Ghazals of Waseem Barelvi Ghazal वसीम बरेलवी की ग़ज़लें ग़ज़ल
अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आइना हो जाऊँगा वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
अपने हर हर लफ़्ज़ का ख़ुद आइना हो जाऊँगा
उस को छोटा कह के मैं कैसे बड़ा हो जाऊँगा
तुम गिराने में लगे थे तुम ने सोचा ही नहीं
मैं गिरा तो मसअला बन कर खड़ा हो जाऊँगा
मुझ को चलने दो अकेला है अभी मेरा सफ़र
रास्ता रोका गया तो क़ाफ़िला हो जाऊँगा
सारी दुनिया की नज़र में है मिरा अहद-ए-वफ़ा
इक तिरे कहने से क्या मैं बेवफ़ा हो जाऊँगा
apne har har lafz ka KHud aaina ho jaunga Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
apne har har lafz kā ḳhud aa.ina ho jā.ūñgā
us ko chhoTā kah ke maiñ kaise baḌā ho jā.ūñgā
tum girāne meñ lage the tum ne sochā hī nahīñ
maiñ girā to mas.ala ban kar khaḌā ho jā.ūñgā
mujh ko chalne do akelā hai abhī merā safar
rāsta rokā gayā to qāfila ho jā.ūñgā
saarī duniyā kī nazar meñ hai mirā ahd-e-vafā
ik tire kahne se kyā maiñ bevafā ho jā.ūñgā
apne har har lafz ka KHud aaina ho jaunga
us ko chhoTa kah ke main kaise baDa ho jaunga
tum girane mein lage the tum ne socha hi nahin
main gira to masala ban kar khaDa ho jaunga
mujh ko chalne do akela hai abhi mera safar
rasta roka gaya to qafila ho jaunga
sari duniya ki nazar mein hai mera ahd-e-wafa
ek tere kahne se kya main bewafa ho jaunga
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपाएँ कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक़ नज़र आएँ कैसे
घर सजाने का तसव्वुर तो बहुत ब'अद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचाएँ कैसे
लाख तलवारें बढ़ी आती हों गर्दन की तरफ़
सर झुकाना नहीं आता तो झुकाएँ कैसे
क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसने वाले तुझे आँसू नज़र आएँ कैसे
फूल से रंग जुदा होना कोई खेल नहीं
अपनी मिट्टी को कहीं छोड़ के जाएँ कैसे
कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुंदर नज़र आएँ कैसे
जिस ने दानिस्ता किया हो नज़र-अंदाज़ 'वसीम'
उस को कुछ याद दिलाएँ तो दिलाएँ कैसे
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
apne chehre se jo zāhir hai chhupā.eñ kaise
terī marzī ke mutābiq nazar aa.eñ kaise
ghar sajāne kā tasavvur to bahut ba.ad kā hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachā.eñ kaise
laakh talvāreñ baḌhī aatī hoñ gardan kī taraf
sar jhukānā nahīñ aatā to jhukā.eñ kaise
qahqaha aañkh kā bartāo badal detā hai
hañsne vaale tujhe aañsū nazar aa.eñ kaise
phuul se rañg judā honā koī khel nahīñ
apnī miTTī ko kahīñ chhoḌ ke jaa.eñ kaise
koī apnī hī nazar se to hameñ dekhegā
ek qatre ko samundar nazar aa.eñ kaise
jis ne dānista kiyā ho nazar-andāz 'vasīm'
us ko kuchh yaad dilā.eñ to dilā.eñ kaise
apne chehre se jo zahir hai chhupaen kaise
teri marzi ke mutabiq nazar aaen kaise
ghar sajaane ka tasawwur to bahut baad ka hai
pahle ye tai ho ki is ghar ko bachaen kaise
lakh talwaren baDhi aati hon gardan ki taraf
sar jhukana nahin aata to jhukaen kaise
qahqaha aankh ka bartao badal deta hai
hansne wale tujhe aansu nazar aaen kaise
phul se rang juda hona koi khel nahin
apni miTTi ko kahin chhoD ke jaen kaise
koi apni hi nazar se to hamein dekhega
ek qatre ko samundar nazar aaen kaise
jis ne danista kiya ho nazar-andaz 'wasim'
us ko kuchh yaad dilaen to dilaen kaise
आते आते मिरा नाम सा रह गया वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
आते आते मिरा नाम सा रह गया
उस के होंटों पे कुछ काँपता रह गया
रात मुजरिम थी दामन बचा ले गई
दिन गवाहों की सफ़ में खड़ा रह गया
वो मिरे सामने ही गया और मैं
रास्ते की तरह देखता रह गया
झूट वाले कहीं से कहीं बढ़ गए
और मैं था कि सच बोलता रह गया
आँधियों के इरादे तो अच्छे न थे
ये दिया कैसे जलता हुआ रह गया
उस को काँधों पे ले जा रहे हैं 'वसीम'
और वो जीने का हक़ माँगता रह गया
aate aate mera nam sa rah gaya Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
aate aate mirā naam sā rah gayā
us ke hoñToñ pe kuchh kāñptā rah gayā
raat mujrim thī dāman bachā le ga.ī
din gavāhoñ kī saf meñ khaḌā rah gayā
vo mire sāmne hī gayā aur maiñ
rāste kī tarah dekhtā rah gayā
jhuuT vaale kahīñ se kahīñ baḌh ga.e
aur maiñ thā ki sach boltā rah gayā
āñdhiyoñ ke irāde to achchhe na the
ye diyā kaise jaltā huā rah gayā
us ko kāñdhoñ pe le jā rahe haiñ 'vasīm'
aur vo jiine kā haq māñgtā rah gayā
aate aate mera nam sa rah gaya
us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya
raat mujrim thi daman bacha le gai
din gawahon ki saf mein khaDa rah gaya
wo mere samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta rah gaya
jhuT wale kahin se kahin baDh gae
aur main tha ki sach bolta rah gaya
aandhiyon ke irade to achchhe na the
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kandhon pe le ja rahe hain 'wasim'
aur wo jine ka haq mangta rah gaya
मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है
जो दिल में है उसे आँखों से कहलाना ज़रूरी है
उसूलों पर जहाँ आँच आए टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुद-मुख़्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके-हारे परिंदे जब बसेरे के लिए लौटें
सलीक़ा-मंद शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है
बहुत बेबाक आँखों में त'अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
मिरे होंटों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बा'द भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
mohabbat nā-samajh hotī hai samjhānā zarūrī hai
jo dil meñ hai use āñkhoñ se kahlānā zarūrī hai
usūloñ par jahāñ aañch aa.e Takrānā zarūrī hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aanā zarūrī hai
na.ī umroñ kī ḳhud-muḳhtāriyoñ ko kaun samjhā.e
kahāñ se bach ke chalnā hai kahāñ jaanā zarūrī hai
thake-hāre parinde jab basere ke liye lauTeñ
salīqa-mand shāḳhoñ kā lachak jaanā zarūrī hai
bahut bebāk āñkhoñ meñ ta'alluq Tik nahīñ paatā
mohabbat meñ kashish rakhne ko sharmānā zarūrī hai
salīqa hī nahīñ shāyad use mahsūs karne kā
jo kahtā hai ḳhudā hai to nazar aanā zarūrī hai
mire hoñToñ pe apnī pyaas rakh do aur phir socho
ki is ke ba.ad bhī duniyā meñ kuchh paanā zarūrī hai
mohabbat na-samajh hoti hai samjhana zaruri hai
jo dil mein hai use aankhon se kahlana zaruri hai
usulon par jahan aanch aae Takrana zaruri hai
jo zinda ho to phir zinda nazar aana zaruri hai
nai umron ki KHud-muKHtariyon ko kaun samjhae
kahan se bach ke chalna hai kahan jaana zaruri hai
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen
saliqa-mand shaKHon ka lachak jaana zaruri hai
bahut bebak aankhon mein ta'alluq Tik nahin pata
mohabbat mein kashish rakhne ko sharmana zaruri hai
saliqa hi nahin shayad use mahsus karne ka
jo kahta hai KHuda hai to nazar aana zaruri hai
mere honTon pe apni pyas rakh do aur phir socho
ki is ke baad bhi duniya mein kuchh pana zaruri hai
क्या दुख है समुंदर को बता भी नहीं सकता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
क्या दुख है समुंदर को बता भी नहीं सकता
आँसू की तरह आँख तक आ भी नहीं सकता
तू छोड़ रहा है तो ख़ता इस में तिरी क्या
हर शख़्स मिरा साथ निभा भी नहीं सकता
प्यासे रहे जाते हैं ज़माने के सवालात
किस के लिए ज़िंदा हूँ बता भी नहीं सकता
घर ढूँड रहे हैं मिरा रातों के पुजारी
मैं हूँ कि चराग़ों को बुझा भी नहीं सकता
वैसे तो इक आँसू ही बहा कर मुझे ले जाए
ऐसे कोई तूफ़ान हिला भी नहीं सकता
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
kyā dukh hai samundar ko batā bhī nahīñ saktā
aañsū kī tarah aañkh tak aa bhī nahīñ saktā
tū chhoḌ rahā hai to ḳhatā is meñ tirī kyā
har shaḳhs mirā saath nibhā bhī nahīñ saktā
pyāse rahe jaate haiñ zamāne ke savālāt
kis ke liye zinda huuñ batā bhī nahīñ saktā
ghar DhūñD rahe haiñ mirā rātoñ ke pujārī
maiñ huuñ ki charāġhoñ ko bujhā bhī nahīñ saktā
vaise to ik aañsū hī bahā kar mujhe le jaa.e
aise koī tūfān hilā bhī nahīñ saktā
kya dukh hai samundar ko bata bhi nahin sakta
aansu ki tarah aankh tak aa bhi nahin sakta
tu chhoD raha hai to KHata is mein teri kya
har shaKHs mera sath nibha bhi nahin sakta
pyase rahe jate hain zamane ke sawalat
kis ke liye zinda hun bata bhi nahin sakta
ghar DhunD rahe hain mera raaton ke pujari
main hun ki charaghon ko bujha bhi nahin sakta
waise to ek aansu hi baha kar mujhe le jae
aise koi tufan hila bhi nahin sakta
मैं इस उमीद पे डूबा कि तू बचा लेगा वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मैं इस उमीद पे डूबा कि तू बचा लेगा
अब इस के बा'द मिरा इम्तिहान क्या लेगा
ये एक मेला है वा'दा किसी से क्या लेगा
ढलेगा दिन तो हर इक अपना रास्ता लेगा
मैं बुझ गया तो हमेशा को बुझ ही जाऊँगा
कोई चराग़ नहीं हूँ कि फिर जला लेगा
कलेजा चाहिए दुश्मन से दुश्मनी के लिए
जो बे-अमल है वो बदला किसी से क्या लेगा
मैं उस का हो नहीं सकता बता न देना उसे
लकीरें हाथ की अपनी वो सब जला लेगा
हज़ार तोड़ के आ जाऊँ उस से रिश्ता 'वसीम'
मैं जानता हूँ वो जब चाहेगा बुला लेगा
main is umid pe Duba ki tu bacha lega Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
maiñ is umiid pe Duubā ki tū bachā legā
ab is ke ba.ad mirā imtihān kyā legā
ye ek mela hai va.ada kisī se kyā legā
Dhalegā din to har ik apnā rāsta legā
maiñ bujh gayā to hamesha ko bujh hī jā.ūñgā
koī charāġh nahīñ huuñ ki phir jalā legā
kaleja chāhiye dushman se dushmanī ke liye
jo be-amal hai vo badla kisī se kyā legā
maiñ us kā ho nahīñ saktā batā na denā use
lakīreñ haath kī apnī vo sab jalā legā
hazār toḌ ke aa jā.ūñ us se rishta 'vasīm'
maiñ jāntā huuñ vo jab chāhegā bulā legā
main is umid pe Duba ki tu bacha lega
ab is ke baad mera imtihan kya lega
ye ek mela hai wada kisi se kya lega
Dhalega din to har ek apna rasta lega
main bujh gaya to hamesha ko bujh hi jaunga
koi charagh nahin hun ki phir jala lega
kaleja chahiye dushman se dushmani ke liye
jo be-amal hai wo badla kisi se kya lega
main us ka ho nahin sakta bata na dena use
