कविता, कहानी, ग़ज़ल - शायरी, गीत -लोकगीत, दोहे, भजन, हास्य - व्यंग्य, भजन आरती चालीसा प्रार्थना और एवं अन्य रचनाएं साहित्य के भंडार से

Javed Akhtar Ghazal : जावेद अख्तर की ग़ज़लें

तुम को देखा तो ये ख़याल आया : जावेद अख़्तर

तुम को देखा तो ये ख़याल आया
ज़िंदगी धूप तुम घना साया
आज फिर दिल ने इक तमन्ना की
आज फिर दिल को हम ने समझाया
तुम चले जाओगे तो सोचेंगे
हम ने क्या खोया हम ने क्या पाया
हम जिसे गुनगुना नहीं सकते
वक़्त ने ऐसा गीत क्यूँ गाया

tumko dekha to ye KHayal aaya : Javed Akhtar

tum ko dekhā to ye ḳhayāl aayā
zindagī dhuup tum ghanā saayā
aaj phir dil ne ik tamannā kī
aaj phir dil ko ham ne samjhāyā
tum chale jāoge to socheñge
ham ne kyā khoyā ham ne kyā paayā
ham jise gungunā nahīñ sakte
vaqt ne aisā giit kyuuñ gaayā
tum ko dekha to ye KHayal aaya
zindagi dhup tum ghana saya
aaj phir dil ne ek tamanna ki
aaj phir dil ko hum ne samjhaya
tum chale jaoge to sochenge
hum ne kya khoya hum ne kya paya
hum jise gunguna nahin sakte
waqt ne aisa git kyun gaya

जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता : जावेद अख़्तर

जिधर जाते हैं सब जाना उधर अच्छा नहीं लगता
मुझे पामाल रस्तों का सफ़र अच्छा नहीं लगता
ग़लत बातों को ख़ामोशी से सुनना हामी भर लेना
बहुत हैं फ़ाएदे इस में मगर अच्छा नहीं लगता
मुझे दुश्मन से भी ख़ुद्दारी की उम्मीद रहती है
किसी का भी हो सर क़दमों में सर अच्छा नहीं लगता
बुलंदी पर उन्हें मिट्टी की ख़ुश्बू तक नहीं आती
ये वो शाख़ें हैं जिन को अब शजर अच्छा नहीं लगता
ये क्यूँ बाक़ी रहे आतिश-ज़नो ये भी जला डालो
कि सब बे-घर हों और मेरा हो घर अच्छा नहीं लगता

jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta : Javed Akhtar

jidhar jaate haiñ sab jaanā udhar achchhā nahīñ lagtā
mujhe pāmāl rastoñ kā safar achchhā nahīñ lagtā
ġhalat bātoñ ko ḳhāmoshī se sunñā haamī bhar lenā
bahut haiñ fā.ede is meñ magar achchhā nahīñ lagtā
mujhe dushman se bhī ḳhuddārī kī ummīd rahtī hai
kisī kā bhī ho sar qadmoñ meñ sar achchhā nahīñ lagtā
bulandī par unheñ miTTī kī ḳhushbū tak nahīñ aatī
ye vo shāḳheñ haiñ jin ko ab shajar achchhā nahīñ lagtā
ye kyuuñ baaqī rahe ātish-zano ye bhī jalā Daalo
ki sab be-ghar hoñ aur merā ho ghar achchhā nahīñ lagtā
jidhar jate hain sab jaana udhar achchha nahin lagta
mujhe pamal raston ka safar achchha nahin lagta
ghalat baaton ko KHamoshi se sunna hami bhar lena
bahut hain faede is mein magar achchha nahin lagta
mujhe dushman se bhi KHuddari ki ummid rahti hai
kisi ka bhi ho sar qadmon mein sar achchha nahin lagta
bulandi par unhen miTTi ki KHushbu tak nahin aati
ye wo shaKHen hain jin ko ab shajar achchha nahin lagta
ye kyun baqi rahe aatish-zano ye bhi jala Dalo
ki sab be-ghar hon aur mera ho ghar achchha nahin lagta

तमन्ना फिर मचल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ : जावेद अख़्तर

तमन्ना फिर मचल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ
ये मौसम भी बदल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ
मुझे ग़म है कि मैं ने ज़िंदगी में कुछ नहीं पाया
ये ग़म दिल से निकल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ
ये दुनिया-भर के झगड़े घर के क़िस्से काम की बातें
बला हर एक टल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ
नहीं मिलते हो मुझ से तुम तो सब हमदर्द हैं मेरे
ज़माना मुझ से जल जाए अगर तुम मिलने आ जाओ

tamanna phir machal jae agar tum milne aa jao : Javed Akhtar

tamannā phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao
ye mausam bhī badal jaa.e agar tum milne aa jaao
mujhe ġham hai ki maiñ ne zindagī meñ kuchh nahīñ paayā
ye ġham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao
ye duniyā-bhar ke jhagḌe ghar ke qisse kaam kī bāteñ
balā har ek Tal jaa.e agar tum milne aa jaao
nahīñ milte ho mujh se tum to sab hamdard haiñ mere
zamāna mujh se jal jaa.e agar tum milne aa jaao
tamanna phir machal jae agar tum milne aa jao
ye mausam bhi badal jae agar tum milne aa jao
mujhe gham hai ki main ne zindagi mein kuchh nahin paya
ye gham dil se nikal jae agar tum milne aa jao
ye duniya-bhar ke jhagDe ghar ke qisse kaam ki baaten
bala har ek Tal jae agar tum milne aa jao
nahin milte ho mujh se tum to sab hamdard hain mere
zamana mujh se jal jae agar tum milne aa jao

जीना मुश्किल है कि आसान ज़रा देख तो लो : जावेद अख़्तर

जीना मुश्किल है कि आसान ज़रा देख तो लो
लोग लगते हैं परेशान ज़रा देख तो लो
फिर मुक़र्रिर कोई सरगर्म सर-ए-मिंबर है
किस के है क़त्ल का सामान ज़रा देख तो लो
ये नया शहर तो है ख़ूब बसाया तुम ने
क्यूँ पुराना हुआ वीरान ज़रा देख तो लो
इन चराग़ों के तले ऐसे अँधेरे क्यूँ है
तुम भी रह जाओगे हैरान ज़रा देख तो लो
तुम ये कहते हो कि मैं ग़ैर हूँ फिर भी शायद
निकल आए कोई पहचान ज़रा देख तो लो
ये सताइश की तमन्ना ये सिले की परवाह
कहाँ लाए हैं ये अरमान ज़रा देख तो लो

jina mushkil hai ki aasan zara dekh to lo : Javed Akhtar

jiinā mushkil hai ki āsān zarā dekh to lo
log lagte haiñ pareshān zarā dekh to lo
phir muqarrir koī sargarm sar-e-mimbar hai
kis ke hai qatl kā sāmān zarā dekh to lo
ye nayā shahr to hai ḳhuub basāyā tum ne
kyuuñ purānā huā vīrān zarā dekh to lo
in charāġhoñ ke tale aise añdhere kyuuñ hai
tum bhī rah jāoge hairān zarā dekh to lo
tum ye kahte ho ki maiñ ġhair huuñ phir bhī shāyad
nikal aa.e koī pahchān zarā dekh to lo
ye satā.ish kī tamannā ye sile kī parvāh
kahāñ laa.e haiñ ye armān zarā dekh to lo
jina mushkil hai ki aasan zara dekh to lo
log lagte hain pareshan zara dekh to lo
phir muqarrir koi sargarm sar-e-mimbar hai
kis ke hai qatl ka saman zara dekh to lo
ye naya shahr to hai KHub basaya tum ne
kyun purana hua viran zara dekh to lo
in charaghon ke tale aise andhere kyun hai
tum bhi rah jaoge hairan zara dekh to lo
tum ye kahte ho ki main ghair hun phir bhi shayad
nikal aae koi pahchan zara dekh to lo
ye sataish ki tamanna ye sile ki parwah
kahan lae hain ye arman zara dekh to lo

कभी कभी मैं ये सोचता हूँ कि मुझ को तेरी तलाश क्यूँ है : जावेद अख़्तर

कभी कभी मैं ये सोचता हूँ कि मुझ को तेरी तलाश क्यूँ है
कि जब हैं सारे ही तार टूटे तो साज़ में इर्तिआ'श क्यूँ है
कोई अगर पूछता ये हम से बताते हम गर तो क्या बताते
भला हो सब का कि ये न पूछा कि दिल पे ऐसी ख़राश क्यूँ है
उठा के हाथों से तुम ने छोड़ा चलो न दानिस्ता तुम ने तोड़ा
अब उल्टा हम से तो ये न पूछो कि शीशा ये पाश पाश क्यूँ है
अजब दो-राहे पे ज़िंदगी है कभी हवस दिल को खींचती है
कभी ये शर्मिंदगी है दिल में कि इतनी फ़िक्र-ए-मआ'श क्यूँ है
न फ़िक्र कोई न जुस्तुजू है न ख़्वाब कोई न आरज़ू है
ये शख़्स तो कब का मर चुका है तो बे-कफ़न फिर ये लाश क्यूँ है

kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujhko teri talash kyun hai : Javed Akhtar

kabhī kabhī maiñ ye sochtā huuñ ki mujh ko terī talāsh kyuuñ hai
ki jab haiñ saare hī taar TuuTe to saaz meñ irti.āsh kyuuñ hai
koī agar pūchhtā ye ham se batāte ham gar to kyā batāte
bhalā ho sab kā ki ye na pūchhā ki dil pe aisī ḳharāsh kyuuñ hai
uThā ke hāthoñ se tum ne chhoḌā chalo na dānista tum ne toḌā
ab ulTā ham se to ye na pūchho ki shīsha ye paash paash kyuuñ hai
ajab do-rāhe pe zindagī hai kabhī havas dil ko khīñchtī hai
kabhī ye sharmindagī hai dil meñ ki itnī fikr-e-ma.āsh kyuuñ hai
na fikr koī na justujū hai na ḳhvāb koī na aarzū hai
ye shaḳhs to kab kā mar chukā hai to be-kafan phir ye laash kyuuñ hai
kabhi kabhi main ye sochta hun ki mujh ko teri talash kyun hai
ki jab hain sare hi tar TuTe to saz mein irtiash kyun hai
koi agar puchhta ye hum se batate hum gar to kya batate
bhala ho sab ka ki ye na puchha ki dil pe aisi KHarash kyun hai
uTha ke hathon se tum ne chhoDa chalo na danista tum ne toDa
ab ulTa hum se to ye na puchho ki shisha ye pash pash kyun hai
ajab do-rahe pe zindagi hai kabhi hawas dil ko khinchti hai
kabhi ye sharmindagi hai dil mein ki itni fikr-e-maash kyun hai
na fikr koi na justuju hai na KHwab koi na aarzu hai
ye shaKHs to kab ka mar chuka hai to be-kafan phir ye lash kyun hai

वो ज़माना गुज़र गया कब का : जावेद अख़्तर

वो ज़माना गुज़र गया कब का
था जो दीवाना मर गया कब का
ढूँढता था जो इक नई दुनिया
लूट के अपने घर गया कब का
वो जो लाया था हम को दरिया तक
पार अकेले उतर गया कब का
उस का जो हाल है वही जाने
अपना तो ज़ख़्म भर गया कब का
ख़्वाब-दर-ख़्वाब था जो शीराज़ा
अब कहाँ है बिखर गया कब का

wo zamana guzar gaya kab ka : Javed Akhtar

vo zamāna guzar gayā kab kā
thā jo dīvāna mar gayā kab kā
DhūñDhtā thā jo ik na.ī duniyā
luuT ke apne ghar gayā kab kā
vo jo laayā thā ham ko dariyā tak
paar akele utar gayā kab kā
us kā jo haal hai vahī jaane
apnā to zaḳhm bhar gayā kab kā
ḳhvāb-dar-ḳhvāb thā jo shīrāza
ab kahāñ hai bikhar gayā kab kā
wo zamana guzar gaya kab ka
tha jo diwana mar gaya kab ka
DhunDhta tha jo ek nai duniya
luT ke apne ghar gaya kab ka
wo jo laya tha hum ko dariya tak
par akele utar gaya kab ka
us ka jo haal hai wahi jaane
apna to zaKHm bhar gaya kab ka
KHwab-dar-KHwab tha jo shiraaza
ab kahan hai bikhar gaya kab ka

याद उसे भी एक अधूरा अफ़्साना तो होगा : जावेद अख़्तर

याद उसे भी एक अधूरा अफ़्साना तो होगा
कल रस्ते में उस ने हम को पहचाना तो होगा
डर हम को भी लगता है रस्ते के सन्नाटे से
लेकिन एक सफ़र पर ऐ दिल अब जाना तो होगा
कुछ बातों के मतलब हैं और कुछ मतलब की बातें
जो ये फ़र्क़ समझ लेगा वो दीवाना तो होगा
दिल की बातें नहीं है तो दिलचस्प ही कुछ बातें हों
ज़िंदा रहना है तो दिल को बहलाना तो होगा
जीत के भी वो शर्मिंदा है हार के भी हम नाज़ाँ
कम से कम वो दिल ही दिल में ये माना तो होगा

yaad use bhi ek adhura afsana to hoga : Javed Akhtar

yaad use bhī ek adhūrā afsāna to hogā
kal raste meñ us ne ham ko pahchānā to hogā
Dar ham ko bhī lagtā hai raste ke sannāTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaanā to hogā
kuchh bātoñ ke matlab haiñ aur kuchh matlab kī bāteñ
jo ye farq samajh legā vo dīvāna to hogā
dil kī bāteñ nahīñ hai to dilchasp hī kuchh bāteñ hoñ
zinda rahnā hai to dil ko bahlānā to hogā
jiit ke bhī vo sharminda hai haar ke bhī ham nāzāñ
kam se kam vo dil hī dil meñ ye maanā to hogā
yaad use bhi ek adhura afsana to hoga
kal raste mein us ne hum ko pahchana to hoga
Dar hum ko bhi lagta hai raste ke sannaTe se
lekin ek safar par ai dil ab jaana to hoga
kuchh baaton ke matlab hain aur kuchh matlab ki baaten
jo ye farq samajh lega wo diwana to hoga
dil ki baaten nahin hai to dilchasp hi kuchh baaten hon
zinda rahna hai to dil ko bahlana to hoga
jit ke bhi wo sharminda hai haar ke bhi hum nazan
kam se kam wo dil hi dil mein ye mana to hoga

मुझ को यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं : जावेद अख़्तर

मुझ को यक़ीं है सच कहती थीं जो भी अम्मी कहती थीं
जब मेरे बचपन के दिन थे चाँद में परियाँ रहती थीं
एक ये दिन जब अपनों ने भी हम से नाता तोड़ लिया
एक वो दिन जब पेड़ की शाख़ें बोझ हमारा सहती थीं
एक ये दिन जब सारी सड़कें रूठी रूठी लगती हैं
एक वो दिन जब आओ खेलें सारी गलियाँ कहती थीं
एक ये दिन जब जागी रातें दीवारों को तकती हैं
एक वो दिन जब शामों की भी पलकें बोझल रहती थीं
एक ये दिन जब ज़ेहन में सारी अय्यारी की बातें हैं
एक वो दिन जब दिल में भोली-भाली बातें रहती थीं
एक ये दिन जब लाखों ग़म और काल पड़ा है आँसू का
एक वो दिन जब एक ज़रा सी बात पे नदियाँ बहती थीं
एक ये घर जिस घर में मेरा साज़-ओ-सामाँ रहता है
एक वो घर जिस घर में मेरी बूढ़ी नानी रहती थीं

mujhko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin : Javed Akhtar

mujh ko yaqīñ hai sach kahtī thiiñ jo bhī ammī kahtī thiiñ
jab mere bachpan ke din the chāñd meñ pariyāñ rahtī thiiñ
ek ye din jab apnoñ ne bhī ham se naata toḌ liyā
ek vo din jab peḌ kī shāḳheñ bojh hamārā sahtī thiiñ
ek ye din jab saarī saḌkeñ rūThī rūThī lagtī haiñ
ek vo din jab aao kheleñ saarī galiyāñ kahtī thiiñ
ek ye din jab jaagī rāteñ dīvāroñ ko taktī haiñ
ek vo din jab shāmoñ kī bhī palkeñ bojhal rahtī thiiñ
ek ye din jab zehn meñ saarī ayyārī kī bāteñ haiñ
ek vo din jab dil meñ bholī-bhālī bāteñ rahtī thiiñ
ek ye din jab lākhoñ ġham aur kaal paḌā hai aañsū kā
ek vo din jab ek zarā sī baat pe nadiyāñ bahtī thiiñ
ek ye ghar jis ghar meñ merā sāz-o-sāmāñ rahtā hai
ek vo ghar jis ghar meñ merī būḌhī naanī rahtī thiiñ
mujh ko yaqin hai sach kahti thin jo bhi ammi kahti thin
jab mere bachpan ke din the chand mein pariyan rahti thin
ek ye din jab apnon ne bhi hum se nata toD liya
ek wo din jab peD ki shaKHen bojh hamara sahti thin
ek ye din jab sari saDken ruThi ruThi lagti hain
ek wo din jab aao khelen sari galiyan kahti thin
ek ye din jab jagi raaten diwaron ko takti hain
ek wo din jab shamon ki bhi palken bojhal rahti thin
ek ye din jab zehn mein sari ayyari ki baaten hain
ek wo din jab dil mein bholi-bhaali baaten rahti thin
ek ye din jab lakhon gham aur kal paDa hai aansu ka
ek wo din jab ek zara si baat pe nadiyan bahti thin
ek ye ghar jis ghar mein mera saz-o-saman rahta hai
ek wo ghar jis ghar mein meri buDhi nani rahti thin

