Ghazals of Shakeel Badayuni Ghazal शकील बदायूनी की ग़ज़लें ग़ज़ल
ऐ मोहब्बत तिरे अंजाम पे रोना आया शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ऐ मोहब्बत तिरे अंजाम पे रोना आया
जाने क्यूँ आज तिरे नाम पे रोना आया
यूँ तो हर शाम उमीदों में गुज़र जाती है
आज कुछ बात है जो शाम पे रोना आया
कभी तक़दीर का मातम कभी दुनिया का गिला
मंज़िल-ए-इश्क़ में हर गाम पे रोना आया
मुझ पे ही ख़त्म हुआ सिलसिला-ए-नौहागरी
इस क़दर गर्दिश-ए-अय्याम पे रोना आया
जब हुआ ज़िक्र ज़माने में मोहब्बत का 'शकील'
मुझ को अपने दिल-ए-नाकाम पे रोना आया
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ai mohabbat tire anjām pe ronā aayā
jaane kyuuñ aaj tire naam pe ronā aayā
yuuñ to har shaam umīdoñ meñ guzar jaatī hai
aaj kuchh baat hai jo shaam pe ronā aayā
kabhī taqdīr kā mātam kabhī duniyā kā gila
manzil-e-ishq meñ har gaam pe ronā aayā
mujh pe hī ḳhatm huā silsila-e-nauhagarī
is qadar gardish-e-ayyām pe ronā aayā
jab huā zikr zamāne meñ mohabbat kā 'shakīl'
mujh ko apne dil-e-nākām pe ronā aayā
ai mohabbat tere anjam pe rona aaya
jaane kyun aaj tere nam pe rona aaya
yun to har sham umidon mein guzar jati hai
aaj kuchh baat hai jo sham pe rona aaya
kabhi taqdir ka matam kabhi duniya ka gila
manzil-e-ishq mein har gam pe rona aaya
mujh pe hi KHatm hua silsila-e-nauhagari
is qadar gardish-e-ayyam pe rona aaya
jab hua zikr zamane mein mohabbat ka 'shakil'
mujh ko apne dil-e-nakaam pe rona aaya
मेरे हम-नफ़स मेरे हम-नवा मुझे दोस्त बन के दग़ा न दे शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
मेरे हम-नफ़स मेरे हम-नवा मुझे दोस्त बन के दग़ा न दे
मैं हूँ दर्द-ए-इश्क़ से जाँ-ब-लब मुझे ज़िंदगी की दुआ न दे
मेरे दाग़-ए-दिल से है रौशनी इसी रौशनी से है ज़िंदगी
मुझे डर है ऐ मिरे चारा-गर ये चराग़ तू ही बुझा न दे
मुझे छोड़ दे मिरे हाल पर तिरा क्या भरोसा है चारा-गर
ये तिरी नवाज़िश-ए-मुख़्तसर मिरा दर्द और बढ़ा न दे
मेरा अज़्म इतना बुलंद है कि पराए शो'लों का डर नहीं
मुझे ख़ौफ़ आतिश-ए-गुल से है ये कहीं चमन को जला न दे
वो उठे हैं ले के ख़ुम-ओ-सुबू अरे ओ 'शकील' कहाँ है तू
तिरा जाम लेने को बज़्म में कोई और हाथ बढ़ा न दे
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
mere ham-nafas mere ham-navā mujhe dost ban ke daġhā na de
maiñ huuñ dard-e-ishq se jāñ-ba-lab mujhe zindagī kī duā na de
mere dāġh-e-dil se hai raushnī isī raushnī se hai zindagī
mujhe Dar hai ai mire chāra-gar ye charāġh tū hī bujhā na de
mujhe chhoḌ de mire haal par tirā kyā bharosa hai chāra-gar
ye tirī navāzish-e-muḳhtasar mirā dard aur baḌhā na de
merā azm itnā buland hai ki parā.e sho.aloñ kā Dar nahīñ
mujhe ḳhauf ātish-e-gul se hai ye kahīñ chaman ko jalā na de
vo uThe haiñ le ke ḳhum-o-subū are o 'shakīl' kahāñ hai tū
tirā jaam lene ko bazm meñ koī aur haath baḌhā na de
mere ham-nafas mere ham-nawa mujhe dost ban ke dagha na de
main hun dard-e-ishq se jaan-ba-lab mujhe zindagi ki dua na de
mere dagh-e-dil se hai raushni isi raushni se hai zindagi
mujhe Dar hai ai mere chaara-gar ye charagh tu hi bujha na de
mujhe chhoD de mere haal par tera kya bharosa hai chaara-gar
ye teri nawazish-e-muKHtasar mera dard aur baDha na de
mera azm itna buland hai ki parae shoalon ka Dar nahin
mujhe KHauf aatish-e-gul se hai ye kahin chaman ko jala na de
wo uThe hain le ke KHum-o-subu are o 'shakil' kahan hai tu
tera jam lene ko bazm mein koi aur hath baDha na de
ग़म-ए-आशिक़ी से कह दो रह-ए-आम तक न पहुँचे शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ग़म-ए-आशिक़ी से कह दो रह-ए-आम तक न पहुँचे
मुझे ख़ौफ़ है ये तोहमत तिरे नाम तक न पहुँचे
मैं नज़र से पी रहा था तो ये दिल ने बद-दुआ दी
तिरा हाथ ज़िंदगी भर कभी जाम तक न पहुँचे
वो नवा-ए-मुज़्महिल क्या न हो जिस में दिल की धड़कन
वो सदा-ए-अहल-ए-दिल क्या जो अवाम तक न पहुँचे
मिरे ताइर-ए-नफ़स को नहीं बाग़बाँ से रंजिश
मिले घर में आब-ओ-दाना तो ये दाम तक न पहुँचे
नई सुब्ह पर नज़र है मगर आह ये भी डर है
ये सहर भी रफ़्ता रफ़्ता कहीं शाम तक न पहुँचे
ये अदा-ए-बे-नियाज़ी तुझे बेवफ़ा मुबारक
मगर ऐसी बे-रुख़ी क्या कि सलाम तक न पहुँचे
जो नक़ाब-ए-रुख़ उठा दी तो ये क़ैद भी लगा दी
उठे हर निगाह लेकिन कोई बाम तक न पहुँचे
उन्हें अपने दिल की ख़बरें मिरे दिल से मिल रही हैं
मैं जो उन से रूठ जाऊँ तो पयाम तक न पहुँचे
वही इक ख़मोश नग़्मा है 'शकील' जान-ए-हस्ती
जो ज़बान पर न आए जो कलाम तक न पहुँचे
gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ġham-e-āshiqī se kah do rah-e-ām tak na pahuñche
mujhe ḳhauf hai ye tohmat tire naam tak na pahuñche
maiñ nazar se pī rahā thā to ye dil ne bad-duā dī
tirā haath zindagī bhar kabhī jaam tak na pahuñche
vo navā-e-muzmahil kyā na ho jis meñ dil kī dhaḌkan
vo sadā-e-ahl-e-dil kyā jo avaam tak na pahuñche
mire tā.ir-e-nafas ko nahīñ bāġhbāñ se ranjish
mile ghar meñ āb-o-dāna to ye daam tak na pahuñche
na.ī sub.h par nazar hai magar aah ye bhī Dar hai
ye sahar bhī rafta rafta kahīñ shaam tak na pahuñche
ye adā-e-be-niyāzī tujhe bevafā mubārak
magar aisī be-ruḳhī kyā ki salām tak na pahuñche
jo naqāb-e-ruḳh uThā dī to ye qaid bhī lagā dī
uThe har nigāh lekin koī baam tak na pahuñche
unheñ apne dil kī ḳhabreñ mire dil se mil rahī haiñ
maiñ jo un se ruuTh jā.ūñ to payām tak na pahuñche
vahī ik ḳhamosh naġhma hai 'shakīl' jān-e-hastī
jo zabān par na aa.e jo kalām tak na pahuñche
gham-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
mujhe KHauf hai ye tohmat tere nam tak na pahunche
main nazar se pi raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
wo nawa-e-muzmahil kya na ho jis mein dil ki dhaDkan
wo sada-e-ahl-e-dil kya jo awam tak na pahunche
mere tair-e-nafas ko nahin baghban se ranjish
mile ghar mein aab-o-dana to ye dam tak na pahunche
nai subh par nazar hai magar aah ye bhi Dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kahin sham tak na pahunche
ye ada-e-be-niyazi tujhe bewafa mubarak
magar aisi be-ruKHi kya ki salam tak na pahunche
jo naqab-e-ruKH uTha di to ye qaid bhi laga di
uThe har nigah lekin koi baam tak na pahunche
unhen apne dil ki KHabren mere dil se mil rahi hain
main jo un se ruTh jaun to payam tak na pahunche
wahi ek KHamosh naghma hai 'shakil' jaan-e-hasti
jo zaban par na aae jo kalam tak na pahunche
