz-e-vafā

sach huā kartī haiñ in ḳhvāboñ kī ta.abīreñ kahīñ

terī be-sabrī hai 'hasrat' ḳhām-kārī kī dalīl

girya-e-ushshāq meñ hotī haiñ tāsīreñ kahīñ

wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin

aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin

be-zabani tarjuman-e-shauq behad ho to ho

warna pesh-e-yar kaam aati hain taqriren kahin

miT rahi hain dil se yaaden rozgar-e-aish ki

ab nazar kahe ko aaengi ye taswiren kahin

iltifat-e-yar tha ek KHwab-e-aghaz-e-wafa

sach hua karti hain in KHwabon ki tabiren kahin

teri be-sabri hai 'hasrat' KHam-kari ki dalil

girya-e-ushshaq mein hoti hain tasiren kahin

छुप के उस ने जो ख़ुद-नुमाई की हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

छुप के उस ने जो ख़ुद-नुमाई की

इंतिहा थी ये दिलरुबाई की

माइल-ए-ग़म्ज़ा है वो चश्म-ए-सियाह

अब नहीं ख़ैर पारसाई की

हम से क्यूँकर वो आस्ताना छुटे

मुद्दतों जिस पे जब्हा-साई की

दिल ने बरसों ब-जुस्तुजू-ए-कमाल

कूचा-ए-इश्क़ में गदाई की

दाम से उन के छूटना तो कहाँ

याँ हवस भी नहीं रिहाई की

क्या किया ये कि अहल-ए-शौक़ के साथ

तू ने की भी तो बेवफ़ाई की

हो के नादिम वो बैठे हैं ख़ामोश

सुल्ह में शान है लड़ाई की

उस तग़ाफ़ुल-शिआर से 'हसरत'

हम में ताक़त नहीं जुदाई की

chhup ke usne jo KHud-numai ki Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

chhup ke us ne jo ḳhud-numā.ī kī

intihā thī ye dilrubā.ī kī

mā.il-e-ġhamza hai vo chashm-e-siyāh

ab nahīñ ḳhair pārsā.ī kī

ham se kyūñkar vo āstāna chhuTe

muddatoñ jis pe jab.ha-sā.ī kī

dil ne barsoñ ba-justujū-e-kamāl

kūcha-e-ishq meñ gadā.ī kī

daam se un ke chhūTnā to kahāñ

yaañ havas bhī nahīñ rihā.ī kī

kyā kiyā ye ki ahl-e-shauq ke saath

tū ne kī bhī to bevafā.ī kī

ho ke nādim vo baiThe haiñ ḳhāmosh

sulh meñ shaan hai laḌā.ī kī

us taġhāful-shi.ār se 'hasrat'

ham meñ tāqat nahīñ judā.ī kī

chhup ke us ne jo KHud-numai ki

intiha thi ye dilrubai ki

mail-e-ghamza hai wo chashm-e-siyah

ab nahin KHair parsai ki

hum se kyunkar wo aastana chhuTe

muddaton jis pe jabha-sai ki

dil ne barson ba-justuju-e-kamal

kucha-e-ishq mein gadai ki

dam se un ke chhuTna to kahan

yan hawas bhi nahin rihai ki

kya kiya ye ki ahl-e-shauq ke sath

tu ne ki bhi to bewafai ki

ho ke nadim wo baiThe hain KHamosh

sulh mein shan hai laDai ki

us taghaful-shiar se 'hasrat'

hum mein taqat nahin judai ki

उन को रुस्वा मुझे ख़राब न कर हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