lakiren hath ki apni wo sab jala lega
hazar toD ke aa jaun us se rishta 'wasim'
main jaanta hun wo jab chahega bula lega
दुख अपना अगर हम को बताना नहीं आता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
दुख अपना अगर हम को बताना नहीं आता
तुम को भी तो अंदाज़ा लगाना नहीं आता
पहुँचा है बुज़ुर्गों के बयानों से जो हम तक
क्या बात हुई क्यूँ वो ज़माना नहीं आता
मैं भी उसे खोने का हुनर सीख न पाया
उस को भी मुझे छोड़ के जाना नहीं आता
इस छोटे ज़माने के बड़े कैसे बनोगे
लोगों को जब आपस में लड़ाना नहीं आता
ढूँढे है तो पलकों पे चमकने के बहाने
आँसू को मिरी आँख में आना नहीं आता
तारीख़ की आँखों में धुआँ हो गए ख़ुद ही
तुम को तो कोई घर भी जलाना नहीं आता
dukh apna agar hum ko batana nahin aata Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
dukh apnā agar ham ko batānā nahīñ aatā
tum ko bhī to andāza lagānā nahīñ aatā
pahuñchā hai buzurgoñ ke bayānoñ se jo ham tak
kyā baat huī kyuuñ vo zamāna nahīñ aatā
maiñ bhī use khone kā hunar siikh na paayā
us ko bhī mujhe chhoḌ ke jaanā nahīñ aatā
is chhoTe zamāne ke baḌe kaise banoge
logoñ ko jab aapas meñ laḌānā nahīñ aatā
DhūñDhe hai to palkoñ pe chamakne ke bahāne
aañsū ko mirī aañkh meñ aanā nahīñ aatā
tārīḳh kī āñkhoñ meñ dhuāñ ho ga.e ḳhud hī
tum ko to koī ghar bhī jalānā nahīñ aatā
dukh apna agar hum ko batana nahin aata
tum ko bhi to andaza lagana nahin aata
pahuncha hai buzurgon ke bayanon se jo hum tak
kya baat hui kyun wo zamana nahin aata
main bhi use khone ka hunar sikh na paya
us ko bhi mujhe chhoD ke jaana nahin aata
is chhoTe zamane ke baDe kaise banoge
logon ko jab aapas mein laDana nahin aata
DhunDhe hai to palkon pe chamakne ke bahane
aansu ko meri aankh mein aana nahin aata
tariKH ki aankhon mein dhuan ho gae KHud hi
tum ko to koi ghar bhi jalana nahin aata
चाँद का ख़्वाब उजालों की नज़र लगता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
चाँद का ख़्वाब उजालों की नज़र लगता है
तू जिधर हो के गुज़र जाए ख़बर लगता है
उस की यादों ने उगा रक्खे हैं सूरज इतने
शाम का वक़्त भी आए तो सहर लगता है
एक मंज़र पे ठहरने नहीं देती फ़ितरत
उम्र भर आँख की क़िस्मत में सफ़र लगता है
मैं नज़र भर के तिरे जिस्म को जब देखता हूँ
पहली बारिश में नहाया सा शजर लगता है
बे-सहारा था बहुत प्यार कोई पूछता क्या
तू ने काँधे पे जगह दी है तो सर लगता है
तेरी क़ुर्बत के ये लम्हे उसे रास आएँ क्या
सुब्ह होने का जिसे शाम से डर लगता है
chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
chāñd kā ḳhvāb ujāloñ kī nazar lagtā hai
tū jidhar ho ke guzar jaa.e ḳhabar lagtā hai
us kī yādoñ ne ugā rakkhe haiñ sūraj itne
shaam kā vaqt bhī aa.e to sahar lagtā hai
ek manzar pe Thaharne nahīñ detī fitrat
umr bhar aañkh kī qismat meñ safar lagtā hai
maiñ nazar bhar ke tire jism ko jab dekhtā huuñ
pahlī bārish meñ nahāyā sā shajar lagtā hai
be-sahārā thā bahut pyaar koī pūchhtā kyā
tū ne kāñdhe pe jagah dī hai to sar lagtā hai
terī qurbat ke ye lamhe use raas aa.eñ kyā
sub.h hone kā jise shaam se Dar lagtā hai
chand ka KHwab ujalon ki nazar lagta hai
tu jidhar ho ke guzar jae KHabar lagta hai
us ki yaadon ne uga rakkhe hain suraj itne
sham ka waqt bhi aae to sahar lagta hai
ek manzar pe Thaharne nahin deti fitrat
umr bhar aankh ki qismat mein safar lagta hai
main nazar bhar ke tere jism ko jab dekhta hun
pahli barish mein nahaya sa shajar lagta hai
be-sahaara tha bahut pyar koi puchhta kya
tu ne kandhe pe jagah di hai to sar lagta hai
teri qurbat ke ye lamhe use ras aaen kya
subh hone ka jise sham se Dar lagta hai
वो मेरे घर नहीं आता मैं उस के घर नहीं जाता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
वो मेरे घर नहीं आता मैं उस के घर नहीं जाता
मगर इन एहतियातों से तअ'ल्लुक़ मर नहीं जाता
बुरे अच्छे हों जैसे भी हों सब रिश्ते यहीं के हैं
किसी को साथ दुनिया से कोई ले कर नहीं जाता
घरों की तर्बियत क्या आ गई टी-वी के हाथों में
कोई बच्चा अब अपने बाप के ऊपर नहीं जाता
खुले थे शहर में सौ दर मगर इक हद के अंदर ही
कहाँ जाता अगर मैं लौट के फिर घर नहीं जाता
मोहब्बत के ये आँसू हैं उन्हें आँखों में रहने दो
शरीफ़ों के घरों का मसअला बाहर नहीं जाता
वसीम' उस से कहो दुनिया बहुत महदूद है मेरी
किसी दर का जो हो जाए वो फिर दर दर नहीं जाता
wo mere ghar nahin aata main uske ghar nahin jata Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
vo mere ghar nahīñ aatā maiñ us ke ghar nahīñ jaatā
magar in ehtiyātoñ se ta.alluq mar nahīñ jaatā
bure achchhe hoñ jaise bhī hoñ sab rishte yahīñ ke haiñ
kisī ko saath duniyā se koī le kar nahīñ jaatā
gharoñ kī tarbiyat kyā aa ga.ī T-v ke hāthoñ meñ
koī bachcha ab apne baap ke uupar nahīñ jaatā
khule the shahr meñ sau dar magar ik had ke andar hī
kahāñ jaatā agar maiñ lauT ke phir ghar nahīñ jaatā
mohabbat ke ye aañsū haiñ unheñ āñkhoñ meñ rahne do
sharīfoñ ke gharoñ kā mas.ala bāhar nahīñ jaatā
vasīm' us se kaho duniyā bahut mahdūd hai merī
kisī dar kā jo ho jaa.e vo phir dar dar nahīñ jaatā
wo mere ghar nahin aata main us ke ghar nahin jata
magar in ehtiyaton se talluq mar nahin jata
bure achchhe hon jaise bhi hon sab rishte yahin ke hain
kisi ko sath duniya se koi le kar nahin jata
gharon ki tarbiyat kya aa gai T-w ke hathon mein
koi bachcha ab apne bap ke upar nahin jata
khule the shahr mein sau dar magar ek had ke andar hi
kahan jata agar main lauT ke phir ghar nahin jata
mohabbat ke ye aansu hain unhen aankhon mein rahne do
sharifon ke gharon ka masala bahar nahin jata
wasim' us se kaho duniya bahut mahdud hai meri
kisi dar ka jo ho jae wo phir dar dar nahin jata
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है
समुंदरों ही के लहजे में बात करता है
खुली छतों के दिए कब के बुझ गए होते
कोई तो है जो हवाओं के पर कतरता है
शराफ़तों की यहाँ कोई अहमियत ही नहीं
किसी का कुछ न बिगाड़ो तो कौन डरता है
ये देखना है कि सहरा भी है समुंदर भी
वो मेरी तिश्ना-लबी किस के नाम करता है
तुम आ गए हो तो कुछ चाँदनी सी बातें हों
ज़मीं पे चाँद कहाँ रोज़ रोज़ उतरता है
ज़मीं की कैसी वकालत हो फिर नहीं चलती
जब आसमाँ से कोई फ़ैसला उतरता है
zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
zarā sā qatra kahīñ aaj agar ubhartā hai
samundaroñ hī ke lahje meñ baat kartā hai
khulī chhatoñ ke diye kab ke bujh ga.e hote
koī to hai jo havāoñ ke par katartā hai
sharāfatoñ kī yahāñ koī ahmiyat hī nahīñ
kisī kā kuchh na bigāḌo to kaun Dartā hai
ye dekhnā hai ki sahrā bhī hai samundar bhī
vo merī tishna-labī kis ke naam kartā hai
tum aa ga.e ho to kuchh chāñdnī sī bāteñ hoñ
zamīñ pe chāñd kahāñ roz roz utartā hai
zamīñ kī kaisī vakālat ho phir nahīñ chaltī
jab āsmāñ se koī faisla utartā hai
zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai
samundaron hi ke lahje mein baat karta hai
khuli chhaton ke diye kab ke bujh gae hote
koi to hai jo hawaon ke par katarta hai
sharafaton ki yahan koi ahmiyat hi nahin
kisi ka kuchh na bigaDo to kaun Darta hai
ye dekhna hai ki sahra bhi hai samundar bhi
wo meri tishna-labi kis ke nam karta hai
tum aa gae ho to kuchh chandni si baaten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarta hai
zamin ki kaisi wakalat ho phir nahin chalti
jab aasman se koi faisla utarta hai
भला ग़मों से कहाँ हार जाने वाले थे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
भला ग़मों से कहाँ हार जाने वाले थे
हम आँसुओं की तरह मुस्कुराने वाले थे
हमीं ने कर दिया ऐलान-ए-गुमरही वर्ना
हमारे पीछे बहुत लोग आने वाले थे
उन्हें तो ख़ाक में मिलना ही था कि मेरे थे
ये अश्क कौन से ऊँचे घराने वाले थे
उन्हें क़रीब न होने दिया कभी मैं ने
जो दोस्ती में हदें भूल जाने वाले थे
मैं जिन को जान के पहचान भी नहीं सकता
कुछ ऐसे लोग मिरा घर जलाने वाले थे
हमारा अलमिया ये था कि हम-सफ़र भी हमें
वही मिले जो बहुत याद आने वाले थे
वसीम' कैसी तअल्लुक़ की राह थी जिस में
वही मिले जो बहुत दिल दुखाने वाले थे
bhala ghamon se kahan haar jaane wale the Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
bhalā ġhamoñ se kahāñ haar jaane vaale the
ham āñsuoñ kī tarah muskurāne vaale the
hamīñ ne kar diyā elān-e-gumrahī varna
hamāre pīchhe bahut log aane vaale the
unheñ to ḳhaak meñ milnā hī thā ki mere the
ye ashk kaun se ūñche gharāne vaale the
unheñ qarīb na hone diyā kabhī maiñ ne
jo dostī meñ hadeñ bhuul jaane vaale the
maiñ jin ko jaan ke pahchān bhī nahīñ saktā
kuchh aise log mirā ghar jalāne vaale the
hamārā alamiya ye thā ki ham-safar bhī hameñ
vahī mile jo bahut yaad aane vaale the
vasīm' kaisī ta.alluq kī raah thī jis meñ
vahī mile jo bahut dil dukhāne vaale the
bhala ghamon se kahan haar jaane wale the
hum aansuon ki tarah muskurane wale the
hamin ne kar diya elan-e-gumrahi warna
hamare pichhe bahut log aane wale the
unhen to KHak mein milna hi tha ki mere the
ye ashk kaun se unche gharane wale the
unhen qarib na hone diya kabhi main ne
jo dosti mein haden bhul jaane wale the
main jin ko jaan ke pahchan bhi nahin sakta
kuchh aise log mera ghar jalane wale the
hamara alamiya ye tha ki ham-safar bhi hamein
wahi mile jo bahut yaad aane wale the
wasim' kaisi talluq ki rah thi jis mein
wahi mile jo bahut dil dukhane wale the
हादसों की ज़द पे हैं तो मुस्कुराना छोड़ दें वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
हादसों की ज़द पे हैं तो मुस्कुराना छोड़ दें
ज़लज़लों के ख़ौफ़ से क्या घर बनाना छोड़ दें
तुम ने मेरे घर न आने की क़सम खाई तो है
आँसुओं से भी कहो आँखों में आना छोड़ दें
प्यार के दुश्मन कभी तो प्यार से कह के तो देख
एक तेरा दर ही क्या हम तो ज़माना छोड़ दें
घोंसले वीरान हैं अब वो परिंदे ही कहाँ
इक बसेरे के लिए जो आब-ओ-दाना छोड़ दें
hadson ki zad pe hain to muskurana chhoD den Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
hādsoñ kī zad pe haiñ to muskurānā chhoḌ deñ
zalzaloñ ke ḳhauf se kyā ghar banānā chhoḌ deñ
tum ne mere ghar na aane kī qasam khaa.ī to hai
āñsuoñ se bhī kaho āñkhoñ meñ aanā chhoḌ deñ
pyaar ke dushman kabhī to pyaar se kah ke to dekh
