सीधे मुख्य सामग्री पर जाएं

Abdul Hamid Adam ki Ghazal : अब्दुल हमीद अदम की गजलें


अब्दुल हमीद अदम (1909–1981) उर्दू के लोकप्रिय शायर थे, जिनका तख़ल्लुस ‘अदम’ था। उनकी शायरी में प्रेम, विरह, जीवन की उदासी और मानवीय रिश्तों के अनुभव सहज भाषा में सामने आते हैं। ग़ज़ल उनकी सबसे प्रिय विधा रही, हालांकि उन्होंने नज़्म और क़िता में भी रचनाएँ कीं। उनका पहला काव्य-संग्रह ‘नक़्श-ए-दवाम’ माना जाता है, जिसके बाद ‘ख़राबात’, ‘चाराए-दर्द’, ‘ज़ुल्फ़-ए-परेशाँ’, ‘गुलनार’, ‘रक्स-ए-जाम’ और ‘साज़-ओ-सदफ़’ जैसे कई संग्रह प्रकाशित हुए 10 मार्च 1981 को लाहौर में उनका निधन हुआ।

ख़ाली है अभी जाम मैं कुछ सोच रहा हूँ : अब्दुल हमीद अदम

ख़ाली है अभी जाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
ऐ गर्दिश-ए-अय्याम मैं कुछ सोच रहा हूँ
साक़ी तुझे इक थोड़ी सी तकलीफ़ तो होगी
साग़र को ज़रा थाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
पहले बड़ी रग़बत थी तिरे नाम से मुझ को
अब सुन के तिरा नाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
इदराक अभी पूरा तआ'वुन नहीं करता
दय बादा-ए-गुलफ़ाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
हल कुछ तो निकल आएगा हालात की ज़िद का
ऐ कसरत-ए-आलाम मैं कुछ सोच रहा हूँ
फिर आज 'अदम' शाम से ग़मगीं है तबीअ'त
फिर आज सर-ए-शाम मैं कुछ सोच रहा हूँ

Khaali Hai Abhi Jam Main Kuchh Soch Raha Hun : Abdul Hamid Adam

ḳHālī Hai Abhī Jaam Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Ai Gardish-e-ayyām Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Saaqī Tujhe Ik ThoḌī Sī Taklīf to Hogī
Sāġhar ko Zarā Thaam Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Pahle BaḌī Raġhbat Thī Tire Naam se Mujh Ko
Ab Sun ke Tirā Naam Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Idrāk Abhī Puurā Ta.āvun Nahīñ Kartā
Dai Bāda-e-gulfām Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Hal Kuchh to Nikal Aa.egā Hālāt Kī Zid Kā
Ai Kasrat-e-ālām Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
Phir Aaj 'Adam' Shaam se ġHamgīñ Hai Tabī.at
Phir Aaj Sar-e-shām Maiñ Kuchh Soch Rahā Huuñ
KHali Hai Abhi Jam Main Kuchh Soch Raha Hun
Ai Gardish-e-ayyam Main Kuchh Soch Raha Hun
Saqi Tujhe Ek ThoDi si Taklif to Hogi
Saghar ko Zara Tham Main Kuchh Soch Raha Hun
Pahle BaDi Raghbat Thi Tere Nam se Mujh Ko
Ab Sun ke Tera Nam Main Kuchh Soch Raha Hun
Idrak Abhi Pura Taawun Nahin Karta
Dai Baada-e-gulfam Main Kuchh Soch Raha Hun
Hal Kuchh to Nikal Aaega Haalat ki Zid Ka
Ai Kasrat-e-alam Main Kuchh Soch Raha Hun
Phir Aaj 'Adam' Sham se Ghamgin Hai Tabiat
Phir Aaj Sar-e-sham Main Kuchh Soch Raha Hun

साक़ी शराब ला कि तबीअ'त उदास है : अब्दुल हमीद अदम

साक़ी शराब ला कि तबीअ'त उदास है
मुतरिब रुबाब उठा कि तबीअ'त उदास है
रुक रुक के साज़ छेड़ कि दिल मुतमइन नहीं
थम थम के मय पिला कि तबीअ'त उदास है
चुभती है क़ल्ब ओ जाँ में सितारों की रौशनी
ऐ चाँद डूब जा कि तबीअ'त उदास है
मुझ से नज़र न फेर कि बरहम है ज़िंदगी
मुझ से नज़र मिला कि तबीअ'त उदास है
शायद तिरे लबों की चटक से हो जी बहाल
ऐ दोस्त मुस्कुरा कि तबीअ'त उदास है
है हुस्न का फ़ुसूँ भी इलाज-ए-फ़सुर्दगी
रुख़ से नक़ाब उठा कि तबीअ'त उदास है
मैं ने कभी ये ज़िद तो नहीं की पर आज शब
ऐ मह-जबीं न जा कि तबीअ'त उदास है
इमशब गुरेज़-ओ-रम का नहीं है कोई महल
आग़ोश में दर आ कि तबीअ'त उदास है
कैफ़िय्यत-ए-सुकूत से बढ़ता है और ग़म
क़िस्सा कोई सुना कि तबीअ'त उदास है
यूँही दुरुस्त होगी तबीअ'त तिरी 'अदम'
कम-बख़्त भूल जा कि तबीअ'त उदास है
तौबा तो कर चुका हूँ मगर फिर भी ऐ 'अदम'
थोड़ा सा ज़हर ला कि तबीअ'त उदास है

Saqi Sharab La ki Tabiat Udas Hai : Abdul Hamid Adam

Saaqī Sharāb Lā ki Tabī.at Udaas Hai
Mutrib Rubāb UThā ki Tabī.at Udaas Hai
Ruk Ruk ke Saaz ChheḌ ki Dil Mutma.in Nahīñ
Tham Tham ke Mai Pilā ki Tabī.at Udaas Hai
Chubhtī Hai Qalb o Jaañ Meñ Sitāroñ Kī Raushnī
Ai Chāñd Duub Jā ki Tabī.at Udaas Hai
Mujh se Nazar na Pher ki Barham Hai Zindagī
Mujh se Nazar Milā ki Tabī.at Udaas Hai
Shāyad Tire Laboñ Kī ChaTak se Ho Jī Bahāl
Ai Dost Muskurā ki Tabī.at Udaas Hai
Hai Husn Kā Fusūñ Bhī Ilāj-e-fasurdagī
Ruḳh se Naqāb UThā ki Tabī.at Udaas Hai
Maiñ ne Kabhī Ye Zid to Nahīñ Kī par Aaj Shab
Ai Mah-jabīñ na Jā ki Tabī.at Udaas Hai
Imshab Gurez-o-ram Kā Nahīñ Hai koī Mahal
āġHosh Meñ Dar Aa ki Tabī.at Udaas Hai
Kaifiyyat-e-sukūt se BaḌhtā Hai aur ġHam
Qissa koī Sunā ki Tabī.at Udaas Hai
Yūñhī Durust Hogī Tabī.at Tirī 'Adam'
Kam-baḳht Bhuul Jā ki Tabī.at Udaas Hai
Tauba to Kar Chukā Huuñ Magar Phir Bhī Ai 'Adam'
ThoḌā Sā Zahr Lā ki Tabī.at Udaas Hai
Saqi Sharab La ki Tabiat Udas Hai
Mutrib Rubab UTha ki Tabiat Udas Hai
Ruk Ruk ke Saz ChheD ki Dil Mutmain Nahin
Tham Tham ke Mai Pila ki Tabiat Udas Hai
Chubhti Hai Qalb o Jaan mein Sitaron ki Raushni
Ai Chand Dub Ja ki Tabiat Udas Hai
Mujh se Nazar na Pher ki Barham Hai Zindagi
Mujh se Nazar Mila ki Tabiat Udas Hai
Shayad Tere Labon ki ChaTak se Ho Ji Bahaal
Ai Dost Muskura ki Tabiat Udas Hai
Hai Husn ka Fusun bhi Ilaj-e-fasurdagi
RuKH se Naqab UTha ki Tabiat Udas Hai
Main ne Kabhi Ye Zid to Nahin ki par Aaj Shab
Ai Mah-jabin na Ja ki Tabiat Udas Hai
Imshab Gurez-o-ram ka Nahin Hai Koi Mahal
Aaghosh mein Dar Aa ki Tabiat Udas Hai
Kaifiyyat-e-sukut se BaDhta Hai aur Gham
Qissa Koi Suna ki Tabiat Udas Hai
Yunhi Durust Hogi Tabiat Teri 'Adam'
Kam-baKHt Bhul Ja ki Tabiat Udas Hai
Tauba to Kar Chuka Hun Magar Phir bhi Ai 'Adam'
ThoDa sa Zahr La ki Tabiat Udas Hai

हँस के बोला करो बुलाया करो : अब्दुल हमीद अदम

हँस के बोला करो बुलाया करो
आप का घर है आया जाया करो
मुस्कुराहट है हुस्न का ज़ेवर
रूप बढ़ता है मुस्कुराया करो
हद से बढ़ कर हसीन लगते हो
झूटी क़स्में ज़रूर खाया करो
हुक्म करना भी इक सख़ावत है
हम को ख़िदमत कोई बताया करो
बात करना भी बादशाहत है
बात करना न भूल जाया करो
ताकि दुनिया की दिलकशी न घटे
नित-नए पैरहन में आया करो
हम हसद से 'अदम' नहीं कहते
उस गली में बहुत न जाया करो

Hans ke Bola Karo Bulaya Karo : Abdul Hamid Adam

Hañs ke Bolā Karo Bulāyā Karo
Aap Kā Ghar Hai Aayā Jaayā Karo
MuskurāhaT Hai Husn Kā Zevar
Ruup BaḌhtā Hai Muskurāyā Karo
Had se BaḌh Kar Hasīn Lagte Ho
JhūTī Qasmeñ Zarūr Khāyā Karo
Hukm Karnā Bhī Ik Saḳhāvat Hai
Ham ko ḳHidmat koī Batāyā Karo
Baat Karnā Bhī Bādshāhat Hai
Baat Karnā na Bhuul Jaayā Karo
Taaki Duniyā Kī Dilkashī na GhaTe
Nit-na.e Pairahan Meñ Aayā Karo
Ham Hasad se 'Adam' Nahīñ Kahte
Us Galī Meñ Bahut na Jaayā Karo
Hans ke Bola Karo Bulaya Karo
Aap ka Ghar Hai Aaya Jaya Karo
MuskurahaT Hai Husn ka Zewar
Rup BaDhta Hai Muskuraya Karo
Had se BaDh Kar Hasin Lagte Ho
JhuTi Qasmen Zarur Khaya Karo
Hukm Karna bhi Ek SaKHawat Hai
Hum ko KHidmat Koi Bataya Karo
Baat Karna bhi Baadshahat Hai
Baat Karna na Bhul Jaya Karo
Taki Duniya ki Dilkashi na GhaTe
Nit-nae Pairahan mein Aaya Karo
Hum Hasad se 'Adam' Nahin Kahte
Us Gali mein Bahut na Jaya Karo

जब तिरे नैन मुस्कुराते हैं : अब्दुल हमीद अदम

जब तिरे नैन मुस्कुराते हैं
ज़ीस्त के रंज भूल जाते हैं
क्यूँ शिकन डालते हो माथे पर
भूल कर आ गए हैं जाते हैं
कश्तियाँ यूँ भी डूब जाती हैं
नाख़ुदा किस लिए डराते हैं
इक हसीं आँख के इशारे पर
क़ाफ़िले राह भूल जाते हैं

Jab Tere Nain Muskuraate Hain : Abdul Hamid Adam

Jab Tire Nain Muskurāte Haiñ
Ziist ke Ranj Bhuul Jaate Haiñ
Kyuuñ Shikan Dālte Ho Māthe Par
Bhuul Kar Aa Ga.e Haiñ Jaate Haiñ
Kashtiyāñ Yuuñ Bhī Duub Jaatī Haiñ
Nāḳhudā Kis Liye Darāte Haiñ
Ik Hasīñ Aañkh ke Ishāre Par
Qāfile Raah Bhuul Jaate Haiñ
Jab Tere Nain Muskuraate Hain
Zist ke Ranj Bhul Jate Hain
Kyun Shikan Dalte Ho Mathe Par
Bhul Kar Aa Gae Hain Jate Hain
Kashtiyan Yun bhi Dub Jati Hain
NaKHuda Kis Liye Daraate Hain
Ek Hasin Aankh ke Ishaare Par
Qafile Rah Bhul Jate Hain