आज फिर गर्दिश-ए-तक़दीर पे रोना आया शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
आज फिर गर्दिश-ए-तक़दीर पे रोना आया
दिल की बिगड़ी हुई तस्वीर पे रोना आया
इश्क़ की क़ैद में अब तक तो उमीदों पे जिए
मिट गई आस तो ज़ंजीर पे रोना आया
क्या हसीं ख़्वाब मोहब्बत ने दिखाया था हमें
खुल गई आँख तो ता'बीर पे रोना आया
पहले क़ासिद की नज़र देख के दिल सहम गया
फिर तिरी सुर्ख़ी-ए-तहरीर पे रोना आया
दिल गँवा कर भी मोहब्बत के मज़े मिल न सके
अपनी खोई हुई तक़दीर पे रोना आया
कितने मसरूर थे जीने की दुआओं पे 'शकील'
जब मिले रंज तो तासीर पे रोना आया
aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
aaj phir gardish-e-taqdīr pe ronā aayā
dil kī bigḌī huī tasvīr pe ronā aayā
ishq kī qaid meñ ab tak to umīdoñ pe jiye
miT ga.ī aas to zanjīr pe ronā aayā
kyā hasīñ ḳhvāb mohabbat ne dikhāyā thā hameñ
khul ga.ī aañkh to tābīr pe ronā aayā
pahle qāsid kī nazar dekh ke dil sahm gayā
phir tirī surḳhi-e-tahrīr pe ronā aayā
dil gañvā kar bhī mohabbat ke maze mil na sake
apnī khoī huī taqdīr pe ronā aayā
kitne masrūr the jiine kī duāoñ pe 'shakīl'
jab mile rañj to tāsīr pe ronā aayā
aaj phir gardish-e-taqdir pe rona aaya
dil ki bigDi hui taswir pe rona aaya
ishq ki qaid mein ab tak to umidon pe jiye
miT gai aas to zanjir pe rona aaya
kya hasin KHwab mohabbat ne dikhaya tha hamein
khul gai aankh to tabir pe rona aaya
pahle qasid ki nazar dekh ke dil sahm gaya
phir teri surKHi-e-tahrir pe rona aaya
dil ganwa kar bhi mohabbat ke maze mil na sake
apni khoi hui taqdir pe rona aaya
kitne masrur the jine ki duaon pe 'shakil'
jab mile ranj to tasir pe rona aaya
ऐ इश्क़ ये सब दुनिया वाले बे-कार की बातें करते हैं शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ऐ इश्क़ ये सब दुनिया वाले बे-कार की बातें करते हैं
पायल के ग़मों का इल्म नहीं झंकार की बातें करते हैं
हर दिल में छुपा है तीर कोई हर पाँव में है ज़ंजीर कोई
पूछे कोई इन से ग़म के मज़े जो प्यार की बातें करते हैं
उल्फ़त के नए दीवानों को किस तरह से कोई समझाए
नज़रों पे लगी है पाबंदी दीदार की बातें करते हैं
भँवरे हैं अगर मदहोश तो क्या परवाने भी हैं ख़ामोश तो क्या
सब प्यार के नग़्मे गाते हैं सब यार की बातें करते हैं
ai ishq ye sab duniya wale be-kar ki baaten karte hain Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ai ishq ye sab duniyā vaale be-kār kī bāteñ karte haiñ
paa.el ke ġhamoñ kā ilm nahīñ jhankār kī bāteñ karte haiñ
har dil meñ chhupā hai tiir koī har paañv meñ hai zanjīr koī
pūchhe koī in se ġham ke maze jo pyaar kī bāteñ karte haiñ
ulfat ke na.e dīvānoñ ko kis tarah se koī samjhā.e
nazroñ pe lagī hai pābandī dīdār kī bāteñ karte haiñ
bhañvre haiñ agar mad.hosh to kyā parvāne bhī haiñ ḳhāmosh to kyā
sab pyaar ke naġhme gaate haiñ sab yaar kī bāteñ karte haiñ
ai ishq ye sab duniya wale be-kar ki baaten karte hain
pael ke ghamon ka ilm nahin jhankar ki baaten karte hain
har dil mein chhupa hai tir koi har panw mein hai zanjir koi
puchhe koi in se gham ke maze jo pyar ki baaten karte hain
ulfat ke nae diwanon ko kis tarah se koi samjhae
nazron pe lagi hai pabandi didar ki baaten karte hain
bhanwre hain agar madhosh to kya parwane bhi hain KHamosh to kya
sab pyar ke naghme gate hain sab yar ki baaten karte hain
कैसे कह दूँ की मुलाक़ात नहीं होती है शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
कैसे कह दूँ की मुलाक़ात नहीं होती है
रोज़ मिलते हैं मगर बात नहीं होती है
आप लिल्लाह न देखा करें आईना कभी
दिल का आ जाना बड़ी बात नहीं होती है
छुप के रोता हूँ तिरी याद में दुनिया भर से
कब मिरी आँख से बरसात नहीं होती है
हाल-ए-दिल पूछने वाले तिरी दुनिया में कभी
दिन तो होता है मगर रात नहीं होती है
जब भी मिलते हैं तो कहते हैं कि कैसे हो 'शकील'
इस से आगे तो कोई बात नहीं होती है
kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
kaise kah duuñ kī mulāqāt nahīñ hotī hai
roz milte haiñ magar baat nahīñ hotī hai
aap lillāh na dekhā kareñ ā.īna kabhī
dil kā aa jaanā baḌī baat nahīñ hotī hai
chhup ke rotā huuñ tirī yaad meñ duniyā bhar se
kab mirī aañkh se barsāt nahīñ hotī hai
hāl-e-dil pūchhne vaale tirī duniyā meñ kabhī
din to hotā hai magar raat nahīñ hotī hai
jab bhī milte haiñ to kahte haiñ ki kaise ho 'shakīl'
is se aage to koī baat nahīñ hotī hai
kaise kah dun ki mulaqat nahin hoti hai
roz milte hain magar baat nahin hoti hai
aap lillah na dekha karen aaina kabhi
dil ka aa jaana baDi baat nahin hoti hai
chhup ke rota hun teri yaad mein duniya bhar se
kab meri aankh se barsat nahin hoti hai
haal-e-dil puchhne wale teri duniya mein kabhi
din to hota hai magar raat nahin hoti hai
jab bhi milte hain to kahte hain ki kaise ho 'shakil'
is se aage to koi baat nahin hoti hai
अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
अब तो ख़ुशी का ग़म है न ग़म की ख़ुशी मुझे
बे-हिस बना चुकी है बहुत ज़िंदगी मुझे
वो वक़्त भी ख़ुदा न दिखाए कभी मुझे
उन की नदामतों पे हो शर्मिंदगी मुझे
रोने पे अपने उन को भी अफ़्सुर्दा देख कर
यूँ बन रहा हूँ जैसे अब आई हँसी मुझे
यूँ दीजिए फ़रेब-ए-मोहब्बत कि उम्र भर
मैं ज़िंदगी को याद करूँ ज़िंदगी मुझे
रखना है तिश्ना-काम तो साक़ी बस इक नज़र
सैराब कर न दे मिरी तिश्ना-लबी मुझे
पाया है सब ने दिल मगर इस दिल के बावजूद
इक शय मिली है दिल में खटकती हुई मुझे
राज़ी हों या ख़फ़ा हों वो जो कुछ भी हों 'शकील'
हर हाल में क़ुबूल है उन की ख़ुशी मुझे
ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ab to ḳhushī kā ġham hai na ġham kī ḳhushī mujhe
be-his banā chukī hai bahut zindagī mujhe
vo vaqt bhī ḳhudā na dikhā.e kabhī mujhe
un kī nadāmatoñ pe ho sharmindagī mujhe
rone pe apne un ko bhī afsurda dekh kar
yuuñ ban rahā huuñ jaise ab aa.ī hañsī mujhe
yuuñ dījiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar
maiñ zindagī ko yaad karūñ zindagī mujhe
rakhnā hai tishna-kām to saaqī bas ik nazar
sairāb kar na de mirī tishna-labī mujhe
paayā hai sab ne dil magar is dil ke bāvajūd
ik shai milī hai dil meñ khaTaktī huī mujhe
raazī hoñ yā ḳhafā hoñ vo jo kuchh bhī hoñ 'shakīl'
har haal meñ qubūl hai un kī ḳhushī mujhe
ab to KHushi ka gham hai na gham ki KHushi mujhe
be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe
wo waqt bhi KHuda na dikhae kabhi mujhe
un ki nadamaton pe ho sharmindagi mujhe
