Ghazals of Fahmida Riaz Ghazal फ़हमीदा रियाज़ की ग़ज़लें ग़ज़ल
ये पैरहन जो मिरी रूह का उतर न सका फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
ये पैरहन जो मिरी रूह का उतर न सका
तो नख़-ब-नख़ कहीं पैवस्त रेशा-ए-दिल था
मुझे मआल-ए-सफ़र का मलाल क्यूँ-कर हो
कि जब सफ़र ही मिरा फ़ासलों का धोका था
मैं जब फ़िराक़ की रातों में उस के साथ रही
वो फिर विसाल के लम्हों में क्यूँ अकेला था
वो वास्ते की तिरा दरमियाँ भी क्यूँ आए
ख़ुदा के साथ मिरा जिस्म क्यूँ न हो तन्हा
सराब हूँ मैं तिरी प्यास क्या बुझाऊँगी
इस इश्तियाक़ से तिश्ना ज़बाँ क़रीब न ला
सराब हूँ कि बदन की यही शहादत है
हर एक उज़्व में बहता है रेत का दरिया
जो मेरे लब पे है शायद वही सदाक़त है
जो मेरे दिल में है उस हर्फ़-ए-राएगाँ पे न जा
जिसे मैं तोड़ चुकी हूँ वो रौशनी का तिलिस्म
शुआ-ए-नूर-ए-अज़ल के सिवा कुछ और न था
ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
ye pairahan jo mirī ruuh kā utar na sakā
to naḳh-ba-naḳh kahīñ paivast resha-e-dil thā
mujhe ma.āl-e-safar kā malāl kyūñ-kar ho
ki jab safar hī mirā fāsloñ kā dhokā thā
maiñ jab firāq kī rātoñ meñ us ke saath rahī
vo phir visāl ke lamhoñ meñ kyuuñ akelā thā
vo vāste kī tirā darmiyāñ bhī kyuuñ aa.e
ḳhudā ke saath mirā jism kyuuñ na ho tanhā
sarāb huuñ maiñ tirī pyaas kyā bujhā.ūñgī
is ishtiyāq se tishna zabāñ qarīb na lā
sarāb huuñ ki badan kī yahī shahādat hai
har ek uzv meñ bahtā hai ret kā dariyā
jo mere lab pe hai shāyad vahī sadāqat hai
jo mere dil meñ hai us harf-e-rā.egāñ pe na jā
jise maiñ toḌ chukī huuñ vo raushnī kā tilism
shuā-e-nūr-e-azal ke sivā kuchh aur na thā
ye pairahan jo meri ruh ka utar na saka
to naKH-ba-naKH kahin paiwast resha-e-dil tha
mujhe maal-e-safar ka malal kyun-kar ho
ki jab safar hi mera faslon ka dhoka tha
main jab firaq ki raaton mein us ke sath rahi
wo phir visal ke lamhon mein kyun akela tha
wo waste ki tera darmiyan bhi kyun aae
KHuda ke sath mera jism kyun na ho tanha
sarab hun main teri pyas kya bujhaungi
is ishtiyaq se tishna zaban qarib na la
sarab hun ki badan ki yahi shahadat hai
har ek uzw mein bahta hai ret ka dariya
jo mere lab pe hai shayad wahi sadaqat hai
jo mere dil mein hai us harf-e-raegan pe na ja
jise main toD chuki hun wo raushni ka tilism
shua-e-nur-e-azal ke siwa kuchh aur na tha
जो मुझ में छुपा मेरा गला घोंट रहा है फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
जो मुझ में छुपा मेरा गला घोंट रहा है
या वो कोई इबलीस है या मेरा ख़ुदा है
जब सर में नहीं इश्क़ तो चेहरे पे चमक है
ये नख़्ल ख़िज़ाँ आई तो शादाब हुआ है
क्या मेरा ज़ियाँ है जो मुक़ाबिल तिरे आ जाऊँ
ये अम्र तो मा'लूम कि तू मुझ से बड़ा है
