Ghazals of Mohammad Rafi Sauda Ghazal मोहम्मद रफ़ी सौदा की ग़ज़लें ग़ज़ल
जब यार ने उठा कर ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधे मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
जब यार ने उठा कर ज़ुल्फ़ों के बाल बाँधे
तब मैं ने अपने दिल में लाखों ख़याल बाँधे
दो दिन में हम तो रीझे ऐ वाए हाल उन का
गुज़रे हैं जिन के दिल को याँ माह-ओ-साल बाँधे
तार-ए-निगह में उस के क्यूँकर फँसे न ये दिल
आँखों ने जिस के लाखों वहशी ग़ज़ाल बाँधे
जो कुछ है रंग उस का सो है नज़र में अपनी
गो जामा ज़र्द पहने या चीरा लाल बाँधे
तेरे ही सामने कुछ बहके है मेरा नाला
वर्ना निशाने हम ने मारे हैं बाल बाँधे
बोसे की तो है ख़्वाहिश पर कहिए क्यूँकि उस से
जिस का मिज़ाज लब पर हर्फ़-ए-सवाल बाँधे
मारोगे किस को जी से किस पर कमर कसी है
फिरते हो क्यूँ प्यारे तलवार ढाल बाँधे
दो-चार शेर आगे उस के पढ़े तो बोला
मज़मूँ ये तू ने अपने क्या हस्ब-ए-हाल बाँधे
सौदा' जो उन ने बाँधा ज़ुल्फ़ों में दिल सज़ा है
शेरों में उस के तू ने क्यूँ ख़त्त-ओ-ख़ाल बाँधे
jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
jab yaar ne uThā kar zulfoñ ke baal bāñdhe
tab maiñ ne apne dil meñ lākhoñ ḳhayāl bāñdhe
do din meñ ham to rījhe ai vaa.e haal un kā
guzre haiñ jin ke dil ko yaañ māh-o-sāl bāñdhe
tār-e-nigah meñ us ke kyūñkar phañse na ye dil
āñkhoñ ne jis ke lākhoñ vahshī ġhazāl bāñdhe
jo kuchh hai rañg us kā so hai nazar meñ apnī
go jaama zard pahne yā chīra laal bāñdhe
tere hī sāmne kuchh bahke hai merā naala
varna nishāne ham ne maare haiñ baal bāñdhe
bose kī to hai ḳhvāhish par kahiye kyūñki us se
jis kā mizāj lab par harf-e-savāl bāñdhe
māroge kis ko jī se kis par kamar kasī hai
phirte ho kyuuñ pyāre talvār Dhaal bāñdhe
do-chār sher aage us ke paḌhe to bolā
mazmūñ ye tū ne apne kyā hasb-e-hāl bāñdhe
saudā' jo un ne bāñdhā zulfoñ meñ dil sazā hai
sheroñ meñ us ke tū ne kyuuñ ḳhatt-o-ḳhāl bāñdhe
jab yar ne uTha kar zulfon ke baal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon KHayal bandhe
do din mein hum to rijhe ai wae haal un ka
guzre hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe
tar-e-nigah mein us ke kyunkar phanse na ye dil
aankhon ne jis ke lakhon wahshi ghazal bandhe
jo kuchh hai rang us ka so hai nazar mein apni
go jama zard pahne ya chira lal bandhe
tere hi samne kuchh bahke hai mera nala
warna nishane hum ne mare hain baal bandhe
bose ki to hai KHwahish par kahiye kyunki us se
jis ka mizaj lab par harf-e-sawal bandhe
maroge kis ko ji se kis par kamar kasi hai
phirte ho kyun pyare talwar Dhaal bandhe
do-chaar sher aage us ke paDhe to bola
mazmun ye tu ne apne kya hasb-e-haal bandhe
sauda' jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai
sheron mein us ke tu ne kyun KHatt-o-KHal bandhe
गुल फेंके है औरों की तरफ़ बल्कि समर भी मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
गुल फेंके है औरों की तरफ़ बल्कि समर भी
ऐ ख़ाना-बर-अंदाज़-ए-चमन कुछ तो इधर भी
क्या ज़िद है मिरे साथ ख़ुदा जाने वगर्ना
काफ़ी है तसल्ली को मिरी एक नज़र भी
ऐ अब्र क़सम है तुझे रोने की हमारे
तुझ चश्म से टपका है कभू लख़्त-ए-जिगर भी
ऐ नाला सद अफ़्सोस जवाँ मरने पे तेरे
पाया न तनिक देखने तीं रू-ए-असर भी
किस हस्ती-ए-मौहूम पे नाज़ाँ है तू ऐ यार
कुछ अपने शब-ओ-रोज़ की है तुज को ख़बर भी
तन्हा तिरे मातम में नहीं शाम-ए-सियह-पोश
रहता है सदा चाक गरेबान-ए-सहर भी
सौदा' तिरी फ़रियाद से आँखों में कटी रात
आई है सहर होने को टुक तू कहीं मर भी
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
gul pheñke hai auroñ kī taraf balki samar bhī
ai ḳhāna-bar-andāz-e-chaman kuchh to idhar bhī
kyā zid hai mire saath ḳhudā jaane vagarna
kaafī hai tasallī ko mirī ek nazar bhī
ai abr qasam hai tujhe rone kī hamāre
tujh chashm se Tapkā hai kabhū laḳht-e-jigar bhī
ai naala sad afsos javāñ marne pe tere
paayā na tanik dekhne tiiñ rū-e-asar bhī
kis hasti-e-mauhūm pe nāzāñ hai tū ai yaar
kuchh apne shab-o-roz kī hai tuj ko ḳhabar bhī
tanhā tire mātam meñ nahīñ shām-e-siyah-posh
rahtā hai sadā chaak garebān-e-sahar bhī
saudā' tirī fariyād se āñkhoñ meñ kaTī raat
aa.ī hai sahar hone ko Tuk tū kahīñ mar bhī
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi
ai KHana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi
kya zid hai mere sath KHuda jaane wagarna
kafi hai tasalli ko meri ek nazar bhi
ai abr qasam hai tujhe rone ki hamare
tujh chashm se Tapka hai kabhu laKHt-e-jigar bhi
ai nala sad afsos jawan marne pe tere
paya na tanik dekhne tin ru-e-asar bhi
kis hasti-e-mauhum pe nazan hai tu ai yar
kuchh apne shab-o-roz ki hai tuj ko KHabar bhi
tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh
rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi
sauda' teri fariyaad se aankhon mein kaTi raat
aai hai sahar hone ko Tuk tu kahin mar bhi
वे सूरतें इलाही किस मुल्क बस्तियाँ हैं मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
वे सूरतें इलाही किस मुल्क बस्तियाँ हैं
अब देखने को जिन के आँखें तरसतियाँ हैं
आया था क्यूँ अदम में क्या कर चला जहाँ में