ज़रा मौसम तो बदला है मगर पेड़ों की शाख़ों पर नए पत्तों के आने में अभी कुछ दिन लगेंगे : जावेद अख़्तर

ज़रा मौसम तो बदला है मगर पेड़ों की शाख़ों पर नए पत्तों के आने में अभी कुछ दिन लगेंगे
बहुत से ज़र्द चेहरों पर ग़ुबार-ए-ग़म है कम बे-शक पर उन को मुस्कुराने में अभी कुछ दिन लगेंगे
कभी हम को यक़ीं था ज़ो'म था दुनिया हमारी जो मुख़ालिफ़ है तो हो जाए मगर तुम मेहरबाँ हो
हमें ये बात वैसे याद तो अब क्या है लेकिन हाँ इसे यकसर भुलाने में अभी कुछ दिन लगेंगे
जहाँ इतने मसाइब हों जहाँ इतनी परेशानी किसी का बेवफ़ा होना है कोई सानेहा क्या
बहुत माक़ूल है ये बात लेकिन इस हक़ीक़त तक दिल-ए-नादाँ को लाने में अभी कुछ दिन लगेंगे
कोई टूटे हुए शीशे लिए अफ़्सुर्दा-ओ-मग़्मूम कब तक यूँ गुज़ारे बे-तलब बे-आरज़ू दिन
तो इन ख़्वाबों की किर्चें हम ने पलकों से झटक दीं पर नए अरमाँ सजाने में अभी कुछ दिन लगेंगे
तवहहुम की सियह शब को किरन से चाक कर के आगही हर एक आँगन में नया सूरज उतारे
मगर अफ़्सोस ये सच है वो शब थी और ये सुरज है ये सब को मान जाने में अभी कुछ दिन लगेंगे
पुरानी मंज़िलों का शौक़ तो किस को है बाक़ी अब नई हैं मंज़िलें हैं सब के दिल में जिन के अरमाँ
बना लेना नई मंज़िल न था मुश्किल मगर ऐ दिल नए रस्ते बनाने में अभी कुछ दिन लगेंगे
अँधेरे ढल गए रौशन हुए मंज़र ज़मीं जागी फ़लक जागा तो जैसे जाग उट्ठी ज़िंदगानी
मगर कुछ याद-ए-माज़ी ओढ़ के सोए हुए लोगों को लगता है जगाने में अभी कुछ दिन लगेंगे

zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge : Javed Akhtar

zarā mausam to badlā hai magar peḌoñ kī shāḳhoñ par na.e pattoñ ke aane meñ abhī kuchh din lageñge
bahut se zard chehroñ par ġhubār-e-ġham hai kam be-shak par un ko muskurāne meñ abhī kuchh din lageñge
kabhī ham ko yaqīñ thā zo.am thā duniyā hamārī jo muḳhālif hai to ho jaa.e magar tum mehrbāñ ho
hameñ ye baat vaise yaad to ab kyā hai lekin haañ ise yaksar bhulāne meñ abhī kuchh din lageñge
jahāñ itne masā.ib hoñ jahāñ itnī pareshānī kisī kā bevafā honā hai koī sāneha kyā
bahut ma.aqūl hai ye baat lekin is haqīqat tak dil-e-nādāñ ko laane meñ abhī kuchh din lageñge
koī TuuTe hue shīshe liye afsurda-o-maġhmūm kab tak yuuñ guzāre be-talab be-ārzū din
to in ḳhvāboñ kī kircheñ ham ne palkoñ se jhaTak diiñ par na.e armāñ sajāne meñ abhī kuchh din lageñge
tavahhum kī siyah shab ko kiran se chaak kar ke āgahī har ek āñgan meñ nayā sūraj utāre
magar afsos ye sach hai vo shab thī aur ye suraj hai ye sab ko maan jaane meñ abhī kuchh din lageñge
purānī manziloñ kā shauq to kis ko hai baaqī ab na.ī haiñ manzileñ haiñ sab ke dil meñ jin ke armāñ
banā lenā na.ī manzil na thā mushkil magar ai dil na.e raste banāne meñ abhī kuchh din lageñge
añdhere Dhal ga.e raushan hue manzar zamīñ jaagī falak jaagā to jaise jaag uTThī zindagānī
magar kuchh yād-e-māzī oḌh ke so.e hue logoñ ko lagtā hai jagāne meñ abhī kuchh din lageñge
zara mausam to badla hai magar peDon ki shaKHon par nae patton ke aane mein abhi kuchh din lagenge
bahut se zard chehron par ghubar-e-gham hai kam be-shak par un ko muskurane mein abhi kuchh din lagenge
kabhi hum ko yaqin tha zoam tha duniya hamari jo muKHalif hai to ho jae magar tum mehrban ho
hamein ye baat waise yaad to ab kya hai lekin han ise yaksar bhulane mein abhi kuchh din lagenge
jahan itne masaib hon jahan itni pareshani kisi ka bewafa hona hai koi saneha kya
bahut maqul hai ye baat lekin is haqiqat tak dil-e-nadan ko lane mein abhi kuchh din lagenge
koi TuTe hue shishe liye afsurda-o-maghmum kab tak yun guzare be-talab be-arzu din
to in KHwabon ki kirchen hum ne palkon se jhaTak din par nae arman sajaane mein abhi kuchh din lagenge
tawahhum ki siyah shab ko kiran se chaak kar ke aagahi har ek aangan mein naya suraj utare
magar afsos ye sach hai wo shab thi aur ye suraj hai ye sab ko man jaane mein abhi kuchh din lagenge
purani manzilon ka shauq to kis ko hai baqi ab nai hain manzilen hain sab ke dil mein jin ke arman
bana lena nai manzil na tha mushkil magar ai dil nae raste banane mein abhi kuchh din lagenge
andhere Dhal gae raushan hue manzar zamin jagi falak jaga to jaise jag uTThi zindagani
magar kuchh yaad-e-mazi oDh ke soe hue logon ko lagta hai jagane mein abhi kuchh din lagenge

बहाना ढूँडते रहते हैं कोई रोने का : जावेद अख़्तर

बहाना ढूँडते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीं भिगोने का
अगर पलक पे है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का
जो फ़स्ल ख़्वाब की तय्यार है तो ये जानो
कि वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का
ये ज़िंदगी भी अजब कारोबार है कि मुझे
ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का
है पाश पाश मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का

bahana DhunDte rahte hain koi rone ka : Javed Akhtar

bahāna DhūñDte rahte haiñ koī rone kā
hameñ ye shauq hai kyā āstīñ bhigone kā
agar palak pe hai motī to ye nahīñ kaafī
hunar bhī chāhiye alfāz meñ pirone kā
jo fasl ḳhvāb kī tayyār hai to ye jaano
ki vaqt aa gayā phir dard koī bone kā
ye zindagī bhī ajab kārobār hai ki mujhe
ḳhushī hai paane kī koī na rañj khone kā
hai paash paash magar phir bhī muskurātā hai
vo chehra jaise ho TuuTe hue khilaune kā
bahana DhunDte rahte hain koi rone ka
hamein ye shauq hai kya aastin bhigone ka
agar palak pe hai moti to ye nahin kafi
hunar bhi chahiye alfaz mein pirone ka
jo fasl KHwab ki tayyar hai to ye jaano
ki waqt aa gaya phir dard koi bone ka
ye zindagi bhi ajab karobar hai ki mujhe
KHushi hai pane ki koi na ranj khone ka
hai pash pash magar phir bhi muskuraata hai
wo chehra jaise ho TuTe hue khilaune ka

फिरते हैं कब से दर-ब-दर अब इस नगर अब उस नगर इक दूसरे के हम-सफ़र मैं और मिरी आवारगी : जावेद अख़्तर

फिरते हैं कब से दर-ब-दर अब इस नगर अब उस नगर इक दूसरे के हम-सफ़र मैं और मिरी आवारगी
ना-आश्ना हर रह-गुज़र ना-मेहरबाँ हर इक नज़र जाएँ तो अब जाएँ किधर मैं और मिरी आवारगी
हम भी कभी आबाद थे ऐसे कहाँ बर्बाद थे बे-फ़िक्र थे आज़ाद थे मसरूर थे दिल-शाद थे
वो चाल ऐसी चल गया हम बुझ गए दिल जल गया निकले जला के अपना घर मैं और मिरी आवारगी
जीना बहुत आसान था इक शख़्स का एहसान था हम को भी इक अरमान था जो ख़्वाब का सामान था
अब ख़्वाब है नय आरज़ू अरमान है नय जुस्तुजू यूँ भी चलो ख़ुश हैं मगर मैं और मिरी आवारगी
वो माह-वश वो माह-रू वो माह-काम-ए-हू-ब-हू थीं जिस की बातें कू-ब-कू उस से अजब थी गुफ़्तुगू
फिर यूँ हुआ वो खो गई तो मुझ को ज़िद सी हो गई लाएँगे उस को ढूँड कर मैं और मिरी आवारगी
ये दिल ही था जो सह गया वो बात ऐसी कह गया कहने को फिर क्या रह गया अश्कों का दरिया बह गया
जब कह के वो दिलबर गया तेरे लिए मैं मर गया रोते हैं उस को रात भर मैं और मिरी आवारगी
अब ग़म उठाएँ किस लिए आँसू बहाएँ किस लिए ये दिल जलाएँ किस लिए यूँ जाँ गंवाएँ किस लिए
पेशा न हो जिस का सितम ढूँडेंगे अब ऐसा सनम होंगे कहीं तो कारगर मैं और मिरी आवारगी
आसार हैं सब खोट के इम्कान हैं सब चोट के घर बंद हैं सब गोट के अब ख़त्म हैं सब टोटके
क़िस्मत का सब ये फेर है अंधेर है अंधेर है ऐसे हुए हैं बे-असर मैं और मिरी आवारगी
जब हमदम-ओ-हमराज़ था तब और ही अंदाज़ था अब सोज़ है तब साज़ था अब शर्म है तब नाज़ था
अब मुझ से हो तो हो भी क्या है साथ वो तो वो भी क्या इक बे-हुनर इक बे-समर मैं और मिरी आवारगी

phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi : Javed Akhtar

phirte haiñ kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ik dūsre ke ham-safar maiñ aur mirī āvārgī
nā-āshnā har rah-guzar nā-mehrbāñ har ik nazar jaa.eñ to ab jaa.eñ kidhar maiñ aur mirī āvārgī
ham bhī kabhī ābād the aise kahāñ barbād the be-fikr the āzād the masrūr the dil-shād the
vo chaal aisī chal gayā ham bujh ga.e dil jal gayā nikle jalā ke apnā ghar maiñ aur mirī āvārgī
jiinā bahut āsān thā ik shaḳhs kā ehsān thā ham ko bhī ik armān thā jo ḳhvāb kā sāmān thā
ab ḳhvāb hai nai aarzū armān hai nai justujū yuuñ bhī chalo ḳhush haiñ magar maiñ aur mirī āvārgī
vo māh-vash vo māh-rū vo māh-kām-e-hū-ba-hū thiiñ jis kī bāteñ kū-ba-kū us se ajab thī guftugū
phir yuuñ huā vo kho ga.ī to mujh ko zid sī ho ga.ī lā.eñge us ko DhūñD kar maiñ aur mirī āvārgī
ye dil hī thā jo sah gayā vo baat aisī kah gayā kahne ko phir kyā rah gayā ashkoñ kā dariyā bah gayā
jab kah ke vo dilbar gayā tere liye maiñ mar gayā rote haiñ us ko raat bhar maiñ aur mirī āvārgī
ab ġham uThā.eñ kis liye aañsū bahā.eñ kis liye ye dil jalā.eñ kis liye yuuñ jaañ gañvā.eñ kis liye
pesha na ho jis kā sitam DhūñDeñge ab aisā sanam hoñge kahīñ to kārgar maiñ aur mirī āvārgī
āsār haiñ sab khoT ke imkān haiñ sab choT ke ghar band haiñ sab goT ke ab ḳhatm haiñ sab ToTke
qismat kā sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue haiñ be-asar maiñ aur mirī āvārgī
jab hamdam-o-hamrāz thā tab aur hī andāz thā ab soz hai tab saaz thā ab sharm hai tab naaz thā
ab mujh se ho to ho bhī kyā hai saath vo to vo bhī kyā ik be-hunar ik be-samar maiñ aur mirī āvārgī
phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi
na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ek nazar jaen to ab jaen kidhar main aur meri aawargi
hum bhi kabhi aabaad the aise kahan barbaad the be-fikr the aazad the masrur the dil-shad the
wo chaal aisi chal gaya hum bujh gae dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi
jina bahut aasan tha ek shaKHs ka ehsan tha hum ko bhi ek arman tha jo KHwab ka saman tha
ab KHwab hai nai aarzu arman hai nai justuju yun bhi chalo KHush hain magar main aur meri aawargi
wo mah-wash wo mah-ru wo mah-kaam-e-hu-ba-hu thin jis ki baaten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu
phir yun hua wo kho gai to mujh ko zid si ho gai laenge us ko DhunD kar main aur meri aawargi
ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya
jab kah ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur meri aawargi
ab gham uThaen kis liye aansu bahaen kis liye ye dil jalaen kis liye yun jaan ganwaen kis liye
pesha na ho jis ka sitam DhunDenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur meri aawargi
aasar hain sab khoT ke imkan hain sab choT ke ghar band hain sab goT ke ab KHatm hain sab ToTke
qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur meri aawargi
jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya ek be-hunar ek be-samar main aur meri aawargi

अभी ज़मीर में थोड़ी सी जान बाक़ी है : जावेद अख़्तर

अभी ज़मीर में थोड़ी सी जान बाक़ी है
अभी हमारा कोई इम्तिहान बाक़ी है
हमारे घर को तो उजड़े हुए ज़माना हुआ
मगर सुना है अभी वो मकान बाक़ी है
हमारी उन से जो थी गुफ़्तुगू वो ख़त्म हुई
मगर सुकूत सा कुछ दरमियान बाक़ी है
हमारे ज़ेहन की बस्ती में आग ऐसी लगी
कि जो था ख़ाक हुआ इक दुकान बाक़ी है
वो ज़ख़्म भर गया अर्सा हुआ मगर अब तक
ज़रा सा दर्द ज़रा सा निशान बाक़ी है
ज़रा सी बात जो फैली तो दास्तान बनी
वो बात ख़त्म हुई दास्तान बाक़ी है
अब आया तीर चलाने का फ़न तो क्या आया
हमारे हाथ में ख़ाली कमान बाक़ी है

abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai : Javed Akhtar

abhī zamīr meñ thoḌī sī jaan baaqī hai
abhī hamārā koī imtihān baaqī hai
hamāre ghar ko to ujḌe hue zamāna huā
magar sunā hai abhī vo makān baaqī hai
hamārī un se jo thī guftugū vo ḳhatm huī
magar sukūt sā kuchh darmiyān baaqī hai
hamāre zehn kī bastī meñ aag aisī lagī
ki jo thā ḳhaak huā ik dukān baaqī hai
vo zaḳhm bhar gayā arsa huā magar ab tak
zarā sā dard zarā sā nishān baaqī hai
zarā sī baat jo phailī to dāstān banī
vo baat ḳhatm huī dāstān baaqī hai
ab aayā tiir chalāne kā fan to kyā aayā
hamāre haath meñ ḳhālī kamān baaqī hai
abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai
abhi hamara koi imtihan baqi hai
hamare ghar ko to ujDe hue zamana hua
magar suna hai abhi wo makan baqi hai
hamari un se jo thi guftugu wo KHatm hui
magar sukut sa kuchh darmiyan baqi hai
hamare zehn ki basti mein aag aisi lagi
ki jo tha KHak hua ek dukan baqi hai
wo zaKHm bhar gaya arsa hua magar ab tak
zara sa dard zara sa nishan baqi hai
zara si baat jo phaili to dastan bani
wo baat KHatm hui dastan baqi hai
ab aaya tir chalane ka fan to kya aaya
hamare hath mein KHali kaman baqi hai