rone pe apne un ko bhi afsurda dekh kar
yun ban raha hun jaise ab aai hansi mujhe
yun dijiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar
main zindagi ko yaad karun zindagi mujhe
rakhna hai tishna-kaam to saqi bas ek nazar
sairab kar na de meri tishna-labi mujhe
paya hai sab ne dil magar is dil ke bawajud
ek shai mili hai dil mein khaTakti hui mujhe
raazi hon ya KHafa hon wo jo kuchh bhi hon 'shakil'
har haal mein qubul hai un ki KHushi mujhe
ग़म-ए-इश्क़ रह गया है ग़म-ए-जुस्तुजू में ढल कर शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ग़म-ए-इश्क़ रह गया है ग़म-ए-जुस्तुजू में ढल कर
वो नज़र से छुप गए हैं मिरी ज़िंदगी बदल कर
तिरी गुफ़्तुगू को नासेह दिल-ए-गम-ज़दा से जल कर
अभी तक तो सुन रहा था मगर अब सँभल सँभल कर
न मिला सुराग़-ए-मंज़िल कभी उम्र भर किसी को
नज़र आ गई है मंज़िल कभी दो क़दम ही चल कर
ग़म-ए-उम्र-ए-मुख़्तसर से अभी बे-ख़बर हैं कलियाँ
न चमन में फेंक देना किसी फूल को मसल कर
हैं किसी के मुंतज़िर हम मगर ऐ उमीद-ए-मुबहम
कहीं वक़्त रह न जाए यूँही करवटें बदल कर
मिरे दिल को रास आया न जुमूद-ओ-ग़ैर-फ़ानी
मिली राह-ए-ज़िंदगानी मुझे ख़ार से निकल कर
मिरी तेज़-गामियों से नहीं बर्क़ को भी निस्बत
कहीं खो न जाए दुनिया मिरे साथ साथ चल कर
कभी यक-ब-यक तवज्जोह कभी दफ़अ'तन तग़ाफ़ुल
मुझे आज़मा रहा है कोई रुख़ बदल बदल कर
हैं 'शकील' ज़िंदगी में ये जो वुसअ'तें नुमायाँ
इन्हीं वुसअतों से पैदा कोई आलम-ए-ग़ज़ल कर
gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ġham-e-ishq rah gayā hai ġham-e-justujū meñ Dhal kar
vo nazar se chhup ga.e haiñ mirī zindagī badal kar
tirī guftugū ko nāseh dil-e-ġham-zadā se jal kar
abhī tak to sun rahā thā magar ab sambhal sambhal kar
na milā surāġh-e-manzil kabhī umr bhar kisī ko
nazar aa ga.ī hai manzil kabhī do qadam hī chal kar
ġham-e-umr-e-muḳhtasar se abhī be-ḳhabar haiñ kaliyāñ
na chaman meñ pheñk denā kisī phuul ko masal kar
haiñ kisī ke muntazir ham magar ai umīd-e-mub.ham
kahīñ vaqt rah na jaa.e yūñhī karvaTeñ badal kar
mire dil ko raas aayā na jumūd-o-ġhair-fānī
milī rāh-e-zindagānī mujhe ḳhaar se nikal kar
mirī tez-gāmiyoñ se nahīñ barq ko bhī nisbat
kahīñ kho na jaa.e duniyā mire saath saath chal kar
kabhī yak-ba-yak tavajjoh kabhī daf.atan taġhāful
mujhe aazmā rahā hai koī ruḳh badal badal kar
haiñ 'shakīl' zindagī meñ ye jo vus.ateñ numāyāñ
inhīñ vus.atoñ se paidā koī ālam-e-ġhazal kar
gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein Dhal kar
wo nazar se chhup gae hain meri zindagi badal kar
teri guftugu ko naseh dil-e-gham-zada se jal kar
abhi tak to sun raha tha magar ab sambhal sambhal kar
na mila suragh-e-manzil kabhi umr bhar kisi ko
nazar aa gai hai manzil kabhi do qadam hi chal kar
gham-e-umr-e-muKHtasar se abhi be-KHabar hain kaliyan
na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal kar
hain kisi ke muntazir hum magar ai umid-e-mubham
kahin waqt rah na jae yunhi karwaTen badal kar
mere dil ko ras aaya na jumud-o-ghair-fani
mili rah-e-zindagani mujhe KHar se nikal kar
meri tez-gamiyon se nahin barq ko bhi nisbat
kahin kho na jae duniya mere sath sath chal kar
kabhi yak-ba-yak tawajjoh kabhi dafatan taghaful
mujhe aazma raha hai koi ruKH badal badal kar
hain 'shakil' zindagi mein ye jo wusaten numayan
inhin wusaton se paida koi aalam-e-ghazal kar
कोई आरज़ू नहीं है कोई मुद्दआ' नहीं है शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
कोई आरज़ू नहीं है कोई मुद्दआ' नहीं है
तिरा ग़म रहे सलामत मिरे दिल में क्या नहीं है
कहाँ जाम-ए-ग़म की तल्ख़ी कहाँ ज़िंदगी का दरमाँ
मुझे वो दवा मिली है जो मिरी दवा नहीं है
तू बचाए लाख दामन मिरा फिर भी है ये दावा
तिरे दिल में मैं ही मैं हूँ कोई दूसरा नहीं है
तुम्हें कह दिया सितम-गर ये क़ुसूर था ज़बाँ का
मुझे तुम मुआ'फ़ कर दो मिरा दिल बुरा नहीं है
मुझे दोस्त कहने वाले ज़रा दोस्ती निभा दे
ये मुतालबा है हक़ का कोई इल्तिजा नहीं है
ये उदास उदास चेहरे ये हसीं हसीं तबस्सुम
तिरी अंजुमन में शायद कोई आइना नहीं है
मिरी आँख ने तुझे भी ब-ख़ुदा 'शकील' पाया
मैं समझ रहा था मुझ सा कोई दूसरा नहीं है
koi aarzu nahin hai koi muddaa nahin hai Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
koī aarzū nahīñ hai koī mudda.ā nahīñ hai
tirā ġham rahe salāmat mire dil meñ kyā nahīñ hai
kahāñ jām-e-ġham kī talḳhī kahāñ zindagī kā darmāñ
mujhe vo davā milī hai jo mirī davā nahīñ hai
tū bachā.e laakh dāman mirā phir bhī hai ye da.avā
tire dil meñ maiñ hī maiñ huuñ koī dūsrā nahīñ hai
tumheñ kah diyā sitam-gar ye qusūr thā zabāñ kā
mujhe tum muaaf kar do mirā dil burā nahīñ hai
mujhe dost kahne vaale zarā dostī nibhā de
ye mutālba hai haq kā koī iltijā nahīñ hai
ye udaas udaas chehre ye hasīñ hasīñ tabassum
tirī anjuman meñ shāyad koī aa.inā nahīñ hai
mirī aañkh ne tujhe bhī ba-ḳhudā 'shakīl' paayā
maiñ samajh rahā thā mujh sā koī dūsrā nahīñ hai
koi aarzu nahin hai koi muddaa nahin hai
tera gham rahe salamat mere dil mein kya nahin hai
kahan jam-e-gham ki talKHi kahan zindagi ka darman
mujhe wo dawa mili hai jo meri dawa nahin hai
tu bachae lakh daman mera phir bhi hai ye dawa
tere dil mein main hi main hun koi dusra nahin hai
tumhein kah diya sitam-gar ye qusur tha zaban ka
mujhe tum muaf kar do mera dil bura nahin hai
mujhe dost kahne wale zara dosti nibha de
ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai
ye udas udas chehre ye hasin hasin tabassum
teri anjuman mein shayad koi aaina nahin hai
meri aankh ne tujhe bhi ba-KHuda 'shakil' paya
main samajh raha tha mujh sa koi dusra nahin hai
मिरी ज़िंदगी पे न मुस्कुरा मुझे ज़िंदगी का अलम नहीं शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
मिरी ज़िंदगी पे न मुस्कुरा मुझे ज़िंदगी का अलम नहीं
जिसे तेरे ग़म से हो वास्ता वो ख़िज़ाँ बहार से कम नहीं
मिरा कुफ़्र हासिल-ए-ज़ोहद है मिरा ज़ोहद हासिल-ए-कुफ़्र है
मिरी बंदगी वो है बंदगी जो रहीन-ए-दैर-ओ-हरम नहीं
मुझे रास आएँ ख़ुदा करे यही इश्तिबाह की साअतें
उन्हें ऐतबार-ए-वफ़ा तो है मुझे ऐतबार-ए-सितम नहीं
वही कारवाँ वही रास्ते वही ज़िंदगी वही मरहले
मगर अपने अपने मक़ाम पर कभी तुम नहीं कभी हम नहीं
न वो शान-ए-जब्र-ए-शबाब है न वो रंग-ए-क़हर-ए-इताब है
दिल-ए-बे-क़रार पे इन दिनों है सितम यही कि सितम नहीं
न फ़ना मिरी न बक़ा मिरी मुझे ऐ 'शकील' न ढूँढिए