ये मर्ग-ओ-ज़ीस्त तुझ बिन आपस में हँसतियाँ हैं
क्यूँकर न हो मुशब्बक शीशा सा दिल हमारा
उस शोख़ की निगाहें पत्थर में धँसतियाँ हैं
बरसात का तो मौसम कब का निकल गया पर
मिज़्गाँ की ये घटाएँ अब तक बरसतियाँ हैं
लेते हैं छीन कर दिल आशिक़ का पल में देखो
ख़ूबाँ की आशिक़ों पर क्या पेश-दस्तियाँ हैं
इस वास्ते कि हैं ये वहशी निकल न जावें
आँखों को मेरी मिज़्गाँ डोरों से कसतियाँ हैं
क़ीमत में उन के गो हम दो जग को दे चुके अब
उस यार की निगाहें तिस पर भी सस्तियाँ हैं
उन ने कहा ये मुझ से अब छोड़ दुख़्त-ए-रज़ को
पीरी में ऐ दिवाने ये कौन मस्तियाँ हैं
जब मैं कहा ये उस से 'सौदा' से अपने मिल के
इस साल तू है साक़ी और मय-परस्तियाँ हैं
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ
ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ
aayā thā kyuuñ adam meñ kyā kar chalā jahāñ meñ
ye marg-o-zīst tujh bin aapas meñ hañstiyāñ haiñ
kyūñkar na ho mushabbak shīsha sā dil hamārā
us shoḳh kī nigāheñ patthar meñ dhañstiyāñ haiñ
barsāt kā to mausam kab kā nikal gayā par
mizhgāñ kī ye ghaTā.eñ ab tak barastiyāñ haiñ
lete haiñ chhīn kar dil āshiq kā pal meñ dekho
ḳhūbāñ kī āshiqoñ par kyā pesh-dastiyāñ haiñ
is vāste ki haiñ ye vahshī nikal na jāveñ
āñkhoñ ko merī mizhgāñ Doroñ se kastiyāñ haiñ
qīmat meñ un ke go ham do jag ko de chuke ab
us yaar kī nigāheñ tis par bhī sastiyāñ haiñ
un ne kahā ye mujh se ab chhoḌ duḳht-e-raz ko
piirī meñ ai divāne ye kaun mastiyāñ haiñ
jab maiñ kahā ye us se 'saudā' se apne mil ke
is saal tū hai saaqī aur mai-parastiyāñ haiñ
we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain
ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain
aaya tha kyun adam mein kya kar chala jahan mein
ye marg-o-zist tujh bin aapas mein hanstiyan hain
kyunkar na ho mushabbak shisha sa dil hamara
us shoKH ki nigahen patthar mein dhanstiyan hain
barsat ka to mausam kab ka nikal gaya par
mizhgan ki ye ghaTaen ab tak barastiyan hain
lete hain chhin kar dil aashiq ka pal mein dekho
KHuban ki aashiqon par kya pesh-dastiyan hain
is waste ki hain ye wahshi nikal na jawen
aankhon ko meri mizhgan Doron se kastiyan hain
qimat mein un ke go hum do jag ko de chuke ab
us yar ki nigahen tis par bhi sastiyan hain
un ne kaha ye mujh se ab chhoD duKHt-e-raz ko
piri mein ai diwane ye kaun mastiyan hain
jab main kaha ye us se 'sauda' se apne mil ke
is sal tu hai saqi aur mai-parastiyan hain
जो गुज़री मुझ पे मत उस से कहो हुआ सो हुआ मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
जो गुज़री मुझ पे मत उस से कहो हुआ सो हुआ
बला-कशान-ए-मोहब्बत पे जो हुआ सो हुआ
मबादा हो कोई ज़ालिम तिरा गरेबाँ-गीर
मिरे लहू को तू दामन से धो हुआ सो हुआ
पहुँच चुका है सर-ए-ज़ख़्म दिल तलक यारो
कोई सुबू कोई मरहम रखो हुआ सो हुआ
कहे है सुन के मिरी सरगुज़िश्त वो बे-रहम
ये कौन ज़िक्र है जाने भी दो हुआ सो हुआ
ख़ुदा के वास्ते आ दरगुज़र गुनह से मिरे
न होगा फिर कभू ऐ तुंद-ख़ू हुआ सो हुआ
ये कौन हाल है अहवाल-ए-दिल पे ऐ आँखो
न फूट फूट के इतना बहो हुआ सो हुआ
न कुछ ज़रर हुआ शमशीर का न हाथों का
मिरे ही सर पे ऐ जल्लाद जो हुआ सो हुआ
दिया उसे दिल ओ दीं अब ये जान है 'सौदा'
फिर आगे देखिए जो हो सो हो हुआ सो हुआ
jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
jo guzrī mujh pe mat us se kaho huā so huā
balā-kashān-e-mohabbat pe jo huā so huā
mabādā ho koī zālim tirā garebāñ-gīr
mire lahū ko tū dāman se dho huā so huā
pahuñch chukā hai sar-e-zaḳhm dil talak yaaro
koī subū koī marham rakho huā so huā
kahe hai sun ke mirī sarguzisht vo be-rahm
ye kaun zikr hai jaane bhī do huā so huā
ḳhudā ke vāste aa darguzar gunah se mire
na hogā phir kabhū ai tund-ḳhū huā so huā
ye kaun haal hai ahvāl-e-dil pe ai āñkho
na phuuT phuuT ke itnā baho huā so huā
na kuchh zarar huā shamshīr kā na hāthoñ kā
mire hī sar pe ai jallād jo huā so huā
diyā use dil o diiñ ab ye jaan hai 'saudā'
phir aage dekhiye jo ho so ho huā so huā
jo guzri mujh pe mat us se kaho hua so hua
bala-kashan-e-mohabbat pe jo hua so hua
mabaada ho koi zalim tera gareban-gir
mere lahu ko tu daman se dho hua so hua
pahunch chuka hai sar-e-zaKHm dil talak yaro
koi subu koi marham rakho hua so hua
kahe hai sun ke meri sarguzisht wo be-rahm
ye kaun zikr hai jaane bhi do hua so hua
KHuda ke waste aa darguzar gunah se mere
na hoga phir kabhu ai tund-KHu hua so hua
ye kaun haal hai ahwal-e-dil pe ai aankho
na phuT phuT ke itna baho hua so hua
na kuchh zarar hua shamshir ka na hathon ka
mere hi sar pe ai jallad jo hua so hua
diya use dil o din ab ye jaan hai 'sauda'
phir aage dekhiye jo ho so ho hua so hua
आशिक़ की भी कटती हैं क्या ख़ूब तरह रातें मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
आशिक़ की भी कटती हैं क्या ख़ूब तरह रातें
दो-चार घड़ी रोना दो-चार घड़ी बातें
क़ुर्बां हूँ मुझे जिस दम याद आती हैं वो बातें
क्या दिन वो मुबारक थे क्या ख़ूब थीं वो रातें
औरों से छुटे दिलबर दिल-दार हुवे मेरा
बर-हक़ हैं अगर पैरव कुछ तुम में करामातें
कल लड़ गईं कूचे में आँखों से मिरी अँखियाँ