हमारे शौक़ की ये इंतिहा थी : जावेद अख़्तर

हमारे शौक़ की ये इंतिहा थी
क़दम रक्खा कि मंज़िल रास्ता थी
बिछड़ के डार से बन बन फिरा वो
हिरन को अपनी कस्तूरी सज़ा थी
कभी जो ख़्वाब था वो पा लिया है
मगर जो खो गई वो चीज़ क्या थी
मैं बचपन में खिलौने तोड़ता था
मिरे अंजाम की वो इब्तिदा थी
मोहब्बत मर गई मुझ को भी ग़म है
मिरे अच्छे दिनों की आश्ना थी
जिसे छू लूँ मैं वो हो जाए सोना
तुझे देखा तो जाना बद-दुआ' थी
मरीज़-ए-ख़्वाब को तो अब शिफ़ा है
मगर दुनिया बड़ी कड़वी दवा थी

hamare shauq ki ye intiha thi : Javed Akhtar

hamāre shauq kī ye intihā thī
qadam rakkhā ki manzil rāstā thī
bichhaḌ ke Daar se ban ban phirā vo
hiran ko apnī kastūrī sazā thī
kabhī jo ḳhvāb thā vo pā liyā hai
magar jo kho ga.ī vo chiiz kyā thī
maiñ bachpan meñ khilaune toḌtā thā
mire anjām kī vo ibtidā thī
mohabbat mar ga.ī mujh ko bhī ġham hai
mire achchhe dinoñ kī āshnā thī
jise chhū luuñ maiñ vo ho jaa.e sonā
tujhe dekhā to jaanā bad-duā thī
marīz-e-ḳhvāb ko to ab shifā hai
magar duniyā baḌī kaḌvī davā thī
hamare shauq ki ye intiha thi
qadam rakkha ki manzil rasta thi
bichhaD ke Dar se ban ban phira wo
hiran ko apni kasturi saza thi
kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai
magar jo kho gai wo chiz kya thi
main bachpan mein khilaune toDta tha
mere anjam ki wo ibtida thi
mohabbat mar gai mujh ko bhi gham hai
mere achchhe dinon ki aashna thi
jise chhu lun main wo ho jae sona
tujhe dekha to jaana bad-dua thi
mariz-e-KHwab ko to ab shifa hai
magar duniya baDi kaDwi dawa thi

ये तसल्ली है कि हैं नाशाद सब : जावेद अख़्तर

ये तसल्ली है कि हैं नाशाद सब
मैं अकेला ही नहीं बर्बाद सब
सब की ख़ातिर हैं यहाँ सब अजनबी
और कहने को हैं घर आबाद सब
भूल के सब रंजिशें सब एक हैं
मैं बताऊँ सब को होगा याद सब
सब को दा'वा-ए-वफ़ा सब को यक़ीं
इस अदाकारी में हैं उस्ताद सब
शहर के हाकिम का ये फ़रमान है
क़ैद में कहलाएँगे आज़ाद सब
चार लफ़्ज़ों में कहो जो भी कहो
उस को कब फ़ुर्सत सुने फ़रियाद सब
तल्ख़ियाँ कैसे न हूँ अशआ'र में
हम पे जो गुज़री हमें है याद सब

ye tasalli hai ki hain nashad sab : Javed Akhtar

ye tasallī hai ki haiñ nāshād sab
maiñ akelā hī nahīñ barbād sab
sab kī ḳhātir haiñ yahāñ sab ajnabī
aur kahne ko haiñ ghar ābād sab
bhuul ke sab ranjisheñ sab ek haiñ
maiñ batā.ūñ sab ko hogā yaad sab
sab ko da.avā-e-vafā sab ko yaqīñ
is adākārī meñ haiñ ustād sab
shahr ke hākim kā ye farmān hai
qaid meñ kahlā.eñge āzād sab
chaar lafzoñ meñ kaho jo bhī kaho
us ko kab fursat sune fariyād sab
talḳhiyāñ kaise na huuñ ash.ār meñ
ham pe jo guzrī hameñ hai yaad sab
ye tasalli hai ki hain nashad sab
main akela hi nahin barbaad sab
sab ki KHatir hain yahan sab ajnabi
aur kahne ko hain ghar aabaad sab
bhul ke sab ranjishen sab ek hain
main bataun sab ko hoga yaad sab
sab ko dawa-e-wafa sab ko yaqin
is adakari mein hain ustad sab
shahr ke hakim ka ye farman hai
qaid mein kahlaenge aazad sab
chaar lafzon mein kaho jo bhi kaho
us ko kab fursat sune fariyaad sab
talKHiyan kaise na hun ashaar mein
hum pe jo guzri hamein hai yaad sab

दर्द के फूल भी खिलते हैं बिखर जाते हैं : जावेद अख़्तर

दर्द के फूल भी खिलते हैं बिखर जाते हैं
ज़ख़्म कैसे भी हों कुछ रोज़ में भर जाते हैं
रास्ता रोके खड़ी है यही उलझन कब से
कोई पूछे तो कहें क्या कि किधर जाते हैं
छत की कड़ियों से उतरते हैं मिरे ख़्वाब मगर
मेरी दीवारों से टकरा के बिखर जाते हैं
नर्म अल्फ़ाज़ भली बातें मोहज़्ज़ब लहजे
पहली बारिश ही में ये रंग उतर जाते हैं
उस दरीचे में भी अब कोई नहीं और हम भी
सर झुकाए हुए चुप-चाप गुज़र जाते हैं

dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain : Javed Akhtar

dard ke phuul bhī khilte haiñ bikhar jaate haiñ
zaḳhm kaise bhī hoñ kuchh roz meñ bhar jaate haiñ
rāsta roke khaḌī hai yahī uljhan kab se
koī pūchhe to kaheñ kyā ki kidhar jaate haiñ
chhat kī kaḌiyoñ se utarte haiñ mire ḳhvāb magar
merī dīvāroñ se Takrā ke bikhar jaate haiñ
narm alfāz bhalī bāteñ mohazzab lahje
pahlī bārish hī meñ ye rañg utar jaate haiñ
us darīche meñ bhī ab koī nahīñ aur ham bhī
sar jhukā.e hue chup-chāp guzar jaate haiñ
dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain
zaKHm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jate hain
rasta roke khaDi hai yahi uljhan kab se
koi puchhe to kahen kya ki kidhar jate hain
chhat ki kaDiyon se utarte hain mere KHwab magar
meri diwaron se Takra ke bikhar jate hain
narm alfaz bhali baaten mohazzab lahje
pahli barish hi mein ye rang utar jate hain
us dariche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi
sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain

ये दुनिया तुम को रास आए तो कहना : जावेद अख़्तर

ये दुनिया तुम को रास आए तो कहना
न सर पत्थर से टकराए तो कहना
ये गुल काग़ज़ हैं ये ज़ेवर हैं पीतल
समझ में जब ये आ जाए तो कहना
बहुत ख़ुश हो कि उस ने कुछ कहा है
न कह कर वो मुकर जाए तो कहना
बदल जाओगे तुम ग़म सुन के मेरे
कभी दिल ग़म से घबराए तो कहना
धुआँ जो कुछ घरों से उठ रहा है
न पूरे शहर पर छाए तो कहना

ye duniya tumko ras aae to kahna : Javed Akhtar

ye duniyā tum ko raas aa.e to kahnā
na sar patthar se Takrā.e to kahnā
ye gul kāġhaz haiñ ye zevar haiñ pītal
samajh meñ jab ye aa jaa.e to kahnā
bahut ḳhush ho ki us ne kuchh kahā hai
na kah kar vo mukar jaa.e to kahnā
badal jāoge tum ġham sun ke mere
kabhī dil ġham se ghabrā.e to kahnā
dhuāñ jo kuchh gharoñ se uTh rahā hai
na puure shahr par chhā.e to kahnā
ye duniya tum ko ras aae to kahna
na sar patthar se Takrae to kahna
ye gul kaghaz hain ye zewar hain pital
samajh mein jab ye aa jae to kahna
bahut KHush ho ki us ne kuchh kaha hai
na kah kar wo mukar jae to kahna
badal jaoge tum gham sun ke mere
kabhi dil gham se ghabrae to kahna
dhuan jo kuchh gharon se uTh raha hai
na pure shahr par chhae to kahna

शहर के दुकाँ-दारो कारोबार-ए-उल्फ़त में सूद क्या ज़ियाँ क्या है तुम न जान पाओगे : जावेद अख़्तर

शहर के दुकाँ-दारो कारोबार-ए-उल्फ़त में सूद क्या ज़ियाँ क्या है तुम न जान पाओगे
दिल के दाम कितने हैं ख़्वाब कितने महँगे हैं और नक़्द-ए-जाँ क्या है तुम न जान पाओगे
कोई कैसे मिलता है फूल कैसे खिलता है आँख कैसे झुकती है साँस कैसे रुकती है
कैसे रह निकलती है कैसे बात चलती है शौक़ की ज़बाँ क्या है तुम न जान पाओगे
वस्ल का सुकूँ क्या है हिज्र का जुनूँ क्या है हुस्न का फ़ुसूँ क्या है इश्क़ का दरूँ क्या है
तुम मरीज़-ए-दानाई मस्लहत के शैदाई राह-ए-गुम-रहाँ क्या है तुम न जान पाओगे
ज़ख़्म कैसे फलते हैं दाग़ कैसे जलते हैं दर्द कैसे होता है कोई कैसे रोता है
अश्क क्या है नाले क्या दश्त क्या है छाले क्या आह क्या फ़ुग़ाँ क्या है तुम न जान पाओगे
ना-मुराद दिल कैसे सुब्ह-ओ-शाम करते हैं कैसे ज़िंदा रहते हैं और कैसे मरते हैं
तुम को कब नज़र आई ग़म-ज़दों की तन्हाई ज़ीस्त बे-अमाँ क्या है तुम न जान पाओगे
जानता हूँ मैं तुम को ज़ौक़-ए-शाएरी भी है शख़्सियत सजाने में इक ये माहरी भी है
फिर भी हर्फ़ चुनते हो सिर्फ़ लफ़्ज़ सुनते हो उन के दरमियाँ क्या है तुम न जान पाओगे

shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge : Javed Akhtar

shahr ke dukāñ-dāro kārobār-e-ulfat meñ suud kyā ziyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
dil ke daam kitne haiñ ḳhvāb kitne mahñge haiñ aur naqd-e-jāñ kyā hai tum na jaan pāoge
koī kaise miltā hai phuul kaise khiltā hai aañkh kaise jhuktī hai saañs kaise ruktī hai
kaise rah nikaltī hai kaise baat chaltī hai shauq kī zabāñ kyā hai tum na jaan pāoge
vasl kā sukūñ kyā hai hijr kā junūñ kyā hai husn kā fusūñ kyā hai ishq kā darūñ kyā hai
tum marīz-e-dānā.ī maslahat ke shaidā.ī rāh-e-gum-rahāñ kyā hai tum na jaan pāoge
zaḳhm kaise phalte haiñ daaġh kaise jalte haiñ dard kaise hotā hai koī kaise rotā hai
ashk kyā hai naale kyā dasht kyā hai chhāle kyā aah kyā fuġhāñ kyā hai tum na jaan pāoge
nā-murād dil kaise sub.h-o-shām karte haiñ kaise zinda rahte haiñ aur kaise marte haiñ
tum ko kab nazar aa.ī ġham-zadoñ kī tanhā.ī ziist be-amāñ kyā hai tum na jaan pāoge
jāntā huuñ maiñ tum ko zauq-e-shā.erī bhī hai shaḳhsiyat sajāne meñ ik ye māhrī bhī hai
phir bhī harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyāñ kyā hai tum na jaan pāoge
shahr ke dukan-daro karobar-e-ulfat mein sud kya ziyan kya hai tum na jaan paoge
dil ke dam kitne hain KHwab kitne mahnge hain aur naqd-e-jaan kya hai tum na jaan paoge
koi kaise milta hai phul kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai sans kaise rukti hai
kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zaban kya hai tum na jaan paoge
wasl ka sukun kya hai hijr ka junun kya hai husn ka fusun kya hai ishq ka darun kya hai
tum mariz-e-danai maslahat ke shaidai rah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge
zaKHm kaise phalte hain dagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai
ashk kya hai nale kya dasht kya hai chhaale kya aah kya fughan kya hai tum na jaan paoge
na-murad dil kaise subh-o-sham karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain
tum ko kab nazar aai gham-zadon ki tanhai zist be-aman kya hai tum na jaan paoge
jaanta hun main tum ko zauq-e-shaeri bhi hai shaKHsiyat sajaane mein ek ye mahri bhi hai
phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyan kya hai tum na jaan paoge

आज मैं ने अपना फिर सौदा किया : जावेद अख़्तर

आज मैं ने अपना फिर सौदा किया
और फिर मैं दूर से देखा किया
ज़िंदगी-भर मेरे काम आए उसूल
एक इक कर के उन्हें बेचा किया
बंध गई थी दिल में कुछ उम्मीद सी
ख़ैर तुम ने जो किया अच्छा किया
कुछ कमी अपनी वफ़ाओं में भी थी
तुम से क्या कहते कि तुम ने क्या किया
क्या बताऊँ कौन था जिस ने मुझे
इस भरी दुनिया में है तन्हा किया

aaj maine apna phir sauda kiya : Javed Akhtar

aaj maiñ ne apnā phir saudā kiyā
aur phir maiñ duur se dekhā kiyā
zindagī-bhar mere kaam aa.e usuul
ek ik kar ke unheñ bechā kiyā
bañdh ga.ī thī dil meñ kuchh ummīd sī
ḳhair tum ne jo kiyā achchhā kiyā
kuchh kamī apnī vafāoñ meñ bhī thī
tum se kyā kahte ki tum ne kyā kiyā
kyā batā.ūñ kaun thā jis ne mujhe
is bharī duniyā meñ hai tanhā kiyā
aaj main ne apna phir sauda kiya
aur phir main dur se dekha kiya
zindagi-bhar mere kaam aae usul
ek ek kar ke unhen becha kiya
bandh gai thi dil mein kuchh ummid si
KHair tum ne jo kiya achchha kiya
kuchh kami apni wafaon mein bhi thi
tum se kya kahte ki tum ne kya kiya
kya bataun kaun tha jis ne mujhe
is bhari duniya mein hai tanha kiya

कल जहाँ दीवार थी है आज इक दर देखिए : जावेद अख़्तर

कल जहाँ दीवार थी है आज इक दर देखिए
क्या समाई थी भला दीवाने के सर देखिए
पुर-सुकूँ लगती है कितनी झील के पानी पे बत
पैरों की बे-ताबियाँ पानी के अंदर देखिए
छोड़ कर जिस को गए थे आप कोई और था
अब मैं कोई और हूँ वापस तो आ कर देखिए
ज़ेहन-ए-इंसानी इधर आफ़ाक़ की वुसअत उधर
एक मंज़र है यहाँ अंदर कि बाहर देखिए
अक़्ल ये कहती दुनिया मिलती है बाज़ार में
दिल मगर ये कहता है कुछ और बेहतर देखिए

kal jahan diwar thi hai aaj ek dar dekhiye : Javed Akhtar

kal jahāñ dīvār thī hai aaj ik dar dekhiye
kyā samā.ī thī bhalā dīvāne ke sar dekhiye
pur-sukūñ lagtī hai kitnī jhiil ke paanī pe bat
pairoñ kī be-tābiyāñ paanī ke andar dekhiye
chhoḌ kar jis ko ga.e the aap koī aur thā
ab maiñ koī aur huuñ vāpas to aa kar dekhiye
zehn-e-insānī idhar āfāq kī vus.at udhar
ek manzar hai yahāñ andar ki bāhar dekhiye
aql ye kahtī duniyā miltī hai bāzār meñ
dil magar ye kahtā hai kuchh aur behtar dekhiye
kal jahan diwar thi hai aaj ek dar dekhiye
kya samai thi bhala diwane ke sar dekhiye
pur-sukun lagti hai kitni jhil ke pani pe bat
pairon ki be-tabiyan pani ke andar dekhiye
chhoD kar jis ko gae the aap koi aur tha
ab main koi aur hun wapas to aa kar dekhiye
zehn-e-insani idhar aafaq ki wusat udhar
ek manzar hai yahan andar ki bahar dekhiye
aql ye kahti duniya milti hai bazar mein
dil magar ye kahta hai kuchh aur behtar dekhiye