वो जो तेरे फ़क़ीर होते हैं : अब्दुल हमीद अदम

वो जो तेरे फ़क़ीर होते हैं
आदमी बे-नज़ीर होते हैं
देखने वाला इक नहीं मिलता
आँख वाले कसीर होते हैं
जिन को दौलत हक़ीर लगती है
उफ़! वो कितने अमीर होते हैं
जिन को क़ुदरत ने हुस्न बख़्शा हो
क़ुदरतन कुछ शरीर होते हैं
ज़िंदगी के हसीन तरकश में
कितने बे-रहम तीर होते हैं
वो परिंदे जो आँख रखते हैं
सब से पहले असीर होते हैं
फूल दामन में चंद रख लीजे
रास्ते में फ़क़ीर होते हैं
है ख़ुशी भी 'अजीब शय लेकिन
ग़म बड़े दिल-पज़ीर होते हैं
ऐ 'अदम' एहतियात लोगों से
लोग मुनकिर-नकीर होते हैं

Wo Jo Tere Faqir Hote Hain : Abdul Hamid Adam

Vo Jo Tere Faqīr Hote Haiñ
Aadmī Be-nazīr Hote Haiñ
Dekhne Vaalā Ik Nahīñ Miltā
Aañkh Vaale Kasīr Hote Haiñ
Jin ko Daulat Haqīr Lagtī Hai
Uff! Vo Kitne Amiir Hote Haiñ
Jin ko Qudrat ne Husn Baḳhshā Ho
Qudratan Kuchh Sharīr Hote Haiñ
Zindagī ke Hasīn Tarkash Meñ
Kitne Be-rahm Tiir Hote Haiñ
Vo Parinde Jo Aañkh Rakhte Haiñ
Sab se Pahle Asiir Hote Haiñ
Phuul Dāman Meñ Chand Rakh Liije
Rāste Meñ Faqīr Hote Haiñ
Hai ḳHushī Bhī 'Ajīb Shai Lekin
ġHam BaḌe Dil-pazīr Hote Haiñ
Ai 'Adam' Ehtiyāt Logoñ Se
Log Munkir-nakīr Hote Haiñ
Wo Jo Tere Faqir Hote Hain
Aadmi Be-nazir Hote Hain
Dekhne Wala Ek Nahin Milta
Aankh Wale Kasir Hote Hain
Jin ko Daulat Haqir Lagti Hai
Uff! Wo Kitne Amir Hote Hain
Jin ko Qudrat ne Husn BaKHsha Ho
Qudratan Kuchh Sharir Hote Hain
Zindagi ke Hasin Tarkash Mein
Kitne Be-rahm Tir Hote Hain
Wo Parinde Jo Aankh Rakhte Hain
Sab se Pahle Asir Hote Hain
Phul Daman mein Chand Rakh Lije
Raste mein Faqir Hote Hain
Hai KHushi bhi 'Ajib Shai Lekin
Gham BaDe Dil-pazir Hote Hain
Ai 'Adam' Ehtiyat Logon Se
Log Munkir-nakir Hote Hain

लहरा के झूम झूम के ला मुस्कुरा के ला : अब्दुल हमीद अदम

लहरा के झूम झूम के ला मुस्कुरा के ला
फूलों के रस में चाँद की किरनें मिला के ला
कहते हैं उम्र-ए-रफ़्ता कभी लौटती नहीं
जा मय-कदे से मेरी जवानी उठा के ला
साग़र-शिकन है शैख़-ए-बला-नोश की नज़र
शीशे को ज़ेर-ए-दामन-ए-रंगीं छुपा के ला
क्यूँ जा रही है रूठ के रंगीनी-ए-बहार
जा एक मर्तबा उसे फिर वर्ग़ला के ला
देखी नहीं है तू ने कभी ज़िंदगी की लहर
अच्छा तो जा 'अदम' की सुराही उठा के ला

Lahra ke Jhum Jhum ke La Muskura ke La : Abdul Hamid Adam

Lahrā ke Jhuum Jhuum ke Lā Muskurā ke Lā
Phūloñ ke Ras Meñ Chāñd Kī Kirneñ Milā ke Lā
Kahte Haiñ Umr-e-rafta Kabhī LauTtī Nahīñ
Jā Mai-kade se Merī Javānī UThā ke Lā
Sāġhar-shikan Hai Shaiḳh-e-balā-nosh Kī Nazar
Shīshe ko Zer-e-dāman-e-rañgīñ Chhupā ke Lā
Kyuuñ Jā Rahī Hai RuuTh ke Rañgīnī-e-bahār
Jā Ek Martaba Use Phir Varġhalā ke Lā
Dekhī Nahīñ Hai Tū ne Kabhī Zindagī Kī Lahr
Achchhā to Jā 'Adam' Kī Surāhī UThā ke Lā
Lahra ke Jhum Jhum ke La Muskura ke La
Phulon ke Ras mein Chand ki Kirnen Mila ke La
Kahte Hain Umr-e-rafta Kabhi LauTti Nahin
Ja Mai-kade se Meri Jawani UTha ke La
Saghar-shikan Hai ShaiKH-e-bala-nosh ki Nazar
Shishe ko Zer-e-daman-e-rangin Chhupa ke La
Kyun Ja Rahi Hai RuTh ke Rangini-e-bahaar
Ja Ek Martaba Use Phir Warghala ke La
Dekhi Nahin Hai Tu ne Kabhi Zindagi ki Lahr
Achchha to Ja 'Adam' ki Surahi UTha ke La

हल्का हल्का सुरूर है साक़ी : अब्दुल हमीद अदम

हल्का हल्का सुरूर है साक़ी
बात कोई ज़रूर है साक़ी
तेरी आँखों को कर दिया सज्दा
मेरा पहला क़ुसूर है साक़ी
तेरे रुख़ पर है ये परेशानी
इक अँधेरे में नूर है साक़ी
तेरी आँखें किसी को क्या देंगी
अपना अपना सुरूर है साक़ी
पीने वालों को भी नहीं मालूम
मय-कदा कितनी दूर है साक़ी

Halka Halka Surur Hai Saqi : Abdul Hamid Adam

Halkā Halkā Surūr Hai Saaqī
Baat koī Zarūr Hai Saaqī
Terī āñKhoñ ko Kar Diyā Sajda
Merā Pahlā Qusūr Hai Saaqī
Tere Ruḳh par Hai Ye Pareshānī
Ik Añdhere Meñ Nuur Hai Saaqī
Terī āñKheñ Kisī ko Kyā Deñgī
Apnā Apnā Surūr Hai Saaqī
Piine Vāloñ ko Bhī Nahīñ Ma.alūm
Mai-kada Kitnī Duur Hai Saaqī
Halka Halka Surur Hai Saqi
Baat Koi Zarur Hai Saqi
Teri Aankhon ko Kar Diya Sajda
Mera Pahla Qusur Hai Saqi
Tere RuKH par Hai Ye Pareshani
Ek Andhere mein Nur Hai Saqi
Teri Aankhen Kisi ko Kya Dengi
Apna Apna Surur Hai Saqi
Pine Walon ko bhi Nahin Malum
Mai-kada Kitni Dur Hai Saqi

आँखों से तिरी ज़ुल्फ़ का साया नहीं जाता : अब्दुल हमीद अदम

आँखों से तिरी ज़ुल्फ़ का साया नहीं जाता
आराम जो देखा है भुलाया नहीं जाता
अल्लाह-रे नादान जवानी की उमंगें!
जैसे कोई बाज़ार सजाया नहीं जाता
आँखों से पिलाते रहो साग़र में न डालो
अब हम से कोई जाम उठाया नहीं जाता
बोले कोई हँस कर तो छिड़क देते हैं जाँ भी
लेकिन कोई रूठे तो मनाया नहीं जाता
जिस तार को छेड़ें वही फ़रियाद-ब-लब है
अब हम से 'अदम' साज़ बजाया नहीं जाता

Aankhon se Teri Zulf ka Saya Nahin Jata : Abdul Hamid Adam

āñKhoñ se Tirī Zulf Kā Saaya Nahīñ Jaatā
āRām Jo Dekhā Hai Bhulāyā Nahīñ Jaatā
Allāh-re Nādān Javānī Kī Umañgeñ!
Jaise koī Bāzār Sajāyā Nahīñ Jaatā
āñKhoñ se Pilāte Raho Sāġhar Meñ na Daalo
Ab Ham se koī Jaam UThāyā Nahīñ Jaatā
Bole koī Hañs Kar to ChhiḌak Dete Haiñ Jaañ Bhī
Lekin koī RūThe to Manāyā Nahīñ Jaatā
Jis Taar ko ChheḌeñ Vahī Fariyād-ba-lab Hai
Ab Ham se 'Adam' Saaz Bajāyā Nahīñ Jaatā
Aankhon se Teri Zulf ka Saya Nahin Jata
Aaram Jo Dekha Hai Bhulaya Nahin Jata
Allah-re Nadan Jawani ki Umangen!
Jaise Koi Bazar Sajaya Nahin Jata
Aankhon se Pilate Raho Saghar mein na Dalo
Ab Hum se Koi Jam UThaya Nahin Jata
Bole Koi Hans Kar to ChhiDak Dete Hain Jaan Bhi
Lekin Koi RuThe to Manaya Nahin Jata
Jis Tar ko ChheDen Wahi Fariyaad-ba-lab Hai
Ab Hum se 'Adam' Saz Bajaya Nahin Jata

इतना तो दोस्ती का सिला दीजिए मुझे : अब्दुल हमीद अदम

इतना तो दोस्ती का सिला दीजिए मुझे
अपना समझ के ज़हर पिला दीजिए मुझे
उट्ठे न ता-कि आप की जानिब नज़र कोई
जितनी भी तोहमतें हैं लगा दीजिए मुझे
क्यूँ आप की ख़ुशी को मिरा ग़म करे उदास
इक तल्ख़ हादिसा हूँ भुला दीजिए मुझे
सिदक़-ओ-सफ़ा ने मुझ को किया है बहुत ख़राब
मक्र-ओ-रिया ज़रूर सिखा दीजिए मुझे
मैं आप के क़रीब ही होता हूँ हर घड़ी
मौक़ा कभी पड़े तो सदा दीजिए मुझे
हर चीज़ दस्तियाब है बाज़ार में 'अदम'
झूटी ख़ुशी ख़रीद के ला दीजिए मुझे

Itna to Dosti ka Sila Dijiye Mujhe : Abdul Hamid Adam

Itnā to Dostī Kā Sila Dījiye Mujhe
Apnā Samajh ke Zahr Pilā Dījiye Mujhe
UTThe na Tā-ki Aap Kī Jānib Nazar Koī
Jitnī Bhī Tohmateñ Haiñ Lagā Dījiye Mujhe
Kyuuñ Aap Kī ḳHushī ko Mirā ġHam Kare Udaas
Ik Talḳh Hādisa Huuñ Bhulā Dījiye Mujhe
Sidq-o-safā ne Mujh ko Kiyā Hai Bahut ḳHarāb
Makr-o-riyā Zarūr Sikhā Dījiye Mujhe
Maiñ Aap ke Qarīb Hī Hotā Huuñ Har GhaḌī
Mauqa Kabhī PaḌe to Sadā Dījiye Mujhe
Har Chiiz Dastiyāb Hai Bāzār Meñ 'Adam'
JhūTī ḳHushī ḳHarīd ke Lā Dījiye Mujhe
Itna to Dosti ka Sila Dijiye Mujhe
Apna Samajh ke Zahr Pila Dijiye Mujhe
UTThe na Ta-ki Aap ki Jaanib Nazar Koi
Jitni bhi Tohmaten Hain Laga Dijiye Mujhe
Kyun Aap ki KHushi ko Mera Gham Kare Udas
Ek TalKH Hadisa Hun Bhula Dijiye Mujhe
Sidq-o-safa ne Mujh ko Kiya Hai Bahut KHarab
Makr-o-riya Zarur Sikha Dijiye Mujhe
Main Aap ke Qarib hi Hota Hun Har GhaDi
Mauqa Kabhi PaDe to Sada Dijiye Mujhe
Har Chiz Dastiyab Hai Bazar mein 'Adam'
JhuTi KHushi KHarid ke La Dijiye Mujhe

