Ghazals of Shahryar Ghazal शहरयार की ग़ज़लें ग़ज़ल

Table of Contents

 सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्यूँ है शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

सीने में जलन आँखों में तूफ़ान सा क्यूँ है

इस शहर में हर शख़्स परेशान सा क्यूँ है

दिल है तो धड़कने का बहाना कोई ढूँडे

पत्थर की तरह बे-हिस ओ बे-जान सा क्यूँ है

तन्हाई की ये कौन सी मंज़िल है रफ़ीक़ो

ता-हद्द-ए-नज़र एक बयाबान सा क्यूँ है

हम ने तो कोई बात निकाली नहीं ग़म की

वो ज़ूद-पशेमान पशेमान सा क्यूँ है

क्या कोई नई बात नज़र आती है हम में

आईना हमें देख के हैरान सा क्यूँ है

sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

 Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazalssiine meñ jalan āñkhoñ meñ tūfān sā kyuuñ hai

is shahr meñ har shaḳhs pareshān sā kyuuñ hai

dil hai to dhaḌakne kā bahāna koī DhūñDe

patthar kī tarah be-his o be-jān sā kyuuñ hai

tanhā.ī kī ye kaun sī manzil hai rafīqo

tā-hadd-e-nazar ek bayābān sā kyuuñ hai

ham ne to koī baat nikālī nahīñ ġham kī

vo zūd-pashemān pashemān sā kyuuñ hai

kyā koī na.ī baat nazar aatī hai ham meñ

ā.īna hameñ dekh ke hairān sā kyuuñ hai

sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai

dil hai to dhaDakne ka bahana koi DhunDe

patthar ki tarah be-his o be-jaan sa kyun hai

tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo

ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai

hum ne to koi baat nikali nahin gham ki

wo zud-pasheman pasheman sa kyun hai

kya koi nai baat nazar aati hai hum mein

aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai

जुस्तुजू जिस की थी उस को तो न पाया हम ने शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

जुस्तुजू जिस की थी उस को तो न पाया हम ने

इस बहाने से मगर देख ली दुनिया हम ने

सब का अहवाल वही है जो हमारा है आज

ये अलग बात कि शिकवा किया तन्हा हम ने

ख़ुद पशीमान हुए ने उसे शर्मिंदा किया

इश्क़ की वज़्अ को क्या ख़ूब निभाया हम ने

कौन सा क़हर ये आँखों पे हुआ है नाज़िल

एक मुद्दत से कोई ख़्वाब न देखा हम ने

उम्र भर सच ही कहा सच के सिवा कुछ न कहा

अज्र क्या इस का मिलेगा ये न सोचा हम ने

justuju jis ki thi usko to na paya humne Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

justujū jis kī thī us ko to na paayā ham ne

is bahāne se magar dekh lī duniyā ham ne

sab kā ahvāl vahī hai jo hamārā hai aaj

ye alag baat ki shikva kiyā tanhā ham ne

ḳhud pashīmān hue ne use sharminda kiyā

ishq kī vaz.a ko kyā ḳhuub nibhāyā ham ne

kaun sā qahr ye āñkhoñ pe huā hai nāzil

ek muddat se koī ḳhvāb na dekhā ham ne

umr bhar sach hī kahā sach ke sivā kuchh na kahā

ajr kyā is kā milegā ye na sochā ham ne

justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne

is bahane se magar dekh li duniya hum ne

sab ka ahwal wahi hai jo hamara hai aaj

ye alag baat ki shikwa kiya tanha hum ne

KHud pashiman hue ne use sharminda kiya

ishq ki waza ko kya KHub nibhaya hum ne

kaun sa qahr ye aankhon pe hua hai nazil

ek muddat se koi KHwab na dekha hum ne

umr bhar sach hi kaha sach ke siwa kuchh na kaha

ajr kya is ka milega ye na socha hum ne

इन आँखों की मस्ती के मस्ताने हज़ारों हैं शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