उन को रुस्वा मुझे ख़राब न कर

ऐ दिल इतना भी इज़्तिराब न कर

आमद-ए-यार की उमीद न छोड़

देख ऐ आँख मैल-ए-ख़्वाब न कर

मिल ही रहती है मय-परस्त को मय

फ़िक्र-ए-नायाबी-ए-शराब न कर

नासेहा हम करेंगे शरह-ए-जुनूँ

दिल-ए-दीवाना से ख़िताब न कर

शौक़ यारों का बे-शुमार नहीं

सितम ऐ दोस्त बे-हिसाब न कर

दिल को मस्त-ए-ख़याल-ए-यार बना

लब को आलूदा-ए-शराब न कर

रख बहर-हाल शग़्ल-ए-मय 'हसरत'

इस में परवा-ए-शेख़-ओ-शाब न कर

un ko ruswa mujhe KHarab na kar Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

un ko rusvā mujhe ḳharāb na kar

ai dil itnā bhī iztirāb na kar

āmad-e-yār kī umiid na chhoḌ

dekh ai aañkh mail-e-ḳhvāb na kar

mil hī rahtī hai mai-parast ko mai

fikr-e-nā-yābi-e-sharāb na kar

nāsehā ham kareñge sharh-e-junūñ

dil-e-dīvāna se ḳhitāb na kar

shauq yāroñ kā be-shumār nahīñ

sitam ai dost be-hisāb na kar

dil ko mast-e-ḳhayāl-e-yār banā

lab ko ālūda-e-sharāb na kar

rakh bahar-hāl shaġhl-e-mai 'hasrat'

is meñ parvā-e-sheḳh-o-shāb na kar

un ko ruswa mujhe KHarab na kar

ai dil itna bhi iztirab na kar

aamad-e-yar ki umid na chhoD

dekh ai aankh mail-e-KHwab na kar

mil hi rahti hai mai-parast ko mai

fikr-e-na-yabi-e-sharab na kar

naseha hum karenge sharh-e-junun

dil-e-diwana se KHitab na kar

shauq yaron ka be-shumar nahin

sitam ai dost be-hisab na kar

dil ko mast-e-KHayal-e-yar bana

lab ko aaluda-e-sharab na kar

rakh bahar-haal shaghl-e-mai 'hasrat'

is mein parwa-e-sheKH-o-shab na kar

न सूरत कहीं शादमानी की देखी हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

न सूरत कहीं शादमानी की देखी

बहुत सैर दुनिया-ए-फ़ानी की देखी

मिरी चश्म-ए-ख़ूँ-बार में ख़ूब रह कर

बहार आप ने गुल-फ़िशानी की देखी

तमन्ना ने उस रू-ए-ज़ेबा को देखा

कि तस्वीर हुस्न-ए-जवानी की देखी

अजब शौक़ से दस्त-ए-साक़ी में हम ने

सुराही मय-ए-अरग़वानी की देखी

ज़हे रोब-ए-हुस्न उन के दर पर किसी ने

ज़रूरत न कुछ पासबानी की देखी

न तुम सा ख़ुश-अख़्लाक़ पाया न हम ने

कहीं शान ये दिल-सितानी की देखी

मुझे कर के मायूस बोले वो 'हसरत'

मसर्रत ग़म-ए-जावेदानी की देखी

na surat kahin shadmani ki dekhi Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

na sūrat kahīñ shādmānī kī dekhī

bahut sair duniyā-e-fānī kī dekhī

mirī chashm-e-ḳhūñ-bār meñ ḳhuub rah kar

bahār aap ne gul-fishānī kī dekhī

tamannā ne us rū-e-zebā ko dekhā

ki tasvīr husn-e-javānī kī dekhī

ajab shauq se dast-e-sāqī meñ ham ne

surāhī mai-e-arġhavānī kī dekhī

zahe rob-e-husn un ke dar par kisī ne

zarūrat na kuchh pāsbānī kī dekhī

na tum sā ḳhush-aḳhlāq paayā na ham ne

kahīñ shaan ye dil-sitānī kī dekhī

mujhe kar ke māyūs bole vo 'hasrat'