ek terā dar hī kyā ham to zamāna chhoḌ deñ
ghoñsle vīrān haiñ ab vo parinde hī kahāñ
ik basere ke liye jo āb-o-dāna chhoḌ deñ
hadson ki zad pe hain to muskurana chhoD den
zalzalon ke KHauf se kya ghar banana chhoD den
tum ne mere ghar na aane ki qasam khai to hai
aansuon se bhi kaho aankhon mein aana chhoD den
pyar ke dushman kabhi to pyar se kah ke to dekh
ek tera dar hi kya hum to zamana chhoD den
ghonsle viran hain ab wo parinde hi kahan
ek basere ke liye jo aab-o-dana chhoD den
लहू न हो तो क़लम तर्जुमाँ नहीं होता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
लहू न हो तो क़लम तर्जुमाँ नहीं होता
हमारे दौर में आँसू ज़बाँ नहीं होता
जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा
किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता
ये किस मक़ाम पे लाई है मेरी तन्हाई
कि मुझ से आज कोई बद-गुमाँ नहीं होता
बस इक निगाह मिरी राह देखती होती
ये सारा शहर मिरा मेज़बाँ नहीं होता
तिरा ख़याल न होता तो कौन समझाता
ज़मीं न हो तो कोई आसमाँ नहीं होता
मैं उस को भूल गया हूँ ये कौन मानेगा
किसी चराग़ के बस में धुआँ नहीं होता
वसीम' सदियों की आँखों से देखिए मुझ को
वो लफ़्ज़ हूँ जो कभी दास्ताँ नहीं होता
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
lahū na ho to qalam tarjumāñ nahīñ hotā
hamāre daur meñ aañsū zabāñ nahīñ hotā
jahāñ rahegā vahīñ raushnī luTā.egā
kisī charāġh kā apnā makāñ nahīñ hotā
ye kis maqām pe laa.ī hai merī tanhā.ī
ki mujh se aaj koī bad-gumāñ nahīñ hotā
bas ik nigāh mirī raah dekhtī hotī
ye saarā shahr mirā mezbāñ nahīñ hotā
tirā ḳhayāl na hotā to kaun samjhātā
zamīñ na ho to koī āsmāñ nahīñ hotā
maiñ us ko bhuul gayā huuñ ye kaun mānegā
kisī charāġh ke bas meñ dhuāñ nahīñ hotā
vasīm' sadiyoñ kī āñkhoñ se dekhiye mujh ko
vo lafz huuñ jo kabhī dāstāñ nahīñ hotā
lahu na ho to qalam tarjuman nahin hota
hamare daur mein aansu zaban nahin hota
jahan rahega wahin raushni luTaega
kisi charagh ka apna makan nahin hota
ye kis maqam pe lai hai meri tanhai
ki mujh se aaj koi bad-guman nahin hota
bas ek nigah meri rah dekhti hoti
ye sara shahr mera mezban nahin hota
tera KHayal na hota to kaun samjhata
zamin na ho to koi aasman nahin hota
main us ko bhul gaya hun ye kaun manega
kisi charagh ke bas mein dhuan nahin hota
wasim' sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hun jo kabhi dastan nahin hota
मैं आसमाँ पे बहुत देर रह नहीं सकता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मैं आसमाँ पे बहुत देर रह नहीं सकता
मगर ये बात ज़मीं से तो कह नहीं सकता
किसी के चेहरे को कब तक निगाह में रक्खूँ
सफ़र में एक ही मंज़र तो रह नहीं सकता
ये आज़माने की फ़ुर्सत तुझे कभी मिल जाए
मैं आँखों आँखों में क्या बात कह नहीं सकता
सहारा लेना ही पड़ता है मुझ को दरिया का
मैं एक क़तरा हूँ तन्हा तो बह नहीं सकता
लगा के देख ले जो भी हिसाब आता हो
मुझे घटा के वो गिनती में रह नहीं सकता
ये चंद लम्हों की बे-इख़्तियारियाँ हैं 'वसीम'
गुनह से रिश्ता बहुत देर रह नहीं सकता
main aasman pe bahut der rah nahin sakta Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
maiñ āsmāñ pe bahut der rah nahīñ saktā
magar ye baat zamīñ se to kah nahīñ saktā
kisī ke chehre ko kab tak nigāh meñ rakkhūñ
safar meñ ek hī manzar to rah nahīñ saktā
ye āzmāne kī fursat tujhe kabhī mil jaa.e
maiñ āñkhoñ āñkhoñ meñ kyā baat kah nahīñ saktā
sahārā lenā hī paḌtā hai mujh ko dariyā kā
maiñ ek qatra huuñ tanhā to bah nahīñ saktā
lagā ke dekh le jo bhī hisāb aatā ho
mujhe ghaTā ke vo gintī meñ rah nahīñ saktā
ye chand lamhoñ kī be-iḳhtiyāriyāñ haiñ 'vasīm'
gunah se rishta bahut der rah nahīñ saktā
main aasman pe bahut der rah nahin sakta
magar ye baat zamin se to kah nahin sakta
kisi ke chehre ko kab tak nigah mein rakkhun
safar mein ek hi manzar to rah nahin sakta
ye aazmane ki fursat tujhe kabhi mil jae
main aankhon aankhon mein kya baat kah nahin sakta
sahaara lena hi paDta hai mujh ko dariya ka
main ek qatra hun tanha to bah nahin sakta
laga ke dekh le jo bhi hisab aata ho
mujhe ghaTa ke wo ginti mein rah nahin sakta
ye chand lamhon ki be-iKHtiyariyan hain 'wasim'
gunah se rishta bahut der rah nahin sakta
अंधेरा ज़ेहन का सम्त-ए-सफ़र जब खोने लगता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
अंधेरा ज़ेहन का सम्त-ए-सफ़र जब खोने लगता है
किसी का ध्यान आता है उजाला होने लगता है
वो जितनी दूर हो उतना ही मेरा होने लगता है
मगर जब पास आता है तो मुझ से खोने लगता है
किसी ने रख दिए ममता-भरे दो हाथ क्या सर पर
मिरे अंदर कोई बच्चा बिलक कर रोने लगता है
मोहब्बत चार दिन की और उदासी ज़िंदगी भर की
यही सब देखता है और 'कबीरा' रोने लगता है
समझते ही नहीं नादान कै दिन की है मिल्किय्यत
पराए खेतों पे अपनों में झगड़ा होने लगता है
ये दिल बच कर ज़माने भर से चलना चाहे है लेकिन
जब अपनी राह चलता है अकेला होने लगता है
andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
añdherā zehn kā samt-e-safar jab khone lagtā hai
kisī kā dhyān aatā hai ujālā hone lagtā hai
vo jitnī duur ho utnā hī merā hone lagtā hai
magar jab paas aatā hai to mujh se khone lagtā hai
kisī ne rakh diye mamtā-bhare do haath kyā sar par
mire andar koī bachcha bilak kar rone lagtā hai
mohabbat chaar din kī aur udāsī zindagī bhar kī
yahī sab dekhtā hai aur 'kabīrā' rone lagtā hai
samajhte hī nahīñ nādān kai din kī hai milkiyyat
parā.e khetoñ pe apnoñ meñ jhagḌā hone lagtā hai
ye dil bach kar zamāne bhar se chalnā chāhe hai lekin
jab apnī raah chaltā hai akelā hone lagtā hai
andhera zehn ka samt-e-safar jab khone lagta hai
kisi ka dhyan aata hai ujala hone lagta hai
wo jitni dur ho utna hi mera hone lagta hai
magar jab pas aata hai to mujh se khone lagta hai
kisi ne rakh diye mamta-bhare do hath kya sar par
mere andar koi bachcha bilak kar rone lagta hai
mohabbat chaar din ki aur udasi zindagi bhar ki
yahi sab dekhta hai aur 'kabira' rone lagta hai
samajhte hi nahin nadan kai din ki hai milkiyyat
parae kheton pe apnon mein jhagDa hone lagta hai
ye dil bach kar zamane bhar se chalna chahe hai lekin
jab apni rah chalta hai akela hone lagta hai
सब ने मिलाए हाथ यहाँ तीरगी के साथ वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
सब ने मिलाए हाथ यहाँ तीरगी के साथ
कितना बड़ा मज़ाक़ हुआ रौशनी के साथ
शर्तें लगाई जाती नहीं दोस्ती के साथ
कीजे मुझे क़ुबूल मिरी हर कमी के साथ
तेरा ख़याल, तेरी तलब तेरी आरज़ू
मैं उम्र भर चला हूँ किसी रौशनी के साथ
दुनिया मिरे ख़िलाफ़ खड़ी कैसे हो गई
मेरी तो दुश्मनी भी नहीं थी किसी के साथ
किस काम की रही ये दिखावे की ज़िंदगी
वादे किए किसी से गुज़ारी किसी के साथ
दुनिया को बेवफ़ाई का इल्ज़ाम कौन दे
अपनी ही निभ सकी न बहुत दिन किसी के साथ
क़तरे वो कुछ भी पाएँ ये मुमकिन नहीं 'वसीम'
बढ़ना जो चाहते हैं समुंदर-कशी के साथ
sab ne milae hath yahan tirgi ke sath Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
sab ne milā.e haath yahāñ tīrgī ke saath
kitnā baḌā mazāq huā raushnī ke saath
sharteñ lagā.ī jaatī nahīñ dostī ke saath
kiije mujhe qubūl mirī har kamī ke saath
terā ḳhayāl, terī talab terī aarzū
maiñ umr bhar chalā huuñ kisī raushnī ke saath
duniyā mire ḳhilāf khaḌī kaise ho ga.ī
merī to dushmanī bhī nahīñ thī kisī ke saath
kis kaam kī rahī ye dikhāve kī zindagī
vaade kiye kisī se guzārī kisī ke saath
duniyā ko bevafā.ī kā ilzām kaun de
apnī hī nibh sakī na bahut din kisī ke saath
qatre vo kuchh bhī paa.eñ ye mumkin nahīñ 'vasīm'
baḌhnā jo chāhte haiñ samundar-kashī ke saath
sab ne milae hath yahan tirgi ke sath
kitna baDa mazaq hua raushni ke sath
sharten lagai jati nahin dosti ke sath
kije mujhe qubul meri har kami ke sath
tera KHayal, teri talab teri aarzu
main umr bhar chala hun kisi raushni ke sath
duniya mere KHilaf khaDi kaise ho gai
meri to dushmani bhi nahin thi kisi ke sath
kis kaam ki rahi ye dikhawe ki zindagi
wade kiye kisi se guzari kisi ke sath
duniya ko bewafai ka ilzam kaun de
apni hi nibh saki na bahut din kisi ke sath
qatre wo kuchh bhi paen ye mumkin nahin 'wasim'
baDhna jo chahte hain samundar-kashi ke sath
शाम तक सुब्ह की नज़रों से उतर जाते हैं वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
शाम तक सुब्ह की नज़रों से उतर जाते हैं
इतने समझौतों पे जीते हैं कि मर जाते हैं
फिर वही तल्ख़ी-ए-हालात मुक़द्दर ठहरी
नश्शे कैसे भी हों कुछ दिन में उतर जाते हैं
इक जुदाई का वो लम्हा कि जो मरता ही नहीं
लोग कहते थे कि सब वक़्त गुज़र जाते हैं
घर की गिरती हुई दीवारें ही मुझ से अच्छी
रास्ता चलते हुए लोग ठहर जाते हैं
हम तो बे-नाम इरादों के मुसाफ़िर हैं 'वसीम'
कुछ पता हो तो बताएँ कि किधर जाते हैं
sham tak subh ki nazron se utar jate hain Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
shaam tak sub.h kī nazroñ se utar jaate haiñ
itne samjhautoñ pe jiite haiñ ki mar jaate haiñ
phir vahī talḳhī-e-hālāt muqaddar Thahrī
nashshe kaise bhī hoñ kuchh din meñ utar jaate haiñ
ik judā.ī kā vo lamha ki jo martā hī nahīñ
log kahte the ki sab vaqt guzar jaate haiñ
ghar kī girtī huī dīvāreñ hī mujh se achchhī
rāsta chalte hue log Thahar jaate haiñ
ham to be-nām irādoñ ke musāfir haiñ 'vasīm'
kuchh pata ho to batā.eñ ki kidhar jaate haiñ
sham tak subh ki nazron se utar jate hain
itne samjhauton pe jite hain ki mar jate hain
phir wahi talKHi-e-haalat muqaddar Thahri
nashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jate hain
ek judai ka wo lamha ki jo marta hi nahin
log kahte the ki sab waqt guzar jate hain
ghar ki girti hui diwaren hi mujh se achchhi
rasta chalte hue log Thahar jate hain
hum to be-nam iradon ke musafir hain 'wasim'
kuchh pata ho to bataen ki kidhar jate hain
अपने साए को इतना समझाने दे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
अपने साए को इतना समझाने दे
मुझ तक मेरे हिस्से की धूप आने दे
एक नज़र में कई ज़माने देखे तो
बूढ़ी आँखों की तस्वीर बनाने दे
बाबा दुनिया जीत के मैं दिखला दूँगा
अपनी नज़र से दूर तो मुझ को जाने दे