मतलब मुआ'मलात का कुछ पा गया हूँ मैं : अब्दुल हमीद अदम

मतलब मुआ'मलात का कुछ पा गया हूँ मैं
हँस कर फ़रेब-ए-चश्म-ए-करम खा गया हूँ मैं
बस इंतिहा है छोड़िए बस रहने दीजिए
ख़ुद अपने ए'तिमाद से शर्मा गया हूँ मैं
साक़ी ज़रा निगाह मिला कर तो देखना
कम्बख़्त होश में तो नहीं आ गया हूँ मैं
शायद मुझे निकाल के पछता रहे हों आप
महफ़िल में इस ख़याल से फिर आ गया हूँ मैं
क्या अब हिसाब भी तू मिरा लेगा हश्र में
क्या ये इ'ताब कम है यहाँ आ गया हूँ मैं
मैं इश्क़ हूँ मिरा भला क्या काम दार से
वो शरअ' थी जिसे वहाँ लटका गया हूँ मैं
निकला था मय-कदे से कि अब घर चलूँ 'अदम'
घबरा के सू-ए-मय-कदा फिर आ गया हूँ मैं

Matlab Muamalat ka Kuchh Pa Gaya Hun Main : Abdul Hamid Adam

Matlab Muāmalāt Kā Kuchh Pā Gayā Huuñ Maiñ
Hañs Kar Fareb-e-chashm-e-karam Khā Gayā Huuñ Maiñ
Bas Intihā Hai ChhoḌiye Bas Rahne Dījiye
ḳHud Apne E'timād se Sharmā Gayā Huuñ Maiñ
Saaqī Zarā Nigāh Milā Kar to Dekhnā
Kambaḳht Hosh Meñ to Nahīñ Aa Gayā Huuñ Maiñ
Shāyad Mujhe Nikāl ke Pachhtā Rahe Hoñ Aap
Mahfil Meñ Is ḳHayāl se Phir Aa Gayā Huuñ Maiñ
Kyā Ab Hisāb Bhī Tū Mirā Legā Hashr Meñ
Kyā Ye Itaab Kam Hai Yahāñ Aa Gayā Huuñ Maiñ
Maiñ Ishq Huuñ Mirā Bhalā Kyā Kaam Daar Se
Vo Shar.a Thī Jise Vahāñ LaTkā Gayā Huuñ Maiñ
Niklā Thā Mai-kade se ki Ab Ghar Chalūñ 'Adam'
Ghabrā ke Sū-e-mai-kada Phir Aa Gayā Huuñ Maiñ
Matlab Muamalat ka Kuchh Pa Gaya Hun Main
Hans Kar Fareb-e-chashm-e-karam Kha Gaya Hun Main
Bas Intiha Hai ChhoDiye Bas Rahne Dijiye
KHud Apne E'timad se Sharma Gaya Hun Main
Saqi Zara Nigah Mila Kar to Dekhna
KambaKHt Hosh mein to Nahin Aa Gaya Hun Main
Shayad Mujhe Nikal ke Pachhta Rahe Hon Aap
Mahfil mein Is KHayal se Phir Aa Gaya Hun Main
Kya Ab Hisab bhi Tu Mera Lega Hashr Mein
Kya Ye Itab Kam Hai Yahan Aa Gaya Hun Main
Main Ishq Hun Mera Bhala Kya Kaam Dar Se
Wo Shara Thi Jise Wahan LaTka Gaya Hun Main
Nikla Tha Mai-kade se ki Ab Ghar Chalun 'Adam'
Ghabra ke Su-e-mai-kada Phir Aa Gaya Hun Main

कश्ती चला रहा है मगर किस अदा के साथ : अब्दुल हमीद अदम

कश्ती चला रहा है मगर किस अदा के साथ
हम भी न डूब जाएँ कहीं ना-ख़ुदा के साथ
दिल की तलब पड़ी है तो आया है याद अब
वो तो चला गया था किसी दिलरुबा के साथ
जब से चली है आदम ओ यज़्दाँ की दास्ताँ
हर बा-वफ़ा का रब्त है इक बेवफ़ा के साथ
मेहमान मेज़बाँ ही को बहका के ले उड़ा
ख़ुश्बू-ए-गुल भी घूम रही है सबा के साथ
पीर-ए-मुग़ाँ से हम को कोई बैर तो नहीं
थोड़ा सा इख़्तिलाफ़ है मर्द-ए-ख़ुदा के साथ
शैख़ और बहिश्त कितने तअ'ज्जुब की बात है
या-रब ये ज़ुल्म ख़ुल्द की आब-ओ-हवा के साथ
पढ़ता नमाज़ मैं भी हूँ पर इत्तिफ़ाक़ से
उठता हूँ निस्फ़ रात को दिल की सदा के साथ
महशर का ख़ैर कुछ भी नतीजा हो ऐ 'अदम'
कुछ गुफ़्तुगू तो खुल के करेंगे ख़ुदा के साथ

Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada ke Sath : Abdul Hamid Adam

Kashtī Chalā Rahā Hai Magar Kis Adā ke Saath
Ham Bhī na Duub Jaa.eñ Kahīñ Nā-ḳhudā ke Saath
Dil Kī Talab PaḌī Hai to Aayā Hai Yaad Ab
Vo to Chalā Gayā Thā Kisī Dilrubā ke Saath
Jab se Chalī Hai Aadam o Yazdāñ Kī Dāstāñ
Har Bā-vafā Kā Rabt Hai Ik Bevafā ke Saath
Mehmān Mezbāñ Hī ko Bahkā ke Le UḌā
ḳHushbū-e-gul Bhī Ghuum Rahī Hai Sabā ke Saath
Pīr-e-muġhāñ se Ham ko koī Bair to Nahīñ
ThoḌā Sā Iḳhtilāf Hai Mard-e-ḳhudā ke Saath
Shaiḳh aur Bahisht Kitne Ta.ajjub Kī Baat Hai
Yā-rab Ye Zulm ḳHuld Kī āB-o-havā ke Saath
PaḌhtā Namāz Maiñ Bhī Huuñ par Ittifāq Se
UThtā Huuñ Nisf Raat ko Dil Kī Sadā ke Saath
Mahshar Kā ḳHair Kuchh Bhī Natīja Ho Ai 'Adam'
Kuchh Guftugū to Khul ke Kareñge ḳHudā ke Saath
Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada ke Sath
Hum bhi na Dub Jaen Kahin Na-KHuda ke Sath
Dil ki Talab PaDi Hai to Aaya Hai Yaad Ab
Wo to Chala Gaya Tha Kisi Dilruba ke Sath
Jab se Chali Hai Aadam o Yazdan ki Dastan
Har Ba-wafa ka Rabt Hai Ek Bewafa ke Sath
Mehman Mezban hi ko Bahka ke Le UDa
KHushbu-e-gul bhi Ghum Rahi Hai Saba ke Sath
Pir-e-mughan se Hum ko Koi Bair to Nahin
ThoDa sa IKHtilaf Hai Mard-e-KHuda ke Sath
ShaiKH aur Bahisht Kitne Tajjub ki Baat Hai
Ya-rab Ye Zulm KHuld ki Aab-o-hawa ke Sath
PaDhta Namaz Main bhi Hun par Ittifaq Se
UThta Hun Nisf Raat ko Dil ki Sada ke Sath
Mahshar ka KHair Kuchh bhi Natija Ho Ai 'Adam'
Kuchh Guftugu to Khul ke Karenge KHuda ke Sath

मुस्कुरा कर ख़िताब करते हो : अब्दुल हमीद अदम

मुस्कुरा कर ख़िताब करते हो
आदतें क्यूँ ख़राब करते हो
मार दो मुझ को रहम-दिल हो कर
क्या ये कार-ए-सवाब करते हो
मुफ़्लिसी और किस को कहते हैं!
दौलतों का हिसाब करते हो
सिर्फ़ इक इल्तिजा है छोटी सी
क्या उसे बारयाब करते हो
हम तो तुम को पसंद कर बैठे
तुम किसे इंतिख़ाब करते हो
ख़ार की नोक को लहू दे कर
इंतिज़ार-ए-गुलाब करते हो
ये नई एहतियात देखी है
आइने से हिजाब करते हो
क्या ज़रूरत है बहस करने की
क्यूँ कलेजा कबाब करते हो
हो चुका जो हिसाब होना था
और अब क्या हिसाब करते हो
एक दिन ऐ 'अदम' न पी तो क्या
रोज़ शग़्ल-ए-शराब करते हो
कितने बे-रहम हो 'अदम' तुम भी
ज़िक्र-ए-अहद-ए-शबाब करते हो
हो किसी की ख़ुशी गर इस में 'अदम'
जुर्म का इर्तिकाब करते हो

Muskura Kar KHitab Karte Ho : Abdul Hamid Adam

Muskurā Kar ḳHitāb Karte Ho
āDateñ Kyuuñ ḳHarāb Karte Ho
Maar Do Mujh ko Rahm-dil Ho Kar
Kyā Ye Kār-e-savāb Karte Ho
Muflisī aur Kis ko Kahte Haiñ!
Daulatoñ Kā Hisāb Karte Ho
Sirf Ik Iltijā Hai ChhoTī Sī
Kyā Use Bāryāb Karte Ho
Ham to Tum ko Pasand Kar BaiThe
Tum Kise Intiḳhāb Karte Ho
ḳHaar Kī Nok ko Lahū De Kar
Intizār-e-gulāb Karte Ho
Ye na.ī Ehtiyāt Dekhī Hai
Aa.ine se Hijāb Karte Ho
Kyā Zarūrat Hai Bahs Karne Kī
Kyuuñ Kaleja Kabāb Karte Ho
Ho Chukā Jo Hisāb Honā Thā
Aur Ab Kyā Hisāb Karte Ho
Ek Din Ai 'Adam' na Pī to Kyā
Roz Shaġhl-e-sharāb Karte Ho
Kitne Be-rahm Ho 'Adam' Tum Bhī
Zikr-e-ahd-e-shabāb Karte Ho
Ho Kisī Kī ḳHushī Gar Is Meñ 'Adam'
Jurm Kā Irtikāb Karte Ho
Muskura Kar KHitab Karte Ho
Aadaten Kyun KHarab Karte Ho
Mar Do Mujh ko Rahm-dil Ho Kar
Kya Ye Kar-e-sawab Karte Ho
Muflisi aur Kis ko Kahte Hain!
Daulaton ka Hisab Karte Ho
Sirf Ek Iltija Hai ChhoTi Si
Kya Use Baryab Karte Ho
Hum to Tum ko Pasand Kar BaiThe
Tum Kise IntiKHab Karte Ho
KHar ki Nok ko Lahu De Kar
Intizar-e-gulab Karte Ho
Ye Nai Ehtiyat Dekhi Hai
Aaine se Hijab Karte Ho
Kya Zarurat Hai Bahs Karne Ki
Kyun Kaleja Kabab Karte Ho
Ho Chuka Jo Hisab Hona Tha
Aur Ab Kya Hisab Karte Ho
Ek Din Ai 'Adam' na Pi to Kya
Roz Shaghl-e-sharab Karte Ho
Kitne Be-rahm Ho 'Adam' Tum Bhi
Zikr-e-ahd-e-shabab Karte Ho
Ho Kisi ki KHushi Gar Is mein 'Adam'
Jurm ka Irtikab Karte Ho