मैं किसी का हुस्न-ए-ख़याल हूँ मिरा कुछ वजूद ओ अदम नहीं
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
mirī zindagī pe na muskurā mujhe zindagī kā alam nahīñ
jise tere ġham se ho vāsta vo ḳhizāñ bahār se kam nahīñ
mirā kufr hāsil-e-zohd hai mirā zohd hāsil-e-kufr hai
mirī bandagī vo hai bandagī jo rahīn-e-dair-o-haram nahīñ
mujhe raas aa.eñ ḳhudā kare yahī ishtibāh kī sā.ateñ
unheñ aitabār-e-vafā to hai mujhe aitabār-e-sitam nahīñ
vahī kārvāñ vahī rāste vahī zindagī vahī marhale
magar apne apne maqām par kabhī tum nahīñ kabhī ham nahīñ
na vo shān-e-jabr-e-shabāb hai na vo rañg-e-qahr-e-itāb hai
dil-e-be-qarār pe in dinoñ hai sitam yahī ki sitam nahīñ
na fanā mirī na baqā mirī mujhe ai 'shakīl' na DhūñDhiye
maiñ kisī kā husn-e-ḳhayāl huuñ mirā kuchh vajūd o adam nahīñ
meri zindagi pe na muskura mujhe zindagi ka alam nahin
jise tere gham se ho wasta wo KHizan bahaar se kam nahin
mera kufr hasil-e-zohd hai mera zohd hasil-e-kufr hai
meri bandagi wo hai bandagi jo rahin-e-dair-o-haram nahin
mujhe ras aaen KHuda kare yahi ishtibah ki saaten
unhen aitabar-e-wafa to hai mujhe aitabar-e-sitam nahin
wahi karwan wahi raste wahi zindagi wahi marhale
magar apne apne maqam par kabhi tum nahin kabhi hum nahin
na wo shan-e-jabr-e-shabab hai na wo rang-e-qahr-e-itab hai
dil-e-be-qarar pe in dinon hai sitam yahi ki sitam nahin
na fana meri na baqa meri mujhe ai 'shakil' na DhunDhiye
main kisi ka husn-e-KHayal hun mera kuchh wajud o adam nahin
आँख से आँख मिलाता है कोई शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
आँख से आँख मिलाता है कोई
दिल को खींचे लिए जाता है कोई
वाए हैरत कि भरी महफ़िल में
मुझ को तन्हा नज़र आता है कोई
सुब्ह को ख़ुनुक फ़ज़ाओं की क़सम
रोज़ आ आ के जगाता है कोई
मंज़र-ए-हुस्न-ए-दो-आलम के निसार
मुझ को आईना दिखाता है कोई
चाहिए ख़ुद पे यक़ीन-ए-कामिल
हौसला किस का बढ़ाता है कोई
सब करिश्मात-ए-तसव्वुर हैं 'शकील'
वर्ना आता है न जाता है कोई
aankh se aankh milata hai koi Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
aañkh se aañkh milātā hai koī
dil ko khīñche liye jaatā hai koī
vaa.e hairat ki bharī mahfil meñ
mujh ko tanhā nazar aatā hai koī
sub.h ko ḳhunuk fazāoñ kī qasam
roz aa aa ke jagātā hai koī
manzar-e-husn-e-do-ālam ke nisār
mujh ko ā.īna dikhātā hai koī
chāhiye ḳhud pe yaqīn-e-kāmil
hausla kis kā baḌhātā hai koī
sab karishmāt-e-tasavvur haiñ 'shakīl'
varna aatā hai na jaatā hai koī
aankh se aankh milata hai koi
dil ko khinche liye jata hai koi
wae hairat ki bhari mahfil mein
mujh ko tanha nazar aata hai koi
subh ko KHunuk fazaon ki qasam
roz aa aa ke jagata hai koi
manzar-e-husn-e-do-alam ke nisar
mujh ko aaina dikhata hai koi
chahiye KHud pe yaqin-e-kaamil
hausla kis ka baDhata hai koi
sab karishmat-e-tasawwur hain 'shakil'
warna aata hai na jata hai koi
मिरी ज़िंदगी है ज़ालिम तिरे ग़म से आश्कारा शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
मिरी ज़िंदगी है ज़ालिम तिरे ग़म से आश्कारा
तिरा ग़म है दर-हक़ीक़त मुझे ज़िंदगी से प्यारा
वो अगर बुरा न मानें तो जहान-ए-रंग-ओ-बू में
मैं सुकून-ए-दिल की ख़ातिर कोई ढूँढ लूँ सहारा
मुझे तुझ से ख़ास निस्बत मैं रहीन-ए-मौज-ए-तूफ़ाँ
जिन्हें ज़िंदगी थी प्यारी उन्हें मिल गया किनारा
मुझे आ गया यक़ीं सा कि यही है मेरी मंज़िल
सर-ए-राह जब किसी ने मुझे दफ़अ'तन पुकारा
ये ख़ुनुक ख़ुनुक हवाएँ ये झुकी झुकी घटाएँ
वो नज़र भी क्या नज़र है जो समझ न ले इशारा
मैं बताऊँ फ़र्क़ नासेह जो है मुझ में और तुझ में
मिरी ज़िंदगी तलातुम तिरी ज़िंदगी किनारा
मुझे फ़ख़्र है इसी पर ये करम भी है मुझी पर
तिरी कम-निगाहियाँ भी मुझे क्यूँ न हों गवारा
मुझे गुफ़्तुगू से बढ़ कर ग़म-ए-इज़्न-ए-गुफ़्तुगू है
वही बात पूछते हैं जो न कह सकूँ दोबारा
कोई ऐ 'शकील' पूछे ये जुनूँ नहीं तो क्या है
कि उसी के हो गए हम जो न हो सका हमारा
meri zindagi hai zalim tere gham se aashkara Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
mirī zindagī hai zālim tire ġham se āshkārā
tirā ġham hai dar-haqīqat mujhe zindagī se pyārā
vo agar burā na māneñ to jahān-e-rañg-o-bū meñ
maiñ sukūn-e-dil kī ḳhātir koī DhūñDh luuñ sahārā
mujhe tujh se ḳhaas nisbat maiñ rahīn-e-mauj-e-tūfāñ
jinheñ zindagī thī pyārī unheñ mil gayā kinārā
mujhe aa gayā yaqīñ sā ki yahī hai merī manzil
sar-e-rāh jab kisī ne mujhe daf.atan pukārā
ye ḳhunuk ḳhunuk havā.eñ ye jhukī jhukī ghaTā.eñ
vo nazar bhī kyā nazar hai jo samajh na le ishāra
maiñ batā.ūñ farq nāseh jo hai mujh meñ aur tujh meñ
mirī zindagī talātum tirī zindagī kinārā
mujhe faḳhr hai isī par ye karam bhī hai mujhī par
tirī kam-nigāhiyāñ bhī mujhe kyuuñ na hoñ gavārā
mujhe guftugū se baḌh kar ġham-e-izn-e-guftugū hai
vahī baat pūchhte haiñ jo na kah sakūñ dobāra
koī ai 'shakīl' pūchhe ye junūñ nahīñ to kyā hai
ki usī ke ho ga.e ham jo na ho sakā hamārā
meri zindagi hai zalim tere gham se aashkara
tera gham hai dar-haqiqat mujhe zindagi se pyara
wo agar bura na manen to jahan-e-rang-o-bu mein
main sukun-e-dil ki KHatir koi DhunDh lun sahaara
mujhe tujh se KHas nisbat main rahin-e-mauj-e-tufan
jinhen zindagi thi pyari unhen mil gaya kinara
mujhe aa gaya yaqin sa ki yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe dafatan pukara
ye KHunuk KHunuk hawaen ye jhuki jhuki ghaTaen
wo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le ishaara
main bataun farq naseh jo hai mujh mein aur tujh mein
meri zindagi talatum teri zindagi kinara
mujhe faKHr hai isi par ye karam bhi hai mujhi par
teri kam-nigahiyan bhi mujhe kyun na hon gawara
mujhe guftugu se baDh kar gham-e-izn-e-guftugu hai
wahi baat puchhte hain jo na kah sakun dobara
koi ai 'shakil' puchhe ye junun nahin to kya hai
ki usi ke ho gae hum jo na ho saka hamara
जुनूँ से गुज़रने को जी चाहता है शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
जुनूँ से गुज़रने को जी चाहता है
हँसी ज़ब्त करने को जी चाहता है
जहाँ इश्क़ में डूब कर रह गए हैं
वहीं फिर उभरने को जी चाहता है
वो हम से ख़फ़ा हैं हम उन से ख़फ़ा हैं
मगर बात करने को जी चाहता है
है मुद्दत से बे-रंग नक़्श-ए-मोहब्बत
कोई रंग भरने को जी चाहता है
ब-ईं ख़ुद-सरी वो ग़ुरूर-ए-मोहब्बत
उन्हें सज्दा करने को जी चाहता है
क़ज़ा मुज़्दा-ए-ज़िंदगी ले के आए
कुछ इस तरह मरने को जी चाहता है
निज़ाम-ए-दो-आलम की हो ख़ैर या-रब