कुछ ज़ोर ही आपस में दो दो हुईं समघातें
कश्मीर सी जागह में ना-शुक्र न रह ज़ाहिद
जन्नत में तू ऐ गीदी मारे है ये क्यूँ लातें
इस इश्क़ के कूचे में ज़ाहिद तू सँभल चलना
कुछ पेश न जावेंगी याँ तेरी मुनाजातें
उस रोज़ मियाँ मिल कर नज़रों को चुराते थे
तुझ याद में ही साजन करते हैं मुदारातें
सौदा' को अगर पूछो अहवाल है ये उस का
दो-चार घड़ी रोना दो-चार घड़ी बातें
aashiq ki bhi kaTti hain kya KHub tarah raaten Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
āshiq kī bhī kaTtī haiñ kyā ḳhuub tarah rāteñ
do-chār ghaḌī ronā do-chār ghaḌī bāteñ
qurbāñ huuñ mujhe jis dam yaad aatī haiñ vo bāteñ
kyā din vo mubārak the kyā ḳhuub thiiñ vo rāteñ
auroñ se chhuTe dilbar dil-dār huve merā
bar-haq haiñ agar pairav kuchh tum meñ karāmāteñ
kal laḌ ga.iiñ kūche meñ āñkhoñ se mirī añkhiyāñ
kuchh zor hī aapas meñ do do huiiñ samghāteñ
kashmīr sī jāgah meñ nā-shukr na rah zāhid
jannat meñ tū ai giidī maare hai ye kyuuñ lāteñ
is ishq ke kūche meñ zāhid tū sañbhal chalnā
kuchh pesh na jāveñgī yaañ terī munājāteñ
us roz miyāñ mil kar nazroñ ko churāte the
tujh yaad meñ hī sājan karte haiñ mudārāteñ
saudā' ko agar pūchho ahvāl hai ye us kā
do-chār ghaḌī ronā do-chār ghaḌī bāteñ
aashiq ki bhi kaTti hain kya KHub tarah raaten
do-chaar ghaDi rona do-chaar ghaDi baaten
qurban hun mujhe jis dam yaad aati hain wo baaten
kya din wo mubarak the kya KHub thin wo raaten
auron se chhuTe dilbar dil-dar huwe mera
bar-haq hain agar pairaw kuchh tum mein karamaten
kal laD gain kuche mein aankhon se meri ankhiyan
kuchh zor hi aapas mein do do huin samghaten
kashmir si jagah mein na-shukr na rah zahid
jannat mein tu ai gidi mare hai ye kyun laten
is ishq ke kuche mein zahid tu sanbhal chalna
kuchh pesh na jawengi yan teri munajaten
us roz miyan mil kar nazron ko churaate the
tujh yaad mein hi sajan karte hain mudaraaten
sauda' ko agar puchho ahwal hai ye us ka
do-chaar ghaDi rona do-chaar ghaDi baaten
हिन्दू हैं बुत-परस्त मुसलमाँ ख़ुदा-परस्त मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
हिन्दू हैं बुत-परस्त मुसलमाँ ख़ुदा-परस्त
पूजूँ मैं उस किसी को जो हो आश्ना-परस्त
इस दौर में गई है मुरव्वत की आँख फूट
मादूम है जहान से चश्म-ए-हया-परस्त
देखा है जब से रंग-ए-कफ़क तेरे पाँव में
आतिश को छोड़ गब्र हुए हैं हिना-परस्त
चाहे कि अक्स-ए-दोस्त रहे तुझ में जल्वा-गर
आईना-दार दिल को रख अपने सफ़ा-परस्त
आवारगी से ख़ुश हूँ मैं इतना कि बाद-ए-मर्ग
हर ज़र्रा मेरी ख़ाक का होगा हवा-परस्त
ख़ाक-ए-फ़ना को ता-कि परस्तिश तू कर सके
जूँ ख़िज़्र मत कहाइयो आब-ए-बक़ा-परस्त
सौदा' से शख़्स के तईं आज़ुर्दा कीजिए
ऐ ख़ुद-परस्त हैफ़ नहीं तू वफ़ा-परस्त
hindu hain but-parast musalman KHuda-parast Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
hindū haiñ but-parast musalmāñ ḳhudā-parast
pūjūñ maiñ us kisī ko jo ho āshnā-parast
is daur meñ ga.ī hai muravvat kī aañkh phuuT
mādūm hai jahān se chashm-e-hayā-parast
dekhā hai jab se rañg-e-kafak tere paañv meñ
ātish ko chhoḌ gabr hue haiñ hinā-parast
chāhe ki aks-e-dost rahe tujh meñ jalva-gar
ā.īna-dār dil ko rakh apne safā-parast
āvārgī se ḳhush huuñ maiñ itnā ki bād-e-marg
har zarra merī ḳhaak kā hogā havā-parast
ḳhāk-e-fanā ko tā-ki parastish tū kar sake
juuñ ḳhizr mat kahā.iyo āb-e-baqā-parast
saudā' se shaḳhs ke ta.iiñ āzurda kījiye
ai ḳhud-parast haif nahīñ tū vafā-parast
hindu hain but-parast musalman KHuda-parast
pujun main us kisi ko jo ho aashna-parast
is daur mein gai hai murawwat ki aankh phuT
madum hai jahan se chashm-e-haya-parast
dekha hai jab se rang-e-kafak tere panw mein
aatish ko chhoD gabr hue hain hina-parast
chahe ki aks-e-dost rahe tujh mein jalwa-gar
aaina-dar dil ko rakh apne safa-parast
aawargi se KHush hun main itna ki baad-e-marg
har zarra meri KHak ka hoga hawa-parast
KHak-e-fana ko ta-ki parastish tu kar sake
jun KHizr mat kahaiyo aab-e-baqa-parast
sauda' se shaKHs ke tain aazurda kijiye
ai KHud-parast haif nahin tu wafa-parast
गदा दस्त-ए-अहल-ए-करम देखते हैं मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
गदा दस्त-ए-अहल-ए-करम देखते हैं
हम अपना ही दम और क़दम देखते हैं
न देखा जो कुछ जाम में जम ने अपने
सो यक क़तरा-ए-मय में हम देखते हैं
ये रंजिश में हम को है बे-इख़्तियारी
तुझे तेरी खा कर क़सम देखते हैं
ग़रज़ कुफ़्र से कुछ न दीं से है मतलब
तमाशा-ए-दैर-ओ-हरम देखते हैं
हुबाब-ए-लब-ए-जू हैं ऐ बाग़बाँ हम
चमन को तिरे कोई दम देखते हैं
नविश्ते को मेरे मिटाते हैं रो रो
मलाएक जो लौह ओ क़लम देखते हैं
मिटा जाए है हर्फ़ हर्फ़ आँसुओं से
जो नामा उसे कर रक़म देखते हैं
अकड़ से नहीं काम सुम्बुल की हम को
किसी ज़ुल्फ़ का पेच ओ ख़म देखते हैं
ख़ुदा दुश्मनों को न वो कुछ दिखाए
जो कुछ दोस्त से अपने हम देखते हैं
सितम से किया तू ने हम को जो ख़ूगर
करम से तिरे हम सितम देखते हैं
मगर तुझ से रंजीदा-ख़ातिर है 'सौदा'
उसे तेरे कूचे में कम देखते हैं
gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
gadā dast-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