तकलीफ़ मिट गई मगर एहसास रह गया : अब्दुल हमीद अदम

तकलीफ़ मिट गई मगर एहसास रह गया
ख़ुश हूँ कि कुछ न कुछ तो मिरे पास रह गया
पल-भर में उस की शक्ल न आई अगर नज़र
यक-दम उलझ के रिश्ता-ए-अन्फ़ास रह गया
फोटो में दिल की चोट न तब्दील हो सकी
नक़लें उतार उतार के अक्कास रह गया
वो झूटे मोतियों की चमक पर फिसल गई
मैं हाथ में लिए हुए अल्मास रह गया
इक हम-सफ़र को खो के ये हालत हुई 'अदम'
जंगल में जिस तरह कोई बे-आस रह गया

Taklif MiT Gai Magar Ehsas Rah Gaya : Abdul Hamid Adam

Taklīf MiT Ga.ī Magar Ehsās Rah Gayā
ḳHush Huuñ ki Kuchh na Kuchh to Mire Paas Rah Gayā
Pal-bhar Meñ Us Kī Shakl na Aa.ī Agar Nazar
Yak-dam Ulajh ke Rishta-e-anfās Rah Gayā
Photo Meñ Dil Kī ChoT na Tabdīl Ho Sakī
Naqleñ Utaar Utaar ke Akkās Rah Gayā
Vo JhūTe Motiyoñ Kī Chamak par Phisal Ga.ī
Maiñ Haath Meñ Liye Hue Almās Rah Gayā
Ik Ham-safar ko Kho ke Ye Hālat Huī 'Adam'
Jañgal Meñ Jis Tarah koī Be-ās Rah Gayā
Taklif MiT Gai Magar Ehsas Rah Gaya
KHush Hun ki Kuchh na Kuchh to Mere Pas Rah Gaya
Pal-bhar mein Us ki Shakl na Aai Agar Nazar
Yak-dam Ulajh ke Rishta-e-anfas Rah Gaya
Photo mein Dil ki ChoT na Tabdil Ho Saki
Naqlen Utar Utar ke Akkas Rah Gaya
Wo JhuTe Motiyon ki Chamak par Phisal Gai
Main Hath mein Liye Hue Almas Rah Gaya
Ek Ham-safar ko Kho ke Ye Haalat Hui 'Adam'
Jangal mein Jis Tarah Koi Be-as Rah Gaya

देख कर दिल-कशी ज़माने की : अब्दुल हमीद अदम

देख कर दिल-कशी ज़माने की
आरज़ू है फ़रेब खाने की
ऐ ग़म-ए-ज़िंदगी न हो नाराज़
मुझ को आदत है मुस्कुराने की
ज़ुल्मतों से न डर कि रस्ते में
रौशनी है शराब-ख़ाने की
आ तिरे गेसुओं को प्यार करूँ
रात है मशअलें जलाने की
किस ने साग़र 'अदम' बुलंद किया
थम गईं गर्दिशें ज़माने की

Dekh Kar Dil-kashi Zamane ki : Abdul Hamid Adam

Dekh Kar Dil-kashī Zamāne Kī
Aarzū Hai Fareb Khāne Kī
Ai ġHam-e-zindagī na Ho Nārāz
Mujh ko Aadat Hai Muskurāne Kī
Zulmatoñ se na Dar ki Raste Meñ
Raushnī Hai Sharāb-ḳhāne Kī
Aa Tire Gesuoñ ko Pyaar Karūñ
Raat Hai Mash.aleñ Jalāne Kī
Kis ne Sāġhar 'Adam' Buland Kiyā
Tham Ga.iiñ Gardisheñ Zamāne Kī
Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki
Aarzu Hai Fareb Khane Ki
Ai Gham-e-zindagi na Ho Naraaz
Mujh ko Aadat Hai Muskurane Ki
Zulmaton se na Dar ki Raste Mein
Raushni Hai Sharab-KHane Ki
Aa Tere Gesuon ko Pyar Karun
Raat Hai Mashalen Jalane Ki
Kis ne Saghar 'Adam' Buland Kiya
Tham Gain Gardishen Zamane Ki

ज़ुल्फ़-ए-बरहम सँभाल कर चलिए : अब्दुल हमीद अदम

ज़ुल्फ़-ए-बरहम सँभाल कर चलिए
रास्ता देख-भाल कर चलिए
मौसम-ए-गुल है अपनी बाँहों को
मेरी बाँहों में डाल कर चलिए
मय-कदे में न बैठिए ताहम
कुछ तबीअ'त बहाल कर चलिए
कुछ न देंगे तो क्या ज़ियाँ होगा
हर्ज क्या है सवाल कर चलिए
है अगर क़त्ल-ए-आम की निय्यत
जिस्म की छब निकाल कर चलिए
किसी नाज़ुक-बदन से टकरा कर
कोई कस्ब-ए-कमाल कर चलिए
या दुपट्टा न लीजिए सर पर
या दुपट्टा सँभाल कर चलिए
यार दोज़ख़ में हैं मुक़ीम 'अदम'
ख़ुल्द से इंतिक़ाल कर चलिए

Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye : Abdul Hamid Adam

Zulf-e-barham Sambhāl Kar Chaliye
Rāsta Dekh-bhāl Kar Chaliye
Mausam-e-gul Hai Apnī Bāñhoñ Ko
Merī Bāñhoñ Meñ Daal Kar Chaliye
Mai-kade Meñ na BaiThiye Tāham
Kuchh Tabī.at Bahāl Kar Chaliye
Kuchh na Deñge to Kyā Ziyāñ Hogā
Harj Kyā Hai Savāl Kar Chaliye
Hai Agar Qatl-e-ām Kī Niyyat
Jism Kī Chhab Nikāl Kar Chaliye
Kisī Nāzuk-badan se Takrā Kar
Koī Kasb-e-kamāl Kar Chaliye
Yā DupaTTa na Lījiye Sar Par
Yā DupaTTa Sambhāl Kar Chaliye
Yaar Dozaḳh Meñ Haiñ Muqīm 'Adam'
ḳHuld se Intiqāl Kar Chaliye
Zulf-e-barham Sambhaal Kar Chaliye
Rasta Dekh-bhaal Kar Chaliye
Mausam-e-gul Hai Apni Banhon Ko
Meri Banhon mein Dal Kar Chaliye
Mai-kade mein na BaiThiye Taham
Kuchh Tabiat Bahaal Kar Chaliye
Kuchh na Denge to Kya Ziyan Hoga
Harj Kya Hai Sawal Kar Chaliye
Hai Agar Qatl-e-am ki Niyyat
Jism ki Chhab Nikal Kar Chaliye
Kisi Nazuk-badan se Takra Kar
Koi Kasb-e-kamal Kar Chaliye
Ya DupaTTa na Lijiye Sar Par
Ya DupaTTa Sambhaal Kar Chaliye
Yar DozaKH mein Hain Muqim 'Adam'
KHuld se Intiqal Kar Chaliye

वो बातें तिरी वो फ़साने तिरे : अब्दुल हमीद अदम

वो बातें तिरी वो फ़साने तिरे
शगुफ़्ता शगुफ़्ता बहाने तिरे
बस इक दाग़-ए-सज्दा मिरी काएनात
जबीनें तिरी आस्ताने तिरे
मज़ालिम तिरे आफ़ियत-आफ़रीं
मरासिम सुहाने सुहाने तिरे
फ़क़ीरों की झोली न होगी तही
हैं भरपूर जब तक ख़ज़ाने तिरे
दिलों को जराहत का लुत्फ़ आ गया
लगे हैं कुछ ऐसे निशाने तिरे
असीरों की दौलत असीरी का ग़म
नए दाम तेरे पुराने तिरे
बस इक ज़ख़्म-ए-नज़्ज़ारा हिस्सा मिरा
बहारें तिरी आशियाने तिरे
फ़क़ीरों का जमघट घड़ी-दो-घड़ी
शराबें तिरी बादा-ख़ाने तिरे
ज़मीर-ए-सदफ़ में किरन का मक़ाम
अनोखे अनोखे ठिकाने तिरे
बहार ओ ख़िज़ाँ कम-निगाहों के वहम
बुरे या भले सब ज़माने तिरे
'अदम' भी है तेरा हिकायत-कदा
कहाँ तक गए हैं फ़साने तिरे

Wo Baaten Teri Wo Fasane Tere : Abdul Hamid Adam

Vo Bāteñ Tirī Vo Fasāne Tire
Shagufta Shagufta Bahāne Tire
Bas Ik Dāġh-e-sajda Mirī Kā.enāt
Jabīneñ Tirī āStāne Tire
Mazālim Tire āFiyat-āfrīñ
Marāsim Suhāne Suhāne Tire
Faqīroñ Kī Jholī na Hogī Tahī
Haiñ Bharpūr Jab Tak ḳHazāne Tire
Diloñ ko Jarāhat Kā Lutf Aa Gayā
Lage Haiñ Kuchh Aise Nishāne Tire
Asīroñ Kī Daulat Asīrī Kā ġHam
Na.e Daam Tere Purāne Tire
Bas Ik Zaḳhm-e-nazzāra Hissa Mirā
Bahāreñ Tirī āShiyāne Tire
Faqīroñ Kā JamghaT GhaḌī-do-ghaḌī
Sharābeñ Tirī Bāda-ḳhāne Tire
Zamīr-e-sadaf Meñ Kiran Kā Maqām
Anokhe Anokhe Thikāne Tire
Bahār o ḳHizāñ Kam-nigāhoñ ke Vahm
Bure Yā Bhale Sab Zamāne Tire
'Adam' Bhī Hai Terā Hikāyat-kada
Kahāñ Tak Ga.e Haiñ Fasāne Tire
Wo Baaten Teri Wo Fasane Tere
Shagufta Shagufta Bahane Tere
Bas Ek Dagh-e-sajda Meri Kaenat
Jabinen Teri Aastane Tere
Mazalim Tere Aafiyat-afrin
Marasim Suhane Suhane Tere
Faqiron ki Jholi na Hogi Tahi
Hain Bharpur Jab Tak KHazane Tere
Dilon ko Jarahat ka Lutf Aa Gaya
Lage Hain Kuchh Aise Nishane Tere
Asiron ki Daulat Asiri ka Gham
Nae Dam Tere Purane Tere
Bas Ek ZaKHm-e-nazzara Hissa Mera
Bahaaren Teri Aashiyane Tere
Faqiron ka JamghaT GhaDi-do-ghaDi
Sharaben Teri Baada-KHane Tere
Zamir-e-sadaf mein Kiran ka Maqam
Anokhe Anokhe Thikane Tere
Bahaar o KHizan Kam-nigahon ke Wahm
Bure ya Bhale Sab Zamane Tere
'Adam' bhi Hai Tera Hikayat-kada
Kahan Tak Gae Hain Fasane Tere

दिन गुज़र जाएँगे सरकार कोई बात नहीं : अब्दुल हमीद अदम

दिन गुज़र जाएँगे सरकार कोई बात नहीं
ज़ख़्म भर जाएँगे सरकार कोई बात नहीं
आप का शहर अगर बार समझता है हमें
कूच कर जाएँगे सरकार कोई बात नहीं
आप के जौर का जब ज़िक्र छिड़ा महशर में
हम मुकर जाएँगे सरकार कोई बात नहीं
रो के जीने में भला कौन सी शीरीनी है
हंस के मर जाएँगे सरकार कोई बात नहीं
निकल आए हैं 'अदम' से तो झिझकना कैसा
दर-ब-दर जाएँगे सरकार कोई बात नहीं

Din Guzar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin : Abdul Hamid Adam

Din Guzar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Zaḳhm Bhar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Aap Kā Shahr Agar Baar Samajhtā Hai Hameñ
Kuuch Kar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Aap ke Jaur Kā Jab Zikr ChhiḌā Mahshar Meñ
Ham Mukar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Ro ke Jiine Meñ Bhalā Kaun Sī Shīrīnī Hai
Hans ke Mar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Nikal Aa.e Haiñ 'Adam' se to Jhijhaknā Kaisā
Dar-ba-dar Jā.eñge Sarkār koī Baat Nahīñ
Din Guzar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin
ZaKHm Bhar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin
Aap ka Shahr Agar Bar Samajhta Hai Hamein
Kuch Kar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin
Aap ke Jaur ka Jab Zikr ChhiDa Mahshar Mein
Hum Mukar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin
Ro ke Jine mein Bhala Kaun si Shirini Hai
Hans ke Mar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin
Nikal Aae Hain 'Adam' se to Jhijhakna Kaisa
Dar-ba-dar Jaenge Sarkar Koi Baat Nahin