मैं भी तो इस बाग़ का एक परिंदा हूँ
मेरी ही आवाज़ में मुझ को गाने दे
फिर तो ये ऊँचा ही होता जाएगा
बचपन के हाथों में चाँद आ जाने दे
फ़स्लें पक जाएँ तो खेत से बिछ्ड़ेंगी
रोती आँख को प्यार कहाँ समझाने दे
apne sae ko itna samjhane de Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
apne saa.e ko itnā samjhāne de
mujh tak mere hisse kī dhuup aane de
ek nazar meñ ka.ī zamāne dekhe to
būḌhī āñkhoñ kī tasvīr banāne de
baabā duniyā jiit ke maiñ dikhlā dūñgā
apnī nazar se duur to mujh ko jaane de
maiñ bhī to is baaġh kā ek parinda huuñ
merī hī āvāz meñ mujh ko gaane de
phir to ye ūñchā hī hotā jā.egā
bachpan ke hāthoñ meñ chāñd aa jaane de
fasleñ pak jaa.eñ to khet se bichhḌeñgī
rotī aañkh ko pyaar kahāñ samjhāne de
apne sae ko itna samjhane de
mujh tak mere hisse ki dhup aane de
ek nazar mein kai zamane dekhe to
buDhi aankhon ki taswir banane de
baba duniya jit ke main dikhla dunga
apni nazar se dur to mujh ko jaane de
main bhi to is bagh ka ek parinda hun
meri hi aawaz mein mujh ko gane de
phir to ye uncha hi hota jaega
bachpan ke hathon mein chand aa jaane de
faslen pak jaen to khet se bichhDengi
roti aankh ko pyar kahan samjhane de
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
कितना दुश्वार था दुनिया ये हुनर आना भी
तुझ से ही फ़ासला रखना तुझे अपनाना भी
कैसी आदाब-ए-नुमाइश ने लगाईं शर्तें
फूल होना ही नहीं फूल नज़र आना भी
दिल की बिगड़ी हुई आदत से ये उम्मीद न थी
भूल जाएगा ये इक दिन तिरा याद आना भी
जाने कब शहर के रिश्तों का बदल जाए मिज़ाज
इतना आसाँ तो नहीं लौट के घर आना भी
ऐसे रिश्ते का भरम रखना कोई खेल नहीं
तेरा होना भी नहीं और तिरा कहलाना भी
ख़ुद को पहचान के देखे तो ज़रा ये दरिया
भूल जाएगा समुंदर की तरफ़ जाना भी
जानने वालों की इस भीड़ से क्या होगा 'वसीम'
इस में ये देखिए कोई मुझे पहचाना भी
kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
kitnā dushvār thā duniyā ye hunar aanā bhī
tujh se hī fāsla rakhnā tujhe apnānā bhī
kaisī ādāb-e-numā.ish ne lagā.īñ sharteñ
phuul honā hī nahīñ phuul nazar aanā bhī
dil kī bigḌī huī aadat se ye ummīd na thī
bhuul jā.egā ye ik din tirā yaad aanā bhī
jaane kab shahr ke rishtoñ kā badal jaa.e mizāj
itnā āsāñ to nahīñ lauT ke ghar aanā bhī
aise rishte kā bharam rakhnā koī khel nahīñ
terā honā bhī nahīñ aur tirā kahlānā bhī
ḳhud ko pahchān ke dekhe to zarā ye dariyā
bhuul jā.egā samundar kī taraf jaanā bhī
jānñe vāloñ kī is bhiiḌ se kyā hogā 'vasīm'
is meñ ye dekhiye koī mujhe pahchānā bhī
kitna dushwar tha duniya ye hunar aana bhi
tujh se hi fasla rakhna tujhe apnana bhi
kaisi aadab-e-numaish ne lagain sharten
phul hona hi nahin phul nazar aana bhi
dil ki bigDi hui aadat se ye ummid na thi
bhul jaega ye ek din tera yaad aana bhi
jaane kab shahr ke rishton ka badal jae mizaj
itna aasan to nahin lauT ke ghar aana bhi
aise rishte ka bharam rakhna koi khel nahin
tera hona bhi nahin aur tera kahlana bhi
KHud ko pahchan ke dekhe to zara ye dariya
bhul jaega samundar ki taraf jaana bhi
jaanne walon ki is bhiD se kya hoga 'wasim'
is mein ye dekhiye koi mujhe pahchana bhi
जहाँ दरिया कहीं अपने किनारे छोड़ देता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
जहाँ दरिया कहीं अपने किनारे छोड़ देता है
कोई उठता है और तूफ़ान का रुख़ मोड़ देता है
मुझे बे-दस्त-ओ-पा कर के भी ख़ौफ़ उस का नहीं जाता
कहीं भी हादिसा गुज़रे वो मुझ से जोड़ देता है
बिछड़ के तुझ से कुछ जाना अगर तो इस क़दर जाना
वो मिट्टी हूँ जिसे दरिया किनारे छोड़ देता है
मोहब्बत में ज़रा सी बेवफ़ाई तो ज़रूरी है
वही अच्छा भी लगता है जो वा'दे तोड़ देता है
jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
jahāñ dariyā kahīñ apne kināre chhoḌ detā hai
koī uThtā hai aur tūfān kā ruḳh moḌ detā hai
mujhe be-dast-o-pā kar ke bhī ḳhauf us kā nahīñ jaatā
kahīñ bhī hādisa guzre vo mujh se joḌ detā hai
bichhaḌ ke tujh se kuchh jaanā agar to is qadar jaanā
vo miTTī huuñ jise dariyā kināre chhoḌ detā hai
mohabbat meñ zarā sī bevafā.ī to zarūrī hai
vahī achchhā bhī lagtā hai jo va.ade toḌ detā hai
jahan dariya kahin apne kinare chhoD deta hai
koi uThta hai aur tufan ka ruKH moD deta hai
mujhe be-dast-o-pa kar ke bhi KHauf us ka nahin jata
kahin bhi hadisa guzre wo mujh se joD deta hai
bichhaD ke tujh se kuchh jaana agar to is qadar jaana
wo miTTi hun jise dariya kinare chhoD deta hai
mohabbat mein zara si bewafai to zaruri hai
wahi achchha bhi lagta hai jo wade toD deta hai
अपने अंदाज़ का अकेला था वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
अपने अंदाज़ का अकेला था
इस लिए मैं बड़ा अकेला था
प्यार तो जन्म का अकेला था
क्या मिरा तजरबा अकेला था
साथ तेरा न कुछ बदल पाया
मेरा ही रास्ता अकेला था
बख़्शिश-ए-बे-हिसाब के आगे
मेरा दस्त-ए-दुआ' अकेला था
तेरी समझौते-बाज़ दुनिया में
कौन मेरे सिवा अकेला था
जो भी मिलता गले लगा लेता
किस क़दर आइना अकेला था
apne andaz ka akela tha Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
apne andāz kā akelā thā
is liye maiñ baḌā akelā thā
pyaar to janm kā akelā thā
kyā mirā tajraba akelā thā
saath terā na kuchh badal paayā
merā hī rāsta akelā thā
baḳhshish-e-be-hisāb ke aage
merā dast-e-duā akelā thā
terī samjhaute-bāz duniyā meñ
kaun mere sivā akelā thā
jo bhī miltā gale lagā letā
kis qadar aa.inā akelā thā
apne andaz ka akela tha
is liye main baDa akela tha
pyar to janm ka akela tha
kya mera tajraba akela tha
sath tera na kuchh badal paya
mera hi rasta akela tha
baKHshish-e-be-hisab ke aage
mera dast-e-dua akela tha
teri samjhaute-baz duniya mein
kaun mere siwa akela tha
jo bhi milta gale laga leta
kis qadar aaina akela tha
खुल के मिलने का सलीक़ा आप को आता नहीं वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
खुल के मिलने का सलीक़ा आप को आता नहीं
और मेरे पास कोई चोर दरवाज़ा नहीं
वो समझता था उसे पा कर ही मैं रह जाऊँगा
उस को मेरी प्यास की शिद्दत का अंदाज़ा नहीं
जा दिखा दुनिया को मुझ को क्या दिखाता है ग़ुरूर
तू समुंदर है तो है मैं तो मगर प्यासा नहीं
कोई भी दस्तक करे आहट हो या आवाज़ दे
मेरे हाथों में मिरा घर तो है दरवाज़ा नहीं
अपनों को अपना कहा चाहे किसी दर्जे के हों
और जब ऐसा किया मैं ने तो शरमाया नहीं
उस की महफ़िल में उन्हीं की रौशनी जिन के चराग़
मैं भी कुछ होता तो मेरा भी दिया होता नहीं
तुझ से क्या बिछड़ा मिरी सारी हक़ीक़त खुल गई
अब कोई मौसम मिले तो मुझ से शरमाता नहीं
khul ke milne ka saliqa aapko aata nahin
Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
khul ke milne kā salīqa aap ko aatā nahīñ
aur mere paas koī chor darvāza nahīñ
vo samajhtā thā use pā kar hī maiñ rah jā.ūñgā
us ko merī pyaas kī shiddat kā andāza nahīñ
jā dikhā duniyā ko mujh ko kyā dikhātā hai ġhurūr
tū samundar hai to hai maiñ to magar pyāsā nahīñ
koī bhī dastak kare aahaT ho yā āvāz de
mere hāthoñ meñ mirā ghar to hai darvāza nahīñ
apnoñ ko apnā kahā chāhe kisī darje ke hoñ
aur jab aisā kiyā maiñ ne to sharmāyā nahīñ
us kī mahfil meñ unhīñ kī raushnī jin ke charāġh
maiñ bhī kuchh hotā to merā bhī diyā hotā nahīñ
tujh se kyā bichhḌā mirī saarī haqīqat khul ga.ī
ab koī mausam mile to mujh se sharmātā nahīñ
khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin
aur mere pas koi chor darwaza nahin
wo samajhta tha use pa kar hi main rah jaunga
us ko meri pyas ki shiddat ka andaza nahin
ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur
tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin
koi bhi dastak kare aahaT ho ya aawaz de
mere hathon mein mera ghar to hai darwaza nahin
apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon
aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin
us ki mahfil mein unhin ki raushni jin ke charagh
main bhi kuchh hota to mera bhi diya hota nahin
tujh se kya bichhDa meri sari haqiqat khul gai
ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin
मेरे ग़म को जो अपना बताते रहे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मेरे ग़म को जो अपना बताते रहे
वक़्त पड़ने पे हाथों से जाते रहे
बारिशें आईं और फ़ैसला कर गईं
लोग टूटी छतें आज़माते रहे
आँखें मंज़र हुईं कान नग़्मा हुए
घर के अंदाज़ ही घर से जाते रहे
शाम आई तो बिछड़े हुए हम-सफ़र
आँसुओं से इन आँखों में आते रहे
नन्हे बच्चों ने छू भी लिया चाँद को
बूढ़े बाबा कहानी सुनाते रहे
दूर तक हाथ में कोई पत्थर न था
फिर भी हम जाने क्यूँ सर बचाते रहे
शाइरी ज़हर थी क्या करें ऐ 'वसीम'
लोग पीते रहे हम पिलाते रहे
mere gham ko jo apna batate rahe Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
mere ġham ko jo apnā batāte rahe
vaqt paḌne pe hāthoñ se jaate rahe
bārisheñ aa.iiñ aur faisla kar ga.iiñ
log TuuTī chhateñ āzmāte rahe
āñkheñ manzar huiiñ kaan naġhma hue
ghar ke andāz hī ghar se jaate rahe
shaam aa.ī to bichhḌe hue ham-safar
āñsuoñ se in āñkhoñ meñ aate rahe
nanhe bachchoñ ne chhū bhī liyā chāñd ko
būḌhe baabā kahānī sunāte rahe
duur tak haath meñ koī patthar na thā
phir bhī ham jaane kyuuñ sar bachāte rahe
shā.irī zahr thī kyā kareñ ai 'vasīm'
log piite rahe ham pilāte rahe
mere gham ko jo apna batate rahe
waqt paDne pe hathon se jate rahe
barishen aain aur faisla kar gain
log TuTi chhaten aazmate rahe
aankhen manzar huin kan naghma hue
ghar ke andaz hi ghar se jate rahe
sham aai to bichhDe hue ham-safar
aansuon se in aankhon mein aate rahe
nanhe bachchon ne chhu bhi liya chand ko
buDhe baba kahani sunate rahe
dur tak hath mein koi patthar na tha
phir bhi hum jaane kyun sar bachate rahe
shairi zahr thi kya karen ai 'wasim'
log pite rahe hum pilate rahe
ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
ये है तो सब के लिए हो ये ज़िद हमारी है
इस एक बात पे दुनिया से जंग जारी है
उड़ान वालो उड़ानों पे वक़्त भारी है
परों की अब के नहीं हौसलों की बारी है
मैं क़तरा हो के भी तूफ़ाँ से जंग लेता हूँ
मुझे बचाना समुंदर की ज़िम्मेदारी है
इसी से जलते हैं सहरा-ए-आरज़ू में चराग़
ये तिश्नगी तो मुझे ज़िंदगी से प्यारी है