दर्द अपनाता है पराए कौन : जावेद अख़्तर

दर्द अपनाता है पराए कौन
कौन सुनता है और सुनाए कौन
कौन दोहराए फिर वही बातें
ग़म अभी सोया है जगाए कौन
अब सुकूँ है तो भूलने में है
लेकिन उस शख़्स को भुलाए कौन
वो जो अपने हैं क्या वो अपने हैं
कौन दुख झेले आज़माए कौन
आज फिर दिल है कुछ उदास उदास
देखिए आज याद आए कौन

dard apnata hai parae kaun : Javed Akhtar

dard apnātā hai parā.e kaun
kaun suntā hai aur sunā.e kaun
kaun dohrā.e phir vahī bāteñ
ġham abhī soyā hai jagā.e kaun
ab sukūñ hai to bhūlne meñ hai
lekin us shaḳhs ko bhulā.e kaun
vo jo apne haiñ kyā vo apne haiñ
kaun dukh jhele āzmā.e kaun
aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa.e kaun
dard apnata hai parae kaun
kaun sunta hai aur sunae kaun
kaun dohrae phir wahi baaten
gham abhi soya hai jagae kaun
ab sukun hai to bhulne mein hai
lekin us shaKHs ko bhulae kaun
wo jo apne hain kya wo apne hain
kaun dukh jhele aazmae kaun
aaj phir dil hai kuchh udas udas
dekhiye aaj yaad aae kaun

Faiz Ahmad Faiz Ghazal : फैज़ अहमद फैज़ की गज़लें

दोनों जहान तेरी मोहब्बत में हार के : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

दोनों जहान तेरी मोहब्बत में हार के
वो जा रहा है कोई शब-ए-ग़म गुज़ार के
वीराँ है मय-कदा ख़ुम-ओ-साग़र उदास हैं
तुम क्या गए कि रूठ गए दिन बहार के
इक फ़ुर्सत-ए-गुनाह मिली वो भी चार दिन
देखे हैं हम ने हौसले पर्वरदिगार के
दुनिया ने तेरी याद से बेगाना कर दिया
तुझ से भी दिल-फ़रेब हैं ग़म रोज़गार के
भूले से मुस्कुरा तो दिए थे वो आज 'फ़ैज़'
मत पूछ वलवले दिल-ए-ना-कर्दा-कार के

donon jahan teri mohabbat mein haar ke : Faiz Ahmad Faiz

donoñ jahān terī mohabbat meñ haar ke
vo jā rahā hai koī shab-e-ġham guzār ke
vīrāñ hai mai-kada ḳhum-o-sāġhar udaas haiñ
tum kyā ga.e ki ruuTh ga.e din bahār ke
ik fursat-e-gunāh milī vo bhī chaar din
dekhe haiñ ham ne hausle parvardigār ke
duniyā ne terī yaad se begāna kar diyā
tujh se bhī dil-fareb haiñ ġham rozgār ke
bhūle se muskurā to diye the vo aaj 'faiz'
mat pūchh valvale dil-e-nā-kardā-kār ke
donon jahan teri mohabbat mein haar ke
wo ja raha hai koi shab-e-gham guzar ke
viran hai mai-kada KHum-o-saghar udas hain
tum kya gae ki ruTh gae din bahaar ke
ek fursat-e-gunah mili wo bhi chaar din
dekhe hain hum ne hausle parwardigar ke
duniya ne teri yaad se begana kar diya
tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgar ke
bhule se muskura to diye the wo aaj 'faiz'
mat puchh walwale dil-e-na-karda-kar ke

गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

गुलों में रंग भरे बाद-ए-नौ-बहार चले
चले भी आओ कि गुलशन का कारोबार चले
क़फ़स उदास है यारो सबा से कुछ तो कहो
कहीं तो बहर-ए-ख़ुदा आज ज़िक्र-ए-यार चले
कभी तो सुब्ह तिरे कुंज-ए-लब से हो आग़ाज़
कभी तो शब सर-ए-काकुल से मुश्क-बार चले
बड़ा है दर्द का रिश्ता ये दिल ग़रीब सही
तुम्हारे नाम पे आएँगे ग़म-गुसार चले
जो हम पे गुज़री सो गुज़री मगर शब-ए-हिज्राँ
हमारे अश्क तिरी आक़िबत सँवार चले
हुज़ूर-ए-यार हुई दफ़्तर-ए-जुनूँ की तलब
गिरह में ले के गरेबाँ का तार तार चले
मक़ाम 'फ़ैज़' कोई राह में जचा ही नहीं
जो कू-ए-यार से निकले तो सू-ए-दार चले

gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale : Faiz Ahmad Faiz

guloñ meñ rang bhare bād-e-nau-bahār chale
chale bhī aao ki gulshan kā kārobār chale
qafas udaas hai yaaro sabā se kuchh to kaho
kahīñ to bahr-e-ḳhudā aaj zikr-e-yār chale
kabhī to sub.h tire kunj-e-lab se ho āġhāz
kabhī to shab sar-e-kākul se mushk-bār chale
baḌā hai dard kā rishta ye dil ġharīb sahī
tumhāre naam pe ā.eñge ġham-gusār chale
jo ham pe guzrī so guzrī magar shab-e-hijrāñ
hamāre ashk tirī āqibat sañvār chale
huzūr-e-yār huī daftar-e-junūñ kī talab
girah meñ le ke garebāñ kā taar taar chale
maqām 'faiz' koī raah meñ jachā hī nahīñ
jo kū-e-yār se nikle to sū-e-dār chale
gulon mein rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
qafas udas hai yaro saba se kuchh to kaho
kahin to bahr-e-KHuda aaj zikr-e-yar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aaghaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushk-bar chale
baDa hai dard ka rishta ye dil gharib sahi
tumhaare nam pe aaenge gham-gusar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqibat sanwar chale
huzur-e-yar hui daftar-e-junun ki talab
girah mein le ke gareban ka tar tar chale
maqam 'faiz' koi rah mein jacha hi nahin
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale

आए कुछ अब्र कुछ शराब आए : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

आए कुछ अब्र कुछ शराब आए
इस के बा'द आए जो अज़ाब आए
बाम-ए-मीना से माहताब उतरे
दस्त-ए-साक़ी में आफ़्ताब आए
हर रग-ए-ख़ूँ में फिर चराग़ाँ हो
सामने फिर वो बे-नक़ाब आए
उम्र के हर वरक़ पे दिल की नज़र
तेरी मेहर-ओ-वफ़ा के बाब आए
कर रहा था ग़म-ए-जहाँ का हिसाब
आज तुम याद बे-हिसाब आए
न गई तेरे ग़म की सरदारी
दिल में यूँ रोज़ इंक़लाब आए
जल उठे बज़्म-ए-ग़ैर के दर-ओ-बाम
जब भी हम ख़ानुमाँ-ख़राब आए
इस तरह अपनी ख़ामुशी गूँजी
गोया हर सम्त से जवाब आए
'फ़ैज़' थी राह सर-ब-सर मंज़िल
हम जहाँ पहुँचे कामयाब आए

aae kuchh abr kuchh sharab aae : Faiz Ahmad Faiz

aa.e kuchh abr kuchh sharāb aa.e
is ke ba.ad aa.e jo azaab aa.e
bām-e-mīnā se māhtāb utre
dast-e-sāqī meñ āftāb aa.e
har rag-e-ḳhūñ meñ phir charāġhāñ ho
sāmne phir vo be-naqāb aa.e
umr ke har varaq pe dil kī nazar
terī mehr-o-vafā ke baab aa.e
kar rahā thā ġham-e-jahāñ kā hisāb
aaj tum yaad be-hisāb aa.e
na ga.ī tere ġham kī sardārī
dil meñ yuuñ roz inqalāb aa.e
jal uThe bazm-e-ġhair ke dar-o-bām
jab bhī ham ḳhānumāñ-ḳharāb aa.e
is tarah apnī ḳhāmushī gūñjī
goyā har samt se javāb aa.e
'faiz' thī raah sar-ba-sar manzil
ham jahāñ pahuñche kāmyāb aa.e
aae kuchh abr kuchh sharab aae
is ke baad aae jo azab aae
baam-e-mina se mahtab utre
dast-e-saqi mein aaftab aae
har rag-e-KHun mein phir charaghan ho
samne phir wo be-naqab aae
umr ke har waraq pe dil ki nazar
teri mehr-o-wafa ke bab aae
kar raha tha gham-e-jahan ka hisab
aaj tum yaad be-hisab aae
na gai tere gham ki sardari
dil mein yun roz inqalab aae
jal uThe bazm-e-ghair ke dar-o-baam
jab bhi hum KHanuman-KHarab aae
is tarah apni KHamushi gunji
goya har samt se jawab aae
'faiz' thi rah sar-ba-sar manzil
hum jahan pahunche kaamyab aae

हम पर तुम्हारी चाह का इल्ज़ाम ही तो है : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

हम पर तुम्हारी चाह का इल्ज़ाम ही तो है
दुश्नाम तो नहीं है ये इकराम ही तो है
दिल ना-उमीद तो नहीं नाकाम ही तो है
लम्बी है ग़म की शाम मगर शाम ही तो है
करते हैं जिस पे ता'न कोई जुर्म तो नहीं
शौक़-ए-फ़ुज़ूल ओ उल्फ़त-ए-नाकाम ही तो है
दिल मुद्द'ई के हर्फ़-ए-मलामत से शाद है
ऐ जान-ए-जाँ ये हर्फ़ तिरा नाम ही तो है
दस्त-ए-फ़लक में गर्दिश-ए-तक़दीर तो नहीं
दस्त-ए-फ़लक में गर्दिश-ए-अय्याम ही तो है
आख़िर तो एक रोज़ करेगी नज़र वफ़ा
वो यार-ए-ख़ुश-ख़िसाल सर-ए-बाम ही तो है
भीगी है रात 'फ़ैज़' ग़ज़ल इब्तिदा करो
वक़्त-ए-सरोद दर्द का हंगाम ही तो है

hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai : Faiz Ahmad Faiz

ham par tumhārī chaah kā ilzām hī to hai
dushnām to nahīñ hai ye ikrām hī to hai
dil nā-umīd to nahīñ nākām hī to hai
lambī hai ġham kī shaam magar shaam hī to hai
karte haiñ jis pe ta.an koī jurm to nahīñ
shauq-e-fuzūl o ulfat-e-nākām hī to hai
dil mudda'ī ke harf-e-malāmat se shaad hai
ai jān-e-jāñ ye harf tirā naam hī to hai
dast-e-falak meñ gardish-e-taqdīr to nahīñ
dast-e-falak meñ gardish-e-ayyām hī to hai
āḳhir to ek roz karegī nazar vafā
vo yār-e-ḳhush-ḳhisāl sar-e-bām hī to hai
bhīgī hai raat 'faiz' ġhazal ibtidā karo
vaqt-e-sarod dard kā hangām hī to hai
hum par tumhaari chah ka ilzam hi to hai
dushnam to nahin hai ye ikram hi to hai
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
karte hain jis pe tan koi jurm to nahin
shauq-e-fuzul o ulfat-e-nakaam hi to hai
dil mudda'i ke harf-e-malamat se shad hai
ai jaan-e-jaan ye harf tera nam hi to hai
dast-e-falak mein gardish-e-taqdir to nahin
dast-e-falak mein gardish-e-ayyam hi to hai
aaKHir to ek roz karegi nazar wafa
wo yar-e-KHush-KHisal sar-e-baam hi to hai
bhigi hai raat 'faiz' ghazal ibtida karo
waqt-e-sarod dard ka hangam hi to hai

''आप की याद आती रही रात भर'' : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

''आप की याद आती रही रात भर''
चाँदनी दिल दुखाती रही रात भर
गाह जलती हुई गाह बुझती हुई
शम-ए-ग़म झिलमिलाती रही रात भर
कोई ख़ुशबू बदलती रही पैरहन
कोई तस्वीर गाती रही रात भर
फिर सबा साया-ए-शाख़-ए-गुल के तले
कोई क़िस्सा सुनाती रही रात भर
जो न आया उसे कोई ज़ंजीर-ए-दर
हर सदा पर बुलाती रही रात भर
एक उम्मीद से दिल बहलता रहा
इक तमन्ना सताती रही रात भर

aap ki yaad aati rahi raat bhar : Faiz Ahmad Faiz

''aap kī yaad aatī rahī raat bhar''
chāñdnī dil dukhātī rahī raat bhar
gaah jaltī huī gaah bujhtī huī
sham-e-ġham jhilmilātī rahī raat bhar
koī ḳhushbū badaltī rahī pairahan
koī tasvīr gaatī rahī raat bhar
phir sabā sāya-e-shāḳh-e-gul ke tale
koī qissa sunātī rahī raat bhar
jo na aayā use koī zanjīr-e-dar
har sadā par bulātī rahī raat bhar
ek ummīd se dil bahaltā rahā
ik tamannā satātī rahī raat bhar
aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahi raat bhar
gah jalti hui gah bujhti hui
sham-e-gham jhilmilati rahi raat bhar
koi KHushbu badalti rahi pairahan
koi taswir gati rahi raat bhar
phir saba saya-e-shaKH-e-gul ke tale
koi qissa sunati rahi raat bhar
jo na aaya use koi zanjir-e-dar
har sada par bulati rahi raat bhar
ek ummid se dil bahalta raha
ek tamanna satati rahi raat bhar

नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तुजू ही सही
नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही
न तन में ख़ून फ़राहम न अश्क आँखों में
नमाज़-ए-शौक़ तो वाजिब है बे-वुज़ू ही सही
किसी तरह तो जमे बज़्म मय-कदे वालो
नहीं जो बादा-ओ-साग़र तो हाव-हू ही सही
गर इंतिज़ार कठिन है तो जब तलक ऐ दिल
किसी के वादा-ए-फ़र्दा की गुफ़्तुगू ही सही
दयार-ए-ग़ैर में महरम अगर नहीं कोई
तो 'फ़ैज़' ज़िक्र-ए-वतन अपने रू-ब-रू ही सही

nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi : Faiz Ahmad Faiz

nahīñ nigāh meñ manzil to justujū hī sahī
nahīñ visāl mayassar to aarzū hī sahī
na tan meñ ḳhuun farāham na ashk āñkhoñ meñ
namāz-e-shauq to vājib hai be-vuzū hī sahī
kisī tarah to jame bazm mai-kade vaalo
nahīñ jo bāda-o-sāġhar to hāv-hū hī sahī
gar intizār kaThin hai to jab talak ai dil
kisī ke vāda-e-fardā kī guftugū hī sahī
dayār-e-ġhair meñ mahram agar nahīñ koī
to 'faiz' zikr-e-vatan apne rū-ba-rū hī sahī
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
na tan mein KHun faraham na ashk aankhon mein
namaz-e-shauq to wajib hai be-wuzu hi sahi
kisi tarah to jame bazm mai-kade walo
nahin jo baada-o-saghar to haw-hu hi sahi
gar intizar kaThin hai to jab talak ai dil
kisi ke wada-e-farda ki guftugu hi sahi
dayar-e-ghair mein mahram agar nahin koi
to 'faiz' zikr-e-watan apne ru-ba-ru hi sahi

तुम आए हो न शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

तुम आए हो न शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है
तलाश में है सहर बार बार गुज़री है
जुनूँ में जितनी भी गुज़री ब-कार गुज़री है
अगरचे दिल पे ख़राबी हज़ार गुज़री है
हुई है हज़रत-ए-नासेह से गुफ़्तुगू जिस शब
वो शब ज़रूर सर-ए-कू-ए-यार गुज़री है
वो बात सारे फ़साने में जिस का ज़िक्र न था
वो बात उन को बहुत ना-गवार गुज़री है
न गुल खिले हैं न उन से मिले न मय पी है
अजीब रंग में अब के बहार गुज़री है
चमन पे ग़ारत-ए-गुल-चीं से जाने क्या गुज़री
क़फ़स से आज सबा बे-क़रार गुज़री है

tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai : Faiz Ahmad Faiz

tum aa.e ho na shab-e-intizār guzrī hai
talāsh meñ hai sahar baar baar guzrī hai
junūñ meñ jitnī bhī guzrī ba-kār guzrī hai
agarche dil pe ḳharābī hazār guzrī hai
huī hai hazrat-e-nāseh se guftugū jis shab
vo shab zarūr sar-e-kū-e-yār guzrī hai
vo baat saare fasāne meñ jis kā zikr na thā
vo baat un ko bahut nā-gavār guzrī hai
na gul khile haiñ na un se mile na mai pī hai
ajiib rang meñ ab ke bahār guzrī hai
chaman pe ġhārat-e-gul-chīñ se jaane kyā guzrī
qafas se aaj sabā be-qarār guzrī hai
tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai

कब याद में तेरा साथ नहीं कब हात में तेरा हात नहीं : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