ham apnā hī dam aur qadam dekhte haiñ
na dekhā jo kuchh jaam meñ jam ne apne
so yak qatra-e-mai meñ ham dekhte haiñ
ye ranjish meñ ham ko hai be-iḳhtiyārī
tujhe terī khā kar qasam dekhte haiñ
ġharaz kufr se kuchh na diiñ se hai matlab
tamāshā-e-dair-o-haram dekhte haiñ
hubāb-e-lab-e-jū haiñ ai bāġhbāñ ham
chaman ko tire koī dam dekhte haiñ
navishte ko mere miTāte haiñ ro ro
malā.ek jo lauh o qalam dekhte haiñ
miTā jaa.e hai harf harf āñsuoñ se
jo naama use kar raqam dekhte haiñ
akaḌ se nahīñ kaam sumbul kī ham ko
kisī zulf kā pech o ḳham dekhte haiñ
ḳhudā dushmanoñ ko na vo kuchh dikhā.e
jo kuchh dost se apne ham dekhte haiñ
sitam se kiyā tū ne ham ko jo ḳhūgar
karam se tire ham sitam dekhte haiñ
magar tujh se ranjīda-ḳhātir hai 'saudā'
use tere kūche meñ kam dekhte haiñ
gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain
hum apna hi dam aur qadam dekhte hain
na dekha jo kuchh jam mein jam ne apne
so yak qatra-e-mai mein hum dekhte hain
ye ranjish mein hum ko hai be-iKHtiyari
tujhe teri kha kar qasam dekhte hain
gharaz kufr se kuchh na din se hai matlab
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
hubab-e-lab-e-ju hain ai baghban hum
chaman ko tere koi dam dekhte hain
nawishte ko mere miTate hain ro ro
malaek jo lauh o qalam dekhte hain
miTa jae hai harf harf aansuon se
jo nama use kar raqam dekhte hain
akaD se nahin kaam sumbul ki hum ko
kisi zulf ka pech o KHam dekhte hain
KHuda dushmanon ko na wo kuchh dikhae
jo kuchh dost se apne hum dekhte hain
sitam se kiya tu ne hum ko jo KHugar
karam se tere hum sitam dekhte hain
magar tujh se ranjida-KHatir hai 'sauda'
use tere kuche mein kam dekhte hain
दिल मत टपक नज़र से कि पाया न जाएगा मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
दिल मत टपक नज़र से कि पाया न जाएगा
जूँ अश्क फिर ज़मीं से उठाया न जाएगा
रुख़्सत है बाग़बाँ कि तनिक देख लें चमन
जाते हैं वाँ जहाँ से फिर आया न जाएगा
आने से फ़ौज-ए-ख़त के न हो दिल को मुख़्लिसी
बंधुआ है ज़ुल्फ़ का ये छुटाया न जाएगा
पहुँचेंगे उस चमन में न हम दाद को कभू
जूँ गुल ये चाक-ए-जेब सिलाया न जाएगा
तेग़-ए-जफ़ा-ए-यार से दिल सर न फेरियो
फिर मुँह वफ़ा को हम से दिखाया न जाएगा
आवेगा वो चमन में न ऐ अब्र जब तलक
पानी गुलों के मुँह में चुवाया न जाएगा
अम्मामे को उतार के पढ़ियो नमाज़ शैख़
सज्दे से वर्ना सर को उठाया न जाएगा
ज़ाहिद गिले से मस्तों के बाज़ आने का नहीं
ता मय-कदे में ला के छकाया न जाएगा
ज़ालिम न मैं कहा था कि इस ख़ूँ से दरगुज़र
सौदा' का क़त्ल है ये छुपाया न जाएगा
दामान-ओ-दाग़-ए-तेग़ को धोया तो क्या हुआ
आलम के दिल से दाग़ धुलाया न जाएगा
dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
dil mat Tapak nazar se ki paayā na jā.egā
juuñ ashk phir zamīñ se uThāyā na jā.egā
ruḳhsat hai bāġhbāñ ki tanik dekh leñ chaman
jaate haiñ vaañ jahāñ se phir aayā na jā.egā
aane se fauj-e-ḳhat ke na ho dil ko muḳhlisī
bañdhuā hai zulf kā ye chhuTāyā na jā.egā
pahuñcheñge us chaman meñ na ham daad ko kabhū
juuñ gul ye chāk-e-jeb silāyā na jā.egā
teġh-e-jafā-e-yār se dil sar na pheriyo
phir muñh vafā ko ham se dikhāyā na jā.egā
āvegā vo chaman meñ na ai abr jab talak
paanī guloñ ke muñh meñ chuvāyā na jā.egā
ammāme ko utaar ke paḌhiyo namāz shaiḳh
sajde se varna sar ko uThāyā na jā.egā
zāhid gile se mastoñ ke baaz aane kā nahīñ
tā mai-kade meñ lā ke chhakāyā na jā.egā
zālim na maiñ kahā thā ki is ḳhuuñ se darguzar
saudā' kā qatl hai ye chhupāyā na jā.egā
dāmān-o-dāġh-e-teġh ko dhoyā to kyā huā
aalam ke dil se daaġh dhulāyā na jā.egā
dil mat Tapak nazar se ki paya na jaega
jun ashk phir zamin se uThaya na jaega
ruKHsat hai baghban ki tanik dekh len chaman
jate hain wan jahan se phir aaya na jaega
aane se fauj-e-KHat ke na ho dil ko muKHlisi
bandhua hai zulf ka ye chhuTaya na jaega
pahunchenge us chaman mein na hum dad ko kabhu
jun gul ye chaak-e-jeb silaya na jaega
tegh-e-jafa-e-yar se dil sar na pheriyo
phir munh wafa ko hum se dikhaya na jaega
aawega wo chaman mein na ai abr jab talak
pani gulon ke munh mein chuwaya na jaega
ammame ko utar ke paDhiyo namaz shaiKH
sajde se warna sar ko uThaya na jaega
zahid gile se maston ke baz aane ka nahin
ta mai-kade mein la ke chhakaya na jaega
zalim na main kaha tha ki is KHun se darguzar
sauda' ka qatl hai ye chhupaya na jaega
daman-o-dagh-e-tegh ko dhoya to kya hua
aalam ke dil se dagh dhulaya na jaega
गर कीजिए इंसाफ़ तो की ज़ोर वफ़ा मैं मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
गर कीजिए इंसाफ़ तो की ज़ोर वफ़ा मैं
ख़त आते ही सब चल गए अब आप हैं या मैं
तुम जिन की सना करते हो क्या बात है उन की
लेकिन टुक इधर देखियो ऐ यार भला मैं
रखता है कुछ ऐसी वो बरहमन बचा रफ़्तार
बुत हो गया धज देख के जिस की ब-ख़ुदा मैं
यारो न बंधी उस से कभू शक्ल-ए-मुलाक़ात
मिलने को तो उस शोख़ के तरसा ही किया मैं
जब मैं गया उस के तो उसे घर में न पाया
आया वो अगर मेरे तो दर ख़ुद न रहा मैं
कैफ़िय्यत-ए-चश्म उस की मुझे याद है 'सौदा'
साग़र को मिरे हाथ से लीजो कि चला मैं