हँस हँस के जाम जाम को छलका के पी गया : अब्दुल हमीद अदम

हँस हँस के जाम जाम को छलका के पी गया
वो ख़ुद पिला रहे थे मैं लहरा के पी गया
तौबा के टूटने का भी कुछ कुछ मलाल था
थम थम के सोच सोच के शर्मा के पी गया
साग़र-ब-दस्त बैठी रही मेरी आरज़ू
साक़ी शफ़क़ से जाम को टकरा के पी गया
वो दुश्मनों के तंज़ को ठुकरा के पी गए
मैं दोस्तों के ग़ैज़ को भड़का के पी गया
सदहा मुतालिबात के बा'द एक जाम-ए-तल्ख़
दुनिया-ए-जब्र-ओ-सब्र को धड़का के पी गया
सौ बार लग़्ज़िशों की क़सम खा के छोड़ दी
सौ बार छोड़ने की क़सम खा के पी गया
पीता कहाँ था सुब्ह-ए-अज़ल मैं भला 'अदम'
साक़ी के ए'तिबार पे लहरा के पी गया

Hans Hans ke Jam Jam ko Chhalka ke Pi Gaya : Abdul Hamid Adam

Hañs Hañs ke Jaam Jaam ko Chhalkā ke Pī Gayā
Vo ḳHud Pilā Rahe The Maiñ Lahrā ke Pī Gayā
Tauba ke TūTne Kā Bhī Kuchh Kuchh Malāl Thā
Tham Tham ke Soch Soch ke Sharmā ke Pī Gayā
Sāġhar-ba-dast BaiThī Rahī Merī Aarzū
Saaqī Shafaq se Jaam ko Takrā ke Pī Gayā
Vo Dushmanoñ ke Tanz ko Thukrā ke Pī Ga.e
Maiñ Dostoñ ke ġHaiz ko BhaḌkā ke Pī Gayā
Sad.hā Mutālibāt ke Ba.ad Ek Jām-e-talḳh
Duniyā-e-jabr-o-sabr ko DhaḌkā ke Pī Gayā
Sau Baar Laġhzishoñ Kī Qasam Khā ke ChhoḌ Dī
Sau Baar ChhoḌne Kī Qasam Khā ke Pī Gayā
Piitā Kahāñ Thā Sub.h-e-azal Maiñ Bhalā 'Adam'
Saaqī ke E'tibār pe Lahrā ke Pī Gayā
Hans Hans ke Jam Jam ko Chhalka ke Pi Gaya
Wo KHud Pila Rahe The Main Lahra ke Pi Gaya
Tauba ke TuTne ka bhi Kuchh Kuchh Malal Tha
Tham Tham ke Soch Soch ke Sharma ke Pi Gaya
Saghar-ba-dast BaiThi Rahi Meri Aarzu
Saqi Shafaq se Jam ko Takra ke Pi Gaya
Wo Dushmanon ke Tanz ko Thukra ke Pi Gae
Main Doston ke Ghaiz ko BhaDka ke Pi Gaya
Sadha Mutalibaat ke Baad Ek Jam-e-talKH
Duniya-e-jabr-o-sabr ko DhaDka ke Pi Gaya
Sau Bar Laghzishon ki Qasam Kha ke ChhoD Di
Sau Bar ChhoDne ki Qasam Kha ke Pi Gaya
Pita Kahan Tha Subh-e-azal Main Bhala 'Adam'
Saqi ke E'tibar pe Lahra ke Pi Gaya

ज़ख़्म दिल के अगर सिए होते : अब्दुल हमीद अदम

ज़ख़्म दिल के अगर सिए होते
अहल-ए-दिल किस तरह जिए होते
वो मिले भी तो इक झिझक सी रही
काश थोड़ी सी हम पिए होते
आरज़ू मुतमइन तो हो जाती
और भी कुछ सितम किए होते
लज़्ज़त-ए-ग़म तो बख़्श दी उस ने
हौसले भी 'अदम' दिए होते

ZaKHm Dil ke Agar Siye Hote : Abdul Hamid Adam

Zaḳhm Dil ke Agar Siye Hote
Ahl-e-dil Kis Tarah Jiye Hote
Vo Mile Bhī to Ik Jhijhak Sī Rahī
Kaash ThoḌī Sī Ham Piye Hote
Aarzū Mutma.in to Ho Jaatī
Aur Bhī Kuchh Sitam Kiye Hote
Lazzat-e-ġham to Baḳhsh Dī Us Ne
Hausle Bhī 'Adam' Diye Hote
ZaKHm Dil ke Agar Siye Hote
Ahl-e-dil Kis Tarah Jiye Hote
Wo Mile bhi to Ek Jhijhak si Rahi
Kash ThoDi si Hum Piye Hote
Aarzu Mutmain to Ho Jati
Aur bhi Kuchh Sitam Kiye Hote
Lazzat-e-gham to BaKHsh Di Us Ne
Hausle bhi 'Adam' Diye Hote

मय-कदा था चाँदनी थी मैं न था : अब्दुल हमीद अदम

मय-कदा था चाँदनी थी मैं न था
इक मुजस्सम बे-ख़ुदी थी मैं न था
इश्क़ जब दम तोड़ता था तुम न थे
मौत जब सर धुन रही थी मैं न था
तूर पर छेड़ा था जिस ने आप को
वो मिरी दीवानगी थी मैं न था
वो हसीं बैठा था जब मेरे क़रीब
लज़्ज़त-हम-सायगी थी मैं न था
मय-कदे के मोड़ पर रुकती हुई
मुद्दतों की तिश्नगी थी मैं न था
थी हक़ीक़त कुछ मिरी तो इस क़दर
उस हसीं की दिल-लगी थी मैं न था
मैं और उस ग़ुंचा-दहन की आरज़ू
आरज़ू की सादगी थी मैं न था
जिस ने मह-पारों के दिल पिघला दिए
वो तो मेरी शाएरी थी मैं न था
गेसुओं के साए में आराम-कश
सर-बरहना ज़िंदगी थी मैं न था
दैर ओ काबा में 'अदम' हैरत-फ़रोश
दो-जहाँ की बद-ज़नी थी मैं न था

Mai-kada Tha Chandni Thi Main na Tha : Abdul Hamid Adam

Mai-kada Thā Chāñdnī Thī Maiñ na Thā
Ik Mujassam Be-ḳhudī Thī Maiñ na Thā
Ishq Jab Dam ToḌtā Thā Tum na The
Maut Jab Sar Dhun Rahī Thī Maiñ na Thā
Tuur par ChheḌā Thā Jis ne Aap Ko
Vo Mirī Dīvāngī Thī Maiñ na Thā
Vo Hasīñ BaiThā Thā Jab Mere Qarīb
Lazzat-e-ham-sā.egī Thī Maiñ na Thā
Mai-kade ke MoḌ par Ruktī Huī
Muddatoñ Kī Tishnagī Thī Maiñ na Thā
Thī Haqīqat Kuchh Mirī to Is Qadar
Us Hasīñ Kī Dil-lagī Thī Maiñ na Thā
Maiñ aur Us ġHuncha-dahan Kī Aarzū
Aarzū Kī Sādgī Thī Maiñ na Thā
Jis ne Mah-pāroñ ke Dil Pighlā Diye
Vo to Merī Shā.erī Thī Maiñ na Thā
Gesuoñ ke Saa.e Meñ āRām-kash
Sar-barahna Zindagī Thī Maiñ na Thā
Dair o Ka.aba Meñ 'Adam' Hairat-farosh
Do-jahāñ Kī Bad-zanī Thī Maiñ na Thā
Mai-kada Tha Chandni Thi Main na Tha
Ek Mujassam Be-KHudi Thi Main na Tha
Ishq Jab Dam ToDta Tha Tum na The
Maut Jab Sar Dhun Rahi Thi Main na Tha
Tur par ChheDa Tha Jis ne Aap Ko
Wo Meri Diwangi Thi Main na Tha
Wo Hasin BaiTha Tha Jab Mere Qarib
Lazzat-e-ham-saegi Thi Main na Tha
Mai-kade ke MoD par Rukti Hui
Muddaton ki Tishnagi Thi Main na Tha
Thi Haqiqat Kuchh Meri to Is Qadar
Us Hasin ki Dil-lagi Thi Main na Tha
Main aur Us Ghuncha-dahan ki Aarzu
Aarzu ki Sadgi Thi Main na Tha
Jis ne Mah-paron ke Dil Pighla Diye
Wo to Meri Shaeri Thi Main na Tha
Gesuon ke Sae mein Aaram-kash
Sar-barahna Zindagi Thi Main na Tha
Dair o Kaba mein 'Adam' Hairat-farosh
Do-jahan ki Bad-zani Thi Main na Tha

आगही में इक ख़ला मौजूद है : अब्दुल हमीद अदम

आगही में इक ख़ला मौजूद है
इस का मतलब है ख़ुदा मौजूद है
है यक़ीनन कुछ मगर वाज़ेह नहीं
आप की आँखों में क्या मौजूद है
बाँकपन में और कोई शय नहीं
सादगी की इंतिहा मौजूद है
है मुकम्मल बादशाही की दलील
घर में गर इक बोरिया मौजूद है
शौक़िया कोई नहीं होता ग़लत
इस में कुछ तेरी रज़ा मौजूद है
इस लिए तन्हा हूँ मैं गर्म-ए-सफ़र
क़ाफ़िले में रहनुमा मौजूद है
हर मोहब्बत की बिना है चाशनी
हर लगन में मुद्दआ' मौजूद है
हर जगह हर शहर हर इक़्लीम में
धूम है उस की जो ना-मौजूद है
जिस से छुपना चाहता हूँ मैं 'अदम'
वो सितमगर जा-ब-जा मौजूद है

Aagahi mein Ek KHala Maujud Hai : Abdul Hamid Adam

āGahī Meñ Ik ḳHalā Maujūd Hai
Is Kā Matlab Hai ḳHudā Maujūd Hai
Hai Yaqīnan Kuchh Magar Vāzeh Nahīñ
Aap Kī āñKhoñ Meñ Kyā Maujūd Hai
Bāñkpan Meñ aur koī Shai Nahīñ
Sādgī Kī Intihā Maujūd Hai
Hai Mukammal Bādshāhī Kī Dalīl
Ghar Meñ Gar Ik Boriyā Maujūd Hai
Shauqiya koī Nahīñ Hotā ġHalat
Is Meñ Kuchh Terī Razā Maujūd Hai
Is Liye Tanhā Huuñ Maiñ Garm-e-safar
Qāfile Meñ Rahnumā Maujūd Hai
Har Mohabbat Kī Binā Hai Chāshnī
Har Lagan Meñ Mudda.ā Maujūd Hai
Har Jagah Har Shahr Har Iqlīm Meñ
Dhuum Hai Us Kī Jo Nā-maujūd Hai
Jis se Chhupnā Chāhtā Huuñ Maiñ 'Adam'
Vo Sitamgar Jā-ba-jā Maujūd Hai
Aagahi mein Ek KHala Maujud Hai
Is ka Matlab Hai KHuda Maujud Hai
Hai Yaqinan Kuchh Magar Wazeh Nahin
Aap ki Aankhon mein Kya Maujud Hai
Bankpan mein aur Koi Shai Nahin
Sadgi ki Intiha Maujud Hai
Hai Mukammal Baadshahi ki Dalil
Ghar mein Gar Ek Boriya Maujud Hai
Shauqiya Koi Nahin Hota Ghalat
Is mein Kuchh Teri Raza Maujud Hai
Is Liye Tanha Hun Main Garm-e-safar
Qafile mein Rahnuma Maujud Hai
Har Mohabbat ki Bina Hai Chashni
Har Lagan mein Muddaa Maujud Hai
Har Jagah Har Shahr Har Iqlim Mein
Dhum Hai Us ki Jo Na-maujud Hai
Jis se Chhupna Chahta Hun Main 'Adam'
Wo Sitamgar Ja-ba-ja Maujud Hai