मैं बंदा-ओ-नाचार कि सैराब न हो पाऊँ
ऐ ज़ाहिर-ओ-मौजूद मिरा जिस्म दुआ है
हाँ उस के तआ'क़ुब से मिरे दिल में है इंकार
वो शख़्स किसी को न मिलेगा न मिला है
क्यूँ नूर-ए-अबद दिल में गुज़र कर नहीं पाता
सीने की सियाही से नया हर्फ़ लिखा है
jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
jo mujh meñ chhupā merā galā ghoñT rahā hai
yā vo koī iblīs hai yā merā ḳhudā hai
jab sar meñ nahīñ ishq to chehre pe chamak hai
ye naḳhl ḳhizāñ aa.ī to shādāb huā hai
kyā merā ziyāñ hai jo muqābil tire aa jā.ūñ
ye amr to ma.alūm ki tū mujh se baḌā hai
maiñ banda-o-nāchār ki sairāb na ho pā.ūñ
ai zāhir-o-maujūd mirā jism duā hai
haañ us ke ta.āqub se mire dil meñ hai inkār
vo shaḳhs kisī ko na milegā na milā hai
kyuuñ nūr-e-abad dil meñ guzar kar nahīñ paatā
siine kī siyāhī se nayā harf likhā hai
jo mujh mein chhupa mera gala ghonT raha hai
ya wo koi iblis hai ya mera KHuda hai
jab sar mein nahin ishq to chehre pe chamak hai
ye naKHl KHizan aai to shadab hua hai
kya mera ziyan hai jo muqabil tere aa jaun
ye amr to malum ki tu mujh se baDa hai
main banda-o-nachaar ki sairab na ho paun
ai zahir-o-maujud mera jism dua hai
han us ke taaqub se mere dil mein hai inkar
wo shaKHs kisi ko na milega na mila hai
kyun nur-e-abad dil mein guzar kar nahin pata
sine ki siyahi se naya harf likha hai
पत्थर से विसाल माँगती हूँ
फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
पत्थर से विसाल माँगती हूँ
मैं आदमियों से कट गई हूँ
शायद पाऊँ सुराग़-ए-उल्फ़त
मुट्ठी में ख़ाक-भर रही हूँ
हर लम्स है जब तपिश से आरी
किसी आँच से यूँ पिघल रही हूँ
वो ख़्वाहिश-ए-बोसा भी नहीं अब
हैरत से होंट काटती हूँ
इक तिफ़्लक-ए-जुस्तुजू हूँ शायद
मैं अपने बदन से खेलती हूँ
अब तब्अ' किसी पे क्यूँ हो राग़िब
इंसानों को बरत चुकी हूँ
patthar se visal mangti hun
Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
patthar se visāl māñgtī huuñ
maiñ ādamiyoñ se kaT ga.ī huuñ
shāyad pā.ūñ surāġh-e-ulfat
muTThī meñ ḳhāk-bhar rahī huuñ
har lams hai jab tapish se aarī
kisī aañch se yuuñ pighal rahī huuñ
vo ḳhvāhish-e-bosa bhī nahīñ ab
hairat se hoñT kāTtī huuñ
ik tiflak-e-justujū huuñ shāyad
maiñ apne badan se kheltī huuñ
ab tab.a kisī pe kyuuñ ho rāġhib
insānoñ ko barat chukī huuñ
patthar se visal mangti hun
main aadamiyon se kaT gai hun
shayad paun suragh-e-ulfat
muTThi mein KHak-bhar rahi hun
har lams hai jab tapish se aari
kisi aanch se yun pighal rahi hun
wo KHwahish-e-bosa bhi nahin ab
hairat se honT kaTti hun
ek tiflak-e-justuju hun shayad
main apne badan se khelti hun
ab taba kisi pe kyun ho raghib