कब याद में तेरा साथ नहीं कब हात में तेरा हात नहीं
सद-शुक्र कि अपनी रातों में अब हिज्र की कोई रात नहीं
मुश्किल हैं अगर हालात वहाँ दिल बेच आएँ जाँ दे आएँ
दिल वालो कूचा-ए-जानाँ में क्या ऐसे भी हालात नहीं
जिस धज से कोई मक़्तल में गया वो शान सलामत रहती है
ये जान तो आनी जानी है इस जाँ की तो कोई बात नहीं
मैदान-ए-वफ़ा दरबार नहीं याँ नाम-ओ-नसब की पूछ कहाँ
आशिक़ तो किसी का नाम नहीं कुछ इश्क़ किसी की ज़ात नहीं
गर बाज़ी इश्क़ की बाज़ी है जो चाहो लगा दो डर कैसा
गर जीत गए तो क्या कहना हारे भी तो बाज़ी मात नहीं

kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin : Faiz Ahmad Faiz

kab yaad meñ terā saath nahīñ kab haat meñ terā haat nahīñ
sad-shukr ki apnī rātoñ meñ ab hijr kī koī raat nahīñ
mushkil haiñ agar hālāt vahāñ dil bech aa.eñ jaañ de aa.eñ
dil vaalo kūcha-e-jānāñ meñ kyā aise bhī hālāt nahīñ
jis dhaj se koī maqtal meñ gayā vo shaan salāmat rahtī hai
ye jaan to aanī jaanī hai is jaañ kī to koī baat nahīñ
maidān-e-vafā darbār nahīñ yaañ nām-o-nasab kī pūchh kahāñ
āshiq to kisī kā naam nahīñ kuchh ishq kisī kī zaat nahīñ
gar baazī ishq kī baazī hai jo chāho lagā do Dar kaisā
gar jiit ga.e to kyā kahnā haare bhī to baazī maat nahīñ
kab yaad mein tera sath nahin kab hat mein tera hat nahin
sad-shukr ki apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin
mushkil hain agar haalat wahan dil bech aaen jaan de aaen
dil walo kucha-e-jaanan mein kya aise bhi haalat nahin
jis dhaj se koi maqtal mein gaya wo shan salamat rahti hai
ye jaan to aani jaani hai is jaan ki to koi baat nahin
maidan-e-wafa darbar nahin yan nam-o-nasab ki puchh kahan
aashiq to kisi ka nam nahin kuchh ishq kisi ki zat nahin
gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do Dar kaisa
gar jit gae to kya kahna haare bhi to bazi mat nahin

न गँवाओ नावक-ए-नीम-कश दिल-ए-रेज़ा-रेज़ा गँवा दिया : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

न गँवाओ नावक-ए-नीम-कश दिल-ए-रेज़ा-रेज़ा गँवा दिया
जो बचे हैं संग समेट लो तन-ए-दाग़-दाग़ लुटा दिया
मिरे चारा-गर को नवेद हो सफ़-ए-दुश्मनाँ को ख़बर करो
जो वो क़र्ज़ रखते थे जान पर वो हिसाब आज चुका दिया
करो कज जबीं पे सर-ए-कफ़न मिरे क़ातिलों को गुमाँ न हो
कि ग़ुरूर-ए-इश्क़ का बाँकपन पस-ए-मर्ग हम ने भुला दिया
उधर एक हर्फ़ कि कुश्तनी यहाँ लाख उज़्र था गुफ़्तनी
जो कहा तो सुन के उड़ा दिया जो लिखा तो पढ़ के मिटा दिया
जो रुके तो कोह-ए-गिराँ थे हम जो चले तो जाँ से गुज़र गए
रह-ए-यार हम ने क़दम क़दम तुझे यादगार बना दिया

na ganwao nawak-e-nim-kash dil-e-reza-reza ganwa diya : Faiz Ahmad Faiz

na gañvāo nāvak-e-nīm-kash dil-e-reza-reza gañvā diyā
jo bache haiñ sañg sameT lo tan-e-dāġh-dāġh luTā diyā
mire chāra-gar ko naved ho saf-e-dushmanāñ ko ḳhabar karo
jo vo qarz rakhte the jaan par vo hisāb aaj chukā diyā
karo kaj jabīñ pe sar-e-kafan mire qātiloñ ko gumāñ na ho
ki ġhurūr-e-ishq kā bāñkpan pas-e-marg ham ne bhulā diyā
udhar ek harf ki kushtanī yahāñ laakh uzr thā guftanī
jo kahā to sun ke uḌā diyā jo likhā to paḌh ke miTā diyā
jo ruke to koh-e-girāñ the ham jo chale to jaañ se guzar ga.e
rah-e-yār ham ne qadam qadam tujhe yādgār banā diyā
na ganwao nawak-e-nim-kash dil-e-reza-reza ganwa diya
jo bache hain sang sameT lo tan-e-dagh-dagh luTa diya
mere chaara-gar ko nawed ho saf-e-dushmanan ko KHabar karo
jo wo qarz rakhte the jaan par wo hisab aaj chuka diya
karo kaj jabin pe sar-e-kafan mere qatilon ko guman na ho
ki ghurur-e-ishq ka bankpan pas-e-marg hum ne bhula diya
udhar ek harf ki kushtani yahan lakh uzr tha guftani
jo kaha to sun ke uDa diya jo likha to paDh ke miTa diya
jo ruke to koh-e-giran the hum jo chale to jaan se guzar gae
rah-e-yar hum ne qadam qadam tujhe yaadgar bana diya

शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

शाम-ए-फ़िराक़ अब न पूछ आई और आ के टल गई
दिल था कि फिर बहल गया जाँ थी कि फिर सँभल गई
बज़्म-ए-ख़याल में तिरे हुस्न की शम्अ जल गई
दर्द का चाँद बुझ गया हिज्र की रात ढल गई
जब तुझे याद कर लिया सुब्ह महक महक उठी
जब तिरा ग़म जगा लिया रात मचल मचल गई
दिल से तो हर मोआ'मला कर के चले थे साफ़ हम
कहने में उन के सामने बात बदल बदल गई
आख़िर-ए-शब के हम-सफ़र 'फ़ैज़' न जाने क्या हुए
रह गई किस जगह सबा सुब्ह किधर निकल गई

sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai : Faiz Ahmad Faiz

shām-e-firāq ab na pūchh aa.ī aur aa ke Tal ga.ī
dil thā ki phir bahal gayā jaañ thī ki phir sambhal ga.ī
bazm-e-ḳhayāl meñ tire husn kī sham.a jal ga.ī
dard kā chāñd bujh gayā hijr kī raat Dhal ga.ī
jab tujhe yaad kar liyā sub.h mahak mahak uThī
jab tirā ġham jagā liyā raat machal machal ga.ī
dil se to har mo.āmla kar ke chale the saaf ham
kahne meñ un ke sāmne baat badal badal ga.ī
āḳhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kyā hue
rah ga.ī kis jagah sabā sub.h kidhar nikal ga.ī
sham-e-firaq ab na puchh aai aur aa ke Tal gai
dil tha ki phir bahal gaya jaan thi ki phir sambhal gai
bazm-e-KHayal mein tere husn ki shama jal gai
dard ka chand bujh gaya hijr ki raat Dhal gai
jab tujhe yaad kar liya subh mahak mahak uThi
jab tera gham jaga liya raat machal machal gai
dil se to har moamla kar ke chale the saf hum
kahne mein un ke samne baat badal badal gai
aaKHir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue
rah gai kis jagah saba subh kidhar nikal gai

तिरे ग़म को जाँ की तलाश थी तिरे जाँ-निसार चले गए : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

तिरे ग़म को जाँ की तलाश थी तिरे जाँ-निसार चले गए
तिरी रह में करते थे सर तलब सर-ए-रहगुज़ार चले गए
तिरी कज-अदाई से हार के शब-ए-इंतिज़ार चली गई
मिरे ज़ब्त-ए-हाल से रूठ कर मिरे ग़म-गुसार चले गए
न सवाल-ए-वस्ल न अर्ज़-ए-ग़म न हिकायतें न शिकायतें
तिरे अहद में दिल-ए-ज़ार के सभी इख़्तियार चले गए
ये हमीं थे जिन के लिबास पर सर-ए-रह सियाही लिखी गई
यही दाग़ थे जो सजा के हम सर-ए-बज़्म-ए-यार चले गए
न रहा जुनून-ए-रुख़-ए-वफ़ा ये रसन ये दार करोगे क्या
जिन्हें जुर्म-ए-इश्क़ पे नाज़ था वो गुनाहगार चले गए

tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae : Faiz Ahmad Faiz

tire ġham ko jaañ kī talāsh thī tire jāñ-nisār chale ga.e
tirī rah meñ karte the sar talab sar-e-rahguzār chale ga.e
tirī kaj-adā.ī se haar ke shab-e-intizār chalī ga.ī
mire zabt-e-hāl se ruuTh kar mire ġham-gusār chale ga.e
na savāl-e-vasl na arz-e-ġham na hikāyateñ na shikāyateñ
tire ahd meñ dil-e-zār ke sabhī iḳhtiyār chale ga.e
ye hamīñ the jin ke libās par sar-e-rah siyāhī likhī ga.ī
yahī daaġh the jo sajā ke ham sar-e-bazm-e-yār chale ga.e
na rahā junūn-e-ruḳh-e-vafā ye rasan ye daar karoge kyā
jinheñ jurm-e-ishq pe naaz thā vo gunāhgār chale ga.e
tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mere zabt-e-haal se ruTh kar mere gham-gusar chale gae
na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten
tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-ruKH-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae

राज़-ए-उल्फ़त छुपा के देख लिया : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

राज़-ए-उल्फ़त छुपा के देख लिया
दिल बहुत कुछ जला के देख लिया
और क्या देखने को बाक़ी है
आप से दिल लगा के देख लिया
वो मिरे हो के भी मिरे न हुए
उन को अपना बना के देख लिया
आज उन की नज़र में कुछ हम ने
सब की नज़रें बचा के देख लिया
'फ़ैज़' तकमील-ए-ग़म भी हो न सकी
इश्क़ को आज़मा के देख लिया

raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya : Faiz Ahmad Faiz

rāz-e-ulfat chhupā ke dekh liyā
dil bahut kuchh jalā ke dekh liyā
aur kyā dekhne ko baaqī hai
aap se dil lagā ke dekh liyā
vo mire ho ke bhī mire na hue
un ko apnā banā ke dekh liyā
aaj un kī nazar meñ kuchh ham ne
sab kī nazreñ bachā ke dekh liyā
'faiz' takmīl-e-ġham bhī ho na sakī
ishq ko aazmā ke dekh liyā
raaz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya
aur kya dekhne ko baqi hai
aap se dil laga ke dekh liya
wo mere ho ke bhi mere na hue
un ko apna bana ke dekh liya
aaj un ki nazar mein kuchh hum ne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
'faiz' takmil-e-gham bhi ho na saki
ishq ko aazma ke dekh liya

कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

कब ठहरेगा दर्द ऐ दिल कब रात बसर होगी
सुनते थे वो आएँगे सुनते थे सहर होगी
कब जान लहू होगी कब अश्क गुहर होगा
किस दिन तिरी शुनवाई ऐ दीदा-ए-तर होगी
कब महकेगी फ़स्ल-ए-गुल कब बहकेगा मय-ख़ाना
कब सुब्ह-ए-सुख़न होगी कब शाम-ए-नज़र होगी
वाइ'ज़ है न ज़ाहिद है नासेह है न क़ातिल है
अब शहर में यारों की किस तरह बसर होगी
कब तक अभी रह देखें ऐ क़ामत-ए-जानाना
कब हश्र मुअ'य्यन है तुझ को तो ख़बर होगी

kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi : Faiz Ahmad Faiz

kab Thahregā dard ai dil kab raat basar hogī
sunte the vo ā.eñge sunte the sahar hogī
kab jaan lahū hogī kab ashk guhar hogā
kis din tirī shunvā.ī ai dīda-e-tar hogī
kab mahkegī fasl-e-gul kab bahkegā mai-ḳhāna
kab sub.h-e-suḳhan hogī kab shām-e-nazar hogī
vaa.iz hai na zāhid hai nāseh hai na qātil hai
ab shahr meñ yāroñ kī kis tarah basar hogī
kab tak abhī rah dekheñ ai qāmat-e-jānāna
kab hashr muayyan hai tujh ko to ḳhabar hogī
kab Thahrega dard ai dil kab raat basar hogi
sunte the wo aaenge sunte the sahar hogi
kab jaan lahu hogi kab ashk guhar hoga
kis din teri shunwai ai dida-e-tar hogi
kab mahkegi fasl-e-gul kab bahkega mai-KHana
kab subh-e-suKHan hogi kab sham-e-nazar hogi
waiz hai na zahid hai naseh hai na qatil hai
ab shahr mein yaron ki kis tarah basar hogi
kab tak abhi rah dekhen ai qamat-e-jaanana
kab hashr muayyan hai tujh ko to KHabar hogi

दिल में अब यूँ तिरे भूले हुए ग़म आते हैं : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

दिल में अब यूँ तिरे भूले हुए ग़म आते हैं
जैसे बिछड़े हुए काबे में सनम आते हैं
एक इक कर के हुए जाते हैं तारे रौशन
मेरी मंज़िल की तरफ़ तेरे क़दम आते हैं
रक़्स-ए-मय तेज़ करो साज़ की लय तेज़ करो
सू-ए-मय-ख़ाना सफ़ीरान-ए-हरम आते हैं
कुछ हमीं को नहीं एहसान उठाने का दिमाग़
वो तो जब आते हैं माइल-ब-करम आते हैं
और कुछ देर न गुज़रे शब-ए-फ़ुर्क़त से कहो
दिल भी कम दुखता है वो याद भी कम आते हैं

dil mein ab yun tere bhule hue gham aate hain : Faiz Ahmad Faiz

dil meñ ab yuuñ tire bhūle hue ġham aate haiñ
jaise bichhḌe hue kaabe meñ sanam aate haiñ
ek ik kar ke hue jaate haiñ taare raushan
merī manzil kī taraf tere qadam aate haiñ
raqs-e-mai tez karo saaz kī lai tez karo
sū-e-mai-ḳhāna safīrān-e-haram aate haiñ
kuchh hamīñ ko nahīñ ehsān uThāne kā dimāġh
vo to jab aate haiñ mā.il-ba-karam aate haiñ
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhī kam dukhtā hai vo yaad bhī kam aate haiñ
dil mein ab yun tere bhule hue gham aate hain
jaise bichhDe hue kabe mein sanam aate hain
ek ek kar ke hue jate hain tare raushan
meri manzil ki taraf tere qadam aate hain
raqs-e-mai tez karo saz ki lai tez karo
su-e-mai-KHana safiran-e-haram aate hain
kuchh hamin ko nahin ehsan uThane ka dimagh
wo to jab aate hain mail-ba-karam aate hain
aur kuchh der na guzre shab-e-furqat se kaho
dil bhi kam dukhta hai wo yaad bhi kam aate hain

तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

तुम्हारी याद के जब ज़ख़्म भरने लगते हैं
किसी बहाने तुम्हें याद करने लगते हैं
हदीस-ए-यार के उनवाँ निखरने लगते हैं
तो हर हरीम में गेसू सँवरने लगते हैं
हर अजनबी हमें महरम दिखाई देता है
जो अब भी तेरी गली से गुज़रने लगते हैं
सबा से करते हैं ग़ुर्बत-नसीब ज़िक्र-ए-वतन
तो चश्म-ए-सुब्ह में आँसू उभरने लगते हैं
वो जब भी करते हैं इस नुत्क़ ओ लब की बख़िया-गरी
फ़ज़ा में और भी नग़्मे बिखरने लगते हैं
दर-ए-क़फ़स पे अँधेरे की मोहर लगती है
तो 'फ़ैज़' दिल में सितारे उतरने लगते हैं

tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain : Faiz Ahmad Faiz

tumhārī yaad ke jab zaḳhm bharne lagte haiñ
kisī bahāne tumheñ yaad karne lagte haiñ
hadīs-e-yār ke unvāñ nikharne lagte haiñ
to har harīm meñ gesū sañvarne lagte haiñ
har ajnabī hameñ mahram dikhā.ī detā hai
jo ab bhī terī galī se guzarne lagte haiñ
sabā se karte haiñ ġhurbat-nasīb zikr-e-vatan
to chashm-e-sub.h meñ aañsū ubharne lagte haiñ
vo jab bhī karte haiñ is nutq o lab kī baḳhiya-garī
fazā meñ aur bhī naġhme bikharne lagte haiñ
dar-e-qafas pe añdhere kī mohr lagtī hai
to 'faiz' dil meñ sitāre utarne lagte haiñ
tumhaari yaad ke jab zaKHm bharne lagte hain
kisi bahane tumhein yaad karne lagte hain
hadis-e-yar ke unwan nikharne lagte hain
to har harim mein gesu sanwarne lagte hain
har ajnabi hamein mahram dikhai deta hai
jo ab bhi teri gali se guzarne lagte hain
saba se karte hain ghurbat-nasib zikr-e-watan
to chashm-e-subh mein aansu ubharne lagte hain
wo jab bhi karte hain is nutq o lab ki baKHiya-gari
faza mein aur bhi naghme bikharne lagte hain
dar-e-qafas pe andhere ki mohr lagti hai
to 'faiz' dil mein sitare utarne lagte hain

नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

नसीब आज़माने के दिन आ रहे हैं
क़रीब उन के आने के दिन आ रहे हैं
जो दिल से कहा है जो दिल से सुना है
सब उन को सुनाने के दिन आ रहे हैं
अभी से दिल ओ जाँ सर-ए-राह रख दो
कि लुटने लुटाने के दिन आ रहे हैं
टपकने लगी उन निगाहों से मस्ती
निगाहें चुराने के दिन आ रहे हैं
सबा फिर हमें पूछती फिर रही है
चमन को सजाने के दिन आ रहे हैं
चलो 'फ़ैज़' फिर से कहीं दिल लगाएँ
सुना है ठिकाने के दिन आ रहे हैं

nasib aazmane ke din aa rahe hain : Faiz Ahmad Faiz

nasīb āzmāne ke din aa rahe haiñ
qarīb un ke aane ke din aa rahe haiñ
jo dil se kahā hai jo dil se sunā hai
sab un ko sunāne ke din aa rahe haiñ
abhī se dil o jaañ sar-e-rāh rakh do
ki luTne luTāne ke din aa rahe haiñ
Tapakne lagī un nigāhoñ se mastī
nigāheñ churāne ke din aa rahe haiñ
sabā phir hameñ pūchhtī phir rahī hai
chaman ko sajāne ke din aa rahe haiñ
chalo 'faiz' phir se kahīñ dil lagā.eñ
sunā hai Thikāne ke din aa rahe haiñ
nasib aazmane ke din aa rahe hain
qarib un ke aane ke din aa rahe hain
jo dil se kaha hai jo dil se suna hai
sab un ko sunane ke din aa rahe hain
abhi se dil o jaan sar-e-rah rakh do
ki luTne luTane ke din aa rahe hain
Tapakne lagi un nigahon se masti
nigahen churane ke din aa rahe hain
saba phir hamein puchhti phir rahi hai
chaman ko sajaane ke din aa rahe hain
chalo 'faiz' phir se kahin dil lagaen
suna hai Thikane ke din aa rahe hain

बात बस से निकल चली है : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

बात बस से निकल चली है
दिल की हालत सँभल चली है
अब जुनूँ हद से बढ़ चला है
अब तबीअ'त बहल चली है
अश्क ख़ूनाब हो चले हैं
ग़म की रंगत बदल चली है
या यूँही बुझ रही हैं शमएँ
या शब-ए-हिज्र टल चली है
लाख पैग़ाम हो गए हैं
जब सबा एक पल चली है
जाओ अब सो रहो सितारो
दर्द की रात ढल चली है

baat bas se nikal chali hai : Faiz Ahmad Faiz

baat bas se nikal chalī hai
dil kī hālat sambhal chalī hai
ab junūñ had se baḌh chalā hai
ab tabī.at bahal chalī hai
ashk ḳhūnāb ho chale haiñ
ġham kī rañgat badal chalī hai
yā yūñhī bujh rahī haiñ sham.eñ
yā shab-e-hijr Tal chalī hai
laakh paiġhām ho ga.e haiñ
jab sabā ek pal chalī hai
jaao ab so raho sitāro
dard kī raat Dhal chalī hai
baat bas se nikal chali hai
dil ki haalat sambhal chali hai
ab junun had se baDh chala hai
ab tabiat bahal chali hai
ashk KHunab ho chale hain
gham ki rangat badal chali hai
ya yunhi bujh rahi hain shamen
ya shab-e-hijr Tal chali hai
lakh paigham ho gae hain
jab saba ek pal chali hai
jao ab so raho sitaro
dard ki raat Dhal chali hai

कब तक दिल की ख़ैर मनाएँ कब तक रह दिखलाओगे : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

कब तक दिल की ख़ैर मनाएँ कब तक रह दिखलाओगे
कब तक चैन की मोहलत दोगे कब तक याद न आओगे
बीता दीद उम्मीद का मौसम ख़ाक उड़ती है आँखों में
कब भेजोगे दर्द का बादल कब बरखा बरसाओगे
अहद-ए-वफ़ा या तर्क-ए-मोहब्बत जो चाहो सो आप करो
अपने बस की बात ही क्या है हम से क्या मनवाओगे
किस ने वस्ल का सूरज देखा किस पर हिज्र की रात ढली
गेसुओं वाले कौन थे क्या थे उन को क्या जतलाओगे
'फ़ैज़' दिलों के भाग में है घर भरना भी लुट जाना भी
तुम इस हुस्न के लुत्फ़-ओ-करम पर कितने दिन इतराओगे

kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge : Faiz Ahmad Faiz

kab tak dil kī ḳhair manā.eñ kab tak rah dikhlāoge
kab tak chain kī mohlat doge kab tak yaad na aaoge
biitā diid ummīd kā mausam ḳhaak uḌtī hai āñkhoñ meñ
kab bhejoge dard kā bādal kab barkhā barsāoge
ahd-e-vafā yā tark-e-mohabbat jo chāho so aap karo
apne bas kī baat hī kyā hai ham se kyā manvāoge
kis ne vasl kā sūraj dekhā kis par hijr kī raat Dhalī
gesuoñ vaale kaun the kyā the un ko kyā jatlāoge
'faiz' diloñ ke bhaag meñ hai ghar bharnā bhī luT jaanā bhī
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itrāoge
kab tak dil ki KHair manaen kab tak rah dikhlaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge
bita did ummid ka mausam KHak uDti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaoge
ahd-e-wafa ya tark-e-mohabbat jo chaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai hum se kya manwaoge
kis ne wasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat Dhali
gesuon wale kaun the kya the un ko kya jatlaoge
'faiz' dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi luT jaana bhi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraoge

हम ने सब शेर में सँवारे थे : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

हम ने सब शेर में सँवारे थे
हम से जितने सुख़न तुम्हारे थे
रंग-ओ-ख़ुशबू के हुस्न-ओ-ख़ूबी के
तुम से थे जितने इस्तिआरे थे
तेरे क़ौल-ओ-क़रार से पहले
अपने कुछ और भी सहारे थे
जब वो लाल-ओ-गुहर हिसाब किए
जो तिरे ग़म ने दिल पे वारे थे
मेरे दामन में आ गिरे सारे
जितने तश्त-ए-फ़लक में तारे थे
उम्र-ए-जावेद की दुआ करते
'फ़ैज़' इतने वो कब हमारे थे

humne sab sher mein sanware the : Faiz Ahmad Faiz

ham ne sab sher meñ sañvāre the
ham se jitne suḳhan tumhāre the
rañg-o-ḳhushbū ke husn-o-ḳhūbī ke
tum se the jitne isti.āre the
tere qaul-o-qarār se pahle
apne kuchh aur bhī sahāre the
jab vo la.al-o-gohar hisāb kiye
jo tire ġham ne dil pe vaare the
mere dāman meñ aa gire saare
jitne tasht-e-falak meñ taare the
umr-e-jāved kī duā karte
'faiz' itne vo kab hamāre the
hum ne sab sher mein sanware the
hum se jitne suKHan tumhaare the
rang-o-KHushbu ke husn-o-KHubi ke
tum se the jitne istiare the
tere qaul-o-qarar se pahle
apne kuchh aur bhi sahaare the
jab wo lal-o-gohar hisab kiye
jo tere gham ne dil pe ware the
mere daman mein aa gire sare
jitne tasht-e-falak mein tare the
umr-e-jawed ki dua karte
'faiz' itne wo kab hamare the

तिरी उमीद तिरा इंतिज़ार जब से है : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

तिरी उमीद तिरा इंतिज़ार जब से है
न शब को दिन से शिकायत न दिन को शब से है
किसी का दर्द हो करते हैं तेरे नाम रक़म
गिला है जो भी किसी से तिरे सबब से है
हुआ है जब से दिल-ए-ना-सुबूर बे-क़ाबू
कलाम तुझ से नज़र को बड़े अदब से है
अगर शरर है तो भड़के जो फूल है तो खिले
तरह तरह की तलब तेरे रंग-ए-लब से है
कहाँ गए शब-ए-फ़ुर्क़त के जागने वाले
सितारा-ए-सहरी हम-कलाम कब से है

teri umid tera intizar jab se hai : Faiz Ahmad Faiz

tirī umiid tirā intizār jab se hai
na shab ko din se shikāyat na din ko shab se hai
kisī kā dard ho karte haiñ tere naam raqam
gila hai jo bhī kisī se tire sabab se hai
huā hai jab se dil-e-nā-subūr be-qābū
kalām tujh se nazar ko baḌe adab se hai
agar sharar hai to bhaḌke jo phuul hai to khile
tarah tarah kī talab tere rañg-e-lab se hai
kahāñ ga.e shab-e-furqat ke jāgne vaale
sitāra-e-saharī ham-kalām kab se hai
teri umid tera intizar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai
kisi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se tere sabab se hai
hua hai jab se dil-e-na-subur be-qabu
kalam tujh se nazar ko baDe adab se hai
agar sharar hai to bhaDke jo phul hai to khile
tarah tarah ki talab tere rang-e-lab se hai
kahan gae shab-e-furqat ke jagne wale
sitara-e-sahari ham-kalam kab se hai

रंग पैराहन का ख़ुशबू ज़ुल्फ़ लहराने का नाम : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

रंग पैराहन का ख़ुशबू ज़ुल्फ़ लहराने का नाम
मौसम-ए-गुल है तुम्हारे बाम पर आने का नाम
दोस्तो उस चश्म ओ लब की कुछ कहो जिस के बग़ैर
गुलसिताँ की बात रंगीं है न मय-ख़ाने का नाम
फिर नज़र में फूल महके दिल में फिर शमएँ जलीं
फिर तसव्वुर ने लिया उस बज़्म में जाने का नाम
दिलबरी ठहरा ज़बान-ए-ख़ल्क़ खुलवाने का नाम
अब नहीं लेते परी-रू ज़ुल्फ़ बिखराने का नाम
अब किसी लैला को भी इक़रार-ए-महबूबी नहीं
इन दिनों बदनाम है हर एक दीवाने का नाम
मोहतसिब की ख़ैर ऊँचा है उसी के फ़ैज़ से
रिंद का साक़ी का मय का ख़ुम का पैमाने का नाम
हम से कहते हैं चमन वाले ग़रीबान-ए-चमन
तुम कोई अच्छा सा रख लो अपने वीराने का नाम
'फ़ैज़' उन को है तक़ाज़ा-ए-वफ़ा हम से जिन्हें
आश्ना के नाम से प्यारा है बेगाने का नाम

rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam : Faiz Ahmad Faiz

rañg pairāhan kā ḳhushbū zulf lahrāne kā naam
mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane kā naam
dosto us chashm o lab kī kuchh kaho jis ke baġhair
gulsitāñ kī baat rañgīñ hai na mai-ḳhāne kā naam
phir nazar meñ phuul mahke dil meñ phir sham.eñ jalīñ
phir tasavvur ne liyā us bazm meñ jaane kā naam
dilbarī Thahrā zabān-e-ḳhalq khulvāne kā naam
ab nahīñ lete parī-rū zulf bikhrāne kā naam
ab kisī lailā ko bhī iqrār-e-mahbūbī nahīñ
in dinoñ badnām hai har ek dīvāne kā naam
mohtasib kī ḳhair ūñchā hai usī ke faiz se
rind kā saaqī kā mai kā ḳhum kā paimāne kā naam
ham se kahte haiñ chaman vaale ġharībān-e-chaman
tum koī achchhā sā rakh lo apne vīrāne kā naam
'faiz' un ko hai taqāzā-e-vafā ham se jinheñ
āshnā ke naam se pyārā hai begāne kā naam
rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam
dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-KHane ka nam
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
dilbari Thahra zaban-e-KHalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam
ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam
mohtasib ki KHair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka KHum ka paimane ka nam
hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam
'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam

आज यूँ मौज-दर-मौज ग़म थम गया इस तरह ग़म-ज़दों को क़रार आ गया : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

आज यूँ मौज-दर-मौज ग़म थम गया इस तरह ग़म-ज़दों को क़रार आ गया
जैसे ख़ुश-बू-ए-ज़ुल्फ़-ए-बहार आ गई जैसे पैग़ाम-ए-दीदार-ए-यार आ गया
जिस की दीद-ओ-तलब वहम समझे थे हम रू-ब-रू फिर सर-ए-रहगुज़ार आ गया
सुब्ह-ए-फ़र्दा को फिर दिल तरसने लगा उम्र-ए-रफ़्ता तिरा ए'तिबार आ गया
रुत बदलने लगी रंग-ए-दिल देखना रंग-ए-गुलशन से अब हाल खुलता नहीं
ज़ख़्म छलका कोई या कोई गुल खिला अश्क उमडे कि अब्र-ए-बहार आ गया
ख़ून-ए-उश्शाक़ से जाम भरने लगे दिल सुलगने लगे दाग़ जलने लगे
महफ़िल-ए-दर्द फिर रंग पर आ गई फिर शब-ए-आरज़ू पर निखार आ गया
सरफ़रोशी के अंदाज़ बदले गए दावत-ए-क़त्ल पर मक़्तल-ए-शहर में
डाल कर कोई गर्दन में तौक़ आ गया लाद कर कोई काँधे पे दार आ गया
'फ़ैज़' क्या जानिए यार किस आस पर मुंतज़िर हैं कि लाएगा कोई ख़बर
मय-कशों पर हुआ मोहतसिब मेहरबाँ दिल-फ़िगारों पे क़ातिल को प्यार आ गया

aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya : Faiz Ahmad Faiz

aaj yuuñ mauj-dar-mauj ġham tham gayā is tarah ġham-zadoñ ko qarār aa gayā
jaise ḳhush-bū-e-zulf-e-bahār aa ga.ī jaise paiġhām-e-dīdār-e-yār aa gayā
jis kī dīd-o-talab vahm samjhe the ham rū-ba-rū phir sar-e-rahguzār aa gayā
sub.h-e-fardā ko phir dil tarasne lagā umr-e-rafta tirā e'tibār aa gayā
rut badalne lagī rañg-e-dil dekhnā rañg-e-gulshan se ab haal khultā nahīñ
zaḳhm chhalkā koī yā koī gul khilā ashk umDe ki abr-e-bahār aa gayā
ḳhūn-e-ushshāq se jaam bharne lage dil sulagne lage daaġh jalne lage
mahfil-e-dard phir rañg par aa ga.ī phir shab-e-ārzū par nikhār aa gayā
sarfaroshī ke andāz badle ga.e dāvat-e-qatl par maqtal-e-shahr meñ
Daal kar koī gardan meñ tauq aa gayā laad kar koī kāñdhe pe daar aa gayā
'faiz' kyā jāniye yaar kis aas par muntazir haiñ ki lā.egā koī ḳhabar
mai-kashoñ par huā mohtasib mehrbāñ dil-figāroñ pe qātil ko pyaar aa gayā
aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya
jaise KHush-bu-e-zulf-e-bahaar aa gai jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya
jis ki did-o-talab wahm samjhe the hum ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya
subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera e'tibar aa gaya
rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin
zaKHm chhalka koi ya koi gul khila ashk umDe ki abr-e-bahaar aa gaya
KHun-e-ushshaq se jam bharne lage dil sulagne lage dagh jalne lage
mahfil-e-dard phir rang par aa gai phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya
sarfaroshi ke andaz badle gae dawat-e-qatl par maqtal-e-shahr mein
Dal kar koi gardan mein tauq aa gaya lad kar koi kandhe pe dar aa gaya
'faiz' kya jaaniye yar kis aas par muntazir hain ki laega koi KHabar
mai-kashon par hua mohtasib mehrban dil-figaron pe qatil ko pyar aa gaya

वो बुतों ने डाले हैं वसवसे कि दिलों से ख़ौफ़-ए-ख़ुदा गया : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