फिर इक आह करने को जी चाहता है
गुनाह-ए-मुकर्रर 'शकील' अल्लाह अल्लाह
बिगड़ कर सँवरने को जी चाहता है
junun se guzarne ko ji chahta hai Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
junūñ se guzarne ko jī chāhtā hai
hañsī zabt karne ko jī chāhtā hai
jahāñ ishq meñ Duub kar rah ga.e haiñ
vahīñ phir ubharne ko jī chāhtā hai
vo ham se ḳhafā haiñ ham un se ḳhafā haiñ
magar baat karne ko jī chāhtā hai
hai muddat se be-rañg naqsh-e-mohabbat
koī rañg bharne ko jī chāhtā hai
ba-īñ ḳhud-sarī vo ġhurūr-e-mohabbat
unheñ sajda karne ko jī chāhtā hai
qazā muzhda-e-zindagī le ke aa.e
kuchh is tarah marne ko jī chāhtā hai
nizām-e-do-ālam kī ho ḳhair yā-rab
phir ik aah karne ko jī chāhtā hai
gunāh-e-mukarrar 'shakīl' allāh allāh
bigaḌ kar sañvarne ko jī chāhtā hai
junun se guzarne ko ji chahta hai
hansi zabt karne ko ji chahta hai
jahan ishq mein Dub kar rah gae hain
wahin phir ubharne ko ji chahta hai
wo hum se KHafa hain hum un se KHafa hain
magar baat karne ko ji chahta hai
hai muddat se be-rang naqsh-e-mohabbat
koi rang bharne ko ji chahta hai
ba-in KHud-sari wo ghurur-e-mohabbat
unhen sajda karne ko ji chahta hai
qaza muzhda-e-zindagi le ke aae
kuchh is tarah marne ko ji chahta hai
nizam-e-do-alam ki ho KHair ya-rab
phir ek aah karne ko ji chahta hai
gunah-e-mukarrar 'shakil' allah allah
bigaD kar sanwarne ko ji chahta hai
ये दुनिया है यहाँ दिल को लगाना किस को आता है शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ये दुनिया है यहाँ दिल को लगाना किस को आता है
हज़ारों प्यार करते हैं निभाना किस को आता है
ये दुनिया है यहाँ दिल में समाना किस को आता है
मिटाने वाले लाखों हैं बनाना किस को आता है
निगाहें फेर लीं तुम ने तो हम किस की तरफ़ देखें
तुम्ही कह दो मोहब्बत का फ़साना किस को आता है
वफ़ा का यूँ तो दम भरते हैं इस दुनिया में सब लेकिन
वफ़ा के नाम पर मिट कर दिखाना किस को आता है
ye duniya hai yahan dil ko lagana kis ko aata hai Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ye duniyā hai yahāñ dil ko lagānā kis ko aatā hai
hazāroñ pyaar karte haiñ nibhānā kis ko aatā hai
ye duniyā hai yahāñ dil meñ samānā kis ko aatā hai
miTāne vaale lākhoñ haiñ banānā kis ko aatā hai
nigāheñ pher liiñ tum ne to ham kis kī taraf dekheñ
tumhī kah do mohabbat kā fasānā kis ko aatā hai
vafā kā yuuñ to dam bharte haiñ is duniyā meñ sab lekin
vafā ke naam par miT kar dikhānā kis ko aatā hai
ye duniya hai yahan dil ko lagana kis ko aata hai
hazaron pyar karte hain nibhana kis ko aata hai
ye duniya hai yahan dil mein samana kis ko aata hai
miTane wale lakhon hain banana kis ko aata hai
nigahen pher lin tum ne to hum kis ki taraf dekhen
tumhi kah do mohabbat ka fasana kis ko aata hai
wafa ka yun to dam bharte hain is duniya mein sab lekin
wafa ke nam par miT kar dikhana kis ko aata hai
आख़िरी वक़्त है आख़िरी साँस है ज़िंदगी की है शाम आख़िरी आख़िरी शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
आख़िरी वक़्त है आख़िरी साँस है ज़िंदगी की है शाम आख़िरी आख़िरी
संग-दिल आ भी जा अब ख़ुदा के लिए लब पे है तेरा नाम आख़िरी आख़िरी
कुछ तो आसान होगा अदम का सफ़र उन से कहना तुम्हें ढूँढती है नज़र
नामा-बर तू ख़ुदारा न अब देर कर दे दे उन को पयाम आख़िरी आख़िरी
तौबा करता हूँ कल से पियूँगा नहीं मय-कशी के सहारे जियूँगा नहीं
मेरी तौबा से पहले मगर साक़िया सिर्फ़ दे एक जाम आख़िरी आख़िरी
मुझ को यारों ने नहला के कफ़ना दिया दो घड़ी भी न बीती कि दफ़ना दिया
कौन करता है ग़म टूटते ही ये दम कर दिया इंतिज़ाम आख़िरी आख़िरी
जीते-जी क़द्र मेरी किसी ने न की ज़िंदगी भी मिरी बेवफ़ा हो गई
दुनिया वालो मुबारक ये दुनिया तुम्हें कर चले हम सलाम आख़िरी आख़िरी
aaKHiri waqt hai aaKHiri sans hai zindagi ki hai sham aaKHiri aaKHiri Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
āḳhirī vaqt hai āḳhirī saañs hai zindagī kī hai shaam āḳhirī āḳhirī
sañg-dil aa bhī jā ab ḳhudā ke liye lab pe hai terā naam āḳhirī āḳhirī
kuchh to āsān hogā adam kā safar un se kahnā tumheñ DhūñDhtī hai nazar
nāma-bar tū ḳhudārā na ab der kar de de un ko payām āḳhirī āḳhirī
tauba kartā huuñ kal se piyūñgā nahīñ mai-kashī ke sahāre jiyūñgā nahīñ
merī tauba se pahle magar sāqiyā sirf de ek jaam āḳhirī āḳhirī
mujh ko yāroñ ne nahlā ke kafnā diyā do ghaḌī bhī na biitī ki dafnā diyā
kaun kartā hai ġham TūTte hī ye dam kar diyā intizām āḳhirī āḳhirī
jīte-jī qadr merī kisī ne na kī zindagī bhī mirī bevafā ho ga.ī
duniyā vaalo mubārak ye duniyā tumheñ kar chale ham salām āḳhirī āḳhirī
aaKHiri waqt hai aaKHiri sans hai zindagi ki hai sham aaKHiri aaKHiri
sang-dil aa bhi ja ab KHuda ke liye lab pe hai tera nam aaKHiri aaKHiri
kuchh to aasan hoga adam ka safar un se kahna tumhein DhunDhti hai nazar
nama-bar tu KHudara na ab der kar de de un ko payam aaKHiri aaKHiri
tauba karta hun kal se piyunga nahin mai-kashi ke sahaare jiyunga nahin
meri tauba se pahle magar saqiya sirf de ek jam aaKHiri aaKHiri
mujh ko yaron ne nahla ke kafna diya do ghaDi bhi na biti ki dafna diya
kaun karta hai gham TuTte hi ye dam kar diya intizam aaKHiri aaKHiri
jite-ji qadr meri kisi ne na ki zindagi bhi meri bewafa ho gai
duniya walo mubarak ye duniya tumhein kar chale hum salam aaKHiri aaKHiri
जीने वाले क़ज़ा से डरते हैं शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
जीने वाले क़ज़ा से डरते हैं
ज़हर पी कर दवा से डरते हैं
ज़ाहिदों को किसी का ख़ौफ़ नहीं
सिर्फ़ काली घटा से डरते हैं
आप जो कुछ कहें हमें मंज़ूर
नेक बंदे ख़ुदा से डरते हैं
दुश्मनों को सितम का ख़ौफ़ नहीं
दोस्तों की वफ़ा से डरते हैं
अज़्म-ओ-हिम्मत के बावजूद 'शकील'
इश्क़ की इब्तिदा से डरते हैं
jine wale qaza se Darte hain Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
jiine vaale qazā se Darte haiñ
zahr pī kar davā se Darte haiñ
zāhidoñ ko kisī kā ḳhauf nahīñ
sirf kaalī ghaTā se Darte haiñ
aap jo kuchh kaheñ hameñ manzūr
nek bande ḳhudā se Darte haiñ
dushmanoñ ko sitam kā ḳhauf nahīñ
dostoñ kī vafā se Darte haiñ
azm-o-himmat ke bāvajūd 'shakīl'
ishq kī ibtidā se Darte haiñ
jine wale qaza se Darte hain
zahr pi kar dawa se Darte hain
zahidon ko kisi ka KHauf nahin
sirf kali ghaTa se Darte hain
aap jo kuchh kahen hamein manzur
nek bande KHuda se Darte hain