insanon ko barat chuki hun
मुद्दत से ये आलम है दिल का हँसता भी नहीं रोता भी नहीं फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
मुद्दत से ये आलम है दिल का हँसता भी नहीं रोता भी नहीं
माज़ी भी कभी दिल में न चुभा आइंदा का सोचा भी नहीं
वो मेरे होंट पे लिक्खा है जो हर्फ़ मुकम्मल हो न सका
वो मेरी आँख में बस्ता है जो ख़्वाब कभी देखा भी नहीं
चलते चलते कुछ थम जाना फिर बोझल क़दमों से चलना
ये कैसी कसक सी बाक़ी है जब पाँव में वो काँटा भी नहीं
धुँदलाई हुई शामों में कोई परछाईं सी फिरती रहती है
मैं आहट सुनती हूँ जिस की वो वहम नहीं साया भी नहीं
तज़ईन-ए-लब-ओ-गेसू कैसी पिंदार का शीशा टूट गया
थी जिस के लिए सब आराइश उस ने तो हमें देखा भी नहीं
muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
muddat se ye aalam hai dil kā hañstā bhī nahīñ rotā bhī nahīñ
maazī bhī kabhī dil meñ na chubhā ā.inda kā sochā bhī nahīñ
vo mere hoñT pe likkhā hai jo harf mukammal ho na sakā
vo merī aañkh meñ bastā hai jo ḳhvāb kabhī dekhā bhī nahīñ
chalte chalte kuchh tham jaanā phir bojhal qadmoñ se chalnā
ye kaisī kasak sī baaqī hai jab paañv meñ vo kāñTā bhī nahīñ
dhuñdlā.ī huī shāmoñ meñ koī parchhā.īñ sī phirtī rahtī hai
maiñ aahaT suntī huuñ jis kī vo vahm nahīñ saaya bhī nahīñ
taz.īn-e-lab-o-gesū kaisī pindār kā shīsha TuuT gayā
thī jis ke liye sab ārā.ish us ne to hameñ dekhā bhī nahīñ
muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin
mazi bhi kabhi dil mein na chubha aainda ka socha bhi nahin
wo mere honT pe likkha hai jo harf mukammal ho na saka
wo meri aankh mein basta hai jo KHwab kabhi dekha bhi nahin
chalte chalte kuchh tham jaana phir bojhal qadmon se chalna
ye kaisi kasak si baqi hai jab panw mein wo kanTa bhi nahin
dhundlai hui shamon mein koi parchhain si phirti rahti hai
main aahaT sunti hun jis ki wo wahm nahin saya bhi nahin
tazin-e-lab-o-gesu kaisi pindar ka shisha TuT gaya
thi jis ke liye sab aaraish us ne to hamein dekha bhi nahin
कभी धनक सी उतरती थी उन निगाहों में फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
कभी धनक सी उतरती थी उन निगाहों में
वो शोख़ रंग भी धीमे पड़े हवाओं में
मैं तेज़-गाम चली जा रही थी उस की सम्त
कशिश अजीब थी उस दश्त की सदाओं में
वो इक सदा जो फ़रेब-ए-सदा से भी कम है
न डूब जाए कहीं तुंद-रौ हवाओं में
सुकूत-ए-शाम है और मैं हूँ गोश-बर-आवाज़
कि एक वा'दे का अफ़्सूँ सा है फ़ज़ाओं में
मिरी तरह यूँही गुम-कर्दा-राह छोड़ेगी
तुम अपनी बाँह न देना हवा की बाँहों में
नुक़ूश पाँव के लिखते हैं मंज़िल-ए-ना-याफ़्त
मिरा सफ़र तो है तहरीर मेरी राहों में
kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
kabhī dhanak sī utartī thī un nigāhoñ meñ