कोई बताए ये उस के ग़ुरूर-ए-बेजा को
वो जंग मैं ने लड़ी ही नहीं जो हारी है
हर एक साँस पे पहरा है बे-यक़ीनी का
ये ज़िंदगी तो नहीं मौत की सवारी है
दुआ करो कि सलामत रहे मिरी हिम्मत
ये इक चराग़ कई आँधियों पे भारी है
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamārī hai
is ek baat pe duniyā se jañg jaarī hai
uḌaan vaalo uḌānoñ pe vaqt bhārī hai
paroñ kī ab ke nahīñ hausloñ kī baarī hai
maiñ qatra ho ke bhī tūfāñ se jañg letā huuñ
mujhe bachānā samundar kī zimmedārī hai
isī se jalte haiñ sahrā-e-ārzū meñ charāġh
ye tishnagī to mujhe zindagī se pyārī hai
koī batā.e ye us ke ġhurūr-e-bejā ko
vo jañg maiñ ne laḌī hī nahīñ jo haarī hai
har ek saañs pe pahrā hai be-yaqīnī kā
ye zindagī to nahīñ maut kī savārī hai
duā karo ki salāmat rahe mirī himmat
ye ik charāġh ka.ī āñdhiyoñ pe bhārī hai
ye hai to sab ke liye ho ye zid hamari hai
is ek baat pe duniya se jang jari hai
uDan walo uDanon pe waqt bhaari hai
paron ki ab ke nahin hauslon ki bari hai
main qatra ho ke bhi tufan se jang leta hun
mujhe bachana samundar ki zimmedari hai
isi se jalte hain sahra-e-arzu mein charagh
ye tishnagi to mujhe zindagi se pyari hai
koi batae ye us ke ghurur-e-beja ko
wo jang main ne laDi hi nahin jo haari hai
har ek sans pe pahra hai be-yaqini ka
ye zindagi to nahin maut ki sawari hai
dua karo ki salamat rahe meri himmat
ye ek charagh kai aandhiyon pe bhaari hai
हमारा अज़्म-ए-सफ़र कब किधर का हो जाए वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
हमारा अज़्म-ए-सफ़र कब किधर का हो जाए
ये वो नहीं जो किसी रहगुज़र का हो जाए
उसी को जीने का हक़ है जो इस ज़माने में
इधर का लगता रहे और उधर का हो जाए
खुली हवाओं में उड़ना तो उस की फ़ितरत है
परिंदा क्यूँ किसी शाख़-ए-शजर का हो जाए
मैं लाख चाहूँ मगर हो तो ये नहीं सकता
कि तेरा चेहरा मिरी ही नज़र का हो जाए
मिरा न होने से क्या फ़र्क़ उस को पड़ना है
पता चले जो किसी कम-नज़र का हो जाए
वसीम' सुब्ह की तन्हाई-ए-सफ़र सोचो
मुशाएरा तो चलो रात भर का हो जाए
hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
hamārā azm-e-safar kab kidhar kā ho jaa.e
ye vo nahīñ jo kisī rahguzar kā ho jaa.e
usī ko jiine kā haq hai jo is zamāne meñ
idhar kā lagtā rahe aur udhar kā ho jaa.e
khulī havāoñ meñ uḌnā to us kī fitrat hai
parinda kyuuñ kisī shāḳh-e-shajar kā ho jaa.e
maiñ laakh chāhūñ magar ho to ye nahīñ saktā
ki terā chehrā mirī hī nazar kā ho jaa.e
mirā na hone se kyā farq us ko paḌnā hai
pata chale jo kisī kam-nazar kā ho jaa.e
vasīm' sub.h kī tanhā.i-e-safar socho
mushā.era to chalo raat bhar kā ho jaa.e
hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae
ye wo nahin jo kisi rahguzar ka ho jae
usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein
idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae
khuli hawaon mein uDna to us ki fitrat hai
parinda kyun kisi shaKH-e-shajar ka ho jae
main lakh chahun magar ho to ye nahin sakta
ki tera chehra meri hi nazar ka ho jae
mera na hone se kya farq us ko paDna hai
pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jae
wasim' subh ki tanhai-e-safar socho
mushaera to chalo raat bhar ka ho jae
दूर से ही बस दरिया दरिया लगता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
दूर से ही बस दरिया दरिया लगता है
डूब के देखो कितना प्यासा लगता है
तन्हा हो तो घबराया सा लगता है
भीड़ में उस को देख के अच्छा लगता है
आज ये है कल और यहाँ होगा कोई
सोचो तो सब खेल-तमाशा लगता है
मैं ही न मानूँ मेरे बिखरने में वर्ना
दुनिया भर को हाथ तुम्हारा लगता है
ज़ेहन से काग़ज़ पर तस्वीर उतरते ही
एक मुसव्विर कितना अकेला लगता है
प्यार के इस नश्शा को कोई क्या समझे
ठोकर में जब सारा ज़माना लगता है
भीड़ में रह कर अपना भी कब रह पाता
चाँद अकेला है तो सब का लगता है
शाख़ पे बैठी भोली-भाली इक चिड़िया
क्या जाने उस पर भी निशाना लगता है
dur se hi bas dariya dariya lagta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
duur se hī bas dariyā dariyā lagtā hai
Duub ke dekho kitnā pyāsā lagtā hai
tanhā ho to ghabrāyā sā lagtā hai
bhiiḌ meñ us ko dekh ke achchhā lagtā hai
aaj ye hai kal aur yahāñ hogā koī
socho to sab khel-tamāshā lagtā hai
maiñ hī na mānūñ mere bikharne meñ varna
duniyā bhar ko haath tumhārā lagtā hai
zehn se kāġhaz par tasvīr utarte hī
ek musavvir kitnā akelā lagtā hai
pyaar ke is nashsha ko koī kyā samjhe
Thokar meñ jab saarā zamāna lagtā hai
bhiiḌ meñ rah kar apnā bhī kab rah paatā
chāñd akelā hai to sab kā lagtā hai
shāḳh pe baiThī bholī-bhālī ik chiḌiyā
kyā jaane us par bhī nishāna lagtā hai
dur se hi bas dariya dariya lagta hai
Dub ke dekho kitna pyasa lagta hai
tanha ho to ghabraya sa lagta hai
bhiD mein us ko dekh ke achchha lagta hai
aaj ye hai kal aur yahan hoga koi
socho to sab khel-tamasha lagta hai
main hi na manun mere bikharne mein warna
duniya bhar ko hath tumhaara lagta hai
zehn se kaghaz par taswir utarte hi
ek musawwir kitna akela lagta hai
pyar ke is nashsha ko koi kya samjhe
Thokar mein jab sara zamana lagta hai
bhiD mein rah kar apna bhi kab rah pata
chand akela hai to sab ka lagta hai
shaKH pe baiThi bholi-bhaali ek chiDiya
kya jaane us par bhi nishana lagta hai
बीते हुए दिन ख़ुद को जब दोहराते हैं वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
बीते हुए दिन ख़ुद को जब दोहराते हैं
एक से जाने हम कितने हो जाते हैं
हम भी दिल की बात कहाँ कह पाते हैं
आप भी कुछ कहते कहते रह जाते हैं
ख़ुश्बू अपने रस्ते ख़ुद तय करती है
फूल तो डाली के हो कर रह जाते हैं
रोज़ नया इक क़िस्सा कहने वाले लोग
कहते कहते ख़ुद क़िस्सा हो जाते हैं
कौन बचाएगा फिर तोड़ने वालों से
फूल अगर शाख़ों से धोखा खाते हैं
bite hue din KHud ko jab dohraate hain Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
biite hue din ḳhud ko jab dohrāte haiñ
ek se jaane ham kitne ho jaate haiñ
ham bhī dil kī baat kahāñ kah paate haiñ
aap bhī kuchh kahte kahte rah jaate haiñ
ḳhushbū apne raste ḳhud tai kartī hai
phuul to Daalī ke ho kar rah jaate haiñ
roz nayā ik qissa kahne vaale log
kahte kahte ḳhud qissa ho jaate haiñ
kaun bachā.egā phir toḌne vāloñ se
phuul agar shāḳhoñ se dhokā khāte haiñ
bite hue din KHud ko jab dohraate hain
ek se jaane hum kitne ho jate hain
hum bhi dil ki baat kahan kah pate hain
aap bhi kuchh kahte kahte rah jate hain
KHushbu apne raste KHud tai karti hai
phul to Dali ke ho kar rah jate hain
roz naya ek qissa kahne wale log
kahte kahte KHud qissa ho jate hain
kaun bachaega phir toDne walon se
phul agar shaKHon se dhoka khate hain
तू समझता है कि रिश्तों की दुहाई देंगे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
तू समझता है कि रिश्तों की दुहाई देंगे
हम तो वो हैं तिरे चेहरे से दिखाई देंगे
हम को महसूस किया जाए है ख़ुश्बू की तरह
हम कोई शोर नहीं हैं जो सुनाई देंगे
फ़ैसला लिक्खा हुआ रक्खा है पहले से ख़िलाफ़
आप क्या ख़ाक अदालत में सफ़ाई देंगे
पिछली सफ़ में ही सही है तो इसी महफ़िल में
आप देखेंगे तो हम क्यूँ न दिखाई देंगे
tu samajhta hai ki rishton ki duhai denge Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
tū samajhtā hai ki rishtoñ kī duhā.ī deñge
ham to vo haiñ tire chehre se dikhā.ī deñge
ham ko mahsūs kiyā jaa.e hai ḳhushbū kī tarah
ham koī shor nahīñ haiñ jo sunā.ī deñge
faisla likkhā huā rakkhā hai pahle se ḳhilāf
aap kyā ḳhaak adālat meñ safā.ī deñge
pichhlī saf meñ hī sahī hai to isī mahfil meñ
aap dekheñge to ham kyuuñ na dikhā.ī deñge
tu samajhta hai ki rishton ki duhai denge
hum to wo hain tere chehre se dikhai denge
hum ko mahsus kiya jae hai KHushbu ki tarah
hum koi shor nahin hain jo sunai denge
faisla likkha hua rakkha hai pahle se KHilaf
aap kya KHak adalat mein safai denge
pichhli saf mein hi sahi hai to isi mahfil mein
aap dekhenge to hum kyun na dikhai denge
मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मुझे तो क़तरा ही होना बहुत सताता है
इसी लिए तो समुंदर पे रहम आता है
वो इस तरह भी मिरी अहमियत घटाता है
कि मुझ से मिलने में शर्तें बहुत लगाता है
बिछड़ते वक़्त किसी आँख में जो आता है
तमाम उम्र वो आँसू बहुत रुलाता है
कहाँ पहुँच गई दुनिया उसे पता ही नहीं
जो अब भी माज़ी के क़िस्से सुनाए जाता है
उठाए जाएँ जहाँ हाथ ऐसे जलसे में
वही बुरा जो कोई मसअला उठाता है
न कोई ओहदा न डिग्री न नाम की तख़्ती
मैं रह रहा हूँ यहाँ मेरा घर बताता है
समझ रहा हो कहीं ख़ुद को मेरी कमज़ोरी
तो उस से कह दो मुझे भूलना भी आता है
mujhe to qatra hi hona bahut satata hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
mujhe to qatra hī honā bahut satātā hai
isī liye to samundar pe rahm aatā hai
vo is tarah bhī mirī ahmiyat ghaTātā hai
ki mujh se milne meñ sharteñ bahut lagātā hai
bichhaḌte vaqt kisī aañkh meñ jo aatā hai
tamām umr vo aañsū bahut rulātā hai
kahāñ pahuñch ga.ī duniyā use pata hī nahīñ
jo ab bhī maazī ke qisse sunā.e jaatā hai
uThā.e jaa.eñ jahāñ haath aise jalse meñ
vahī burā jo koī mas.ala uThātā hai
na koī ohda na degrē na naam kī taḳhtī
maiñ rah rahā huuñ yahāñ merā ghar batātā hai
samajh rahā ho kahīñ ḳhud ko merī kamzorī
to us se kah do mujhe bhūlnā bhī aatā hai
mujhe to qatra hi hona bahut satata hai
isi liye to samundar pe rahm aata hai
wo is tarah bhi meri ahmiyat ghaTata hai
ki mujh se milne mein sharten bahut lagata hai
bichhaDte waqt kisi aankh mein jo aata hai
tamam umr wo aansu bahut rulata hai
kahan pahunch gai duniya use pata hi nahin
jo ab bhi mazi ke qisse sunae jata hai
uThae jaen jahan hath aise jalse mein
wahi bura jo koi masala uThata hai
na koi ohda na degree na nam ki taKHti
main rah raha hun yahan mera ghar batata hai
samajh raha ho kahin KHud ko meri kamzori
to us se kah do mujhe bhulna bhi aata hai
मैं ये नहीं कहता कि मिरा सर न मिलेगा वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मैं ये नहीं कहता कि मिरा सर न मिलेगा
लेकिन मिरी आँखों में तुझे डर न मिलेगा
सर पर तो बिठाने को है तय्यार ज़माना
लेकिन तिरे रहने को यहाँ घर न मिलेगा