हम ने हसरतों के दाग़ आँसुओं से धो लिए : अब्दुल हमीद अदम

हम ने हसरतों के दाग़ आँसुओं से धो लिए
आप की ख़ुशी हुज़ूर बोलिए न बोलिए
क्या हसीन ख़ार थे जो मिरी निगाह ने
सादगी से बारहा रूह में चुभो लिए
मौसम-ए-बहार है अम्बरीं ख़ुमार है
किस का इंतिज़ार है गेसुओं को खोलिए
ज़िंदगी का रास्ता काटना तो था 'अदम'
जाग उठ तो चल दिए थक गए तो सो लिए

Humne Hasraton ke Dagh Aansuon se Dho Liye : Abdul Hamid Adam

Ham ne Hasratoñ ke Daaġh āñSuoñ se Dho Liye
Aap Kī ḳHushī Huzūr Boliye na Boliye
Kyā Hasīn ḳHaar The Jo Mirī Nigāh Ne
Sādgī se Bārhā Ruuh Meñ Chubho Liye
Mausam-e-bahār Hai Ambarīñ ḳHumār Hai
Kis Kā Intizār Hai Gesuoñ ko Kholiye
Zindagī Kā Rāsta KāTnā to Thā 'Adam'
Jaag UTh to Chal Diye Thak Ga.e to So Liye
Hum ne Hasraton ke Dagh Aansuon se Dho Liye
Aap ki KHushi Huzur Boliye na Boliye
Kya Hasin KHar The Jo Meri Nigah Ne
Sadgi se Barha Ruh mein Chubho Liye
Mausam-e-bahaar Hai Ambarin KHumar Hai
Kis ka Intizar Hai Gesuon ko Kholiye
Zindagi ka Rasta KaTna to Tha 'Adam'
Jag UTh to Chal Diye Thak Gae to So Liye

बहुत से लोगों को ग़म ने जिला के मार दिया : अब्दुल हमीद अदम

बहुत से लोगों को ग़म ने जिला के मार दिया
जो बच रहे थे उन्हें मय पिला के मार दिया
ये क्या अदा है कि जब उन की बरहमी से हम
न मर सके तो हमें मुस्कुरा के मार दिया
न जाते आप तो आग़ोश क्यूँ तही होती
गए तो आप ने पहलू से जा के मार दिया
मुझे गिला तो नहीं आप के तग़ाफ़ुल से
मगर हुज़ूर ने हिम्मत बढ़ा के मार दिया
न आप आस बँधाते न ये सितम होता
हमें तो आप ने अमृत पिला के मार दिया
किसी ने हुस्न-ए-तग़ाफ़ुल से जाँ तलब कर ली
किसी ने लुत्फ़ के दरिया बहा के मार दिया
जिसे भी मैं ने ज़ियादा तपाक से देखा
उसी हसीन ने पत्थर उठा के मार दिया
वो लोग माँगेंगे अब ज़ीस्त किस के आँचल से?
जिन्हें हुज़ूर ने दामन छुड़ा के मार दिया
चले तो ख़ंदा-मिज़ाजी से जा रहे थे हम
किसी हसीन ने रस्ते में आ के मार दिया
रह-ए-हयात में कुछ ऐसे पेच-ओ-ख़म तो न थे
किसी हसीन ने रस्ते में आ के मार दिया
करम की सूरत-ए-अव्वल तो जाँ-गुदाज़ न थी
करम का दूसरा पहलू दिखा के मार दिया
अजीब रस-भरा रहज़न था जिस ने लोगों को
तरह तरह की अदाएँ दिखा के मार दिया
अजीब ख़ुल्क़ से इक अजनबी मुसाफ़िर ने
हमें ख़िलाफ़-ए-तवक़्क़ो बुला के मार दिया
'अदम' बड़े अदब-आदाब से हसीनों ने
हमें सितम का निशाना बना के मार दिया
तअ'य्युनात की हद तक तो जी रहा था 'अदम'
तअ'य्युनात के पर्दे उठा के मार दिया

Bahut se Logon ko Gham ne Jila ke Mar Diya : Abdul Hamid Adam

Bahut se Logoñ ko ġHam ne Jilā ke Maar Diyā
Jo Bach Rahe The Unheñ Mai Pilā ke Maar Diyā
Ye Kyā Adā Hai ki Jab Un Kī Barhamī se Ham
Na Mar Sake to Hameñ Muskurā ke Maar Diyā
Na Jaate Aap to āġHosh Kyuuñ Tahī Hotī
Ga.e to Aap ne Pahlū se Jā ke Maar Diyā
Mujhe Gila to Nahīñ Aap ke Taġhāful Se
Magar Huzūr ne Himmat BaḌhā ke Maar Diyā
Na Aap Aas Bañdhāte na Ye Sitam Hotā
Hameñ to Aap ne Amrit Pilā ke Maar Diyā
Kisī ne Husn-e-taġhāful se Jaañ Talab Kar Lī
Kisī ne Lutf ke Dariyā Bahā ke Maar Diyā
Jise Bhī Maiñ ne Ziyāda Tapāk se Dekhā
Usī Hasīn ne Patthar UThā ke Maar Diyā
Vo Log Māñgeñge Ab Ziist Kis ke āñChal Se?
Jinheñ Huzūr ne Dāman ChhuḌā ke Maar Diyā
Chale to ḳHanda-mizājī se Jā Rahe The Ham
Kisī Hasīn ne Raste Meñ Aa ke Maar Diyā
Rah-e-hayāt Meñ Kuchh Aise Pech-o-ḳham to na The
Kisī Hasīn ne Raste Meñ Aa ke Maar Diyā
Karam Kī Sūrat-e-avval to Jāñ-gudāz na Thī
Karam Kā Dūsrā Pahlū Dikhā ke Maar Diyā
Ajiib Ras-bharā Rahzan Thā Jis ne Logoñ Ko
Tarah Tarah Kī Adā.eñ Dikhā ke Maar Diyā
Ajiib ḳHulq se Ik Ajnabī Musāfir Ne
Hameñ ḳHilāf-e-tavaqqo.a Bulā ke Maar Diyā
'Adam' BaḌe Adab-ādāb se Hasīnoñ Ne
Hameñ Sitam Kā Nishāna Banā ke Maar Diyā
Ta.ayyunāt Kī Had Tak to Jī Rahā Thā 'Adam'
Ta.ayyunāt ke Parde UThā ke Maar Diyā
Bahut se Logon ko Gham ne Jila ke Mar Diya
Jo Bach Rahe The Unhen Mai Pila ke Mar Diya
Ye Kya Ada Hai ki Jab Un ki Barhami se Hum
Na Mar Sake to Hamein Muskura ke Mar Diya
Na Jate Aap to Aaghosh Kyun Tahi Hoti
Gae to Aap ne Pahlu se Ja ke Mar Diya
Mujhe Gila to Nahin Aap ke Taghaful Se
Magar Huzur ne Himmat BaDha ke Mar Diya
Na Aap Aas Bandhate na Ye Sitam Hota
Hamein to Aap ne Amrit Pila ke Mar Diya
Kisi ne Husn-e-taghaful se Jaan Talab Kar Li
Kisi ne Lutf ke Dariya Baha ke Mar Diya
Jise bhi Main ne Ziyaada Tapak se Dekha
Usi Hasin ne Patthar UTha ke Mar Diya
Wo Log Mangenge Ab Zist Kis ke Aanchal Se?
Jinhen Huzur ne Daman ChhuDa ke Mar Diya
Chale to KHanda-mizaji se Ja Rahe The Hum
Kisi Hasin ne Raste mein Aa ke Mar Diya
Rah-e-hayat mein Kuchh Aise Pech-o-KHam to na The
Kisi Hasin ne Raste mein Aa ke Mar Diya
Karam ki Surat-e-awwal to Jaan-gudaz na Thi
Karam ka Dusra Pahlu Dikha ke Mar Diya
Ajib Ras-bhara Rahzan Tha Jis ne Logon Ko
Tarah Tarah ki Adaen Dikha ke Mar Diya
Ajib KHulq se Ek Ajnabi Musafir Ne
Hamein KHilaf-e-tawaqqoa Bula ke Mar Diya
'Adam' BaDe Adab-adab se Hasinon Ne
Hamein Sitam ka Nishana Bana ke Mar Diya
Tayyunat ki Had Tak to Ji Raha Tha 'Adam'
Tayyunat ke Parde UTha ke Mar Diya

आप की आँख अगर आज गुलाबी होगी : अब्दुल हमीद अदम

आप की आँख अगर आज गुलाबी होगी
मेरी सरकार बड़ी सख़्त ख़राबी होगी
मोहतसिब ने ही पढ़ा होगा मक़ाला पहले
मिरी तक़रीर ब-हर-हाल जवाबी होगी
आँख उठाने से भी पहले ही वो होंगे ग़ाएब
क्या ख़बर थी कि उन्हें इतनी शिताबी होगी
हर मोहब्बत को समझता है वो नॉवेल का वरक़
उस परी-ज़ाद की ता'लीम किताबी होगी
शैख़-जी हम तो जहन्नम के परिंदे ठहरे
आप के पास तो फ़िरदौस की चाबी होगी
कर दिया मूसा को जिस चीज़ ने बेहोश 'अदम'
बे-नक़ाबी नहीं वो नीम-हिजाबी होगी

Aap ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi : Abdul Hamid Adam

Aap Kī Aañkh Agar Aaj Gulābī Hogī
Merī Sarkār BaḌī Saḳht ḳHarābī Hogī
Mohtasib ne Hī PaḌhā Hogā Maqāla Pahle
Mirī Taqrīr Ba-har-hāl Javābī Hogī
Aañkh UThāne se Bhī Pahle Hī Vo Hoñge ġHā.eb
Kyā ḳHabar Thī ki Unheñ Itnī Shitābī Hogī
Har Mohabbat ko Samajhtā Hai Vo Novel Kā Varaq
Us Parī-zād Kī Ta.alīm Kitābī Hogī
Shaiḳh-jī Ham to Jahannam ke Parinde Thahre
Aap ke Paas to Firdaus Kī Chābī Hogī
Kar Diyā Muusā ko Jis Chiiz ne Behosh 'Adam'
Be-naqābī Nahīñ Vo Nīm-hijābī Hogī
Aap ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi
Meri Sarkar BaDi SaKHt KHarabi Hogi
Mohtasib ne hi PaDha Hoga Maqala Pahle
Meri Taqrir Ba-har-haal Jawabi Hogi
Aankh UThane se bhi Pahle hi Wo Honge Ghaeb
Kya KHabar Thi ki Unhen Itni Shitabi Hogi
Har Mohabbat ko Samajhta Hai Wo Nowel ka Waraq
Us Pari-zad ki Talim Kitabi Hogi
ShaiKH-ji Hum to Jahannam ke Parinde Thahre
Aap ke Pas to Firdaus ki Chabi Hogi
Kar Diya Musa ko Jis Chiz ne Behosh 'Adam'
Be-naqabi Nahin Wo Nim-hijabi Hogi

गोरियों कालियों ने मार दिया : अब्दुल हमीद अदम

गोरियों कालियों ने मार दिया
जामुनों वालियों ने मार दिया
अंग हैं या रिकाबियॉं धन की
मोहनी थालियों ने मार दिया
गुनगुनाते हसीन कानों की
डोलती बालियों ने मार दिया
ऊदे ऊदे सहाब से आँचल
रंग की जालियों ने मार दिया
ज़ुल्फ़ की निकहतों ने जाँ ले ली
होंट की लालियों ने मार दिया
उफ़ वो प्यासे मोअज़्ज़ेज़ीन जिन्हें
रस-भरी गालियों ने मार दिया
झूमती डालियों से जिस्म 'अदम'
झूमती डालियों ने मार दिया