masarrat ġham-e-jāvedānī kī dekhī

na surat kahin shadmani ki dekhi

bahut sair duniya-e-fani ki dekhi

meri chashm-e-KHun-bar mein KHub rah kar

bahaar aap ne gul-fishani ki dekhi

tamanna ne us ru-e-zeba ko dekha

ki taswir husn-e-jawani ki dekhi

ajab shauq se dast-e-saqi mein hum ne

surahi mai-e-arghawani ki dekhi

zahe rob-e-husn un ke dar par kisi ne

zarurat na kuchh pasbani ki dekhi

na tum sa KHush-aKHlaq paya na hum ne

kahin shan ye dil-sitani ki dekhi

mujhe kar ke mayus bole wo 'hasrat'

masarrat gham-e-jawedani ki dekhi

भुलाता लाख हूँ लेकिन बराबर याद आते हैं हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

भुलाता लाख हूँ लेकिन बराबर याद आते हैं

इलाही तर्क-ए-उल्फ़त पर वो क्यूँकर याद आते हैं

न छेड़ ऐ हम-नशीं कैफ़िय्यत-ए-सहबा के अफ़्साने

शराब-ए-बे-ख़ुदी के मुझ को साग़र याद आते हैं

रहा करते हैं क़ैद-ए-होश में ऐ वाए-नाकामी

वो दश्त-ए-ख़ुद-फ़रामोशी के चक्कर याद आते हैं

नहीं आती तो याद उन की महीनों तक नहीं आती

मगर जब याद आते हैं तो अक्सर याद आते हैं

हक़ीक़त खुल गई 'हसरत' तिरे तर्क-ए-मोहब्बत की

तुझे तो अब वो पहले से भी बढ़ कर याद आते हैं

bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

bhulātā laakh huuñ lekin barābar yaad aate haiñ

ilāhī tark-e-ulfat par vo kyūñkar yaad aate haiñ

na chheḌ ai ham-nashīñ kaifiyyat-e-sahbā ke afsāne

sharāb-e-be-ḳhudī ke mujh ko sāġhar yaad aate haiñ

rahā karte haiñ qaid-e-hosh meñ ai vā.e-nākāmī

vo dasht-e-ḳhud-farāmoshī ke chakkar yaad aate haiñ

nahīñ aatī to yaad un kī mahīnoñ tak nahīñ aatī

magar jab yaad aate haiñ to aksar yaad aate haiñ

haqīqat khul ga.ī 'hasrat' tire tark-e-mohabbat kī

tujhe to ab vo pahle se bhī baḌh kar yaad aate haiñ

bhulata lakh hun lekin barabar yaad aate hain

ilahi tark-e-ulfat par wo kyunkar yaad aate hain

na chheD ai ham-nashin kaifiyyat-e-sahba ke afsane

sharab-e-be-KHudi ke mujh ko saghar yaad aate hain

raha karte hain qaid-e-hosh mein ai wae-nakaami

wo dasht-e-KHud-faramoshi ke chakkar yaad aate hain

nahin aati to yaad un ki mahinon tak nahin aati

magar jab yaad aate hain to aksar yaad aate hain

haqiqat khul gai 'hasrat' tere tark-e-mohabbat ki

tujhe to ab wo pahle se bhi baDh kar yaad aate hain

फ़ैज़-ए-मोहब्बत से है क़ैद-ए-मिहन हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