जाती है चली जाए ये मय-ख़ाने की रौनक़
कम-ज़र्फ़ों के हाथों में तो साग़र न मिलेगा
दुनिया की तलब है तो क़नाअत ही न करना
क़तरे ही से ख़ुश हो तो समुंदर न मिलेगा
main ye nahin kahta ki mera sar na milega Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
maiñ ye nahīñ kahtā ki mirā sar na milegā
lekin mirī āñkhoñ meñ tujhe Dar na milegā
sar par to biThāne ko hai tayyār zamāna
lekin tire rahne ko yahāñ ghar na milegā
jaatī hai chalī jaa.e ye mai-ḳhāne kī raunaq
kam-zarfoñ ke hāthoñ meñ to sāġhar na milegā
duniyā kī talab hai to qanā.at hī na karnā
qatre hī se ḳhush ho to samundar na milegā
main ye nahin kahta ki mera sar na milega
lekin meri aankhon mein tujhe Dar na milega
sar par to biThane ko hai tayyar zamana
lekin tere rahne ko yahan ghar na milega
jati hai chali jae ye mai-KHane ki raunaq
kam-zarfon ke hathon mein to saghar na milega
duniya ki talab hai to qanaat hi na karna
qatre hi se KHush ho to samundar na milega
चलो हम ही पहल कर दें कि हम से बद-गुमाँ क्यूँ हो वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
चलो हम ही पहल कर दें कि हम से बद-गुमाँ क्यूँ हो
कोई रिश्ता ज़रा सी ज़िद की ख़ातिर राएगाँ क्यूँ हो
मैं ज़िंदा हूँ तो इस ज़िंदा-ज़मीरी की बदौलत ही
जो बोले तेरे लहजे में भला मेरी ज़बाँ क्यूँ हो
सवाल आख़िर ये इक दिन देखना हम ही उठाएँगे
न समझे जो ज़मीं के ग़म वो अपना आसमाँ क्यूँ हो
हमारी गुफ़्तुगू की और भी सम्तें बहुत सी हैं
किसी का दिल दुखाने ही को फिर अपनी ज़बाँ क्यूँ हो
बिखर कर रह गया हमसायगी का ख़्वाब ही वर्ना
दिए इस घर में रौशन हों तो उस घर में धुआँ क्यूँ हो
मोहब्बत आसमाँ को जब ज़मीं करने की ज़िद ठहरी
तो फिर बुज़दिल उसूलों की शराफ़त दरमियाँ क्यूँ हो
उम्मीदें सारी दुनिया से 'वसीम' और ख़ुद में ऐसे ग़म
किसी पे कुछ न ज़ाहिर हो तो कोई मेहरबाँ क्यूँ हो
chalo hum hi pahal kar den ki humse bad-guman kyun ho Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
chalo ham hī pahal kar deñ ki ham se bad-gumāñ kyuuñ ho
koī rishta zarā sī zid kī ḳhātir rā.egāñ kyuuñ ho
maiñ zinda huuñ to is zinda-zamīrī kī badaulat hī
jo bole tere lahje meñ bhalā merī zabāñ kyuuñ ho
savāl āḳhir ye ik din dekhnā ham hī uThā.eñge
na samjhe jo zamīñ ke ġham vo apnā āsmāñ kyuuñ ho
hamārī guftugū kī aur bhī samteñ bahut sī haiñ
kisī kā dil dukhāne hī ko phir apnī zabāñ kyuuñ ho
bikhar kar rah gayā hamsā.egī kā ḳhvāb hī varna
diye is ghar meñ raushan hoñ to us ghar meñ dhuāñ kyuuñ ho
mohabbat āsmāñ ko jab zamīñ karne kī zid Thahrī
to phir buzdil usūloñ kī sharāfat darmiyāñ kyuuñ ho
ummīdeñ saarī duniyā se 'vasīm' aur ḳhud meñ aise ġham
kisī pe kuchh na zāhir ho to koī mehrbāñ kyuuñ ho
chalo hum hi pahal kar den ki hum se bad-guman kyun ho
koi rishta zara si zid ki KHatir raegan kyun ho
main zinda hun to is zinda-zamiri ki badaulat hi
jo bole tere lahje mein bhala meri zaban kyun ho
sawal aaKHir ye ek din dekhna hum hi uThaenge
na samjhe jo zamin ke gham wo apna aasman kyun ho
hamari guftugu ki aur bhi samten bahut si hain
kisi ka dil dukhane hi ko phir apni zaban kyun ho
bikhar kar rah gaya hamsaegi ka KHwab hi warna
diye is ghar mein raushan hon to us ghar mein dhuan kyun ho
mohabbat aasman ko jab zamin karne ki zid Thahri
to phir buzdil usulon ki sharafat darmiyan kyun ho
ummiden sari duniya se 'wasim' aur KHud mein aise gham
kisi pe kuchh na zahir ho to koi mehrban kyun ho
कुछ इतना ख़ौफ़ का मारा हुआ भी प्यार न हो वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
कुछ इतना ख़ौफ़ का मारा हुआ भी प्यार न हो
वो ए'तिबार दिलाए और ए'तिबार न हो
हवा ख़िलाफ़ हो मौजों पे इख़्तियार न हो
ये कैसी ज़िद है कि दरिया किसी से पार न हो
मैं गाँव लौट रहा हूँ बहुत दिनों के बाद
ख़ुदा करे कि उसे मेरा इंतिज़ार न हो
ज़रा सी बात पे घुट घुट के सुब्ह कर देना
मिरी तरह भी कोई मेरा ग़म-गुसार न हो
दुखी समाज में आँसू भरे ज़माने में
उसे ये कौन बताए कि अश्क-बार न हो
गुनाहगारों पे उँगली उठाए देते हो
वसीम' आज कहीं तुम भी संगसार न हो
kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
kuchh itnā ḳhauf kā maarā huā bhī pyaar na ho
vo e'tibār dilā.e aur e'tibār na ho
havā ḳhilāf ho maujoñ pe iḳhtiyār na ho
ye kaisī zid hai ki dariyā kisī se paar na ho
maiñ gaañv lauT rahā huuñ bahut dinoñ ke baad
ḳhudā kare ki use merā intizār na ho
zarā sī baat pe ghuT ghuT ke sub.h kar denā
mirī tarah bhī koī merā ġham-gusār na ho
dukhī samāj meñ aañsū bhare zamāne meñ
use ye kaun batā.e ki ashk-bār na ho
gunāhgāroñ pe uñglī uThā.e dete ho
vasīm' aaj kahīñ tum bhī sañgsār na ho
kuchh itna KHauf ka mara hua bhi pyar na ho
wo e'tibar dilae aur e'tibar na ho
hawa KHilaf ho maujon pe iKHtiyar na ho
ye kaisi zid hai ki dariya kisi se par na ho
main ganw lauT raha hun bahut dinon ke baad
KHuda kare ki use mera intizar na ho
zara si baat pe ghuT ghuT ke subh kar dena
meri tarah bhi koi mera gham-gusar na ho
dukhi samaj mein aansu bhare zamane mein
use ye kaun batae ki ashk-bar na ho
gunahgaron pe ungli uThae dete ho
wasim' aaj kahin tum bhi sangsar na ho
वो मुझ को क्या बताना चाहता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
वो मुझ को क्या बताना चाहता है
जो दुनिया से छुपाना चाहता है
मुझे देखो कि मैं उस को ही चाहूँ
जिसे सारा ज़माना चाहता है
क़लम करना कहाँ है उस का मंशा
वो मेरा सर झुकाना चाहता है
शिकायत का धुआँ आँखों से दिल तक
तअ'ल्लुक़ टूट जाना चाहता है
तक़ाज़ा वक़्त का कुछ भी हो ये दिल
वही क़िस्सा पुराना चाहता है
wo mujhko kya batana chahta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
vo mujh ko kyā batānā chāhtā hai
jo duniyā se chhupānā chāhtā hai
mujhe dekho ki maiñ us ko hī chāhūñ
jise saarā zamāna chāhtā hai
qalam karnā kahāñ hai us kā manshā
vo merā sar jhukānā chāhtā hai
shikāyat kā dhuāñ āñkhoñ se dil tak
ta.alluq TuuT jaanā chāhtā hai
taqāza vaqt kā kuchh bhī ho ye dil
vahī qissa purānā chāhtā hai
wo mujh ko kya batana chahta hai
jo duniya se chhupana chahta hai
mujhe dekho ki main us ko hi chahun
jise sara zamana chahta hai
qalam karna kahan hai us ka mansha
wo mera sar jhukana chahta hai
shikayat ka dhuan aankhon se dil tak
talluq TuT jaana chahta hai
taqaza waqt ka kuchh bhi ho ye dil
wahi qissa purana chahta hai
नहीं कि अपना ज़माना भी तो नहीं आया वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
नहीं कि अपना ज़माना भी तो नहीं आया
हमें किसी से निभाना भी तो नहीं आया
जला के रख लिया हाथों के साथ दामन तक
तुम्हें चराग़ बुझाना भी तो नहीं आया
नए मकान बनाए तो फ़ासलों की तरह
हमें ये शहर बसाना भी तो नहीं आया
वो पूछता था मिरी आँख भीगने का सबब
मुझे बहाना बनाना भी तो नहीं आया
वसीम' देखना मुड़ मुड़ के वो उसी की तरफ़
किसी को छोड़ के जाना भी तो नहीं आया
nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
nahīñ ki apnā zamāna bhī to nahīñ aayā
hameñ kisī se nibhānā bhī to nahīñ aayā
jalā ke rakh liyā hāthoñ ke saath dāman tak
tumheñ charāġh bujhānā bhī to nahīñ aayā
na.e makān banā.e to fāsloñ kī tarah
hameñ ye shahr basānā bhī to nahīñ aayā
vo pūchhtā thā mirī aañkh bhīgne kā sabab
mujhe bahāna banānā bhī to nahīñ aayā
vasīm' dekhnā muḌ muḌ ke vo usī kī taraf
kisī ko chhoḌ ke jaanā bhī to nahīñ aayā
nahin ki apna zamana bhi to nahin aaya
hamein kisi se nibhana bhi to nahin aaya
jala ke rakh liya hathon ke sath daman tak
tumhein charagh bujhana bhi to nahin aaya
nae makan banae to faslon ki tarah
hamein ye shahr basana bhi to nahin aaya
wo puchhta tha meri aankh bhigne ka sabab
mujhe bahana banana bhi to nahin aaya
wasim' dekhna muD muD ke wo usi ki taraf
kisi ko chhoD ke jaana bhi to nahin aaya
तुम्हारी राह में मिट्टी के घर नहीं आते वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
तुम्हारी राह में मिट्टी के घर नहीं आते
इसी लिए तो तुम्हें हम नज़र नहीं आते
मोहब्बतों के दिनों की यही ख़राबी है
ये रूठ जाएँ तो फिर लौट कर नहीं आते
जिन्हें सलीक़ा है तहज़ीब-ए-ग़म समझने का
उन्हीं के रोने में आँसू नज़र नहीं आते
ख़ुशी की आँख में आँसू की भी जगह रखना
बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते
बिसात-ए-इश्क़ पे बढ़ना किसे नहीं आता
ये और बात कि बचने के घर नहीं आते
वसीम' ज़ेहन बनाते हैं तो वही अख़बार
जो ले के एक भी अच्छी ख़बर नहीं आते
tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
tumhārī raah meñ miTTī ke ghar nahīñ aate
isī liye to tumheñ ham nazar nahīñ aate
mohabbatoñ ke dinoñ kī yahī ḳharābī hai
ye ruuTh jaa.eñ to phir lauT kar nahīñ aate
jinheñ salīqa hai tahzīb-e-ġham samajhne kā
unhīñ ke rone meñ aañsū nazar nahīñ aate
ḳhushī kī aañkh meñ aañsū kī bhī jagah rakhnā
bure zamāne kabhī pūchh kar nahīñ aate
bisāt-e-ishq pe baḌhnā kise nahīñ aatā
ye aur baat ki bachne ke ghar nahīñ aate
vasīm' zehn banāte haiñ to vahī aḳhbār
jo le ke ek bhī achchhī ḳhabar nahīñ aate
tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
isi liye to tumhein hum nazar nahin aate
mohabbaton ke dinon ki yahi KHarabi hai
ye ruTh jaen to phir lauT kar nahin aate
jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka
unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate
KHushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
bure zamane kabhi puchh kar nahin aate
bisat-e-ishq pe baDhna kise nahin aata
ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate
wasim' zehn banate hain to wahi aKHbar
jo le ke ek bhi achchhi KHabar nahin aate
उसे समझने का कोई तो रास्ता निकले वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
उसे समझने का कोई तो रास्ता निकले
मैं चाहता भी यही था वो बेवफ़ा निकले
किताब-ए-माज़ी के औराक़ उलट के देख ज़रा
न जाने कौन सा सफ़हा मुड़ा हुआ निकले
मैं तुझ से मिलता तो तफ़्सील में नहीं जाता
मिरी तरफ़ से तिरे दिल में जाने क्या निकले
जो देखने में बहुत ही क़रीब लगता है
उसी के बारे में सोचो तो फ़ासला निकले
तमाम शहर की आँखों में सुर्ख़ शो'ले हैं
वसीम' घर से अब ऐसे में कोई क्या निकले
use samajhne ka koi to rasta nikle Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