Goriyon Kaliyon ne Mar Diya : Abdul Hamid Adam

Goriyoñ Kāliyoñ ne Maar Diyā
Jāmunoñ Vāliyoñ ne Maar Diyā
Añg Haiñ Yā Rikābiyāñ Dhan Kī
Mohnī Thāliyoñ ne Maar Diyā
Gungunāte Hasīn Kānoñ Kī
Doltī Bāliyoñ ne Maar Diyā
Uude Uude Sahāb se āñChal
Rañg Kī Jāliyoñ ne Maar Diyā
Zulf Kī Nik.hatoñ ne Jaañ Le Lī
HoñT Kī Lāliyoñ ne Maar Diyā
Uff Vo Pyāse Mo.azzezīn Jinheñ
Ras-bharī Gāliyoñ ne Maar Diyā
Jhūmtī Dāliyoñ se Jism 'Adam'
Jhūmtī Dāliyoñ ne Maar Diyā
Goriyon Kaliyon ne Mar Diya
Jamunon Waliyon ne Mar Diya
Ang Hain ya Rikabiyan Dhan Ki
Mohni Thaaliyon ne Mar Diya
Gungunate Hasin Kanon Ki
Dolti Baaliyon ne Mar Diya
Ude Ude Sahab se Aanchal
Rang ki Jaliyon ne Mar Diya
Zulf ki Nikhaton ne Jaan Le Li
HonT ki Laliyon ne Mar Diya
Uff Wo Pyase Moazzezin Jinhen
Ras-bhari Galiyon ne Mar Diya
Jhumti Daliyon se Jism 'Adam'
Jhumti Daliyon ne Mar Diya

रक़्स करता हूँ जाम पीता हूँ : अब्दुल हमीद अदम

रक़्स करता हूँ जाम पीता हूँ
आम मिलती है आम पीता हूँ
झूट मैं ने कभी नहीं बोला
ज़ाहिदान-ए-किराम पीता हूँ
रुख़ है पुर-नूर तो तअ'ज्जुब क्या
बादा-ए-लाला-फ़ाम पीता हूँ
इतनी तेज़ी भी क्या पिलाने में
आबगीने को थाम पीता हूँ
काम भी इक नमाज़ है मेरी
ख़त्म करते ही काम पीता हूँ
तेरे हाथों से किस को मिलती है?
मेरे माह-ए-तमाम पीता हूँ
ज़िंदगी का सफ़र ही ऐसा है
दम-ब-दम गाम गाम पीता हूँ
मुझ को मय से बड़ी मोहब्बत है
मैं ब-सद-एहतिराम पीता हूँ
मय मिरे होंट चूम लेती है
ले के जब तेरा नाम पीता हूँ
शैख़ ओ मुफ़्ती 'अदम' जब आ जाएँ
बन के उन का इमाम पीता हूँ

Raqs Karta Hun Jam Pita Hun : Abdul Hamid Adam

Raqs Kartā Huuñ Jaam Piitā Huuñ
Aam Miltī Hai Aam Piitā Huuñ
JhuuT Maiñ ne Kabhī Nahīñ Bolā
Zāhidān-e-kirām Piitā Huuñ
Ruḳh Hai Pur-nūr to Ta.ajjub Kyā
Bāda-e-lāla-fām Piitā Huuñ
Itnī Tezī Bhī Kyā Pilāne Meñ
āBgīne ko Thaam Piitā Huuñ
Kaam Bhī Ik Namāz Hai Merī
ḳHatm Karte Hī Kaam Piitā Huuñ
Tere Hāthoñ se Kis ko Miltī Hai?
Mere Māh-e-tamām Piitā Huuñ
Zindagī Kā Safar Hī Aisā Hai
Dam-ba-dam Gaam Gaam Piitā Huuñ
Mujh ko Mai se BaḌī Mohabbat Hai
Maiñ Ba-sad-ehtirām Piitā Huuñ
Mai Mire HoñT Chuum Letī Hai
Le ke Jab Terā Naam Piitā Huuñ
Shaiḳh o Muftī 'Adam' Jab Aa Jaa.eñ
Ban ke Un Kā Imaam Piitā Huuñ
Raqs Karta Hun Jam Pita Hun
Aam Milti Hai Aam Pita Hun
JhuT Main ne Kabhi Nahin Bola
Zahidan-e-kiram Pita Hun
RuKH Hai Pur-nur to Tajjub Kya
Baada-e-lala-fam Pita Hun
Itni Tezi bhi Kya Pilane Mein
Aabgine ko Tham Pita Hun
Kaam bhi Ek Namaz Hai Meri
KHatm Karte hi Kaam Pita Hun
Tere Hathon se Kis ko Milti Hai?
Mere Mah-e-tamam Pita Hun
Zindagi ka Safar hi Aisa Hai
Dam-ba-dam Gam Gam Pita Hun
Mujh ko Mai se BaDi Mohabbat Hai
Main Ba-sad-ehtiram Pita Hun
Mai Mere HonT Chum Leti Hai
Le ke Jab Tera Nam Pita Hun
ShaiKH o Mufti 'Adam' Jab Aa Jaen
Ban ke Un ka Imam Pita Hun

गिरते हैं लोग गर्मी-ए-बाज़ार देख कर : अब्दुल हमीद अदम

गिरते हैं लोग गर्मी-ए-बाज़ार देख कर
सरकार देख कर मिरी सरकार देख कर
आवारगी का शौक़ भड़कता है और भी
तेरी गली का साया-ए-दीवार देख कर
तस्कीन-ए-दिल की एक ही तदबीर है फ़क़त
सर फोड़ लीजिए कोई दीवार देख कर
हम भी गए हैं होश से साक़ी कभी कभी
लेकिन तिरी निगाह के अतवार देख कर
क्या मुस्तक़िल इलाज किया दिल के दर्द का
वो मुस्कुरा दिए मुझे बीमार देख कर
देखा किसी की सम्त तो क्या हो गया 'अदम'
चलते हैं राह-रौ सर-ए-बाज़ार देख कर

Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar : Abdul Hamid Adam

Girte Haiñ Log Garmī-e-bāzār Dekh Kar
Sarkār Dekh Kar Mirī Sarkār Dekh Kar
āVārgī Kā Shauq BhaḌaktā Hai aur Bhī
Terī Galī Kā Sāya-e-dīvār Dekh Kar
Taskīn-e-dil Kī Ek Hī Tadbīr Hai Faqat
Sar PhoḌ Lījiye koī Dīvār Dekh Kar
Ham Bhī Ga.e Haiñ Hosh se Saaqī Kabhī Kabhī
Lekin Tirī Nigāh ke Atvār Dekh Kar
Kyā Mustaqil Ilaaj Kiyā Dil ke Dard Kā
Vo Muskurā Diye Mujhe Bīmār Dekh Kar
Dekhā Kisī Kī Samt to Kyā Ho Gayā 'Adam'
Chalte Haiñ Rāh-rau Sar-e-bāzār Dekh Kar
Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar
Sarkar Dekh Kar Meri Sarkar Dekh Kar
Aawargi ka Shauq BhaDakta Hai aur Bhi
Teri Gali ka Saya-e-diwar Dekh Kar
Taskin-e-dil ki Ek hi Tadbir Hai Faqat
Sar PhoD Lijiye Koi Diwar Dekh Kar
Hum bhi Gae Hain Hosh se Saqi Kabhi Kabhi
Lekin Teri Nigah ke Atwar Dekh Kar
Kya Mustaqil Ilaj Kiya Dil ke Dard Ka
Wo Muskura Diye Mujhe Bimar Dekh Kar
Dekha Kisi ki Samt to Kya Ho Gaya 'Adam'
Chalte Hain Rah-rau Sar-e-bazar Dekh Kar

हवा सनके ख़ारों की बड़ी तकलीफ़ होती है : अब्दुल हमीद अदम

हवा सनके तो ख़ारों को बड़ी तकलीफ़ होती है
मिरे ग़म की बहारों को बड़ी तकलीफ़ होती है
न छेड़ ऐ हम-नशीं अब ज़ीस्त के मायूस नग़्मों को
कि अब बरबत के तारों को बड़ी तकलीफ़ होती है
मुझे ऐ कसरत-ए-आलाम बस इतनी शिकायत है
कि मेरे ग़म-गुसारों को बड़ी तकलीफ़ होती है
कहो मौजों से लहरा कर न यूँ पलटें समुंदर से
कि बा-ग़ैरत किनारों को बड़ी तकलीफ़ होती है
गले मिलते हैं जब आपस में दो बिछड़े हुए साथी
'अदम' हम बे-सहारों को बड़ी तकलीफ़ होती है

Hawa Sanke Khaaron ki BaDi Taklif Hoti Hai : Abdul Hamid Adam

Havā Sanke to ḳHāroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Mire ġHam Kī Bahāroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Na ChheḌ Ai Ham-nashīñ Ab Ziist ke Māyūs Naġhmoñ Ko
Ki Ab Barbat ke Tāroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Mujhe Ai Kasrat-e-ālām Bas Itnī Shikāyat Hai
Ki Mere ġHam-gusāroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Kaho Maujoñ se Lahrā Kar na Yuuñ PalTeñ Samundar Se
Ki Bā-ġhairat Kināroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Gale Milte Haiñ Jab Aapas Meñ Do BichhḌe Hue Sāthī
'Adam' Ham Be-sahāroñ ko BaḌī Taklīf Hotī Hai
Hawa Sanke to KHaron ko BaDi Taklif Hoti Hai
Mere Gham ki Bahaaron ko BaDi Taklif Hoti Hai
Na ChheD Ai Ham-nashin Ab Zist ke Mayus Naghmon Ko
Ki Ab Barbat ke Taron ko BaDi Taklif Hoti Hai
Mujhe Ai Kasrat-e-alam Bas Itni Shikayat Hai
Ki Mere Gham-gusaron ko BaDi Taklif Hoti Hai
Kaho Maujon se Lahra Kar na Yun PalTen Samundar Se
Ki Ba-ghairat Kinaron ko BaDi Taklif Hoti Hai
Gale Milte Hain Jab Aapas mein Do BichhDe Hue Sathi
'Adam' Hum Be-sahaaron ko BaDi Taklif Hoti Hai

खुली वो ज़ुल्फ़ तो पहली हसीन रात हुई : अब्दुल हमीद अदम

खुली वो ज़ुल्फ़ तो पहली हसीन रात हुई
उठी वो आँख तो तख़लीक़-ए-काएनात हुई
ख़ुदा ने गढ़ तो दिया आलम-ए-वजूद मगर
सजावटों की बिना औरतों की ज़ात हुई
गिले बहुत थे मगर जब नज़र नज़र से मिली!
न मुझ से बात हुई और न उन से बात हुई
दिल-ए-तबाह को कुछ और कर गई ज़ख़्मी!
वो इक निगाह जो लबरेज़-ए-इल्तिफ़ात हुई
हयात ओ मौत की ग़ारत-गरी का हाल न पूछ
जो मौत न बन सकी वो 'अदम' हयात हुई

Khuli Wo Zulf to Pahli Hasin Raat Hui : Abdul Hamid Adam

Khulī Vo Zulf to Pahlī Hasīn Raat Huī
UThī Vo Aañkh to Taḳhlīq-e-kā.enāt Huī
ḳHudā ne GaḌ.h to Diyā āLam-e-vajūd Magar
SajāvaToñ Kī Binā Auratoñ Kī Zaat Huī
Gile Bahut The Magar Jab Nazar Nazar se Milī!
Na Mujh se Baat Huī aur na Un se Baat Huī
Dil-e-tabāh ko Kuchh aur Kar Ga.ī Zaḳhmī!
Vo Ik Nigāh Jo Labrez-e-iltifāt Huī
Hayāt o Maut Kī ġHārat-garī Kā Haal na Pūchh
Jo Maut na Ban Sakī Vo 'Adam' Hayāt Huī
Khuli Wo Zulf to Pahli Hasin Raat Hui
UThi Wo Aankh to TaKHliq-e-kaenat Hui
KHuda ne GaDh to Diya Aalam-e-wajud Magar
SajawaTon ki Bina Auraton ki Zat Hui
Gile Bahut The Magar Jab Nazar Nazar se Mili!
Na Mujh se Baat Hui aur na Un se Baat Hui
Dil-e-tabah ko Kuchh aur Kar Gai ZaKHmi!
Wo Ek Nigah Jo Labrez-e-iltifat Hui
Hayat o Maut ki Ghaarat-gari ka Haal na Puchh
Jo Maut na Ban Saki Wo 'Adam' Hayat Hui