इन आँखों की मस्ती के मस्ताने हज़ारों हैं

इन आँखों से वाबस्ता अफ़्साने हज़ारों हैं

इक तुम ही नहीं तन्हा उल्फ़त में मिरी रुस्वा

इस शहर में तुम जैसे दीवाने हज़ारों हैं

इक सिर्फ़ हमीं मय को आँखों से पिलाते हैं

कहने को तो दुनिया में मय-ख़ाने हज़ारों हैं

इस शम-ए-फ़रोज़ाँ को आँधी से डराते हो

इस शम-ए-फ़रोज़ाँ के परवाने हज़ारों हैं

in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

in āñkhoñ kī mastī ke mastāne hazāroñ haiñ

in āñkhoñ se vābasta afsāne hazāroñ haiñ

ik tum hī nahīñ tanhā ulfat meñ mirī rusvā

is shahr meñ tum jaise dīvāne hazāroñ haiñ

ik sirf hamīñ mai ko āñkhoñ se pilāte haiñ

kahne ko to duniyā meñ mai-ḳhāne hazāroñ haiñ

is sham-e-farozāñ ko āñdhī se Darāte ho

is sham-e-farozāñ ke parvāne hazāroñ haiñ

in aankhon ki masti ke mastane hazaron hain

in aankhon se wabasta afsane hazaron hain

ek tum hi nahin tanha ulfat mein meri ruswa

is shahr mein tum jaise diwane hazaron hain

ek sirf hamin mai ko aankhon se pilate hain

kahne ko to duniya mein mai-KHane hazaron hain

is sham-e-farozan ko aandhi se Daraate ho

is sham-e-farozan ke parwane hazaron hain

दिल चीज़ क्या है आप मिरी जान लीजिए शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

दिल चीज़ क्या है आप मिरी जान लीजिए

बस एक बार मेरा कहा मान लीजिए

इस अंजुमन में आप को आना है बार बार

दीवार-ओ-दर को ग़ौर से पहचान लीजिए

माना कि दोस्तों को नहीं दोस्ती का पास

लेकिन ये क्या कि ग़ैर का एहसान लीजिए

कहिए तो आसमाँ को ज़मीं पर उतार लाएँ

मुश्किल नहीं है कुछ भी अगर ठान लीजिए

dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

dil chiiz kyā hai aap mirī jaan lījiye

bas ek baar merā kahā maan lījiye

is anjuman meñ aap ko aanā hai baar baar

dīvār-o-dar ko ġhaur se pahchān lījiye

maanā ki dostoñ ko nahīñ dostī kā paas

lekin ye kyā ki ġhair kā ehsān lījiye

kahiye to āsmāñ ko zamīñ par utaar laa.eñ

mushkil nahīñ hai kuchh bhī agar Thaan lījiye

dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye

bas ek bar mera kaha man lijiye

is anjuman mein aap ko aana hai bar bar

diwar-o-dar ko ghaur se pahchan lijiye

mana ki doston ko nahin dosti ka pas

lekin ye kya ki ghair ka ehsan lijiye

kahiye to aasman ko zamin par utar laen

mushkil nahin hai kuchh bhi agar Than lijiye

ज़िंदगी जब भी तिरी बज़्म में लाती है हमें शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

ज़िंदगी जब भी तिरी बज़्म में लाती है हमें

ये ज़मीं चाँद से बेहतर नज़र आती है हमें

सुर्ख़ फूलों से महक उठती हैं दिल की राहें

दिन ढले यूँ तिरी आवाज़ बुलाती है हमें

याद तेरी कभी दस्तक कभी सरगोशी से

रात के पिछले-पहर रोज़ जगाती है हमें

हर मुलाक़ात का अंजाम जुदाई क्यूँ है

अब तो हर वक़्त यही बात सताती है हमें

zindagi jab bhi teri bazm mein lati hai hamein Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

zindagī jab bhī tirī bazm meñ laatī hai hameñ

ye zamīñ chāñd se behtar nazar aatī hai hameñ

surḳh phūloñ se mahak uThtī haiñ dil kī rāheñ

din Dhale yuuñ tirī āvāz bulātī hai hameñ

yaad terī kabhī dastak kabhī sargoshī se

raat ke pichhle-pahar roz jagātī hai hameñ

har mulāqāt kā anjām judā.ī kyuuñ hai

ab to har vaqt yahī baat satātī hai hameñ

zindagi jab bhi teri bazm mein lati hai hamein

ye zamin chand se behtar nazar aati hai hamein

surKH phulon se mahak uThti hain dil ki rahen

din Dhale yun teri aawaz bulati hai hamein

yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se

raat ke pichhle-pahar roz jagati hai hamein

har mulaqat ka anjam judai kyun hai

ab to har waqt yahi baat satati hai hamein

ये क्या जगह है दोस्तो ये कौन सा दयार है शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