वो बुतों ने डाले हैं वसवसे कि दिलों से ख़ौफ़-ए-ख़ुदा गया
वो पड़ी हैं रोज़ क़यामतें कि ख़याल-ए-रोज़-ए-जज़ा गया
जो नफ़स था ख़ार-ए-गुलू बना जो उठे थे हाथ लहू हुए
वो नशात-ए-आह-ए-सहर गई वो वक़ार-ए-दस्त-ए-दुआ गया
न वो रंग फ़स्ल-ए-बहार का न रविश वो अब्र-ए-बहार की
जिस अदा से यार थे आश्ना वो मिज़ाज-ए-बाद-ए-सबा गया
जो तलब पे अहद-ए-वफ़ा किया तो वो आबरू-ए-वफ़ा गई
सर-ए-आम जब हुए मुद्दई' तो सवाब-ए-सिदक़-ओ-सफ़ा गया
अभी बादबान को तह रखो अभी मुज़्तरिब है रुख़-ए-हवा
किसी रास्ते में है मुंतज़िर वो सुकूँ जो आ के चला गया

wo buton ne Dale hain waswase ki dilon se KHauf-e-KHuda gaya : Faiz Ahmad Faiz

vo butoñ ne Daale haiñ vasvase ki diloñ se ḳhauf-e-ḳhudā gayā
vo paḌī haiñ roz qayāmateñ ki ḳhayāl-e-roz-e-jazā gayā
jo nafas thā ḳhār-e-gulū banā jo uThe the haath lahū hue
vo nashāt-e-āh-e-sahr ga.ī vo vaqār-e-dast-e-duā gayā
na vo rañg fasl-e-bahār kā na ravish vo abr-e-bahār kī
jis adā se yaar the āshnā vo mizāj-e-bād-e-sabā gayā
jo talab pe ahd-e-vafā kiyā to vo ābrū-e-vafā ga.ī
sar-e-ām jab hue mudda.ī to savāb-e-sidq-o-safā gayā
abhī bādbān ko tah rakho abhī muztarib hai ruḳh-e-havā
kisī rāste meñ hai muntazir vo sukūñ jo aa ke chalā gayā
wo buton ne Dale hain waswase ki dilon se KHauf-e-KHuda gaya
wo paDi hain roz qayamaten ki KHayal-e-roz-e-jaza gaya
jo nafas tha KHar-e-gulu bana jo uThe the hath lahu hue
wo nashat-e-ah-e-sahr gai wo waqar-e-dast-e-dua gaya
na wo rang fasl-e-bahaar ka na rawish wo abr-e-bahaar ki
jis ada se yar the aashna wo mizaj-e-baad-e-saba gaya
jo talab pe ahd-e-wafa kiya to wo aabru-e-wafa gai
sar-e-am jab hue muddai to sawab-e-sidq-o-safa gaya
abhi baadban ko tah rakho abhi muztarib hai ruKH-e-hawa
kisi raste mein hai muntazir wo sukun jo aa ke chala gaya

हर हक़ीक़त मजाज़ हो जाए : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

हर हक़ीक़त मजाज़ हो जाए
काफ़िरों की नमाज़ हो जाए
दिल रहीन-ए-नियाज़ हो जाए
बेकसी कारसाज़ हो जाए
मिन्नत-ए-चारा-साज़ कौन करे
दर्द जब जाँ-नवाज़ हो जाए
इश्क़ दिल में रहे तो रुस्वा हो
लब पे आए तो राज़ हो जाए
लुत्फ़ का इंतिज़ार करता हूँ
जौर ता हद्द-ए-नाज़ हो जाए
उम्र बे-सूद कट रही है 'फ़ैज़'
काश इफ़शा-ए-राज़ हो जाए

har haqiqat majaz ho jae : Faiz Ahmad Faiz

har haqīqat majāz ho jaa.e
kāfiroñ kī namāz ho jaa.e
dil rahīn-e-niyāz ho jaa.e
bekasī kārsāz ho jaa.e
minnat-e-chāra-sāz kaun kare
dard jab jāñ-navāz ho jaa.e
ishq dil meñ rahe to rusvā ho
lab pe aa.e to raaz ho jaa.e
lutf kā intizār kartā huuñ
jaur tā hadd-e-nāz ho jaa.e
umr be-sūd kaT rahī hai 'faiz'
kaash ifshā-e-rāz ho jaa.e
har haqiqat majaz ho jae
kafiron ki namaz ho jae
dil rahin-e-niyaz ho jae
bekasi karsaz ho jae
minnat-e-chaara-saz kaun kare
dard jab jaan-nawaz ho jae
ishq dil mein rahe to ruswa ho
lab pe aae to raaz ho jae
lutf ka intizar karta hun
jaur ta hadd-e-naz ho jae
umr be-sud kaT rahi hai 'faiz'
kash ifsha-e-raaz ho jae

वफ़ा-ए-वादा नहीं वादा-ए-दिगर भी नहीं : फ़ैज़ अहमद फ़ैज़

वफ़ा-ए-वादा नहीं वादा-ए-दिगर भी नहीं
वो मुझ से रूठे तो थे लेकिन इस क़दर भी नहीं
बरस रही है हरीम-ए-हवस में दौलत-ए-हुस्न
गदा-ए-इश्क़ के कासे में इक नज़र भी नहीं
न जाने किस लिए उम्मीद-वार बैठा हूँ
इक ऐसी राह पे जो तेरी रहगुज़र भी नहीं
निगाह-ए-शौक़ सर-ए-बज़्म बे-हिजाब न हो
वो बे-ख़बर ही सही इतने बे-ख़बर भी नहीं
ये अहद-ए-तर्क-ए-मोहब्बत है किस लिए आख़िर
सुकून-ए-क़ल्ब उधर भी नहीं इधर भी नहीं

wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin : Faiz Ahmad Faiz

vafā-e-vāda nahīñ vāda-e-digar bhī nahīñ
vo mujh se rūThe to the lekin is qadar bhī nahīñ
baras rahī hai harīm-e-havas meñ daulat-e-husn
gadā-e-ishq ke kaase meñ ik nazar bhī nahīñ
na jaane kis liye ummīd-vār baiThā huuñ
ik aisī raah pe jo terī rahguzar bhī nahīñ
nigāh-e-shauq sar-e-bazm be-hijāb na ho
vo be-ḳhabar hī sahī itne be-ḳhabar bhī nahīñ
ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye āḳhir
sukūn-e-qalb udhar bhī nahīñ idhar bhī nahīñ
wafa-e-wada nahin wada-e-digar bhi nahin
wo mujh se ruThe to the lekin is qadar bhi nahin
baras rahi hai harim-e-hawas mein daulat-e-husn
gada-e-ishq ke kase mein ek nazar bhi nahin
na jaane kis liye ummid-war baiTha hun
ek aisi rah pe jo teri rahguzar bhi nahin
nigah-e-shauq sar-e-bazm be-hijab na ho
wo be-KHabar hi sahi itne be-KHabar bhi nahin
ye ahd-e-tark-e-mohabbat hai kis liye aaKHir
sukun-e-qalb udhar bhi nahin idhar bhi nahin

कुंवर बेचैन की गज़लें : Kunwar Bechain Ghazal


हो के मायूस न यूँ शाम से ढलते रहिए : कुंवर बेचैन

हो के मायूस न यूँ शाम से ढलते रहिए
ज़िंदगी भोर है सूरज से निकलते रहिए
एक ही ठाँव पे ठहरेंगे तो थक जाएँगे
धीरे धीरे ही सही राह पे चलते रहिए
आप को ऊँचे जो उठना है तो आँसू की तरह
दिल से आँखों की तरफ़ हँस के उछलते रहिए
शाम को गिरता है तो सुब्ह सँभल जाता है
आप सूरज की तरह गिर के सँभलते रहिए
प्यार से अच्छा नहीं कोई भी साँचा ऐ 'कुँवर'
मोम बन के इसी साँचे में पिघलते रहिए

ho ke mayus na yun sham se Dhalte rahiye : Kunwar Bechain

ho ke māyūs na yuuñ shaam se Dhalte rahiye
zindagī bhor hai sūraj se nikalte rahiye
ek hī Thāoñ pe Thahreñge to thak jā.eñge
dhīre dhīre hī sahī raah pe chalte rahiye
aap ko ūñche jo uThnā hai to aañsū kī tarah
dil se āñkhoñ kī taraf hañs ke uchhalte rahiye
shaam ko girtā hai to sub.h sambhal jaatā hai
aap sūraj kī tarah gir ke sambhalte rahiye
pyaar se achchhā nahīñ koī bhī sāñcha ai 'kuñvar'
mom ban ke isī sāñche meñ pighalte rahiye
ho ke mayus na yun sham se Dhalte rahiye
zindagi bhor hai suraj se nikalte rahiye
ek hi Thaon pe Thahrenge to thak jaenge
dhire dhire hi sahi rah pe chalte rahiye
aap ko unche jo uThna hai to aansu ki tarah
dil se aankhon ki taraf hans ke uchhalte rahiye
sham ko girta hai to subh sambhal jata hai
aap suraj ki tarah gir ke sambhalte rahiye
pyar se achchha nahin koi bhi sancha ai 'kunwar'
mom ban ke isi sanche mein pighalte rahiye

कोई रस्ता है न मंज़िल न तो घर है कोई : कुंवर बेचैन

कोई रस्ता है न मंज़िल न तो घर है कोई
आप कहियेगा सफ़र ये भी सफ़र है कोई
पास-बुक पर तो नज़र है कि कहाँ रक्खी है
प्यार के ख़त का पता है न ख़बर है कोई
ठोकरें दे के तुझे उस ने तो समझाया बहुत
एक ठोकर का भी क्या तुझ पे असर है कोई
रात-दिन अपने इशारों पे नचाता है मुझे
मैं ने देखा तो नहीं मुझ में मगर है कोई
एक भी दिल में न उतरी, न कोई दोस्त बना
यार तू ये तो बता ये भी नज़र है कोई
प्यार से हाथ मिलाने से ही पुल बनते हैं
काट दो, काट दो गर दिल में भँवर है कोई
मौत दीवार है, दीवार के उस पार से अब
मुझ को रह रह के बुलाता है उधर है कोई
सारी दुनिया में लुटाता ही रहा प्यार अपना
कौन है, सुनते हैं, 'बेचैन-कुँवर' है कोई

koi rasta hai na manzil na to ghar hai koi : Kunwar Bechain

koī rasta hai na manzil na to ghar hai koī
aap kahiyegā safar ye bhī safar hai koī
pass-bōk par to nazar hai ki kahāñ rakkhī hai
pyaar ke ḳhat kā pata hai na ḳhabar hai koī
Thokareñ de ke tujhe us ne to samjhāyā bahut
ek Thokar kā bhī kyā tujh pe asar hai koī
rāt-din apne ishāroñ pe nachātā hai mujhe
maiñ ne dekhā to nahīñ mujh meñ magar hai koī
ek bhī dil meñ na utrī, na koī dost banā
yaar tū ye to batā ye bhī nazar hai koī
pyaar se haath milāne se hī pul bante haiñ
kaaT do, kaaT do gar dil meñ bhañvar hai koī
maut dīvār hai, dīvār ke us paar se ab
mujh ko rah rah ke bulātā hai udhar hai koī
saarī duniyā meñ luTātā hī rahā pyaar apnā
kaun hai, sunet haiñ, 'bechain-kuñvar' hai koī
koi rasta hai na manzil na to ghar hai koi
aap kahiyega safar ye bhi safar hai koi
pass-book par to nazar hai ki kahan rakkhi hai
pyar ke KHat ka pata hai na KHabar hai koi
Thokaren de ke tujhe us ne to samjhaya bahut
ek Thokar ka bhi kya tujh pe asar hai koi
raat-din apne ishaaron pe nachata hai mujhe
main ne dekha to nahin mujh mein magar hai koi
ek bhi dil mein na utri, na koi dost bana
yar tu ye to bata ye bhi nazar hai koi
pyar se hath milane se hi pul bante hain
kaT do, kaT do gar dil mein bhanwar hai koi
maut diwar hai, diwar ke us par se ab
mujh ko rah rah ke bulata hai udhar hai koi
sari duniya mein luTata hi raha pyar apna
kaun hai, sunet hain, 'bechain-kunwar' hai koi

उँगलियाँ थाम के ख़ुद चलना सिखाया था जिसे : कुंवर बेचैन

उँगलियाँ थाम के ख़ुद चलना सिखाया था जिसे
राह में छोड़ गया राह पे लाया था जिसे
उस ने पोंछे ही नहीं अश्क मिरी आँखों से
मैं ने ख़ुद रो के बहुत देर हँसाया था जिसे
छू के होंठों को मिरे मुझ से बहुत दूर गई
वो ग़ज़ल मैं ने बड़े शौक़ से गाया था जिसे
मुझ से नाराज़ है इक शख़्स का नक़ली चेहरा
धूप में आइना इक रोज़ दिखाया था जिसे
अब बड़ा हो के मिरे सर पे चढ़ा आता है
अपने काँधे पे 'कुँवर' हँस के बिठाया था जिसे

ungliyan tham ke KHud chalna sikhaya tha jise : Kunwar Bechain

uñgliyāñ thaam ke ḳhud chalnā sikhāyā thā jise
raah meñ chhoḌ gayā raah pe laayā thā jise
us ne poñchhe hī nahīñ ashk mirī āñkhoñ se
maiñ ne ḳhud ro ke bahut der hañsāyā thā jise
chhū ke hoñThoñ ko mire mujh se bahut duur ga.ī
vo ġhazal maiñ ne baḌe shauq se gaayā thā jise
mujh se nārāz hai ik shaḳhs kā naqlī chehra
dhuup meñ aa.ina ik roz dikhāyā thā jise
ab baḌā ho ke mire sar pe chaḌhā aatā hai
apne kāñdhe pe 'kuñvar' hañs ke biThāyā thā jise
ungliyan tham ke KHud chalna sikhaya tha jise
rah mein chhoD gaya rah pe laya tha jise
us ne ponchhe hi nahin ashk meri aankhon se
main ne KHud ro ke bahut der hansaya tha jise
chhu ke honThon ko mere mujh se bahut dur gai
wo ghazal main ne baDe shauq se gaya tha jise
mujh se naraaz hai ek shaKHs ka naqli chehra
dhup mein aaina ek roz dikhaya tha jise
ab baDa ho ke mere sar pe chaDha aata hai
apne kandhe pe 'kunwar' hans ke biThaya tha jise

चोटों पे चोट देते ही जाने का शुक्रिया : कुंवर बेचैन

चोटों पे चोट देते ही जाने का शुक्रिया
पत्थर को बुत की शक्ल में लाने का शुक्रिया
जागा रहा तो मैं ने नए काम कर लिए
ऐ नींद आज तेरे न आने का शुक्रिया
सूखा पुराना ज़ख़्म नए को जगह मिली
स्वागत नए का और पुराने का शुक्रिया
आतीं न तुम तो क्यूँ मैं बनाता ये सीढ़ियाँ
दीवारो मेरी राह में आने का शुक्रिया
आँसू सा माँ की गोद में आ कर सिमट गया
नज़रों से अपनी मुझ को गिराने का शुक्रिया
अब ये हुआ कि दुनिया ही लगती है मुझ को घर
यूँ मेरे घर में आग लगाने का शुक्रिया
ग़म मिलते हैं तो और निखरती है शायरी
ये बात है तो सारे ज़माने का शुक्रिया
अब मुझ को आ गए हैं मनाने के सब हुनर
यूँ मुझ 'कुँवर' से रूठ के जाने का शुक्रिया

choTon pe choT dete hi jaane ka shukriya : Kunwar Bechain

choToñ pe choT dete hī jaane kā shukriya
patthar ko but kī shakl meñ laane kā shukriya
jaagā rahā to maiñ ne na.e kaam kar liye
ai niiñd aaj tere na aane kā shukriya
sūkhā purānā zaḳhm na.e ko jagah milī
svāgat na.e kā aur purāne kā shukriya
ātīñ na tum to kyuuñ maiñ banātā ye sīḌhiyāñ
dīvāro merī raah meñ aane kā shukriya
aañsū sā maañ kī god meñ aa kar simaT gayā
nazroñ se apnī mujh ko girāne kā shukriya
ab ye huā ki duniyā hī lagtī hai mujh ko ghar
yuuñ mere ghar meñ aag lagāne kā shukriya
ġham milte haiñ to aur nikhartī hai shā.erī
ye baat hai to saare zamāne kā shukriya
ab mujh ko aa ga.e haiñ manāne ke sab hunar
yuuñ mujh 'kuñvar' se ruuTh ke jaane kā shukriya
choTon pe choT dete hi jaane ka shukriya
patthar ko but ki shakl mein lane ka shukriya
jaga raha to main ne nae kaam kar liye
ai nind aaj tere na aane ka shukriya
sukha purana zaKHm nae ko jagah mili
swagat nae ka aur purane ka shukriya
aatin na tum to kyun main banata ye siDhiyan
diwaro meri rah mein aane ka shukriya
aansu sa man ki god mein aa kar simaT gaya
nazron se apni mujh ko girane ka shukriya
ab ye hua ki duniya hi lagti hai mujh ko ghar
yun mere ghar mein aag lagane ka shukriya
gham milte hain to aur nikharti hai shaeri
ye baat hai to sare zamane ka shukriya
ab mujh ko aa gae hain manane ke sab hunar
yun mujh 'kunwar' se ruTh ke jaane ka shukriya