फ़ैज़-ए-मोहब्बत से है क़ैद-ए-मिहन

मेरे लिए एक बला-ए-हसन

शाम-ए-ग़रीबाँ के बराबर कहाँ

मज़हब-ए-उश्शाक़ में सुब्ह-ए-वतन

आह वो ग़ारतगर-ए-सब्र-ओ-शकेब

सिलसिला-ए-ज़ुल्फ़ शिकन दर शिकन

फ़ित्ना-ए-जाँ वो सुख़न-ए-दिल-पज़ीर

दुश्मन-ए-दीं वो निगह-ए-सहर-फ़न

जल्वा-ए-जानाँ से है दार-उस-सुरूर

ख़ाना-ए-जाँ अब नहीं बैत-उल-हुज़न

मेहर ओ मुरव्वत से तुम्हें वास्ता

ये भी हरीफ़ों का है इक हुस्न-ए-ज़न

जब से कहा इश्क़ ने 'हसरत' मुझे

कोई भी कहता नहीं फ़ज़ल-उल-हसन

faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan

mere liye ek balā-e-hasan

shām-e-ġharībāñ ke barābar kahāñ

maz.hab-e-ushshāq meñ sub.h-e-vatan

aah vo ġhārat-gar-e-sabr-o-shakeb

silsila-e-zulf shikan dar shikan

fitna-e-jāñ vo suḳhan-e-dil-pazīr

dushman-e-dīñ vo nigah-e-sahar-fan

jalva-e-jānāñ se hai dār-us-surūr

ḳhāna-e-jāñ ab nahīñ bait-ul-huzn

mehr o muravvat se tumheñ vāstā

ye bhī harīfoñ kā hai ik husn-e-zan

jab se kahā ishq ne 'hasrat' mujhe

koī bhī kahtā nahīñ fazl-ul-hasan

faiz-e-mohabbat se hai qaid-e-mihan

mere liye ek bala-e-hasan

sham-e-ghariban ke barabar kahan

mazhab-e-ushshaq mein subh-e-watan

aah wo ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb

silsila-e-zulf shikan dar shikan

fitna-e-jaan wo suKHan-e-dil-pazir

dushman-e-din wo nigah-e-sahar-fan

jalwa-e-jaanan se hai dar-us-surur

KHana-e-jaan ab nahin bait-ul-huzn

mehr o murawwat se tumhein wasta

ye bhi harifon ka hai ek husn-e-zan

jab se kaha ishq ne 'hasrat' mujhe

koi bhi kahta nahin fazl-ul-hasan

ख़ू समझ में नहीं आती तिरे दीवानों की हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

ख़ू समझ में नहीं आती तिरे दीवानों की

दामनों की न ख़बर है न गिरेबानों की

जल्वा-ए-साग़र-ओ-मीना है जो हमरंग-ए-बहार

रौनक़ें तुर्फ़ा तरक़्क़ी पे हैं मय-ख़ानों की

हर तरफ़ बे-ख़ुदी ओ बे-ख़बरी की है नुमूद

क़ाबिल-ए-दीद है दुनिया तिरे हैरानों की

सहल इस से तो यही है कि सँभालें दिल को

मिन्नतें कौन करे आप के दरबानों की

आँख वाले तिरी सूरत पे मिटे जाते हैं

शम-ए-महफ़िल की तरफ़ भीड़ है परवानों की

ऐ जफ़ाकार तिरे अहद से पहले तो न थी

कसरत इस दर्जा मोहब्बत के पशीमानों की

राज़-ए-ग़म से हमें आगाह किया ख़ूब किया

कुछ निहायत ही नहीं आप के एहसानों की

दुश्मन-ए-अहल-ए-मुरव्वत है वो बेगाना-ए-उन्स

शक्ल परियों की है ख़ू भी नहीं इंसानों की

हमरह-ए-ग़ैर मुबारक उन्हें गुल-गश्त-ए-चमन

सैर हम को भी मयस्सर है बयाबानों की

इक बखेड़ा है नज़र में सर-ओ-सामान-ए-वजूद

अब ये हालत है तिरे सोख़्ता-सामानों की

फ़ैज़-ए-साक़ी की अजब धूम है मय-ख़ानों में

हर तरफ़ मय की तलब माँग है पैमानों की

आशिक़ों ही का जिगर है कि हैं ख़ुरसन्द-ए-जफ़ा

काफ़िरों की है ये हिम्मत न मुसलमानों की

याद फिर ताज़ा हुई हाल से तेरे 'हसरत'