vo shoḳh rañg bhī dhīme paḌe havāoñ meñ
maiñ tez-gām chalī jā rahī thī us kī samt
kashish ajiib thī us dasht kī sadāoñ meñ
vo ik sadā jo fareb-e-sadā se bhī kam hai
na Duub jaa.e kahīñ tund-rau havāoñ meñ
sukūt-e-shām hai aur maiñ huuñ gosh-bar-āvāz
ki ek va.ade kā afsūñ sā hai fazāoñ meñ
mirī tarah yūñhī gum-karda-rāh chhoḌegī
tum apnī baañh na denā havā kī bāñhoñ meñ
nuqūsh paañv ke likhte haiñ manzil-e-nā-yāft
mirā safar to hai tahrīr merī rāhoñ meñ
kabhi dhanak si utarti thi un nigahon mein
wo shoKH rang bhi dhime paDe hawaon mein
main tez-gam chali ja rahi thi us ki samt
kashish ajib thi us dasht ki sadaon mein
wo ek sada jo fareb-e-sada se bhi kam hai
na Dub jae kahin tund-rau hawaon mein
sukut-e-sham hai aur main hun gosh-bar-awaz
ki ek wade ka afsun sa hai fazaon mein
meri tarah yunhi gum-karda-rah chhoDegi
tum apni banh na dena hawa ki banhon mein
nuqush panw ke likhte hain manzil-e-na-yaft
mera safar to hai tahrir meri rahon mein
चार-सू है बड़ी वहशत का समाँ फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
चार-सू है बड़ी वहशत का समाँ
किसी आसेब का साया है यहाँ
कोई आवाज़ सी है मर्सियाँ-ख़्वाँ
शहर का शहर बना गोरिस्ताँ
एक मख़्लूक़ जो बस्ती है यहाँ
जिस पे इंसाँ का गुज़रता है गुमाँ
ख़ुद तो साकित है मिसाल-ए-तस्वीर
जुम्बिश-ए-ग़ैर से है रक़्स-कुनाँ
कोई चेहरा नहीं जुज़ ज़ेर-ए-नक़ाब
न कोई जिस्म है जुज़ बे-दिल-ओ-जाँ
उलमा हैं दुश्मन-ए-फ़हम-ओ-तहक़ीक़
कोदनी शेवा-ए-दानिश-मंदाँ
शाइ'र-ए-क़ौम पे बन आई है
किज़्ब कैसे हो तसव्वुफ़ में निहाँ
लब हैं मसरूफ़-ए-क़सीदा-गोई
और आँखों में है ज़िल्लत उर्यां
सब्ज़ ख़त आक़िबत-ओ-दीं के असीर
पारसा ख़ुश-तन-ओ-नौ-ख़ेज़ जवाँ
ये ज़न-ए-नग़्मा-गर-ओ-इश्क़-शिआ'र
यास-ओ-हसरत से हुई है हैराँ
किस से अब आरज़ू-ए-वस्ल करें
इस ख़राबे में कोई मर्द कहाँ
chaar-su hai baDi wahshat ka saman Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
chār-sū hai baḌī vahshat kā samāñ
kisī aaseb kā saaya hai yahāñ
koī āvāz sī hai marsiyāñ-ḳhvāñ
shahr kā shahr banā goristāñ
ek maḳhlūq jo bastī hai yahāñ
jis pe insāñ kā guzartā hai gumāñ
ḳhud to sākit hai misāl-e-tasvīr
jumbish-e-ġhair se hai raqs-kunāñ
koī chehra nahīñ juz zer-e-naqāb
na koī jism hai juz be-dil-o-jāñ
ulmā haiñ dushman-e-fahm-o-tahaqīq
kodanī sheva-e-dānish-mandāñ
shā.ir-e-qaum pe ban aa.ī hai
kizb kaise ho tasavvuf meñ nihāñ
lab haiñ masrūf-e-qasīda-goī
aur āñkhoñ meñ hai zillat uryāñ
sabz ḳhat āqibat-o-dīñ ke asiir
pārsā ḳhush-tan-o-nau-ḳhez javāñ
ye zan-e-naġhma-gar-o-ishq-shi.ār
yās-o-hasrat se huī hai hairāñ
kis se ab ārzū-e-vasl kareñ
is ḳharābe meñ koī mard kahāñ