use samajhne kā koī to rāsta nikle
maiñ chāhtā bhī yahī thā vo bevafā nikle
kitāb-e-māzī ke aurāq ulaT ke dekh zarā
na jaane kaun sā saf.ha muḌā huā nikle
maiñ tujh se miltā to tafsīl meñ nahīñ jaatā
mirī taraf se tire dil meñ jaane kyā nikle
jo dekhne meñ bahut hī qarīb lagtā hai
usī ke baare meñ socho to fāsla nikle
tamām shahr kī āñkhoñ meñ surḳh sho.ale haiñ
vasīm' ghar se ab aise meñ koī kyā nikle
use samajhne ka koi to rasta nikle
main chahta bhi yahi tha wo bewafa nikle
kitab-e-mazi ke auraq ulaT ke dekh zara
na jaane kaun sa safha muDa hua nikle
main tujh se milta to tafsil mein nahin jata
meri taraf se tere dil mein jaane kya nikle
jo dekhne mein bahut hi qarib lagta hai
usi ke bare mein socho to fasla nikle
tamam shahr ki aankhon mein surKH shoale hain
wasim' ghar se ab aise mein koi kya nikle
तहरीर से वर्ना मिरी क्या हो नहीं सकता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
तहरीर से वर्ना मिरी क्या हो नहीं सकता
इक तू है जो लफ़्ज़ों में अदा हो नहीं सकता
आँखों में ख़यालात में साँसों में बसा है
चाहे भी तो मुझ से वो जुदा हो नहीं सकता
जीना है तो ये जब्र भी सहना ही पड़ेगा
क़तरा हूँ समुंदर से ख़फ़ा हो नहीं सकता
गुमराह किए होंगे कई फूल से जज़्बे
ऐसे तो कोई राह-नुमा हो नहीं सकता
क़द मेरा बढ़ाने का उसे काम मिला है
जो अपने ही पैरों पे खड़ा हो नहीं सकता
ऐ प्यार तिरे हिस्से में आया तिरी क़िस्मत
वो दर्द जो चेहरों से अदा हो नहीं सकता
tahrir se warna meri kya ho nahin sakta Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
tahrīr se varna mirī kyā ho nahīñ saktā
ik tū hai jo lafzoñ meñ adā ho nahīñ saktā
āñkhoñ meñ ḳhayālāt meñ sāñsoñ meñ basā hai
chāhe bhī to mujh se vo judā ho nahīñ saktā
jiinā hai to ye jabr bhī sahnā hī paḌegā
qatra huuñ samundar se ḳhafā ho nahīñ saktā
gumrāh kiye hoñge ka.ī phuul se jazbe
aise to koī rāh-numā ho nahīñ saktā
qad merā baḌhāne kā use kaam milā hai
jo apne hī pairoñ pe khaḌā ho nahīñ saktā
ai pyaar tire hisse meñ aayā tirī qismat
vo dard jo chehroñ se adā ho nahīñ saktā
tahrir se warna meri kya ho nahin sakta
ek tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta
aankhon mein KHayalat mein sanson mein basa hai
chahe bhi to mujh se wo juda ho nahin sakta
jina hai to ye jabr bhi sahna hi paDega
qatra hun samundar se KHafa ho nahin sakta
gumrah kiye honge kai phul se jazbe
aise to koi rah-numa ho nahin sakta
qad mera baDhane ka use kaam mila hai
jo apne hi pairon pe khaDa ho nahin sakta
ai pyar tere hisse mein aaya teri qismat
wo dard jo chehron se ada ho nahin sakta
हम अपने आप को इक मसअला बना न सके वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
हम अपने आप को इक मसअला बना न सके
इसी लिए तो किसी की नज़र में आ न सके
हम आँसुओं की तरह वास्ते निभा न सके
रहे जिन आँखों में उन में ही घर बना न सके
फिर आँधियों ने सिखाया वहाँ सफ़र का हुनर
जहाँ चराग़ हमें रास्ता दिखा न सके
जो पेश पेश थे बस्ती बचाने वालों में
लगी जब आग तो अपना भी घर बचा न सके
मिरे ख़ुदा किसी ऐसी जगह उसे रखना
जहाँ कोई मिरे बारे में कुछ बता न सके
तमाम उम्र की कोशिश का बस यही हासिल
किसी को अपने मुताबिक़ कोई बना न सके
तसल्लियों पे बहुत दिन जिया नहीं जाता
कुछ ऐसा हो के तिरा ए'तिबार आ न सके
hum apne aapko ek masala bana na sake Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
ham apne aap ko ik mas.ala banā na sake
isī liye to kisī kī nazar meñ aa na sake
ham āñsuoñ kī tarah vāste nibhā na sake
rahe jin āñkhoñ meñ un meñ hī ghar banā na sake
phir āñdhiyoñ ne sikhāyā vahāñ safar kā hunar
jahāñ charāġh hameñ rāsta dikhā na sake
jo pesh pesh the bastī bachāne vāloñ meñ
lagī jab aag to apnā bhī ghar bachā na sake
mire ḳhudā kisī aisī jagah use rakhnā
jahāñ koī mire baare meñ kuchh batā na sake
tamām umr kī koshish kā bas yahī hāsil
kisī ko apne mutābiq koī banā na sake
tasalliyoñ pe bahut din jiyā nahīñ jaatā
kuchh aisā ho ke tirā e.atibār aa na sake
hum apne aap ko ek masala bana na sake
isi liye to kisi ki nazar mein aa na sake
hum aansuon ki tarah waste nibha na sake
rahe jin aankhon mein un mein hi ghar bana na sake
phir aandhiyon ne sikhaya wahan safar ka hunar
jahan charagh hamein rasta dikha na sake
jo pesh pesh the basti bachane walon mein
lagi jab aag to apna bhi ghar bacha na sake
mere KHuda kisi aisi jagah use rakhna
jahan koi mere bare mein kuchh bata na sake
tamam umr ki koshish ka bas yahi hasil
kisi ko apne mutabiq koi bana na sake
tasalliyon pe bahut din jiya nahin jata
kuchh aisa ho ke tera eatibar aa na sake
निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते
यहाँ मंज़र ही ऐसे हैं कि दिल भरने नहीं देते
ये लोग औरों के दुख जीने निकल आए हैं सड़कों पर
अगर अपना ही ग़म होता तो यूँ धरने नहीं देते
यही क़तरे जो दम अपना दिखाने पर उतर आते
समुंदर ऐसी मन-मानी तुझे करने नहीं देते
क़लम मैं तो उठा के जाने कब का रख चुका होता
मगर तुम हो के क़िस्सा मुख़्तसर करने नहीं देते
हमीं उन से उमीदें आसमाँ छूने की करते हैं
हमीं बच्चों को अपने फ़ैसले करने नहीं देते
nigahon ke taqaze chain se marne nahin dete Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
nigāhoñ ke taqāze chain se marne nahīñ dete
yahāñ manzar hī aise haiñ ki dil bharne nahīñ dete
ye log auroñ ke dukh jiine nikal aa.e haiñ saḌkoñ par
agar apnā hī ġham hotā to yuuñ dharne nahīñ dete
yahī qatre jo dam apnā dikhāne par utar aate
samundar aisī man-mānī tujhe karne nahīñ dete
qalam maiñ to uThā ke jaane kab kā rakh chukā hotā
magar tum ho ke qissa muḳhtasar karne nahīñ dete
hamīñ un se umīdeñ āsmāñ chhūne kī karte haiñ
hamīñ bachchoñ ko apne faisle karne nahīñ dete
nigahon ke taqaze chain se marne nahin dete
yahan manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete
ye log auron ke dukh jine nikal aae hain saDkon par
agar apna hi gham hota to yun dharne nahin dete
yahi qatre jo dam apna dikhane par utar aate
samundar aisi man-mani tujhe karne nahin dete
qalam main to uTha ke jaane kab ka rakh chuka hota
magar tum ho ke qissa muKHtasar karne nahin dete
hamin un se umiden aasman chhune ki karte hain
hamin bachchon ko apne faisle karne nahin dete
क्या बताऊँ कैसा ख़ुद को दर-ब-दर मैं ने किया वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
क्या बताऊँ कैसा ख़ुद को दर-ब-दर मैं ने किया
उम्र-भर किस किस के हिस्से का सफ़र मैं ने किया
तू तो नफ़रत भी न कर पाएगा इस शिद्दत के साथ
जिस बला का प्यार तुझ से बे-ख़बर मैं ने किया
कैसे बच्चों को बताऊँ रास्तों के पेच-ओ-ख़म
ज़िंदगी-भर तो किताबों का सफ़र मैं ने किया
किस को फ़ुर्सत थी कि बतलाता तुझे इतनी सी बात
ख़ुद से क्या बरताव तुझ से छूट कर मैं ने किया
चंद जज़्बाती से रिश्तों के बचाने को 'वसीम'
कैसा कैसा जब्र अपने आप पर मैं ने किया
kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar maine kiya Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
kyā batā.ūñ kaisā ḳhud ko dar-ba-dar maiñ ne kiyā
umr-bhar kis kis ke hisse kā safar maiñ ne kiyā
tū to nafrat bhī na kar pā.egā is shiddat ke saath
jis balā kā pyaar tujh se be-ḳhabar maiñ ne kiyā
kaise bachchoñ ko batā.ūñ rāstoñ ke pech-o-ḳham
zindagī-bhar to kitāboñ kā safar maiñ ne kiyā
kis ko fursat thī ki batlātā tujhe itnī sī baat
ḳhud se kyā bartāv tujh se chhūT kar maiñ ne kiyā
chand jazbātī se rishtoñ ke bachāne ko 'vasīm'
kaisā kaisā jabr apne aap par maiñ ne kiyā
kya bataun kaisa KHud ko dar-ba-dar main ne kiya
umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya
tu to nafrat bhi na kar paega is shiddat ke sath
jis bala ka pyar tujh se be-KHabar main ne kiya
kaise bachchon ko bataun raston ke pech-o-KHam
zindagi-bhar to kitabon ka safar main ne kiya
kis ko fursat thi ki batlata tujhe itni si baat
KHud se kya bartaw tujh se chhuT kar main ne kiya
chand jazbaati se rishton ke bachane ko 'wasim'
kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya
उदासियों में भी रस्ते निकाल लेता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
उदासियों में भी रस्ते निकाल लेता है
अजीब दिल है गिरूँ तो सँभाल लेता है
ये कैसा शख़्स है कितनी ही अच्छी बात कहो
कोई बुराई का पहलू निकाल लेता है
ढले तो होती है कुछ और एहतियात की उम्र
कि बहते बहते ये दरिया उछाल लेता है
बड़े-बड़ों की तरह-दारियाँ नहीं चलतीं
उरूज तेरी ख़बर जब ज़वाल लेता है
जब उस के जाम में इक बूँद तक नहीं होती
वो मेरी प्यास को फिर भी सँभाल लेता है
udasiyon mein bhi raste nikal leta hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
udāsiyoñ meñ bhī raste nikāl letā hai
ajiib dil hai girūñ to sambhāl letā hai
ye kaisā shaḳhs hai kitnī hī achchhī baat kaho
koī burā.ī kā pahlū nikāl letā hai
Dhale to hotī hai kuchh aur ehtiyāt kī umr
ki bahte bahte ye dariyā uchhāl letā hai
baḌe-baḌoñ kī tarah-dāriyāñ nahīñ chaltīñ
uruuj terī ḳhabar jab zavāl letā hai
jab us ke jaam meñ ik buuñd tak nahīñ hotī
vo merī pyaas ko phir bhī sambhāl letā hai
udasiyon mein bhi raste nikal leta hai
ajib dil hai girun to sambhaal leta hai
ye kaisa shaKHs hai kitni hi achchhi baat kaho
koi burai ka pahlu nikal leta hai
Dhale to hoti hai kuchh aur ehtiyat ki umr
ki bahte bahte ye dariya uchhaal leta hai
baDe-baDon ki tarah-dariyan nahin chaltin
uruj teri KHabar jab zawal leta hai
jab us ke jam mein ek bund tak nahin hoti
wo meri pyas ko phir bhi sambhaal leta hai
कहाँ सवाब कहाँ क्या अज़ाब होता है वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
कहाँ सवाब कहाँ क्या अज़ाब होता है
मोहब्बतों में कब इतना हिसाब होता है
बिछड़ के मुझ से तुम अपनी कशिश न खो देना
उदास रहने से चेहरा ख़राब होता है
उसे पता ही नहीं है कि प्यार की बाज़ी
जो हार जाए वही कामयाब होता है
जब उस के पास गँवाने को कुछ नहीं होता
तो कोई आज का इज़्ज़त-मआब होता है
जिसे मैं लिखता हूँ ऐसे कि ख़ुद ही पढ़ पाँव
किताब-ए-ज़ीस्त में ऐसा भी बाब होता है
बहुत भरोसा न कर लेना अपनी आँखों पर
दिखाई देता है जो कुछ वो ख़्वाब होता है