dushmanon ko sitam ka KHauf nahin
doston ki wafa se Darte hain
azm-o-himmat ke bawajud 'shakil'
ishq ki ibtida se Darte hain
तिरी अंजुमन में ज़ालिम अजब एहतिमाम देखा शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
तिरी अंजुमन में ज़ालिम अजब एहतिमाम देखा
कहीं ज़िंदगी की बारिश कहीं क़त्ल-ए-आम देखा
मेरी अर्ज़-ए-शौक़ पढ़ लें ये कहाँ उन्हें गवारा
वहीं चाक कर दिया ख़त जहाँ मेरा नाम देखा
बड़ी मिन्नतों से आ कर वो मुझे मना रहे हैं
मैं बचा रहा हूँ दामन मिरा इंतिक़ाम देखा
ऐ 'शकील' रूह-परवर तिरी बे-ख़ुदी के नग़्मे
मगर आज तक न हम ने तिरे लब पे जाम देखा
teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
tirī anjuman meñ zālim ajab ehtimām dekhā
kahīñ zindagī kī bārish kahīñ qatl-e-ām dekhā
merī arz-e-shauq paḌh leñ ye kahāñ unheñ gavārā
vahīñ chaak kar diyā ḳhat jahāñ merā naam dekhā
baḌī minnatoñ se aa kar vo mujhe manā rahe haiñ
maiñ bachā rahā huuñ dāman mirā intiqām dekhā
ai 'shakīl' rūh-parvar tirī be-ḳhudī ke naġhme
magar aaj tak na ham ne tire lab pe jaam dekhā
teri anjuman mein zalim ajab ehtimam dekha
kahin zindagi ki barish kahin qatl-e-am dekha
meri arz-e-shauq paDh len ye kahan unhen gawara
wahin chaak kar diya KHat jahan mera nam dekha
baDi minnaton se aa kar wo mujhe mana rahe hain
main bacha raha hun daman mera intiqam dekha
ai 'shakil' ruh-parwar teri be-KHudi ke naghme
magar aaj tak na hum ne tere lab pe jam dekha
हंगामा-ए-ग़म से तंग आ कर इज़हार-ए-मसर्रत कर बैठे शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
हंगामा-ए-ग़म से तंग आ कर इज़हार-ए-मसर्रत कर बैठे
मशहूर थी अपनी ज़िंदा-दिली दानिस्ता शरारत कर बैठे
कोशिश तो बहुत की हम ने मगर पाया न ग़म-ए-हस्ती से मफ़र
वीरानी-ए-दिल जब हद से बढ़ी घबरा के मोहब्बत कर बैठे
हस्ती के तलातुम में पिन्हाँ थे ऐश ओ तरब के धारे भी
अफ़्सोस हमी से भूल हुई अश्कों पे क़नाअत कर बैठे
ज़िंदान-ए-जहाँ से ये नफ़रत ऐ हज़रत-ए-वाइज़ क्या कहना
अल्लाह के आगे बस न चला बंदों से बग़ावत कर बैठे
गुलचीं ने तो कोशिश कर डाली सूनी हो चमन की हर डाली
काँटों ने मुबारक काम किया फूलों की हिफ़ाज़त कर बैठे
हर चीज़ नहीं है मरकज़ पर इक ज़र्रा इधर इक ज़र्रा उधर
नफ़रत से न देखो दुश्मन को शायद वो मोहब्बत कर बैठे
अल्लाह तो सब की सुनता है जुरअत है 'शकील' अपनी अपनी
हाली' ने ज़बाँ से उफ़ भी न की 'इक़बाल' शिकायत कर बैठे
hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
hañgāma-e-ġham se tañg aa kar iz.hār-e-masarrat kar baiThe
mash.hūr thī apnī zinda-dilī dānista sharārat kar baiThe
koshish to bahut kī ham ne magar paayā na ġham-e-hastī se mafar
vīrānī-e-dil jab had se baḌhī ghabrā ke mohabbat kar baiThe
hastī ke talātum meñ pinhāñ the aish o tarab ke dhāre bhī
afsos hamī se bhuul huī ashkoñ pe qanā.at kar baiThe
zindān-e-jahāñ se ye nafrat ai hazrat-e-vā.iz kyā kahnā
allāh ke aage bas na chalā bandoñ se baġhāvat kar baiThe
gulchīñ ne to koshish kar Daalī suunī ho chaman kī har Daalī
kāñToñ ne mubārak kaam kiyā phūloñ kī hifāzat kar baiThe
har chiiz nahīñ hai markaz par ik zarra idhar ik zarra udhar
nafrat se na dekho dushman ko shāyad vo mohabbat kar baiThe
allāh to sab kī suntā hai jur.at hai 'shakīl' apnī apnī
hālī' ne zabāñ se uf bhī na kī 'iqbāl' shikāyat kar baiThe
hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-masarrat kar baiThe
mashhur thi apni zinda-dili danista shararat kar baiThe
koshish to bahut ki hum ne magar paya na gham-e-hasti se mafar
virani-e-dil jab had se baDhi ghabra ke mohabbat kar baiThe
hasti ke talatum mein pinhan the aish o tarab ke dhaare bhi
afsos hami se bhul hui ashkon pe qanaat kar baiThe
zindan-e-jahan se ye nafrat ai hazrat-e-waiz kya kahna
allah ke aage bas na chala bandon se baghawat kar baiThe
gulchin ne to koshish kar Dali suni ho chaman ki har Dali
kanTon ne mubarak kaam kiya phulon ki hifazat kar baiThe
har chiz nahin hai markaz par ek zarra idhar ek zarra udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayad wo mohabbat kar baiThe
allah to sab ki sunta hai jurat hai 'shakil' apni apni
haali' ne zaban se uf bhi na ki 'iqbaal' shikayat kar baiThe
बदले बदले मिरे ग़म-ख़्वार नज़र आते हैं शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
बदले बदले मिरे ग़म-ख़्वार नज़र आते हैं
मरहले 'इश्क़ के दुश्वार नज़र आते हैं
कश्ती-ए-ग़ैरत-ए-एहसास सलामत यारब
आज तूफ़ान के आसार नज़र आते हैं
इंक़लाब आया न जाने ये चमन में कैसा
ग़ुंचा-ओ-गुल मुझे तलवार नज़र आते हैं
जिन की आँखों से छलकता था कभी रंग-ए-ख़ुलूस
इन दिनों माइल-ए-तकरार नज़र आते हैं
जो सुना करते थे हंस हंस के कभी नामा-ए-शौक़
अब मिरी शक्ल से बेज़ार नज़र आते हैं
उन के आगे जो झुकी रहती हैं नज़रें अपनी
इस लिए हम ही ख़ता-वार नज़र आते हैं
दुश्मन-ए-ख़ू-ए-वफ़ा रस्म-ए-मोहब्बत के हरीफ़
वही क्या और भी दो-चार नज़र आते हैं
जिंस-ए-नायाब-ए-मोहब्बत की ख़ुदा ख़ैर करे
बुल-हवस उस के ख़रीदार नज़र आते हैं
वक़्त के पूजने वाले हैं पुजारी उन के
कोई मतलब हो तो ग़म-ख़्वार नज़र आते हैं
जाएज़ा दिल का अगर लो तो वफ़ा से ख़ाली
शक्ल देखो तो नमक-ख़्वार नज़र आते हैं
रोज़-ए-रौशन में अगर उन को दिखाओ तारे
वो ये कह देंगे कि सरकार नज़र आते हैं
हम न बदले थे न बदले हैं न बदलेंगे 'शकील'
एक ही रंग में हर बार नज़र आते हैं
badle badle mere gham-KHwar nazar aate hain Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
badle badle mire ġham-ḳhvār nazar aate haiñ
marhale 'ishq ke dushvār nazar aate haiñ
kashtī-e-ġhairat-e-ehsās salāmat yārab
aaj tūfān ke āsār nazar aate haiñ
inqalāb aayā na jaane ye chaman meñ kaisā
ġhuncha-o-gul mujhe talvār nazar aate haiñ
jin kī āñkhoñ se chhalaktā thā kabhī rañg-e-ḳhulūs
in dinoñ mā.il-e-takrār nazar aate haiñ
jo sunā karte the hañs hañs ke kabhī nāma-e-shauq
ab mirī shakl se bezār nazar aate haiñ
un ke aage jo jhukī rahtī haiñ nazreñ apnī
is liye ham hī ḳhatā-vār nazar aate haiñ
dushman-e-ḳhū-e-vafā rasm-e-mohabbat ke harīf
vahī kyā aur bhī do-chār nazar aate haiñ
jins-e-nāyāb-e-mohabbat kī ḳhudā ḳhair kare
bul-havas us ke ḳharīdār nazar aate haiñ
vaqt ke pūjne vaale haiñ pujārī un ke
koī matlab ho to ġham-ḳhvār nazar aate haiñ
jā.eza dil kā agar lo to vafā se ḳhālī
shakl dekho to namak-ḳhvār nazar aate haiñ
roz-e-raushan meñ agar un ko dikhāo taare
vo ye kah deñge ki sarkār nazar aate haiñ
ham na badle the na badle haiñ na badleñge 'shakīl'