क़ैस ओ फ़रहाद के गुज़रे हुए अफ़्सानों की

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

ḳhū samajh meñ nahīñ aatī tire dīvānoñ kī

dāmanoñ kī na ḳhabar hai na girebānoñ kī

jalva-e-sāġhar-o-mīnā hai jo ham-rañg-e-bahār

raunaqeñ turfa taraqqī pe haiñ mai-ḳhānoñ kī

har taraf be-ḳhudī o be-ḳhabarī kī hai numūd

qābil-e-dīd hai duniyā tire hairānoñ kī

sahl is se to yahī hai ki sambhāleñ dil ko

minnateñ kaun kare aap ke darbānoñ kī

aañkh vaale tirī sūrat pe miTe jaate haiñ

sham-e-mahfil kī taraf bhiiḌ hai parvānoñ kī

ai jafākār tire ahd se pahle to na thī

kasrat is darja mohabbat ke pashīmānoñ kī

rāz-e-ġham se hameñ āgāh kiyā ḳhuub kiyā

kuchh nihāyat hī nahīñ aap ke ehsānoñ kī

dushman-e-ahl-e-muravvat hai vo begāna-e-uns

shakl pariyoñ kī hai ḳhū bhī nahīñ insānoñ kī

hamrah-e-ġhair mubārak unheñ gul-gasht-e-chaman

sair ham ko bhī mayassar hai bayābānoñ kī

ik bakheḌā hai nazar meñ sar-o-sāmān-e-vajūd

ab ye hālat hai tire soḳhta-sāmānoñ kī

faiz-e-sāqī kī ajab dhuum hai mai-ḳhānoñ meñ

har taraf mai kī talab maañg hai paimānoñ kī

āshiqoñ hī kā jigar hai ki haiñ ḳhursañd-e-jafā

kāfiroñ kī hai ye himmat na musalmānoñ kī

yaad phir taaza huī haal se tere 'hasrat'

qais o farhād ke guzre hue afsānoñ kī

KHu samajh mein nahin aati tere diwanon ki

damanon ki na KHabar hai na girebanon ki

jalwa-e-saghar-o-mina hai jo ham-rang-e-bahaar

raunaqen turfa taraqqi pe hain mai-KHanon ki

har taraf be-KHudi o be-KHabari ki hai numud

qabil-e-did hai duniya tere hairanon ki

sahl is se to yahi hai ki sambhaalen dil ko

minnaten kaun kare aap ke darbanon ki

aankh wale teri surat pe miTe jate hain

sham-e-mahfil ki taraf bhiD hai parwanon ki

ai jafakar tere ahd se pahle to na thi

kasrat is darja mohabbat ke pashimanon ki

raaz-e-gham se hamein aagah kiya KHub kiya

kuchh nihayat hi nahin aap ke ehsanon ki

dushman-e-ahl-e-murawwat hai wo begana-e-uns

shakl pariyon ki hai KHu bhi nahin insanon ki

hamrah-e-ghair mubarak unhen gul-gasht-e-chaman

sair hum ko bhi mayassar hai bayabanon ki

ek bakheDa hai nazar mein sar-o-saman-e-wajud

ab ye haalat hai tere soKHta-samanon ki

faiz-e-saqi ki ajab dhum hai mai-KHanon mein

har taraf mai ki talab mang hai paimanon ki

aashiqon hi ka jigar hai ki hain KHursand-e-jafa

kafiron ki hai ye himmat na musalmanon ki

yaad phir taza hui haal se tere 'hasrat'

qais o farhad ke guzre hue afsanon ki

अब वो फ़रमाते हैं कब मैं ने दिखाईं आँखें हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