gar kijiye insaf to ki zor wafa main Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
gar kījiye insāf to kī zor vafā maiñ
ḳhat aate hī sab chal ga.e ab aap haiñ yā maiñ
tum jin kī sanā karte ho kyā baat hai un kī
lekin Tuk idhar dekhiyo ai yaar bhalā maiñ
rakhtā hai kuchh aisī vo barahman bacha raftār
but ho gayā dhaj dekh ke jis kī ba-ḳhudā maiñ
yaaro na bañdhī us se kabhū shakl-e-mulāqāt
milne ko to us shoḳh ke tarsā hī kiyā maiñ
jab maiñ gayā us ke to use ghar meñ na paayā
aayā vo agar mere to dar ḳhud na rahā maiñ
kaifiyyat-e-chashm us kī mujhe yaad hai 'saudā'
sāġhar ko mire haath se liijo ki chalā maiñ
gar kijiye insaf to ki zor wafa main
KHat aate hi sab chal gae ab aap hain ya main
tum jin ki sana karte ho kya baat hai un ki
lekin Tuk idhar dekhiyo ai yar bhala main
rakhta hai kuchh aisi wo barahman bacha raftar
but ho gaya dhaj dekh ke jis ki ba-KHuda main
yaro na bandhi us se kabhu shakl-e-mulaqat
milne ko to us shoKH ke tarsa hi kiya main
jab main gaya us ke to use ghar mein na paya
aaya wo agar mere to dar KHud na raha main
kaifiyyat-e-chashm us ki mujhe yaad hai 'sauda'
saghar ko mere hath se lijo ki chala main
बुलबुल ने जिसे जा के गुलिस्तान में देखा मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
बुलबुल ने जिसे जा के गुलिस्तान में देखा
हम ने उसे हर ख़ार-ए-बयाबान में देखा
रौशन है वो हर एक सितारे में ज़ुलेख़ा
जिस नूर को तू ने सर-ए-कनआन में देखा
बरहम करे जमइय्यत-ए-कौनैन जो पल में
लटका वो तिरी ज़ुल्फ़-ए-परेशान में देखा
वाइज़ तू सुने बोले है जिस रोज़ की बातें
उस रोज़ को हम ने शब-ए-हिज्रान में देखा
ऐ ज़ख़्म-ए-जिगर सूदा-ए-अल्मास से ख़ू कर
कितना वो मज़ा था जो नमक-दान में देखा
सौदा' जो तिरा हाल है इतना तो नहीं वो
क्या जानिए तू ने उसे किस आन में देखा
bulbul ne jise ja ke gulistan mein dekha Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
bulbul ne jise jā ke gulistān meñ dekhā
ham ne use har ḳhār-e-bayābān meñ dekhā
raushan hai vo har ek sitāre meñ zuleḳhā
jis nuur ko tū ne sar-e-kan.ān meñ dekhā
barham kare jam.iyyat-e-kaunain jo pal meñ
laTkā vo tirī zulf-e-pareshān meñ dekhā
vaa.iz tū sune bole hai jis roz kī bāteñ
us roz ko ham ne shab-e-hijrān meñ dekhā
ai zaḳhm-e-jigar sūda-e-almās se ḳhū kar
kitnā vo mazā thā jo namak-dān meñ dekhā
saudā' jo tirā haal hai itnā to nahīñ vo
kyā jāniye tū ne use kis aan meñ dekhā
bulbul ne jise ja ke gulistan mein dekha
hum ne use har KHar-e-bayaban mein dekha
raushan hai wo har ek sitare mein zuleKHa
jis nur ko tu ne sar-e-kanan mein dekha
barham kare jamiyyat-e-kaunain jo pal mein
laTka wo teri zulf-e-pareshan mein dekha
waiz tu sune bole hai jis roz ki baaten
us roz ko hum ne shab-e-hijran mein dekha
ai zaKHm-e-jigar suda-e-almas se KHu kar
kitna wo maza tha jo namak-dan mein dekha
sauda' jo tera haal hai itna to nahin wo
kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha
अपने का है गुनाह बेगाने ने क्या किया मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
अपने का है गुनाह बेगाने ने क्या किया
इस दिल को क्या कहूँ कि दिवाने ने क्या किया
याँ तक सताना मुज को कि रो रो कहे तू हाए
यारो न तुम सुना कि फ़ुलाने ने क्या किया
पर्दा तो राज़-ए-इश्क़ से ऐ यार उठ चुका
बे-सूद हम से मुँह के छुपाने ने क्या किया
आँखों की रहबरी ने कहूँ क्या कि दिल के साथ
कूचे की उस के राह बताने ने क्या किया
काम आई कोहकन की मशक़्क़त न इश्क़ में
पत्थर से जू-ए-शीर के लाने ने क्या किया
टुक दर तक अपने आ मिरे नासेह का हाल देख
मैं तो दिवाना था पे सियाने ने क्या किया
चाहूँ मैं किस तरह ये ज़माने की दोस्ती
औरों से दोस्त हो के ज़माने ने क्या किया
कहता था मैं गले का तिरे हो पड़ूँगा हार
देखा न गुल को सर पे चढ़ाने ने क्या किया
सौदा' है बे-तरह का नशा जाम-ए-इश्क़ में
देखा कि उस को मुँह के लगाने ने क्या किया
apne ka hai gunah begane ne kya kiya Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
apne kā hai gunāh begāne ne kyā kiyā
is dil ko kyā kahūñ ki divāne ne kyā kiyā
yaañ tak satānā muj ko ki ro ro kahe tū haa.e
yaaro na tum sunā ki fulāne ne kyā kiyā
parda to rāz-e-ishq se ai yaar uTh chukā
be-sūd ham se muñh ke chhupāne ne kyā kiyā
āñkhoñ kī rahbarī ne kahūñ kyā ki dil ke saath
kūche kī us ke raah batāne ne kyā kiyā
kaam aa.ī kohkan kī mashaqqat na ishq meñ
patthar se jū-e-shīr ke laane ne kyā kiyā
Tuk dar tak apne aa mire nāseh kā haal dekh
maiñ to divānā thā pe siyāne ne kyā kiyā
chāhūñ maiñ kis tarah ye zamāne kī dostī
auroñ se dost ho ke zamāne ne kyā kiyā
kahtā thā maiñ gale kā tire ho paḌūñgā haar
dekhā na gul ko sar pe chaḌhāne ne kyā kiyā
saudā' hai be-tarah kā nasha jām-e-ishq meñ
dekhā ki us ko muñh ke lagāne ne kyā kiyā
apne ka hai gunah begane ne kya kiya
is dil ko kya kahun ki diwane ne kya kiya
yan tak satana muj ko ki ro ro kahe tu hae
yaro na tum suna ki fulane ne kya kiya
parda to raaz-e-ishq se ai yar uTh chuka
be-sud hum se munh ke chhupane ne kya kiya
aankhon ki rahbari ne kahun kya ki dil ke sath
kuche ki us ke rah batane ne kya kiya
kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein
patthar se ju-e-shir ke lane ne kya kiya
Tuk dar tak apne aa mere naseh ka haal dekh
main to diwana tha pe siyane ne kya kiya
chahun main kis tarah ye zamane ki dosti
auron se dost ho ke zamane ne kya kiya
kahta tha main gale ka tere ho paDunga haar
dekha na gul ko sar pe chaDhane ne kya kiya
sauda' hai be-tarah ka nasha jam-e-ishq mein
dekha ki us ko munh ke lagane ne kya kiya
गर तुझ में है वफ़ा तो जफ़ाकार कौन है मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
गर तुझ में है वफ़ा तो जफ़ाकार कौन है
दिलदार तू हुआ तो दिल-आज़ार कौन है
नालाँ हूँ मुद्दतों से तिरे साए के तले
पूछा न ये कभू पस-ए-दीवार कौन है
हर शब शराब-ख़्वार हर इक दिन सियाह है
आशुफ़्ता ज़ुल्फ़ ओ लटपटी दस्तार कौन है
हर आन देखता हूँ मैं अपने सनम को शैख़
तेरे ख़ुदा का तालिब-ए-दीदार कौन है
सौदा' को जुर्म-ए-इश्क़ से करते हैं आज क़त्ल
पहचानता है तू ये गुनहगार कौन है
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
gar tujh meñ hai vafā to jafākār kaun hai
dildār tū huā to dil-āzār kaun hai
nālāñ huuñ muddatoñ se tire saa.e ke tale
pūchhā na ye kabhū pas-e-dīvār kaun hai
har shab sharāb-ḳhvār har ik din siyāh hai
āshufta zulf o laTpaTī dastār kaun hai
har aan dekhtā huuñ maiñ apne sanam ko shaiḳh
tere ḳhudā kā tālib-e-dīdār kaun hai
saudā' ko jurm-e-ishq se karte haiñ aaj qatl
pahchāntā hai tū ye gunahgār kaun hai
gar tujh mein hai wafa to jafakar kaun hai
dildar tu hua to dil-azar kaun hai
nalan hun muddaton se tere sae ke tale
puchha na ye kabhu pas-e-diwar kaun hai
har shab sharab-KHwar har ek din siyah hai
aashufta zulf o laTpaTi dastar kaun hai
har aan dekhta hun main apne sanam ko shaiKH
tere KHuda ka talib-e-didar kaun hai
sauda' ko jurm-e-ishq se karte hain aaj qatl
pahchanta hai tu ye gunahgar kaun hai
हर संग में शरार है तेरे ज़ुहूर का मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
हर संग में शरार है तेरे ज़ुहूर का
मूसा नहीं कि सैर करूँ कोह-ए-तूर का
पढ़िए दुरूद हुस्न-ए-सबीह-ओ-मलीह पर
जल्वा हर एक पर है मोहम्मद के नूर का
तोड़ूँ ये आइना कि हम-आग़ोश-ए-अक्स है
होवे न मुज को पास जो तेरे हुज़ूर का
बेकस कोई मरे तो जले उस पे दिल मिरा
गोया है ये चराग़ ग़रीबाँ की गोर का
हम तो क़फ़स में आन के ख़ामोश हो रहे
ऐ हम-सफ़ीर फ़ाएदा नाहक़ के शोर का
साक़ी से कह कि है शब-ए-महताब जल्वा-गर
दे बस्मा-पोश हो के तू साग़र बिलोर का
सौदा' कभी न मानियो वाइज़ की गुफ़्तुगू
आवाज़-ए-दुहुल है ख़ुश-आइंद दूर का
har sang mein sharar hai tere zuhur ka Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
har sañg meñ sharār hai tere zuhūr kā
muusā nahīñ ki sair karūñ koh-e-tūr kā
paḌhiye durūd husn-e-sabīh-o-malīh par
jalva har ek par hai mohammad ke nuur kā
toḌūñ ye aa.ina ki ham-āġhosh-e-aks hai
hove na muj ko paas jo tere huzūr kā
bekas koī mare to jale us pe dil mirā
goyā hai ye charāġh ġharībāñ kī gor kā
ham to qafas meñ aan ke ḳhāmosh ho rahe
ai ham-safīr fā.eda nāhaq ke shor kā
saaqī se kah ki hai shab-e-mahtāb jalva-gar
de basma-posh ho ke tū sāġhar bilor kā
saudā' kabhī na māniyo vaa.iz kī guftugū
āvāz-e-duhul hai ḳhush-ā.ind duur kā
har sang mein sharar hai tere zuhur ka
musa nahin ki sair karun koh-e-tur ka
paDhiye durud husn-e-sabih-o-malih par
jalwa har ek par hai mohammad ke nur ka
toDun ye aaina ki ham-aghosh-e-aks hai
howe na muj ko pas jo tere huzur ka
bekas koi mare to jale us pe dil mera
goya hai ye charagh ghariban ki gor ka
hum to qafas mein aan ke KHamosh ho rahe
ai ham-safir faeda nahaq ke shor ka
saqi se kah ki hai shab-e-mahtab jalwa-gar
de basma-posh ho ke tu saghar bilor ka
sauda' kabhi na maniyo waiz ki guftugu
aawaz-e-duhul hai KHush-aind dur ka
चेहरे पे न ये नक़ाब देखा मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
चेहरे पे न ये नक़ाब देखा
पर्दे में था आफ़्ताब देखा
क्यूँ कर न बिकूँ मैं हाथ उस के
यूसुफ़ की तरह मैं ख़्वाब देखा
कुछ मैं ही नहीं हूँ, एक आलम
उस के लिए याँ ख़राब देखा
दिल तू ने अबस लिखा था नामा
जो उन ने दिया जवाब देखा
बे-जुर्म ओ गुनाह क़त्ल-ए-आशिक़
मज़हब में तिरे सवाब देखा
कुछ होवे तो हो अदम में राहत
हस्ती में तो हम अज़ाब देखा
जिस चश्म ने मुझ तरफ़ नज़र की
उस चश्म को मैं पुर-आब देखा
हैरान वो तेरे इश्क़ में है
याँ हम ने जो शैख़ ओ शाब देखा
भूला है वो दिल से लुत्फ़ उस का
सौदा' ने ये जब इताब देखा
chehre pe na ye naqab dekha Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
chehre pe na ye naqāb dekhā
parde meñ thā āftāb dekhā
kyuuñ kar na bikūñ maiñ haath us ke
yūsuf kī tarah maiñ ḳhvāb dekhā
kuchh maiñ hī nahīñ huuñ, ek aalam
us ke liye yaañ ḳharāb dekhā
dil tū ne abas likhā thā naama
jo un ne diyā javāb dekhā
be-jurm o gunāh qatl-e-āshiq
maz.hab meñ tire savāb dekhā
kuchh hove to ho adam meñ rāhat
hastī meñ to ham azaab dekhā
jis chashm ne mujh taraf nazar kī
us chashm ko maiñ pur-āb dekhā
hairān vo tere ishq meñ hai
yaañ ham ne jo shaiḳh o shaab dekhā
bhūlā hai vo dil se lutf us kā
saudā' ne ye jab itaab dekhā