ज़िंदगी यूँ भी जली यूँ भी जली मीलों तक : कुंवर बेचैन

ज़िंदगी यूँ भी जली यूँ भी जली मीलों तक
चाँदनी चार क़दम धूप चली मीलों तक
प्यार का गाँव अजब गाँव है जिस में अक्सर
ख़त्म होती ही नहीं दुख की गली मीलों तक
प्यार में कैसी थकन कह के ये घर से निकली
कृष्ण की खोज में वृषभानु-लली मीलों तक
घर से निकला तो चली साथ में बिटिया की हँसी
ख़ुशबुएँ देती रही नन्ही कली मीलों तक
माँ के आँचल से जो लिपटी तो घुमड़ कर बरसी
मेरी पलकों में जो इक पीर पली मीलों तक
मैं हुआ चुप तो कोई और उधर बोल उठा
बात ये है कि तिरी बात चली मीलों तक
हम तुम्हारे हैं 'कुँवर' उस ने कहा था इक दिन
मन में घुलती रही मिस्री की डली मीलों तक

zindagi yun bhi jali yun bhi jali milon tak : Kunwar Bechain

zindagī yuuñ bhī jalī yuuñ bhī jalī mīloñ tak
chāñdnī chaar qadam dhuup chalī mīloñ tak
pyaar kā gaañv ajab gaañv hai jis meñ aksar
ḳhatm hotī hī nahīñ dukh kī galī mīloñ tak
pyaar meñ kaisī thakan kah ke ye ghar se niklī
krishn kī khoj meñ virshbhānu-lalī mīloñ tak
ghar se niklā to chalī saath meñ biTiyā kī hañsī
ḳhushbueñ detī rahī nannhī kalī mīloñ tak
maañ ke āñchal se jo lipTī to ghumaḌ kar barsī
merī palkoñ meñ jo ik piir palī mīloñ tak
maiñ huā chup to koī aur udhar bol uThā
baat ye hai ki tirī baat chalī mīloñ tak
ham tumhāre haiñ 'kuñvar' us ne kahā thā ik din
man meñ ghultī rahī misrī kī Dalī mīloñ tak
zindagi yun bhi jali yun bhi jali milon tak
chandni chaar qadam dhup chali milon tak
pyar ka ganw ajab ganw hai jis mein aksar
KHatm hoti hi nahin dukh ki gali milon tak
pyar mein kaisi thakan kah ke ye ghar se nikli
krishn ki khoj mein wirshbhanu-lali milon tak
ghar se nikla to chali sath mein biTiya ki hansi
KHushbuen deti rahi nannhi kali milon tak
man ke aanchal se jo lipTi to ghumaD kar barsi
meri palkon mein jo ek pir pali milon tak
main hua chup to koi aur udhar bol uTha
baat ye hai ki teri baat chali milon tak
hum tumhaare hain 'kunwar' us ne kaha tha ek din
man mein ghulti rahi misri ki Dali milon tak

साँचे में हम ने और के ढलने नहीं दिया : कुंवर बेचैन

साँचे में हम ने और के ढलने नहीं दिया
दिल मोम का था फिर भी पिघलने नहीं दिया
हाथों की ओट दे के जला लीं हथेलियाँ
ऐ शम्अ' तुझ को हम ने मचलने नहीं दिया
दुनिया ने बहुत चाहा कि दिल जानवर बने
मैं ने ही उस को जिस्म बदलने नहीं दिया
ज़िद ये थी वो जलेगा तुम्हारे ही हाथ से
उस ज़िद ने एक चराग़ को जलने नहीं दिया
चेहरे को आज तक भी तेरा इंतिज़ार है
हम ने गुलाल और को मलने नहीं दिया
बाहर की ठोकरों से तो बच कर निकल गए
पाँव को अपनी मोच ने चलने नहीं दिया

sanche mein humne aur ke Dhalne nahin diya : Kunwar Bechain

sāñche meñ ham ne aur ke Dhalne nahīñ diyā
dil mom kā thā phir bhī pighalne nahīñ diyā
hāthoñ kī oT de ke jalā liiñ hatheliyāñ
ai sham.a tujh ko ham ne machalne nahīñ diyā
duniyā ne bahut chāhā ki dil jānvar bane
maiñ ne hī us ko jism badalne nahīñ diyā
zid ye thī vo jalegā tumhāre hī haath se
us zid ne ek charāġh ko jalne nahīñ diyā
chehre ko aaj tak bhī terā intizār hai
ham ne gulāl aur ko malne nahīñ diyā
bāhar kī Thokaroñ se to bach kar nikal ga.e
paañv ko apnī moch ne chalne nahīñ diyā
sanche mein hum ne aur ke Dhalne nahin diya
dil mom ka tha phir bhi pighalne nahin diya
hathon ki oT de ke jala lin hatheliyan
ai shama tujh ko hum ne machalne nahin diya
duniya ne bahut chaha ki dil jaanwar bane
main ne hi us ko jism badalne nahin diya
zid ye thi wo jalega tumhaare hi hath se
us zid ne ek charagh ko jalne nahin diya
chehre ko aaj tak bhi tera intizar hai
hum ne gulal aur ko malne nahin diya
bahar ki Thokaron se to bach kar nikal gae
panw ko apni moch ne chalne nahin diya

मौत तो आनी है तो फिर मौत का क्यूँ डर रखूँ : कुंवर बेचैन

मौत तो आनी है तो फिर मौत का क्यूँ डर रखूँ
ज़िंदगी आ तेरे क़दमों पर मैं अपना सर रखूँ
जिस में माँ और बाप की सेवा का शुभ संकल्प हो
चाहता हूँ मैं भी काँधे पर वही काँवर रखूँ
हाँ मुझे उड़ना है लेकिन इस का मतलब ये नहीं
अपने सच्चे बाज़ुओं में इस के उस के पर रखूँ
आज कैसे इम्तिहाँ में उस ने डाला है मुझे
हुक्म ये दे कर कि अपना धड़ रखूँ या सर रखूँ
कौन जाने कब बुलावा आए और जाना पड़े
सोचता हूँ हर घड़ी तय्यार अब बिस्तर रखूँ
ऐसा कहना हो गया है मेरी आदत में शुमार
काम वो तो कर लिया है काम ये भी कर रख रखूँ
खेल भी चलता रहे और बात भी होती रहे
तुम सवालों को रखो मैं सामने उत्तर रखूँ

maut to aani hai to phir maut ka kyun Dar rakhun : Kunwar Bechain

maut to aanī hai to phir maut kā kyuuñ Dar rakhūñ
zindagī aa tere qadmoñ par maiñ apnā sar rakhūñ
jis meñ maañ aur baap kī sevā kā shubh sankalp ho
chāhtā huuñ maiñ bhī kāñdhe par vahī kāñvar rakhūñ
haañ mujhe uḌnā hai lekin is kā matlab ye nahīñ
apne sachche bāzuoñ meñ is ke us ke par rakhūñ
aaj kaise imtihāñ meñ us ne Daalā hai mujhe
hukm ye de kar ki apnā dhaḌ rakhūñ yā sar rakhūñ
kaun jaane kab bulāvā aa.e aur jaanā paḌe
sochtā huuñ har ghaḌī tayyār ab bistar rakhūñ
aisā kahnā ho gayā hai merī aadat meñ shumār
kaam vo to kar liyā hai kaam ye bhī kar rakh rakhūñ
khel bhī chaltā rahe aur baat bhī hotī rahe
tum savāloñ ko rakho maiñ sāmne uttar rakhūñ
maut to aani hai to phir maut ka kyun Dar rakhun
zindagi aa tere qadmon par main apna sar rakhun
jis mein man aur bap ki sewa ka shubh sankalp ho
chahta hun main bhi kandhe par wahi kanwar rakhun
han mujhe uDna hai lekin is ka matlab ye nahin
apne sachche bazuon mein is ke us ke par rakhun
aaj kaise imtihan mein us ne Dala hai mujhe
hukm ye de kar ki apna dhaD rakhun ya sar rakhun
kaun jaane kab bulawa aae aur jaana paDe
sochta hun har ghaDi tayyar ab bistar rakhun
aisa kahna ho gaya hai meri aadat mein shumar
kaam wo to kar liya hai kaam ye bhi kar rakh rakhun
khel bhi chalta rahe aur baat bhi hoti rahe
tum sawalon ko rakho main samne uttar rakhun

बड़ा उदास सफ़र है हमारे साथ रहो : कुंवर बेचैन

बड़ा उदास सफ़र है हमारे साथ रहो
बस एक तुम पे नज़र है हमारे साथ रहो
हम आज ऐसे किसी ज़िंदगी के मोड़ पे हैं
न कोई राह न घर है हमारे साथ रहो
तुम्हें ही छाँव समझ कर हम आ गए हैं इधर
तुम्हारी गोद में सर है हमारे साथ रहो
ये नाव दिल की अभी डूब ही न जाए कहीं
हर एक साँस भँवर है हमारे साथ रहो
ज़माना जिस को मोहब्बत का नाम देता रहा
अभी अजानी डगर है हमारे साथ रहो
उधर चराग़ धुएँ में घिरे घिरे हैं 'कुँवर'
इधर ये रात का डर है हमारे साथ रहो

baDa udas safar hai hamare sath raho : Kunwar Bechain

baḌā udaas safar hai hamāre saath raho
bas ek tum pe nazar hai hamāre saath raho
ham aaj aise kisī zindagī ke moḌ pe haiñ
na koī raah na ghar hai hamāre saath raho
tumheñ hī chhāñv samajh kar ham aa ga.e haiñ idhar
tumhārī god meñ sar hai hamāre saath raho
ye naav dil kī abhī Duub hī na jaa.e kahīñ
har ek saañs bhañvar hai hamāre saath raho
zamāna jis ko mohabbat kā naam detā rahā
abhī ajānī Dagar hai hamāre saath raho
udhar charāġh dhueñ meñ ghire ghire haiñ 'kuñvar'
idhar ye raat kā Dar hai hamāre saath raho
baDa udas safar hai hamare sath raho
bas ek tum pe nazar hai hamare sath raho
hum aaj aise kisi zindagi ke moD pe hain
na koi rah na ghar hai hamare sath raho
tumhein hi chhanw samajh kar hum aa gae hain idhar
tumhaari god mein sar hai hamare sath raho
ye naw dil ki abhi Dub hi na jae kahin
har ek sans bhanwar hai hamare sath raho
zamana jis ko mohabbat ka nam deta raha
abhi ajaani Dagar hai hamare sath raho
udhar charagh dhuen mein ghire ghire hain 'kunwar'
idhar ye raat ka Dar hai hamare sath raho

फूल को ख़ार बनाने पे तुली है दुनिया : कुंवर बेचैन

फूल को ख़ार बनाने पे तुली है दुनिया
सब को अँगार बनाने पे तुली है दुनिया
मैं महकती हुई मिट्टी हूँ किसी आँगन की
मुझ को दीवार बनाने पे तुली है दुनिया
हम ने लोहे को गला कर जो खिलौने ढाले
उन को हथियार बनाने पे तुली है दुनिया
जिन पे लफ़्ज़ों की नुमाइश के सिवा कुछ भी नहीं
उन को फ़नकार बनाने पे तुली है दुनिया
नन्हे बच्चों से कुँअर छीन के भूला बचपन
उन को होशियार बनाने पे तुली है दुनिया

phul ko Khaar banane pe tuli hai duniya : Kunwar Bechain

phuul ko ḳhaar banāne pe tulī hai duniyā
sab ko añgār banāne pe tulī hai duniyā
maiñ mahaktī huī miTTī huuñ kisī āñgan kī
mujh ko dīvār banāne pe tulī hai duniyā
ham ne lohe ko galā kar jo khilaune Dhāle
un ko hathiyār banāne pe tulī hai duniyā
jin pe lafzoñ kī numā.ish ke sivā kuchh bhī nahīñ
un ko fankār banāne pe tulī hai duniyā
nanhe bachchoñ se kuñar chhīn ke bhūlā bachpan
un ko hoshiyār banāne pe tulī hai duniyā
phul ko KHar banane pe tuli hai duniya
sab ko angar banane pe tuli hai duniya
main mahakti hui miTTi hun kisi aangan ki
mujh ko diwar banane pe tuli hai duniya
hum ne lohe ko gala kar jo khilaune Dhaale
un ko hathiyar banane pe tuli hai duniya
jin pe lafzon ki numaish ke siwa kuchh bhi nahin
un ko fankar banane pe tuli hai duniya
nanhe bachchon se kunar chhin ke bhula bachpan
un ko hoshiyar banane pe tuli hai duniya

शोर की इस भीड़ में ख़ामोश तन्हाई सी तुम : कुंवर बेचैन

शोर की इस भीड़ में ख़ामोश तन्हाई सी तुम
ज़िंदगी है धूप, तो मद-मस्त पुर्वाई सी तुम
आज मैं बारिश में जब भीगा तो तुम ज़ाहिर हुईं
जाने कब से रह रही थीं मुझ में अंगड़ाई सी तुम
चाहे महफ़िल में रहूँ चाहे अकेले में रहूँ
गूँजती रहती हो मुझ में शोख़ शहनाई सी तुम
लाओ वो तस्वीर जिस में प्यार से बैठे हैं हम
मैं हूँ कुछ सहमा हुआ सा, और शरमाई सी तुम
मैं अगर मोती नहीं बनता तो क्या बनता 'कुँवर'
हो मिरे चारों तरफ़ सागर की गहराई सी तुम

shor ki is bhiD mein KHamosh tanhai si tum : Kunwar Bechain

shor kī is bhiiḌ meñ ḳhāmosh tanhā.ī sī tum
zindagī hai dhūp, to mad-mast purvā.ī sī tum
aaj maiñ bārish meñ jab bhīgā to tum zāhir huiiñ
jaane kab se rah rahī thiiñ mujh meñ añgḌā.ī sī tum
chāhe mahfil meñ rahūñ chāhe akele meñ rahūñ
gūñjtī rahtī ho mujh meñ shoḳh shahnā.ī sī tum
laao vo tasvīr jis meñ pyaar se baiThe haiñ ham
maiñ huuñ kuchh sahmā huā saa, aur sharmā.ī sī tum
maiñ agar motī nahīñ bantā to kyā bantā 'kuñvar'
ho mire chāroñ taraf sāgar kī gahrā.ī sī tum
shor ki is bhiD mein KHamosh tanhai si tum
zindagi hai dhup, to mad-mast purwai si tum
aaj main barish mein jab bhiga to tum zahir huin
jaane kab se rah rahi thin mujh mein angDai si tum
chahe mahfil mein rahun chahe akele mein rahun
gunjti rahti ho mujh mein shoKH shahnai si tum
lao wo taswir jis mein pyar se baiThe hain hum
main hun kuchh sahma hua sa, aur sharmai si tum
main agar moti nahin banta to kya banta 'kunwar'
ho mere chaaron taraf sagar ki gahrai si tum

मत पूछिए कि कैसे सफ़र काट रहे हैं : कुंवर बेचैन

मत पूछिए कि कैसे सफ़र काट रहे हैं
हर साँस इक सज़ा है मगर काट रहे हैं
ख़ामोश आसमान के साए में हर इक बार
हम अपनी हसरतों के ही सर काट रहे हैं
कमज़ोर छत से आज भी एक ईंट गिरी है
कुछ लोग हैं कि फिर भी ग़दर काट रहे हैं
आधी तो जीभ अपने ही दाँतों ने कतर ली
बाक़ी बची को मौन अधर काट रहे हैं
देखे हैं जब से औरों के बहते हुए आँसू
हम अपने आँसुओं की ख़बर काट रहे हैं
हर गाँव पूछता है मुसाफ़िर से यही बात
क्या तुम को भी तुम्हारे नगर काट रहे हैं
अब ज़हर बन गया है नया दोस्त हमारा
हम अपने मंत्र का ही असर काट रहे हैं
कैसे बहेलिए हैं कि जो आख़िरी दम तक
हम को उड़ा रहे हैं न पर काट रहे हैं

mat puchhiye ki kaise safar kaT rahe hain : Kunwar Bechain

mat pūchhiye ki kaise safar kaaT rahe haiñ
har saañs ik sazā hai magar kaaT rahe haiñ
ḳhāmosh āsmān ke saa.e meñ har ik baar
ham apnī hasratoñ ke hī sar kaaT rahe haiñ
kamzor chhat se aaj bhī ek iiñT girī hai
kuchh log haiñ ki phir bhī ġhadar kaaT rahe haiñ
aadhī to jiibh apne hī dāñtoñ ne katar lī
baaqī bachī ko maun adhar kaaT rahe haiñ
dekhe haiñ jab se auroñ ke bahte hue aañsū
ham apne āñsuoñ kī ḳhabar kaaT rahe haiñ
har gaañv pūchhtā hai musāfir se yahī baat
kyā tum ko bhī tumhāre nagar kaaT rahe haiñ
ab zahr ban gayā hai

Popular Posts

Categories

संपर्क फ़ॉर्म

नाम

ईमेल *

संदेश *