chaar-su hai baDi wahshat ka saman
kisi aaseb ka saya hai yahan
koi aawaz si hai marsiyan-KHwan
shahr ka shahr bana goristan
ek maKHluq jo basti hai yahan
jis pe insan ka guzarta hai guman
KHud to sakit hai misal-e-taswir
jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan
koi chehra nahin juz zer-e-naqab
na koi jism hai juz be-dil-o-jaan
ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq
kodani shewa-e-danish-mandan
shair-e-qaum pe ban aai hai
kizb kaise ho tasawwuf mein nihan
lab hain masruf-e-qasida-goi
aur aankhon mein hai zillat uryan
sabz KHat aaqibat-o-din ke asir
parsa KHush-tan-o-nau-KHez jawan
ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar
yas-o-hasrat se hui hai hairan
kis se ab aarzu-e-wasl karen
is KHarabe mein koi mard kahan
ये किस के आँसुओं ने उस नक़्श को मिटाया फ़हमीदा रियाज़ ग़ज़ल ग़ज़लें
ये किस के आँसुओं ने उस नक़्श को मिटाया
जो मेरे लौह-ए-दिल पर तू ने कभी बनाया
था दिल जब उस पे माइल था शौक़ सख़्त मुश्किल
तर्ग़ीब ने उसे भी आसान कर दिखाया
इक गर्द-बाद में तू ओझल हुआ नज़र से
इस दश्त-ए-बे-समर से जुज़ ख़ाक कुछ न पाया
ऐ चोब-ए-ख़ुश्क-ए-सहरा वो बाद-ए-शौक़ क्या थी
मेरी तरह बरहना जिस ने तुझे बनाया
फिर हम हैं नीम-शब है अंदेशा-ए-अबस है
वो वाहिमा कि जिस से तेरा यक़ीन आया
ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaya Fahmida Riaz Ghazal Ghazals
ye kis ke āñsuoñ ne us naqsh ko miTāyā
jo mere lauh-e-dil par tū ne kabhī banāyā
thā dil jab us pe maa.il thā shauq saḳht mushkil
tarġhīb ne use bhī āsān kar dikhāyā
ik gard-bād meñ tū ojhal huā nazar se
is dasht-e-be-samar se juz ḳhaak kuchh na paayā
ai chob-e-ḳhushk-e-sahrā vo bād-e-shauq kyā thī
merī tarah barahna jis ne tujhe banāyā
phir ham haiñ nīm-shab hai andesha-e-abas hai
vo vāhima ki jis se terā yaqīn aayā
ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaya
jo mere lauh-e-dil par tu ne kabhi banaya
tha dil jab us pe mail tha shauq saKHt mushkil
targhib ne use bhi aasan kar dikhaya
ek gard-baad mein tu ojhal hua nazar se
is dasht-e-be-samar se juz KHak kuchh na paya
ai chob-e-KHushk-e-sahra wo baad-e-shauq kya thi
meri tarah barahna jis ne tujhe banaya
phir hum hain nim-shab hai andesha-e-abas hai
wo wahima ki jis se tera yaqin aaya
फ़हमीदा रियाज़ | |
---|---|
जन्म | 28 जुलाई 1946 मेरठ, उत्तर प्रदेश, ब्रितानी भारत |
मौत | 21 नवम्बर 2018 (उम्र 72 वर्ष) |
पेशा | उर्दु शायर, लेखिका |
राष्ट्रीयता | पाकिस्तान |
नागरिकता | पाकिस्तानी |
आंदोलन | प्रगतिशील लेखक आंदोलन |
उल्लेखनीय कामs | गोदावरी खत्त-ए मुर्मुज़ |
खिताब | अल-मुफ़्ताह अवार्ड |
Comments
Post a Comment