chehre pe na ye naqab dekha
parde mein tha aaftab dekha
kyun kar na bikun main hath us ke
yusuf ki tarah main KHwab dekha
kuchh main hi nahin hun, ek aalam
us ke liye yan KHarab dekha
dil tu ne abas likha tha nama
jo un ne diya jawab dekha
be-jurm o gunah qatl-e-ashiq
mazhab mein tere sawab dekha
kuchh howe to ho adam mein rahat
hasti mein to hum azab dekha
jis chashm ne mujh taraf nazar ki
us chashm ko main pur-ab dekha
hairan wo tere ishq mein hai
yan hum ne jo shaiKH o shab dekha
bhula hai wo dil se lutf us ka
sauda' ne ye jab itab dekha
नसीम है तिरे कूचे में और सबा भी है मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
नसीम है तिरे कूचे में और सबा भी है
हमारी ख़ाक से देखो तो कुछ रहा भी है
तिरा ग़ुरूर मिरा इज्ज़ ता कुजा ज़ालिम
हर एक बात की आख़िर कुछ इंतिहा भी है
जले है शम्अ से परवाना और मैं तुझ से
कहीं है मेहर भी जग में कहीं वफ़ा भी है
ख़याल अपने में गो हूँ तराना-संजाँ मस्त
कराहने के दिलों को कभी सुना भी है
ज़बान-ए-शिकवा सिवा अब ज़माने में हैहात
कोई किसू से बहम दीगर आश्ना भी है
सितम रवा है असीरों पे इस क़दर सय्याद
चमन चमन कहीं बुलबुल की अब नवा भी है
समझ के रखियो क़दम ख़ार-ए-दश्त पर मजनूँ
कि इस नवाह में 'सौदा' बरहना-पा भी है
nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
nasīm hai tire kūche meñ aur sabā bhī hai
hamārī ḳhaak se dekho to kuchh rahā bhī hai
tirā ġhurūr mirā ijz tā kujā zālim
har ek baat kī āḳhir kuchh intihā bhī hai
jale hai sham.a se parvāna aur maiñ tujh se
kahīñ hai mehr bhī jag meñ kahīñ vafā bhī hai
ḳhayāl apne meñ go huuñ tarāna-sanjāñ mast
karāhne ke diloñ ko kabhī sunā bhī hai
zabān-e-shikva sivā ab zamāne meñ haihāt
koī kisū se baham dīgar āshnā bhī hai
sitam ravā hai asīroñ pe is qadar sayyād
chaman chaman kahīñ bulbul kī ab navā bhī hai
samajh ke rakhiyo qadam ḳhār-e-dasht par majnūñ
ki is navāh meñ 'saudā' barhana-pā bhī hai
nasim hai tere kuche mein aur saba bhi hai
hamari KHak se dekho to kuchh raha bhi hai
tera ghurur mera ijz ta kuja zalim
har ek baat ki aaKHir kuchh intiha bhi hai
jale hai shama se parwana aur main tujh se
kahin hai mehr bhi jag mein kahin wafa bhi hai
KHayal apne mein go hun tarana-sanjaan mast
karahne ke dilon ko kabhi suna bhi hai
zaban-e-shikwa siwa ab zamane mein haihat
koi kisu se baham digar aashna bhi hai
sitam rawa hai asiron pe is qadar sayyaad
chaman chaman kahin bulbul ki ab nawa bhi hai
samajh ke rakhiyo qadam KHar-e-dasht par majnun
ki is nawah mein 'sauda' barhana-pa bhi hai
आराम फिर कहाँ है जो हो दिल में जा-ए-हिर्स मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
आराम फिर कहाँ है जो हो दिल में जा-ए-हिर्स
आसूदा ज़ेर-ए-ख़ाक नहीं आश्ना-ए-हिर्स
मुमकिन नहीं है ये कि भरे कासा-ए-तमअ
दिन में करोड़ घर जो फिरा दे गद-ए-हिर्स
इंसाँ न हों ज़लील ज़माने के हाथ से
ज़िल्लत किसी को कोई न देवे सिवा-ए-हिर्स
कर मुँह को टुक ब-सू-ए-क़नाअत ये हर्फ़ मान
रहती है लाख तरह की आफ़त क़िफ़ा-ए-हिर्स
नादाँ तलाश-ए-तुर्रा-ए-ज़र से तो बाज़ आ
जूँ शम्अ ये न हो कि तिरा सर कटाए हिर्स
अपने सिवा किसी को न पाया हरीफ़ हैफ़
की क़त्अ रोज़गार ने हम पर क़बा-ए-हिर्स
सौदा' बसर हो ख़ूबी से औक़ात हर तरह
पर दरमियाँ न होवे ब-शर्त-ए-कि पा-ए-हिर्स
aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
ārām phir kahāñ hai jo ho dil meñ jā-e-hirs
āsūda zer-e-ḳhāk nahīñ āshnā-e-hirs
mumkin nahīñ hai ye ki bhare kāsa-e-tama.a
din meñ karoḌ ghar jo phirā de gadā-e-hirs
insāñ na hoñ zalīl zamāne ke haath se
zillat kisī ko koī na deve sivā-e-hirs
kar muñh ko Tuk ba-sū-e-qanā.at ye harf maan
rahtī hai laakh tarah kī aafat qifā-e-hirs
nādāñ talāsh-e-turra-e-zar se to baaz aa
juuñ sham.a ye na ho ki tirā sar kaTā.e hirs
apne sivā kisī ko na paayā harīf haif
kī qat.a rozgār ne ham par qabā-e-hirs
saudā' basar ho ḳhūbī se auqāt har tarah
par darmiyāñ na hove ba-shart-e-ki pā-e-hirs
aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs
aasuda zer-e-KHak nahin aashna-e-hirs
mumkin nahin hai ye ki bhare kasa-e-tama
din mein karoD ghar jo phira de gada-e-hirs
insan na hon zalil zamane ke hath se
zillat kisi ko koi na dewe siwa-e-hirs
kar munh ko Tuk ba-su-e-qanaat ye harf man
rahti hai lakh tarah ki aafat qifa-e-hirs
nadan talash-e-turra-e-zar se to baz aa
jun shama ye na ho ki tera sar kaTae hirs
apne siwa kisi ko na paya harif haif
ki qata rozgar ne hum par qaba-e-hirs
sauda' basar ho KHubi se auqat har tarah
par darmiyan na howe ba-shart-e-ki pa-e-hirs
दिलदार उस को ख़्वाह दिल-आज़ार कुछ कहो मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
दिलदार उस को ख़्वाह दिल-आज़ार कुछ कहो
सुनता नहीं किसू की मिरा यार कुछ कहो
ग़म्ज़ा अदा निगाह तबस्सुम है दिल का मोल
तुम भी अगर हो उस के ख़रीदार कुछ कहो
शीरीं ने कोहकन से मँगाई थी जू-ए-शीर
गर इम्तिहाँ है उस से भी दुश्वार कुछ कहो
हर आन आ मुझी को सताते हो नासेहो
समझा के तुम उसे भी तो यक-बार कुछ कहो
ऐ साकिनान-ए-कुंज-ए-क़फ़स सुब्ह को सबा
सुनते हैं जाएगी सू-ए-गुलज़ार कुछ कहो
आलम की गुफ़्तुगू से तो आती है बू-ए-ख़ूँ