आज फिर रूह में इक बर्क़ सी लहराती है : अब्दुल हमीद अदम

आज फिर रूह में इक बर्क़ सी लहराती है
दिल की गहराई से रोने की सदा आती है
यूँ चटकती हैं ख़राबात में जैसे कलियाँ
तिश्नगी साग़र-ए-लबरेज़ से टकराती है
शोला-ए-ग़म की लपक और मिरा नाज़ुक सा मिज़ाज
मुझ को फ़ितरत के रवय्ये पे हँसी आती है
मौत इक अम्र-ए-मुसल्लम है तो फिर ऐ साक़ी
रूह क्यूँ ज़ीस्त के आलाम से घबराती है
सो भी जा ऐ दिल-ए-मजरूह बहुत रात गई
अब तो रह रह के सितारों को भी नींद आती है
और तो दिल को नहीं है कोई तकलीफ़ 'अदम'
हाँ ज़रा नब्ज़ किसी वक़्त ठहर जाती है

Aaj Phir Ruh mein Ek Barq si Lahraati Hai : Abdul Hamid Adam

Aaj Phir Ruuh Meñ Ik Barq Sī Lahrātī Hai
Dil Kī Gahrā.ī se Rone Kī Sadā Aatī Hai
Yuuñ ChaTaktī Haiñ ḳHarābāt Meñ Jaise Kaliyāñ
Tishnagī Sāġhar-e-labrez se Takrātī Hai
Shola-e-ġham Kī Lapak aur Mirā Nāzuk Sā Mizāj
Mujh ko Fitrat ke Ravayye pe Hañsī Aatī Hai
Maut Ik Amr-e-musallam Hai to Phir Ai Saaqī
Ruuh Kyuuñ Ziist ke āLām se Ghabrātī Hai
So Bhī Jā Ai Dil-e-majrūh Bahut Raat Ga.ī
Ab to Rah Rah ke Sitāroñ ko Bhī Niiñd Aatī Hai
Aur to Dil ko Nahīñ Hai koī Taklīf 'Adam'
Haañ Zarā Nabz Kisī Vaqt Thahar Jaatī Hai
Aaj Phir Ruh mein Ek Barq si Lahraati Hai
Dil ki Gahrai se Rone ki Sada Aati Hai
Yun ChaTakti Hain KHarabaat mein Jaise Kaliyan
Tishnagi Saghar-e-labrez se Takraati Hai
Shola-e-gham ki Lapak aur Mera Nazuk sa Mizaj
Mujh ko Fitrat ke Rawayye pe Hansi Aati Hai
Maut Ek Amr-e-musallam Hai to Phir Ai Saqi
Ruh Kyun Zist ke Aalam se Ghabraati Hai
So bhi Ja Ai Dil-e-majruh Bahut Raat Gai
Ab to Rah Rah ke Sitaron ko bhi Nind Aati Hai
Aur to Dil ko Nahin Hai Koi Taklif 'Adam'
Han Zara Nabz Kisi Waqt Thahar Jati Hai

टिप्पणियाँ

Popular

Rajasthani Lokgeet Lyrics in Hindi राजस्थानी लोकगीत लिरिक्स

 घूमर गीत राजस्थानी लोकगीत लिरिक्स हिंदी  ओ म्हारी घूमर छे नखराळी ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ म्हाने रमता ने काजळ टिकी लादयो ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ म्हाने रमता ने लाडूङो लादयो ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ म्हाने परदेशियाँ मत दीजो रे माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ म्हाने राठोडा रे घर भल दीजो ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्यां ओ म्हाने राठोडा री बोली प्यारी लागे ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ओ राजरी घूमर रमवा म्हें जास्यां ओ म्हारी घूमर छे नखराळी ऐ माँ घूमर रमवा म्हें जास्याँ ... इण लहेरिये रा नौ सौ रुपया रोकड़ा सा राजस्थानी लोकगीत लिरिक्स हिंदी  इण लहेरिये रा नौ सौ रुपया रोकड़ा सा म्हाने ल्याईदो नी बादिला ढोला लहेरियो सा म्हाने ल्याईदो नी बाईसा रा बीरा लहेरियो सा म्हाने ल्याईदो ल्याईदो ल्याईदो ढोलालहेरियो सा म्हाने ल्याईदो नी बादिला ढोला लहेरियो सा म्हारा सुसराजी तो दिल्ली रा राजवी सा म्हारा सासूजी ...

कुमार विश्वास की कविताएँ | Kumar Vishwas Kavita – कोई दीवाना कहता है

कुमार विश्वास का जन्म 10 फ़रवरी (वसंत पंचमी), 1970 को पिअखुआ (ग़ाज़ियाबाद, उत्तर प्रदेश) में हुआ था। चार भाईयों और एक बहन में सबसे छोटे कुमार विश्वास ने अपनी प्रारम्भिक शिक्षा लाला गंगा सहाय स्कूल, पिलखुआ में प्राप्त की। उनके पिता डा चन्द्रपाल शर्मा आर एस एस डिग्री कालेज (चौधरी चरण सिंह विश्वविद्यालय, मेरठ से सम्बद्ध), पिलखुआ में प्रवक्ता रहे। उनकी माता श्रीमती रमा शर्मा गृहिणी हैं। राजपूताना रेजिमेंट इंटर कालेज से बारहवीं में उनके उत्तीर्ण होने के बाद उनके पिता उन्हें इंजीनियर (अभियंता) बनाना चाहते थे। डा कुमार विश्वास का मन मशीनों की पढाई में नहीं रमा, और उन्होंने बीच में ही वह पढाई छोड़ दी। साहित्य के क्षेत्र में आगे बढने के ख्याल से उन्होंने स्नातक और फिर हिन्दी साहित्य में स्नातकोत्तर किया, जिसमें उन्होंने स्वर्ण-पदक प्राप्त किया। तत्प्श्चात उन्होंने "कौरवी लोकगीतों में लोकचेतना" विषय पर पीएचडी प्राप्त किया। उनके इस शोध-कार्य को 2001 में पुरस्कृत भी किया गया। पुस्तकें प्रकाशित हुई हैं- 'इक पगली लड़की के बिन' (1996) और 'कोई दीवाना कहता है' (2007 और 2010 दो...

देशभक्ति कविताओं का कोश – भाग 3 | Deshbhakti Kavita Sangrah 3

 उठो धरा के अमर सपूतों -द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी/देशभक्ति की कविता उठो, धरा के अमर सपूतों। पुन: नया निर्माण करो। जन-जन के जीवन में फिर से नव स्फूर्ति, नव प्राण भरो। नई प्रात है नई बात है नया किरन है, ज्योति नई। नई उमंगें, नई तरंगें नई आस है, साँस नई। युग-युग के मुरझे सुमनों में नई-नई मुस्कान भरो। उठो, धरा के अमर सपूतों। पुन: नया निर्माण करो।।1।। डाल-डाल पर बैठ विहग कुछ नए स्वरों में गाते हैं। गुन-गुन, गुन-गुन करते भौंरें मस्त उधर मँडराते हैं। नवयुग की नूतन वीणा में नया राग, नव गान भरो। उठो, धरा के अमर सपूतों। पुन: नया निर्माण करो।।2।। कली-कली खिल रही इधर वह फूल-फूल मुस्काया है। धरती माँ की आज हो रही नई सुनहरी काया है। नूतन मंगलमय ध्वनियों से गुँजित जग-उद्यान करो। उठो, धरा के अमर सपूतों। पुन: नया निर्माण करो।।3।। सरस्वती का पावन मंदिर शुभ संपत्ति तुम्हारी है। तुममें से हर बालक इसका रक्षक और पुजारी है। शत-शत दीपक जला ज्ञान के नवयुग का आह्वान करो। उठो, धरा के अमर सपूतों। पुन: नया निर्माण करो।।4।। -द्वारिका प्रसाद माहेश्वरी ऐ मेरे वतन के लोगों- प्रदीप/देशभक्ति कविता ऐ मेरे वतन के लोगो...

देशभक्ति कविताओं का कोश - भाग 2 | Deshbhakti Kavita Sangrah 2

 आज जीत की रात- गिरिजाकुमार माथुर/देशभक्ति कविता आज जीत की रात पहरुए! सावधान रहना खुले देश के द्वार अचल दीपक समान रहना २ प्रथम चरण है नये स्वर्ग का है मंज़िल का छोर इस जन-मंथन से उठ आई पहली रत्न-हिलोर अभी शेष है पूरी होना जीवन-मुक्ता-डोर क्यों कि नहीं मिट पाई दुख की विगत साँवली कोर ले युग की पतवार बने अंबुधि समान रहना। ३ विषम शृंखलाएँ टूटी हैं खुली समस्त दिशाएँ आज प्रभंजन बनकर चलतीं युग-बंदिनी हवाएँ प्रश्नचिह्न बन खड़ी हो गयीं यह सिमटी सीमाएँ आज पुराने सिंहासन की टूट रही प्रतिमाएँ उठता है तूफान, इंदु! तुम दीप्तिमान रहना। ४ ऊंची हुई मशाल हमारी आगे कठिन डगर है शत्रु हट गया, लेकिन उसकी छायाओं का डर है शोषण से है मृत समाज कमज़ोर हमारा घर है किन्तु आ रहा नई ज़िन्दगी यह विश्वास अमर है जन-गंगा में ज्वार, लहर तुम प्रवहमान रहना पहरुए! सावधान रहना।। गिरिजाकुमार माथुर   चिर प्रणम्य यह पुण्य अह्न जय गाओ सुरगण,- सुमित्रानंदन पंत/देशभक्ति कविता १५ अगस्त १९४७ चिर प्रणम्य यह पुण्य अह्न जय गाओ सुरगण, आज अवतरित हुई चेतना भू पर नूतन! नवभारत, फिर चीर युगों का तिमिर आवरण, तरुण अरुण-सा उदित हुआ परि...

बुन्देली गारी गीत लोकगीत लिरिक्स Bundeli Gali Geet Lokgeet Lyrics

 खोय देत हो जीवन बिना काम के भजन करो कछु राम के / बुन्देली लोकगीत  खोय देत हो जीवन बिना काम के, भजन करो कछु राम के। जी बिन देह जरा न रुकती, चाहो अन्त समय में मुक्ती ऐसी करो जतन से जुक्ती, ध्यान करियों सबेरे न तो शाम के। भजन... लख चौरासी भटकत आये, मानुष देह कठिन से पाये, फिर भी माने न समुझायें, गलती चक्कर में फंसे बिना राम के। भजन... ईश्वर मालिक से मुंह फेरे, दिल से नाम कभऊं न टेरे, वन के नारि कुटुम्ब के चेरे, कोरी ममता में फंसे इते आन के। भजन... छोड़ो मात पिता और भ्राता, जो हैं तीन लोक के दाता, करियो उन ईश्वर से नाता, क्षमा करिहें अपराध अपना जान के। भजन... गगा को मान बड़ा भारी / बुन्देली लोकगीत  गंगा को मान बड़ा भारी, चलो बहनों मुक्ती सुधारी। तारन के लाने सहज में न आई, तप करके भागीरथ निकारी। चलो दीदी.... गंगा की धार शम्भू रोकी जटन में भोला शिवत्रिपुरारी। चलो दीदी.... तीरथ व्रत ऐसे चारों तरफ हैं गंगा की महिमा है न्यारी। चलो दीदी.... जावे के लाने कछु अड़चन नैयां दिन भर चले मोटर गाड़ी। चलो दीदी.... गंगा जी जावें परम गति पावें मन में विश्वास करो भारी। चलो दीदी.... ग...