अब वो फ़रमाते हैं कब मैं ने दिखाईं आँखें

आप ने मुफ़्त में रो रो के सुजाईं आँखें

मुज़्तरिब हम भी रहे रात तड़प कर काफ़ी

दिल भी बेचैन रहा उन की जो आईं आँखें

हुस्न-ए-मग़रिब में हमीं साअद-ओ-गेसू के सिवा

और भी कुछ नज़र आया तो वो भाईं आँखें

रात मुझ मुल्ज़म-ए-पा-बोस को अज़-राह-ए-करम

सरज़निश कुछ भी न की ख़ुद वो लजाईं आँखें

दाग़ लग जाएगा दामान-ए-वफ़ा में 'हसरत'

तुम ने देखो जो कहीं और लगाईं आँखें

ab wo farmate hain kab maine dikhain aankhen Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

ab vo farmāte haiñ kab maiñ ne dikhā.īñ āñkheñ

aap ne muft meñ ro ro ke sujā.īñ āñkheñ

muztarib ham bhī rahe raat taḌap kar kaafī

dil bhī bechain rahā un kī jo aa.iiñ āñkheñ

husn-e-maġhrib meñ hamīñ sā.ad-o-gesū ke sivā

aur bhī kuchh nazar aayā to vo bhā.īñ āñkheñ

raat mujh mulzam-e-pā-bos ko az-rāh-e-karam

sarzanish kuchh bhī na kī ḳhud vo lajā.īñ āñkheñ

daaġh lag jā.egā dāmān-e-vafā meñ 'hasrat'

tum ne dekho jo kahīñ aur lagā.īñ āñkheñ

ab wo farmate hain kab main ne dikhain aankhen

aap ne muft mein ro ro ke sujain aankhen

muztarib hum bhi rahe raat taDap kar kafi

dil bhi bechain raha un ki jo aain aankhen

husn-e-maghrib mein hamin saad-o-gesu ke siwa

aur bhi kuchh nazar aaya to wo bhain aankhen

raat mujh mulzam-e-pa-bos ko az-rah-e-karam

sarzanish kuchh bhi na ki KHud wo lajain aankhen

dagh lag jaega daman-e-wafa mein 'hasrat'

tum ne dekho jo kahin aur lagain aankhen

तासीर-ए-बर्क़-ए-हुस्न जो उन के सुख़न में थी हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