ek hī rang meñ har baar nazar aate haiñ
badle badle mere gham-KHwar nazar aate hain
marhale 'ishq ke dushwar nazar aate hain
kashti-e-ghairat-e-ehsas salamat yarab
aaj tufan ke aasar nazar aate hain
inqalab aaya na jaane ye chaman mein kaisa
ghuncha-o-gul mujhe talwar nazar aate hain
jin ki aankhon se chhalakta tha kabhi rang-e-KHulus
in dinon mail-e-takrar nazar aate hain
jo suna karte the hans hans ke kabhi nama-e-shauq
ab meri shakl se bezar nazar aate hain
un ke aage jo jhuki rahti hain nazren apni
is liye hum hi KHata-war nazar aate hain
dushman-e-KHu-e-wafa rasm-e-mohabbat ke harif
wahi kya aur bhi do-chaar nazar aate hain
jins-e-nayab-e-mohabbat ki KHuda KHair kare
bul-hawas us ke KHaridar nazar aate hain
waqt ke pujne wale hain pujari un ke
koi matlab ho to gham-KHwar nazar aate hain
jaeza dil ka agar lo to wafa se KHali
shakl dekho to namak-KHwar nazar aate hain
roz-e-raushan mein agar un ko dikhao tare
wo ye kah denge ki sarkar nazar aate hain
hum na badle the na badle hain na badlenge 'shakil'
ek hi rang mein har bar nazar aate hain
दिल के बहलाने की तदबीर तो है शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
दिल के बहलाने की तदबीर तो है
तू नहीं है तिरी तस्वीर तो है
हम-सफ़र छोड़ गए मुझ को तो क्या
साथ मेरे मिरी तक़दीर तो है
क़ैद से छूट के भी क्या पाया
आज भी पाँव में ज़ंजीर तो है
क्या मजाल उन की न दें ख़त का जवाब
बात कुछ बाइस-ए-ताख़ीर तो है
पुर्सिश-ए-हाल को वो आ ही गए
कुछ भी हो इश्क़ में तासीर तो है
ग़म की दुनिया रहे आबाद 'शकील'
मुफ़्लिसी में कोई जागीर तो है
dil ke bahlane ki tadbir to hai Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
dil ke bahlāne kī tadbīr to hai
tū nahīñ hai tirī tasvīr to hai
ham-safar chhoḌ ga.e mujh ko to kyā
saath mere mirī taqdīr to hai
qaid se chhūT ke bhī kyā paayā
aaj bhī paañv meñ zanjīr to hai
kyā majāl un kī na deñ ḳhat kā javāb
baat kuchh bā.is-e-tāḳhīr to hai
pursish-e-hāl ko vo aa hī ga.e
kuchh bhī ho ishq meñ tāsīr to hai
ġham kī duniyā rahe ābād 'shakīl'
muflisī meñ koī jāgīr to hai
dil ke bahlane ki tadbir to hai
tu nahin hai teri taswir to hai
ham-safar chhoD gae mujh ko to kya
sath mere meri taqdir to hai
qaid se chhuT ke bhi kya paya
aaj bhi panw mein zanjir to hai
kya majal un ki na den KHat ka jawab
baat kuchh bais-e-taKHir to hai
pursish-e-haal ko wo aa hi gae
kuchh bhi ho ishq mein tasir to hai
gham ki duniya rahe aabaad 'shakil'
muflisi mein koi jagir to hai
ख़ुश हूँ कि मिरा हुस्न-ए-तलब काम तो आया शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ख़ुश हूँ कि मिरा हुस्न-ए-तलब काम तो आया
ख़ाली ही सही मेरी तरफ़ जाम तो आया
काफ़ी है मिरे दिल की तसल्ली को यही बात
आप आ न सके आप का पैग़ाम तो आया
अपनों ने नज़र फेरी तो दिल तू ने दिया साथ
दुनिया में कोई दोस्त मिरे काम तो आया
वो सुब्ह का एहसास हो या मेरी कशिश हो
डूबा हुआ ख़ुर्शीद लब-ए-बाम तो आया
लोग उन से ये कहते हैं कि कितने हैं 'शकील' आप
उस हुस्न के सदक़े में मिरा नाम तो आया
KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
ḳhush huuñ ki mirā husn-e-talab kaam to aayā
ḳhālī hī sahī merī taraf jaam to aayā
kaafī hai mire dil kī tasallī ko yahī baat
aap aa na sake aap kā paiġhām to aayā
apnoñ ne nazar pherī to dil tū ne diyā saath
duniyā meñ koī dost mire kaam to aayā
vo sub.h kā ehsās ho yā merī kashish ho
Duubā huā ḳhurshīd lab-e-bām to aayā
log un se ye kahte haiñ ki kitne haiñ 'shakīl' aap
us husn ke sadqe meñ mirā naam to aayā
KHush hun ki mera husn-e-talab kaam to aaya
KHali hi sahi meri taraf jam to aaya
kafi hai mere dil ki tasalli ko yahi baat
aap aa na sake aap ka paigham to aaya
apnon ne nazar pheri to dil tu ne diya sath
duniya mein koi dost mere kaam to aaya
wo subh ka ehsas ho ya meri kashish ho
Duba hua KHurshid lab-e-baam to aaya
log un se ye kahte hain ki kitne hain 'shakil' aap
us husn ke sadqe mein mera nam to aaya
वो हम से दूर होते जा रहे हैं शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
वो हम से दूर होते जा रहे हैं
बहुत मग़रूर होते जा रहे हैं
बस इक तर्क-ए-मोहब्बत के इरादे
हमें मंज़ूर होते जा रहे हैं
मनाज़िर थे जो फ़िरदौस-ए-तसव्वुर
वो सब मस्तूर होते जा रहे हैं
बदलती जा रही है दिल की दुनिया
नए दस्तूर होते जा रहे हैं
बहुत मग़्मूम थे जो दीदा-ओ-दिल
बहुत मसरूर होते जा रहे हैं
वफ़ा पर मुर्दनी सी छा चली है
सितम का नूर होते जा रहे हैं
कभी वो पास आए जा रहे थे
मगर अब दूर होते जा रहे हैं
फ़िराक़ ओ हिज्र के तारीक लम्हे
सरापा नूर होते जा रहे हैं
शकील' एहसास-ए-गुमनामी से कह दो
कि हम मशहूर होते जा रहे हैं
wo humse dur hote ja rahe hain Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
vo ham se duur hote jā rahe haiñ
bahut maġhrūr hote jā rahe haiñ
bas ik tark-e-mohabbat ke irāde
hameñ manzūr hote jā rahe haiñ
manāzir the jo firdaus-e-tasavvur
vo sab mastūr hote jā rahe haiñ
badaltī jā rahī hai dil kī duniyā
na.e dastūr hote jā rahe haiñ
bahut maġhmūm the jo dīda-o-dil
bahut masrūr hote jā rahe haiñ
vafā par murdanī sī chhā chalī hai
sitam kā nuur hote jā rahe haiñ
kabhī vo paas aa.e jā rahe the
magar ab duur hote jā rahe haiñ
firāq o hijr ke tārīk lamhe
sarāpā nuur hote jā rahe haiñ
shakīl' ehsās-e-gumnāmī se kah do
ki ham mash.hūr hote jā rahe haiñ
wo hum se dur hote ja rahe hain
bahut maghrur hote ja rahe hain
bas ek tark-e-mohabbat ke irade
hamein manzur hote ja rahe hain
manazir the jo firdaus-e-tasawwur
wo sab mastur hote ja rahe hain
badalti ja rahi hai dil ki duniya
nae dastur hote ja rahe hain
bahut maghmum the jo dida-o-dil
bahut masrur hote ja rahe hain
wafa par murdani si chha chali hai
sitam ka nur hote ja rahe hain
kabhi wo pas aae ja rahe the
magar ab dur hote ja rahe hain
firaq o hijr ke tarik lamhe
sarapa nur hote ja rahe hain
shakil' ehsas-e-gumnami se kah do
ki hum mashhur hote ja rahe hain
ज़िंदगी उन की चाह में गुज़री शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
ज़िंदगी उन की चाह में गुज़री
मुस्तक़िल दर्द-ओ-आह में गुज़री
रहमतों से निबाह में गुज़री
उम्र सारी गुनाह में गुज़री
हाए वो ज़िंदगी की इक साअ'त
जो तिरी बारगाह में गुज़री
सब की नज़रों में सर-बुलंद रहे
जब तक उन की निगाह में गुज़री
मैं वो इक रहरव-ए-मोहब्बत हूँ
जिस की मंज़िल भी राह में गुज़री