kahan sawab kahan kya azab hota hai Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
kahāñ savāb kahāñ kyā azaab hotā hai
mohabbatoñ meñ kab itnā hisāb hotā hai
bichhaḌ ke mujh se tum apnī kashish na kho denā
udaas rahne se chehrā ḳharāb hotā hai
use patā hī nahīñ hai ki pyaar kī baazī
jo haar jaa.e vahī kāmyāb hotā hai
jab us ke paas gañvāne ko kuchh nahīñ hotā
to koī aaj kā izzat-ma.āb hotā hai
jise maiñ likhtā huuñ aise ki ḳhud hī paḌh paañv
kitāb-e-zīst meñ aisā bhī baab hotā hai
bahut bharosa na kar lenā apnī āñkhoñ par
dikhā.ī detā hai jo kuchh vo ḳhvāb hotā hai
kahan sawab kahan kya azab hota hai
mohabbaton mein kab itna hisab hota hai
bichhaD ke mujh se tum apni kashish na kho dena
udas rahne se chehra KHarab hota hai
use pata hi nahin hai ki pyar ki bazi
jo haar jae wahi kaamyab hota hai
jab us ke pas ganwane ko kuchh nahin hota
to koi aaj ka izzat-maab hota hai
jise main likhta hun aise ki KHud hi paDh panw
kitab-e-zist mein aisa bhi bab hota hai
bahut bharosa na kar lena apni aankhon par
dikhai deta hai jo kuchh wo KHwab hota hai
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता
हर आदमी के मुक़द्दर में घर नहीं होता
कभी लहू से भी तारीख़ लिखनी पड़ती है
हर एक मा'रका बातों से सर नहीं होता
मैं उस की आँख का आँसू न बन सका वर्ना
मुझे भी ख़ाक में मिलने का डर नहीं होता
मुझे तलाश करोगे तो फिर न पाओगे
मैं इक सदा हूँ सदाओं का घर नहीं होता
हमारी आँख के आँसू की अपनी दुनिया है
किसी फ़क़ीर को शाहों का डर नहीं होता
मैं उस मकान में रहता हूँ और ज़िंदा हूँ
वसीम' जिस में हवा का गुज़र नहीं होता
sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
sabhī kā dhuup se bachne ko sar nahīñ hotā
har aadmī ke muqaddar meñ ghar nahīñ hotā
kabhī lahū se bhī tārīḳh likhnī paḌtī hai
har ek ma.arka bātoñ se sar nahīñ hotā
maiñ us kī aañkh kā aañsū na ban sakā varna
mujhe bhī ḳhaak meñ milne kā Dar nahīñ hotā
mujhe talāsh karoge to phir na pāoge
maiñ ik sadā huuñ sadāoñ kā ghar nahīñ hotā
hamārī aañkh ke aañsū kī apnī duniyā hai
kisī faqīr ko shāhoñ kā Dar nahīñ hotā
maiñ us makān meñ rahtā huuñ aur zinda huuñ
vasīm' jis meñ havā kā guzar nahīñ hotā
sabhi ka dhup se bachne ko sar nahin hota
har aadmi ke muqaddar mein ghar nahin hota
kabhi lahu se bhi tariKH likhni paDti hai
har ek marka baaton se sar nahin hota
main us ki aankh ka aansu na ban saka warna
mujhe bhi KHak mein milne ka Dar nahin hota
mujhe talash karoge to phir na paoge
main ek sada hun sadaon ka ghar nahin hota
hamari aankh ke aansu ki apni duniya hai
kisi faqir ko shahon ka Dar nahin hota
main us makan mein rahta hun aur zinda hun
wasim' jis mein hawa ka guzar nahin hota
तुम साथ नहीं हो तो कुछ अच्छा नहीं लगता वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
तुम साथ नहीं हो तो कुछ अच्छा नहीं लगता
इस शहर में क्या है जो अधूरा नहीं लगता
सीने से लिपटते ही पलट जाने पे ख़ुश हैं
लहरों को किनारों पे भरोसा नहीं लगता
ख़ुद-ग़र्ज़ बना देती है शिद्दत की तलब भी
प्यासे को कोई दूसरा प्यासा नहीं लगता
हर साल नए पत्ते बदल देते हैं तेवर
बूढ़ा है मगर पेड़ पुराना नहीं लगता
tum sath nahin ho to kuchh achchha nahin lagta Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
tum saath nahīñ ho to kuchh achchhā nahīñ lagtā
is shahr meñ kyā hai jo adhūrā nahīñ lagtā
siine se lipaTte hī palaT jaane pe ḳhush haiñ
lahroñ ko kināroñ pe bharosā nahīñ lagtā
ḳhud-ġharz banā detī hai shiddat kī talab bhī
pyāse ko koī dūsrā pyāsā nahīñ lagtā
har saal na.e patte badal dete haiñ tevar
būḌhā hai magar peḌ purānā nahīñ lagtā
tum sath nahin ho to kuchh achchha nahin lagta
is shahr mein kya hai jo adhura nahin lagta
sine se lipaTte hi palaT jaane pe KHush hain
lahron ko kinaron pe bharosa nahin lagta
KHud-gharz bana deti hai shiddat ki talab bhi
pyase ko koi dusra pyasa nahin lagta
har sal nae patte badal dete hain tewar
buDha hai magar peD purana nahin lagta
ज़िंदगी तुझ पे अब इल्ज़ाम कोई क्या रक्खे वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
ज़िंदगी तुझ पे अब इल्ज़ाम कोई क्या रक्खे
अपना एहसास ही ऐसा है जो तन्हा रक्खे
किन शिकस्तों के शब-ओ-रोज़ से गुज़रा होगा
वो मुसव्विर जो हर इक नक़्श अधूरा रक्खे
ख़ुश्क मिट्टी ही ने जब पाँव जमाने न दिए
बहते दरिया से फिर उम्मीद कोई क्या रक्खे
आ ग़म-ए-दोस्त उसी मोड़ पे हो जाऊँ जुदा
जो मुझे मेरा ही रहने दे न तेरा रक्खे
आरज़ूओं के बहुत ख़्वाब तो देखो हो 'वसीम'
जाने किस हाल में बे-दर्द ज़माना रक्खे
zindagi tujh pe ab ilzam koi kya rakkhe Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
zindagī tujh pe ab ilzām koī kyā rakkhe
apnā ehsās hī aisā hai jo tanhā rakkhe
kin shikastoñ ke shab-o-roz se guzrā hogā
vo musavvir jo har ik naqsh adhūrā rakkhe
ḳhushk miTTī hī ne jab paañv jamāne na diye
bahte dariyā se phir ummīd koī kyā rakkhe
aa ġham-e-dost usī moḌ pe ho jā.ūñ judā
jo mujhe merā hī rahne de na terā rakkhe
ārzūoñ ke bahut ḳhvāb to dekho ho 'vasīm'
jaane kis haal meñ be-dard zamāna rakkhe
zindagi tujh pe ab ilzam koi kya rakkhe
apna ehsas hi aisa hai jo tanha rakkhe
kin shikaston ke shab-o-roz se guzra hoga
wo musawwir jo har ek naqsh adhura rakkhe
KHushk miTTi hi ne jab panw jamane na diye
bahte dariya se phir ummid koi kya rakkhe
aa gham-e-dost usi moD pe ho jaun juda
jo mujhe mera hi rahne de na tera rakkhe
aarzuon ke bahut KHwab to dekho ho 'wasim'
jaane kis haal mein be-dard zamana rakkhe
मिरी वफ़ाओं का नश्शा उतारने वाला वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
मिरी वफ़ाओं का नश्शा उतारने वाला
कहाँ गया मुझे हँस हँस के हारने वाला
हमारी जान गई जाए देखना ये है
कहीं नज़र में न आ जाए मारने वाला
बस एक प्यार की बाज़ी है बे-ग़रज़ बाज़ी
न कोई जीतने वाला न कोई हारने वाला
भरे मकाँ का भी अपना नशा है क्या जाने
शराब-ख़ाने में रातें गुज़ारने वाला
मैं उस का दिन भी ज़माने में बाँट कर रख दूँ
वो मेरी रातों को छुप कर गुज़ारने वाला
वसीम' हम भी बिखरने का हौसला करते
हमें भी होता जो कोई सँवारने वाला
meri wafaon ka nashsha utarne wala Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
mirī vafāoñ kā nashsha utārne vaalā
kahāñ gayā mujhe hañs hañs ke hārne vaalā
hamārī jaan ga.ī jaa.e dekhnā ye hai
kahīñ nazar meñ na aa jaa.e mārne vaalā
bas ek pyaar kī baazī hai be-ġharaz baazī
na koī jītne vaalā na koī hārne vaalā
bhare makāñ kā bhī apnā nasha hai kyā jaane
sharāb-ḳhāne meñ rāteñ guzārne vaalā
maiñ us kā din bhī zamāne meñ baañT kar rakh duuñ
vo merī rātoñ ko chhup kar guzārne vaalā
vasīm' ham bhī bikharne kā hausla karte
hameñ bhī hotā jo koī sañvārne vaalā
meri wafaon ka nashsha utarne wala
kahan gaya mujhe hans hans ke haarne wala
hamari jaan gai jae dekhna ye hai
kahin nazar mein na aa jae marne wala
bas ek pyar ki bazi hai be-gharaz bazi
na koi jitne wala na koi haarne wala
bhare makan ka bhi apna nasha hai kya jaane
sharab-KHane mein raaten guzarne wala
main us ka din bhi zamane mein banT kar rakh dun
wo meri raaton ko chhup kar guzarne wala
wasim' hum bhi bikharne ka hausla karte
hamein bhi hota jo koi sanwarne wala
सिर्फ़ तेरा नाम ले कर रह गया वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
सिर्फ़ तेरा नाम ले कर रह गया
आज दीवाना बहुत कुछ कह गया
क्या मिरी तक़दीर में मंज़िल नहीं
फ़ासला क्यूँ मुस्कुरा कर रह गया
ज़िंदगी दुनिया में ऐसा अश्क थी
जो ज़रा पलकों पे ठहरा बह गया
और क्या था उस की पुर्सिश का जवाब
अपने ही आँसू छुपा कर रह गया
उस से पूछ ऐ कामयाब-ए-ज़िंदगी
जिस का अफ़्साना अधूरा रह गया
हाए क्या दीवानगी थी ऐ 'वसीम'
जो न कहना चाहिए था कह गया
sirf tera nam le kar rah gaya
Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
sirf terā naam le kar rah gayā
aaj dīvāna bahut kuchh kah gayā
kyā mirī taqdīr meñ manzil nahīñ
fāsla kyuuñ muskurā kar rah gayā
zindagī duniyā meñ aisā ashk thī
jo zarā palkoñ pe Thahrā bah gayā
aur kyā thā us kī pursish kā javāb
apne hī aañsū chhupā kar rah gayā
us se pūchh ai kāmyāb-e-zindagī
jis kā afsāna adhūrā rah gayā
haa.e kyā dīvāngī thī ai 'vasīm'
jo na kahnā chāhiye thā kah gayā
sirf tera nam le kar rah gaya
aaj diwana bahut kuchh kah gaya
kya meri taqdir mein manzil nahin
fasla kyun muskura kar rah gaya
zindagi duniya mein aisa ashk thi
jo zara palkon pe Thahra bah gaya
aur kya tha us ki pursish ka jawab
apne hi aansu chhupa kar rah gaya
us se puchh ai kaamyab-e-zindagi
jis ka afsana adhura rah gaya
hae kya diwangi thi ai 'wasim'
jo na kahna chahiye tha kah gaya
हवेलियों में मिरी तर्बियत नहीं होती वसीम बरेलवी की ग़ज़ल ग़ज़लें
हवेलियों में मिरी तर्बियत नहीं होती
तो आज सर पे टपकने को छत नहीं होती
हमारे घर का पता पूछने से क्या हासिल
उदासियों की कोई शहरियत नहीं होती
चराग़ घर का हो महफ़िल का हो कि मंदिर का
हवा के पास कोई मस्लहत नहीं होती
हमें जो ख़ुद में सिमटने का फ़न नहीं आता
तो आज ऐसी तिरी सल्तनत नहीं होती
वसीम' शहर में सच्चाइयों के लब होते
तो आज ख़बरों में सब ख़ैरियत नहीं होती
haweliyon mein meri tarbiyat nahin hoti
Waseem Barelvi Ghazal Ghazals
haveliyoñ meñ mirī tarbiyat nahīñ hotī
to aaj sar pe Tapakne ko chhat nahīñ hotī
hamāre ghar kā pata pūchhne se kyā hāsil
udāsiyoñ kī koī shahriyat nahīñ hotī
charāġh ghar kā ho mahfil kā ho ki mandir kā
havā ke paas koī maslahat nahīñ hotī
hameñ jo ḳhud meñ simaTne kā fan nahīñ aatā
to aaj aisī tirī saltanat nahīñ hotī
vasīm' shahr meñ sachchā.iyoñ ke lab hote
to aaj ḳhabroñ meñ sab ḳhairiyat nahīñ hotī
haweliyon mein meri tarbiyat nahin hoti
to aaj sar pe Tapakne ko chhat nahin hoti
hamare ghar ka pata puchhne se kya hasil
udasiyon ki koi shahriyat nahin hoti
charagh ghar ka ho mahfil ka ho ki mandir ka
hawa ke pas koi maslahat nahin hoti
hamein jo KHud mein simaTne ka fan nahin aata
to aaj aisi teri saltanat nahin hoti
wasim' shahr mein sachchaiyon ke lab hote
to aaj KHabron mein sab KHairiyat nahin hoti
Waseem Barelvi Ghazal writer poet |
Comments
Post a Comment