तासीर-ए-बर्क़-ए-हुस्न जो उन के सुख़न में थी

इक लर्ज़िश-ए-ख़फ़ी मिरे सारे बदन में थी

वाँ से निकल के फिर न फ़राग़त हुई नसीब

आसूदगी की जान तिरी अंजुमन में थी

इक रंग-ए-इल्तिफ़ात भी उस बे-रुख़ी में था

इक सादगी भी उस निगह-ए-सहर फ़न में थी

मोहताज-ए-बू-ए-इत्र न था जिस्म-ए-ख़ूब-ए-यार

ख़ुशबू-ए-दिलबरी थी जो उस पैरहन में थी

कुछ दिल ही बुझ गया है मिरा वर्ना आज कल

कैफ़ियत-ए-बहार की शिद्दत चमन में थी

मालूम हो गई मिरे दिल को राह-ए-शौक़

वो बात प्यार की जो हुनूज़ उस दहन में थी

ग़ुर्बत की सुब्ह में भी नहीं है वो रौशनी

जो रौशनी कि शाम-ए-सवाद-ए-वतन में थी

ऐश गुदाज़-ए-दिल भी ग़म-ए-आशिक़ी में था

इक राहत-ए-लतीफ़ भी ज़िम्न-ए-महन में थी

अच्छा हुआ कि ख़ातिर-ए-'हसरत' से हट गई

हैबत सी इक जो ख़तरा-ए-दार-ओ-रसन में थी

tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

tāsīr-e-barq-e-husn jo un ke suḳhan meñ thī

ik larzish-e-ḳhafī mire saare badan meñ thī

vaañ se nikal ke phir na farāġhat huī nasīb

āsūdgī kī jaan tirī anjuman meñ thī

ik rañg-e-iltifāt bhī us be-ruḳhī meñ thā

ik sādgī bhī us nigah-e-sahar fan meñ thī

mohtāj-e-bū-e-itr na thā jism-e-ḳhūb-e-yār

ḳhushbu-e-dilbarī thī jo us pairahan meñ thī

kuchh dil hī bujh gayā hai mirā varna aaj kal

kaifiyat-e-bahār kī shiddat chaman meñ thī

mālūm ho ga.ī mire dil ko rāh-e-shauq

vo baat pyaar kī jo hunūz us dahan meñ thī

ġhurbat kī sub.h meñ bhī nahīñ hai vo raushnī

jo raushnī ki shām-e-savād-e-vatan meñ thī

aish gudāz-e-dil bhī ġham-e-āshiqī meñ thā

ik rāhat-e-latīf bhī zimn-e-mehan meñ thī

achchhā huā ki ḳhātir-e-'hasrat' se haT ga.ī

haibat sī ik jo ḳhatra-e-dār-o-rasan meñ thī

tasir-e-barq-e-husn jo un ke suKHan mein thi

ek larzish-e-KHafi mere sare badan mein thi

wan se nikal ke phir na faraghat hui nasib

aasudgi ki jaan teri anjuman mein thi

ek rang-e-iltifat bhi us be-ruKHi mein tha

ek sadgi bhi us nigah-e-sahar fan mein thi

mohtaj-e-bu-e-itr na tha jism-e-KHub-e-yar

KHushbu-e-dilbari thi jo us pairahan mein thi

kuchh dil hi bujh gaya hai mera warna aaj kal

kaifiyat-e-bahaar ki shiddat chaman mein thi

malum ho gai mere dil ko rah-e-shauq

wo baat pyar ki jo hunuz us dahan mein thi

ghurbat ki subh mein bhi nahin hai wo raushni

jo raushni ki sham-e-sawad-e-watan mein thi

aish gudaz-e-dil bhi gham-e-ashiqi mein tha

ek rahat-e-latif bhi zimn-e-mehan mein thi

achchha hua ki KHatir-e-'hasrat' se haT gai

haibat si ek jo KHatra-e-dar-o-rasan mein thi

और तो पास मिरे हिज्र में क्या रक्खा है हसरत मोहानी की ग़ज़ल ग़ज़लें 

और तो पास मिरे हिज्र में क्या रक्खा है

इक तिरे दर्द को पहलू में छुपा रक्खा है

दिल से अरबाब-ए-वफ़ा का है भुलाना मुश्किल

हम ने ये उन के तग़ाफ़ुल को सुना रक्खा है

तुम ने बाल अपने जो फूलों में बसा रक्खे हैं

शौक़ को और भी दीवाना बना रक्खा है

सख़्त बेदर्द है तासीर-ए-मोहब्बत कि उन्हें

बिस्तर-ए-नाज़ पे सोते से जगा रक्खा है

आह वो याद कि उस याद को हो कर मजबूर

दिल-ए-मायूस ने मुद्दत से भुला रक्खा है

क्या तअम्मुल है मिरे क़त्ल में ऐ बाज़ू-ए-यार

एक ही वार में सर तन से जुदा रक्खा है

हुस्न को जौर से बेगाना न समझो कि उसे

ये सबक़ इश्क़ ने पहले ही पढ़ा रक्खा है

तेरी निस्बत से सितमगर तिरे मायूसों ने

दाग़-ए-हिर्मां को भी सीने से लगा रक्खा है

कहते हैं अहल-ए-जहाँ दर्द-ए-मोहब्बत जिस को

नाम उसी का दिल-ए-मुज़्तर ने दवा रक्खा है

निगह-ए-यार से पैकान-ए-क़ज़ा का मुश्ताक़

दिल-ए-मजबूर निशाने पे खुला रक्खा है

इस का अंजाम भी कुछ सोच लिया है 'हसरत'