ये क्या जगह है दोस्तो ये कौन सा दयार है

हद-ए-निगाह तक जहाँ ग़ुबार ही ग़ुबार है

हर एक जिस्म रूह के अज़ाब से निढाल है

हर एक आँख शबनमी हर एक दिल फ़िगार है

हमें तो अपने दिल की धड़कनों पे भी यक़ीं नहीं

ख़ोशा वो लोग जिन को दूसरों पे ए'तिबार है

न जिस का नाम है कोई न जिस की शक्ल है कोई

इक ऐसी शय का क्यूँ हमें अज़ल से इंतिज़ार है

ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

ye kyā jagah hai dosto ye kaun sā dayār hai

had-e-nigāh tak jahāñ ġhubār hī ġhubār hai

har ek jism ruuh ke azaab se niDhāl hai

har ek aañkh shabnamī har ek dil figār hai

hameñ to apne dil kī dhaḌkanoñ pe bhī yaqīñ nahīñ

ḳhoshā vo log jin ko dūsroñ pe e'tibār hai

na jis kā naam hai koī na jis kī shakl hai koī

ik aisī shai kā kyuuñ hameñ azal se intizār hai

ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai

had-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai

har ek jism ruh ke azab se niDhaal hai

har ek aankh shabnami har ek dil figar hai

hamein to apne dil ki dhaDkanon pe bhi yaqin nahin

KHosha wo log jin ko dusron pe e'tibar hai

na jis ka nam hai koi na jis ki shakl hai koi

ek aisi shai ka kyun hamein azal se intizar hai

अजीब सानेहा मुझ पर गुज़र गया यारो शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

अजीब सानेहा मुझ पर गुज़र गया यारो

मैं अपने साए से कल रात डर गया यारो

हर एक नक़्श तमन्ना का हो गया धुंदला

हर एक ज़ख़्म मिरे दिल का भर गया यारो

भटक रही थी जो कश्ती वो ग़र्क़-ए-आब हुई

चढ़ा हुआ था जो दरिया उतर गया यारो

वो कौन था वो कहाँ का था क्या हुआ था उसे

सुना है आज कोई शख़्स मर गया यारो

मैं जिस को लिखने के अरमान में जिया अब तक

वरक़ वरक़ वो फ़साना बिखर गया यारो

ajib saneha mujh par guzar gaya yaro Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

ajīb sāneha mujh par guzar gayā yaaro

maiñ apne saa.e se kal raat Dar gayā yaaro

har ek naqsh tamannā kā ho gayā dhundlā

har ek zaḳhm mire dil kā bhar gayā yaaro

bhaTak rahī thī jo kashtī vo ġharq-e-āb huī

chaḌhā huā thā jo dariyā utar gayā yaaro

vo kaun thā vo kahāñ kā thā kyā huā thā use

sunā hai aaj koī shaḳhs mar gayā yaaro

maiñ jis ko likhne ke armān meñ jiyā ab tak

varaq varaq vo fasāna bikhar gayā yaaro

ajib saneha mujh par guzar gaya yaro

main apne sae se kal raat Dar gaya yaro

har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundla

har ek zaKHm mere dil ka bhar gaya yaro

bhaTak rahi thi jo kashti wo gharq-e-ab hui

chaDha hua tha jo dariya utar gaya yaro

wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use

suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro

main jis ko likhne ke arman mein jiya ab tak

waraq waraq wo fasana bikhar gaya yaro

ज़िंदगी जैसी तवक़्क़ो' थी नहीं कुछ कम है शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