बंदा है इक निगह का गुनहगार कुछ कहो
सौदा' मुवाफ़क़त का सबब जानता है यार
समझे मुख़ालिफ़ उस को कुछ अग़्यार कुछ कहो
dildar usko KHwah dil-azar kuchh kaho Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
dildār us ko ḳhvāh dil-āzār kuchh kaho
suntā nahīñ kisū kī mirā yaar kuchh kaho
ġhamza adā nigāh tabassum hai dil kā mol
tum bhī agar ho us ke ḳharīdār kuchh kaho
shīrīñ ne kohkan se mañgā.ī thī jū-e-shīr
gar imtihāñ hai us se bhī dushvār kuchh kaho
har aan aa mujhī ko satāte ho nāseho
samjhā ke tum use bhī to yak-bār kuchh kaho
ai sākinān-e-kunj-e-qafas sub.h ko sabā
sunte haiñ jā.egī sū-e-gulzār kuchh kaho
aalam kī guftugū se to aatī hai bū-e-ḳhūñ
banda hai ik nigah kā gunahgār kuchh kaho
saudā' muvāfaqat kā sabab jāntā hai yaar
samjhe muḳhālif us ko kuchh aġhyār kuchh kaho
dildar us ko KHwah dil-azar kuchh kaho
sunta nahin kisu ki mera yar kuchh kaho
ghamza ada nigah tabassum hai dil ka mol
tum bhi agar ho us ke KHaridar kuchh kaho
shirin ne kohkan se mangai thi ju-e-shir
gar imtihan hai us se bhi dushwar kuchh kaho
har aan aa mujhi ko satate ho naseho
samjha ke tum use bhi to yak-bar kuchh kaho
ai sakinan-e-kunj-e-qafas subh ko saba
sunte hain jaegi su-e-gulzar kuchh kaho
aalam ki guftugu se to aati hai bu-e-KHun
banda hai ek nigah ka gunahgar kuchh kaho
sauda' muwafaqat ka sabab jaanta hai yar
samjhe muKHalif us ko kuchh aghyar kuchh kaho
तुझ क़ैद से दिल हो कर आज़ाद बहुत रोया मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
तुझ क़ैद से दिल हो कर आज़ाद बहुत रोया
लज़्ज़त को असीरी की कर याद बहुत रोया
तस्वीर मिरी तुझ बिन ''मानी'' ने जो खेंची थी
अंदाज़ समझ उस का ''बहज़ाद'' बहुत रोया
नाले ने तिरे बुलबुल नम चश्म न की गुल की
फ़रियाद मिरी सुन कर सय्याद बहुत रोया
जुएँ पड़ी बहती हैं जा देख गुलिस्ताँ में
तुझ क़द से ख़जिल हो कर शमशाद बहुत रोया
आईना जो पानी में है ग़र्क़ ये बाइस है
तुझ सख़्त-दिली आगे फ़ौलाद बहुत रोया
याँ तक मिरे मशहद से है तिश्ना-लबी पैदा
इस सम्त जो हो गुज़रा जल्लाद बहुत रोया
सौदा' से ये मैं पूछा दिल मैं भी किसी को दूँ
वो कर के बयाँ अपनी रूदाद बहुत रोया
tujh qaid se dil ho kar aazad bahut roya Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
tujh qaid se dil ho kar āzād bahut royā
lazzat ko asīrī kī kar yaad bahut royā
tasvīr mirī tujh bin ''mānī'' ne jo kheñchī thī
andāz samajh us kā ''bahzād'' bahut royā
naale ne tire bulbul nam chashm na kī gul kī
fariyād mirī sun kar sayyād bahut royā
jueñ paḌī bahtī haiñ jā dekh gulistāñ meñ
tujh qad se ḳhajil ho kar shamshād bahut royā
ā.īna jo paanī meñ hai ġharq ye baa.is hai
tujh saḳht-dilī aage faulād bahut royā
yaañ tak mire mash.had se hai tishna-labī paidā
is samt jo ho guzrā jallād bahut royā
saudā' se ye maiñ pūchhā dil maiñ bhī kisī ko duuñ
vo kar ke bayāñ apnī rūdād bahut royā
tujh qaid se dil ho kar aazad bahut roya
lazzat ko asiri ki kar yaad bahut roya
taswir meri tujh bin mani ne jo khenchi thi
andaz samajh us ka bahzad bahut roya
nale ne tere bulbul nam chashm na ki gul ki
fariyaad meri sun kar sayyaad bahut roya
juen paDi bahti hain ja dekh gulistan mein
tujh qad se KHajil ho kar shamshad bahut roya
aaina jo pani mein hai gharq ye bais hai
tujh saKHt-dili aage faulad bahut roya
yan tak mere mashhad se hai tishna-labi paida
is samt jo ho guzra jallad bahut roya
sauda' se ye main puchha dil main bhi kisi ko dun
wo kar ke bayan apni rudad bahut roya
देखे बुलबुल जो यार की सूरत मोहम्मद रफ़ी सौदा ग़ज़ल ग़ज़लें
देखे बुलबुल जो यार की सूरत
फिर न देखे बहार की सूरत
बर्क़ देखी हो जिस ने सो जाने
मुझ दिल-ए-बे-क़रार की सूरत
दिल तरसता है देखने को मिरा
ख़ंजर-ए-आबदार की सूरत
जो कोई देखता है रोता है
मुझ दिल-ए-दाग़दार की सूरत
वही 'सौदा' के दिल की समझें क़द्र
देखें जो लाला-ज़ार की सूरत
dekhe bulbul jo yar ki surat Mohammad Rafi Sauda Ghazal Ghazals
dekhe bulbul jo yaar kī sūrat
phir na dekhe bahār kī sūrat
barq dekhī ho jis ne so jaane
mujh dil-e-be-qarār kī sūrat
dil tarastā hai dekhne ko mirā
ḳhanjar-e-ābdār kī sūrat
jo koī dekhtā hai rotā hai
mujh dil-e-dāġhdār kī sūrat
vahī 'saudā' ke dil kī samjheñ qadr
dekheñ jo lāla-zār kī sūrat
dekhe bulbul jo yar ki surat
phir na dekhe bahaar ki surat
barq dekhi ho jis ne so jaane
mujh dil-e-be-qarar ki surat
dil tarasta hai dekhne ko mera
KHanjar-e-abdar ki surat
jo koi dekhta hai rota hai
mujh dil-e-daghdar ki surat
wahi 'sauda' ke dil ki samjhen qadr
dekhen jo lala-zar ki surat
मिर्ज़ा मुहम्मद रफ़ी 'सौदा' (उर्दू: مرزا محمد رفیع سودا, १७१३–१७८१) देहली के एक प्रसिद्ध शायर थे। वे अपनी ग़ज़लों और क़सीदों के लिए जाने जाते हैं।[1] ये मीर के समकालीन थे इसलिए इनकी तुलना भी अक्सर मीर से होती है। मीर जहाँ ग़ज़लों के लिए आधुनिक उर्दू के उस्ताद माने गए हैं (ख़ासकर दिल्ली-लखनऊ के इलाक़े में), सौदा को ग़ज़लों में वो स्थान नहीं मिल पाया[2]। हाँलांकि सौदा ने मसनवी, क़सीदे, मर्सिया तर्जीहबन्द, मुख़म्मस, रुबाई, क़ता और हिजो तक लिखा है।
Comments
Post a Comment