तू ने रब्त उन से जो इस दर्जा बढ़ा रक्खा है

aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai Hasrat Mohani Ghazal Ghazals

aur to paas mire hijr meñ kyā rakkhā hai

ik tire dard ko pahlū meñ chhupā rakkhā hai

dil se arbāb-e-vafā kā hai bhulānā mushkil

ham ne ye un ke taġhāful ko sunā rakkhā hai

tum ne baal apne jo phūloñ meñ basā rakkhe haiñ

shauq ko aur bhī dīvāna banā rakkhā hai

saḳht bedard hai tāsīr-e-mohabbat ki unheñ

bistar-e-nāz pe sote se jagā rakkhā hai

aah vo yaad ki us yaad ko ho kar majbūr

dil-e-māyūs ne muddat se bhulā rakkhā hai

kyā ta.ammul hai mire qatl meñ ai bāzū-e-yār

ek hī vaar meñ sar tan se judā rakkhā hai

husn ko jaur se begāna na samjho ki use

ye sabaq ishq ne pahle hī paḌhā rakkhā hai

terī nisbat se sitamgar tire māyūsoñ ne

dāġh-e-hirmāñ ko bhī siine se lagā rakkhā hai

kahte haiñ ahl-e-jahāñ dard-e-mohabbat jis ko

naam usī kā dil-e-muztar ne davā rakkhā hai

nigah-e-yār se paikān-e-qazā kā mushtāq

dil-e-majbūr nishāne pe khulā rakkhā hai

is kā anjām bhī kuchh soch liyā hai 'hasrat'

tū ne rabt un se jo is darja baḌhā rakkhā hai

aur to pas mere hijr mein kya rakkha hai

ek tere dard ko pahlu mein chhupa rakkha hai

dil se arbab-e-wafa ka hai bhulana mushkil

hum ne ye un ke taghaful ko suna rakkha hai

tum ne baal apne jo phulon mein basa rakkhe hain

shauq ko aur bhi diwana bana rakkha hai

saKHt bedard hai tasir-e-mohabbat ki unhen

bistar-e-naz pe sote se jaga rakkha hai

aah wo yaad ki us yaad ko ho kar majbur

dil-e-mayus ne muddat se bhula rakkha hai

kya tammul hai mere qatl mein ai bazu-e-yar

ek hi war mein sar tan se juda rakkha hai

husn ko jaur se begana na samjho ki use

ye sabaq ishq ne pahle hi paDha rakkha hai

teri nisbat se sitamgar tere mayuson ne

dagh-e-hirman ko bhi sine se laga rakkha hai

kahte hain ahl-e-jahan dard-e-mohabbat jis ko

nam usi ka dil-e-muztar ne dawa rakkha hai

nigah-e-yar se paikan-e-qaza ka mushtaq

dil-e-majbur nishane pe khula rakkha hai

is ka anjam bhi kuchh soch liya hai 'hasrat'

tu ne rabt un se jo is darja baDha rakkha hai



'हसरत मोहानी '
Hasrat Mohani ghazal writer and poet
भारत के 2014 के डाक टिकट पर मोहानी
जन्म

सय्यद फ़ज़ल-उल-हसन

01 जनवरी 1875
मोहनउन्नाव जिलाब्रिटिश भारत (वर्तमान समय उत्तर प्रदेशभारत)
मौत13 मई 1951 (उम्र 76 वर्ष)
लखनऊउत्तर प्रदेशभारत
राष्ट्रीयताभारतीय
पेशास्वतंत्रता सेनानीउर्दू शायरपत्रकारइस्लामी विद्वानसमाजसेवक

Comments

Popular posts from this blog

Ye Naina Ye Kajal / ये नैना, ये काजल, ये ज़ुल्फ़ें, ये आँचल

Mira Bai Ke Pad Arth Vyakhya मीराबाई के पद अर्थ सहित

अल्लामा इक़बाल ग़ज़ल /Allama Iqbal Ghazal