ज़िंदगी जैसी तवक़्क़ो' थी नहीं कुछ कम है

हर घड़ी होता है एहसास कहीं कुछ कम है

घर की ता'मीर तसव्वुर ही में हो सकती है

अपने नक़्शे के मुताबिक़ ये ज़मीं कुछ कम है

बिछड़े लोगों से मुलाक़ात कभी फिर होगी

दिल में उम्मीद तो काफ़ी है यक़ीं कुछ कम है

अब जिधर देखिए लगता है कि इस दुनिया में

कहीं कुछ चीज़ ज़ियादा है कहीं कुछ कम है

आज भी है तिरी दूरी ही उदासी का सबब

ये अलग बात कि पहली सी नहीं कुछ कम है

zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

zindagī jaisī tavaqqo thī nahīñ kuchh kam hai

har ghaḌī hotā hai ehsās kahīñ kuchh kam hai

ghar kī ta.amīr tasavvur hī meñ ho saktī hai

apne naqshe ke mutābiq ye zamīñ kuchh kam hai

bichhḌe logoñ se mulāqāt kabhī phir hogī

dil meñ ummīd to kaafī hai yaqīñ kuchh kam hai

ab jidhar dekhiye lagtā hai ki is duniyā meñ

kahīñ kuchh chiiz ziyāda hai kahīñ kuchh kam hai

aaj bhī hai tirī duurī hī udāsī kā sabab

ye alag baat ki pahlī sī nahīñ kuchh kam hai

zindagi jaisi tawaqqo thi nahin kuchh kam hai

har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai

ghar ki tamir tasawwur hi mein ho sakti hai

apne naqshe ke mutabiq ye zamin kuchh kam hai

bichhDe logon se mulaqat kabhi phir hogi

dil mein ummid to kafi hai yaqin kuchh kam hai

ab jidhar dekhiye lagta hai ki is duniya mein

kahin kuchh chiz ziyaada hai kahin kuchh kam hai

aaj bhi hai teri duri hi udasi ka sabab

ye alag baat ki pahli si nahin kuchh kam hai

जब भी मिलती है मुझे अजनबी लगती क्यूँ है शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

जब भी मिलती है मुझे अजनबी लगती क्यूँ है

ज़िंदगी रोज़ नए रंग बदलती क्यूँ है

धूप के क़हर का डर है तो दयार-ए-शब से

सर-बरहना कोई परछाईं निकलती क्यूँ है

मुझ को अपना न कहा इस का गिला तुझ से नहीं

इस का शिकवा है कि बेगाना समझती क्यूँ है

तुझ से मिल कर भी न तन्हाई मिटेगी मेरी

दिल में रह रह के यही बात खटकती क्यूँ है

मुझ से क्या पूछ रहे हो मिरी वहशत का सबब

बू-ए-आवारा से पूछो कि भटकती क्यूँ है

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

jab bhī miltī hai mujhe ajnabī lagtī kyuuñ hai

zindagī roz na.e rañg badaltī kyuuñ hai

dhuup ke qahr kā Dar hai to dayār-e-shab se

sar-barahna koī parchhā.īñ nikaltī kyuuñ hai

mujh ko apnā na kahā is kā gilā tujh se nahīñ

is kā shikva hai ki begāna samajhtī kyuuñ hai

tujh se mil kar bhī na tanhā.ī miTegī merī

dil meñ rah rah ke yahī baat khaTaktī kyuuñ hai

mujh se kyā pūchh rahe ho mirī vahshat kā sabab

bū-e-āvāra se pūchho ki bhaTaktī kyuuñ hai

jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai

zindagi roz nae rang badalti kyun hai

dhup ke qahr ka Dar hai to dayar-e-shab se

sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai

mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin

is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai

tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri

dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai

mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab

bu-e-awara se puchho ki bhaTakti kyun hai

दिल में रखता है न पलकों पे बिठाता है मुझे शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