इक ख़ुशी हम ने दिल में चाही थी
वो भी ग़म की पनाह में गुज़री
ज़िंदगी अपनी ऐ 'शकील' अब तक
तल्ख़ी-ए-रस्म-ओ-राह में गुज़री
zindagi unki chah mein guzri Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
zindagī un kī chaah meñ guzrī
mustaqil dard-o-āh meñ guzrī
rahmatoñ se nibāh meñ guzrī
umr saarī gunāh meñ guzrī
haa.e vo zindagī kī ik saa.at
jo tirī bārgāh meñ guzrī
sab kī nazroñ meñ sar-buland rahe
jab tak un kī nigāh meñ guzrī
maiñ vo ik rahrav-e-mohabbat huuñ
jis kī manzil bhī raah meñ guzrī
ik ḳhushī ham ne dil meñ chāhī thī
vo bhī ġham kī panāh meñ guzrī
zindagī apnī ai 'shakīl' ab tak
talḳhī-e-rasm-o-rāh meñ guzrī
zindagi un ki chah mein guzri
mustaqil dard-o-ah mein guzri
rahmaton se nibah mein guzri
umr sari gunah mein guzri
hae wo zindagi ki ek saat
jo teri bargah mein guzri
sab ki nazron mein sar-buland rahe
jab tak un ki nigah mein guzri
main wo ek rahraw-e-mohabbat hun
jis ki manzil bhi rah mein guzri
ek KHushi hum ne dil mein chahi thi
wo bhi gham ki panah mein guzri
zindagi apni ai 'shakil' ab tak
talKHi-e-rasm-o-rah mein guzri
आँखों से दूर सुब्ह के तारे चले गए शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
आँखों से दूर सुब्ह के तारे चले गए
नींद आ गई तो ग़म के नज़ारे चले गए
दिल था किसी की याद में मसरूफ़ और हम
शीशे में ज़िंदगी को उतारे चले गए
अल्लाह रे बे-ख़ुदी कि हम उन के ही रू-ब-रू
बे-इख़्तियार उन्ही को पुकारे चले गए
मुश्किल था कुछ तो ऐश की बाज़ी का जीतना
कुछ जीतने के ख़ौफ़ से हारे चले गए
नाकामी-ए-हयात का करते भी क्या गिला
दो दिन गुज़ारना थे गुज़ारे चले गए
तर्ग़ीब-ए-तर्क-ए-शौक़ के पर्दे में ग़म-गुसार
हर नक़्श-ए-आरज़ू को उभारे चले गए
पहुँचाई किस ने दावत-ए-मय अहल-ए-ज़ोहद को
शायद तिरी नज़र के इशारे चले गए
वो दिल हरीफ़-ए-जल्वा-ए-फ़िरदौस बन गया
जिस दिल में तेरे ग़म के शरारे चले गए
उन के बग़ैर ज़ीस्त ब-हर-हाल ज़ीस्त थी
जैसी गुज़ारनी थी गुज़ारे चले गए
जल्वे कहाँ जो ज़ौक़-ए-तमाशा नहीं 'शकील'
नज़रें चली गईं तो नज़ारे चले गए
aankhon se dur subh ke tare chale gae Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
āñkhoñ se duur sub.h ke taare chale ga.e
niiñd aa ga.ī to ġham ke nazāre chale ga.e
dil thā kisī kī yaad meñ masrūf aur ham
shīshe meñ zindagī ko utāre chale ga.e
allāh re be-ḳhudī ki ham un ke hī rū-ba-rū
be-iḳhtiyār unhī ko pukāre chale ga.e
mushkil thā kuchh to aish kī baazī kā jītnā
kuchh jītne ke ḳhauf se haare chale ga.e
nākāmī-e-hayāt kā karte bhī kyā gila
do din guzārnā the guzāre chale ga.e
tarġhīb-e-tark-e-shauq ke parde meñ ġham-gusār
har naqsh-e-ārzū ko ubhāre chale ga.e
pahuñchā.ī kis ne dāvat-e-mai ahl-e-zohd ko
shāyad tirī nazar ke ishāre chale ga.e
vo dil harīf-e-jalva-e-firdaus ban gayā
jis dil meñ tere ġham ke sharāre chale ga.e
un ke baġhair ziist ba-har-hāl ziist thī
jaisī guzārnī thī guzāre chale ga.e
jalve kahāñ jo zauq-e-tamāshā nahīñ 'shakīl'
nazreñ chalī ga.iiñ to nazāre chale ga.e
aankhon se dur subh ke tare chale gae
nind aa gai to gham ke nazare chale gae
dil tha kisi ki yaad mein masruf aur hum
shishe mein zindagi ko utare chale gae
allah re be-KHudi ki hum un ke hi ru-ba-ru
be-iKHtiyar unhi ko pukare chale gae
mushkil tha kuchh to aish ki bazi ka jitna
kuchh jitne ke KHauf se haare chale gae
nakaami-e-hayat ka karte bhi kya gila
do din guzarna the guzare chale gae
targhib-e-tark-e-shauq ke parde mein gham-gusar
har naqsh-e-arzu ko ubhaare chale gae
pahunchai kis ne dawat-e-mai ahl-e-zohd ko
shayad teri nazar ke ishaare chale gae
wo dil harif-e-jalwa-e-firdaus ban gaya
jis dil mein tere gham ke sharare chale gae
un ke baghair zist ba-har-haal zist thi
jaisi guzarni thi guzare chale gae
jalwe kahan jo zauq-e-tamasha nahin 'shakil'
nazren chali gain to nazare chale gae
निगाह-ए-नाज़ का इक वार कर के छोड़ दिया शकील बदायूनी ग़ज़ल ग़ज़लें
निगाह-ए-नाज़ का इक वार कर के छोड़ दिया
दिल-ए-हरीफ़ को बेदार कर के छोड़ दिया
हुई तो है यूँही तरदीद-ए-अहद-ए-लुत्फ़-ओ-करम
दबी ज़बान से इक़रार कर के छोड़ दिया
छुपे कुछ ऐसे कि ता-ज़ीस्त फिर न आए नज़र
रहीन-ए-हसरत-ए-दीदार कर के छोड़ दिया
मुझे तो क़ैद-ए-मोहब्बत अज़ीज़ थी लेकिन
किसी ने मुझ को गिरफ़्तार कर के छोड़ दिया
नज़र को जुरअत-ए-तकमील-ए-बंदगी न हुई
तवाफ़-ए-कूच-ए-दिल-दार कर के छोड़ दिया
ख़ुशा वो कशमकश-ए-रब्त-ए-बाहमी जिस ने
दिल ओ दिमाग़ को बे-कार कर के छोड़ दिया
ज़हे-नसीब कि दुनिया ने तेरे ग़म ने मुझे
मसर्रतों का तलबगार कर के छोड़ दिया
करम की आस में अब किस के दर पे जाए 'शकील'
जब आप ही ने गुनहगार कर के छोड़ दिया
nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya Shakeel Badayuni Ghazal Ghazals
nigāh-e-nāz kā ik vaar kar ke chhoḌ diyā
dil-e-harīf ko bedār kar ke chhoḌ diyā
huī to hai yūñhī tardīd-e-ahd-e-lutf-o-karam
dabī zabān se iqrār kar ke chhoḌ diyā
chhupe kuchh aise ki tā-zīst phir na aa.e nazar
rahīn-e-hasrat-e-dīdār kar ke chhoḌ diyā
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thī lekin
kisī ne mujh ko giraftār kar ke chhoḌ diyā
nazar ko jur.at-e-takmīl-e-bandagī na huī
tavāf-e-kūcha-e-dil-dār kar ke chhoḌ diyā
ḳhushā vo kashmakash-e-rabt-e-bāhamī jis ne
dil o dimāġh ko be-kār kar ke chhoḌ diyā
zahe-nasīb ki duniyā ne tere ġham ne mujhe
masarratoñ kā talabgār kar ke chhoḌ diyā
karam kī aas meñ ab kis ke dar pe jaa.e 'shakīl'
jab aap hī ne gunahgār kar ke chhoḌ diyā
nigah-e-naz ka ek war kar ke chhoD diya
dil-e-harif ko bedar kar ke chhoD diya
hui to hai yunhi tardid-e-ahd-e-lutf-o-karam
dabi zaban se iqrar kar ke chhoD diya
chhupe kuchh aise ki ta-zist phir na aae nazar
rahin-e-hasrat-e-didar kar ke chhoD diya
mujhe to qaid-e-mohabbat aziz thi lekin
kisi ne mujh ko giraftar kar ke chhoD diya
nazar ko jurat-e-takmil-e-bandagi na hui
tawaf-e-kucha-e-dil-dar kar ke chhoD diya
KHusha wo kashmakash-e-rabt-e-bahami jis ne
dil o dimagh ko be-kar kar ke chhoD diya
zahe-nasib ki duniya ne tere gham ne mujhe
masarraton ka talabgar kar ke chhoD diya
karam ki aas mein ab kis ke dar pe jae 'shakil'
jab aap hi ne gunahgar kar ke chhoD diya
शकील बदायूनी | |
---|---|
जन्म | 3 अगस्त 1916 बदायूँ, उत्तर प्रदेश, भारत |
मौत | 20 अप्रैल 1970 (उम्र 53) |
पेशा | शायर |
राष्ट्रीयता | भारत |
विधा | गज़ल |
विषय | प्रेम, दर्शन |
Comments
Post a Comment