दिल में रखता है न पलकों पे बिठाता है मुझे

फिर भी इक शख़्स में क्या क्या नज़र आता है मुझे

रात का वक़्त है सूरज है मिरा राह-नुमा

देर से दूर से ये कौन बुलाता है मुझे

मेरी इन आँखों को ख़्वाबों से पशेमानी है

नींद के नाम से जो हौल सा आता है मुझे

तेरा मुंकिर नहीं ऐ वक़्त मगर देखना है

बिछड़े लोगों से कहाँ कैसे मिलाता है मुझे

क़िस्सा-ए-दर्द में ये बात कहाँ से आई

मैं बहुत हँसता हूँ जब कोई सुनाता है मुझे

dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

dil meñ rakhtā hai na palkoñ pe biThātā hai mujhe

phir bhī ik shaḳhs meñ kyā kyā nazar aatā hai mujhe

raat kā vaqt hai sūraj hai mirā rāh-numā

der se duur se ye kaun bulātā hai mujhe

merī in āñkhoñ ko ḳhvāboñ se pashemānī hai

niiñd ke naam se jo haul sā aatā hai mujhe

terā munkir nahīñ ai vaqt magar dekhnā hai

bichhḌe logoñ se kahāñ kaise milātā hai mujhe

qissa-e-dard meñ ye baat kahāñ se aa.ī

maiñ bahut hañstā huuñ jab koī sunātā hai mujhe

dil mein rakhta hai na palkon pe biThata hai mujhe

phir bhi ek shaKHs mein kya kya nazar aata hai mujhe

raat ka waqt hai suraj hai mera rah-numa

der se dur se ye kaun bulata hai mujhe

meri in aankhon ko KHwabon se pashemani hai

nind ke nam se jo haul sa aata hai mujhe

tera munkir nahin ai waqt magar dekhna hai

bichhDe logon se kahan kaise milata hai mujhe

qissa-e-dard mein ye baat kahan se aai

main bahut hansta hun jab koi sunata hai mujhe

जो चाहती दुनिया है वो मुझ से नहीं होगा शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

जो चाहती दुनिया है वो मुझ से नहीं होगा

समझौता कोई ख़्वाब के बदले नहीं होगा

अब रात की दीवार को ढाना है ज़रूरी

ये काम मगर मुझ से अकेले नहीं होगा

ख़ुश-फ़हमी अभी तक थी यही कार-ए-जुनूँ में

जो मैं नहीं कर पाया किसी से नहीं होगा

तदबीर नई सोच कोई ऐ दिल-ए-सादा

माइल-ब-करम तुझ पे वो ऐसे नहीं होगा

बे-नाम से इक ख़ौफ़ से दिल क्यूँ है परेशाँ

जब तय है कि कुछ वक़्त से पहले नहीं होगा

jo chahti duniya hai wo mujhse nahin hoga Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

jo chāhtī duniyā hai vo mujh se nahīñ hogā

samjhautā koī ḳhvāb ke badle nahīñ hogā

ab raat kī dīvār ko Dhānā hai zarūrī

ye kaam magar mujh se akele nahīñ hogā

ḳhush-fahmī abhī tak thī yahī kār-e-junūñ meñ

jo maiñ nahīñ kar paayā kisī se nahīñ hogā

tadbīr na.ī soch koī ai dil-e-sāda

mā.il-ba-karam tujh pe vo aise nahīñ hogā

be-nām se ik ḳhauf se dil kyuuñ hai pareshāñ

jab tai hai ki kuchh vaqt se pahle nahīñ hogā

jo chahti duniya hai wo mujh se nahin hoga

samjhauta koi KHwab ke badle nahin hoga

ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri

ye kaam magar mujh se akele nahin hoga

KHush-fahmi abhi tak thi yahi kar-e-junun mein

jo main nahin kar paya kisi se nahin hoga

tadbir nai soch koi ai dil-e-sada

mail-ba-karam tujh pe wo aise nahin hoga

be-nam se ek KHauf se dil kyun hai pareshan

jab tai hai ki kuchh waqt se pahle nahin hoga

नज़र जो कोई भी तुझ सा हसीं नहीं आता शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

नज़र जो कोई भी तुझ सा हसीं नहीं आता

किसी को क्या मुझे ख़ुद भी यक़ीं नहीं आता

तिरा ख़याल भी तेरी तरह सितमगर है

जहाँ पे चाहिए आना वहीं नहीं आता

जो होने वाला है अब उस की फ़िक्र क्या कीजे

जो हो चुका है उसी पर यक़ीं नहीं आता

ये मेरा दिल है कि मंज़र उजाड़ बस्ती का

खुले हुए हैं सभी दर मकीं नहीं आता

बिछड़ना है तो बिछड़ जा इसी दो-राहे पर

कि मोड़ आगे सफ़र में कहीं नहीं आता

nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

nazar jo koī bhī tujh sā hasīñ nahīñ aatā

kisī ko kyā mujhe ḳhud bhī yaqīñ nahīñ aatā

tirā ḳhayāl bhī terī tarah sitamgar hai

jahāñ pe chāhiye aanā vahīñ nahīñ aatā

jo hone vaalā hai ab us kī fikr kyā kiije

jo ho chukā hai usī par yaqīñ nahīñ aatā

ye merā dil hai ki manzar ujaaḌ bastī kā

khule hue haiñ sabhī dar makīñ nahīñ aatā

bichhaḌnā hai to bichhaḌ jā isī do-rāhe par

ki moḌ aage safar meñ kahīñ nahīñ aatā

nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata

kisi ko kya mujhe KHud bhi yaqin nahin aata

tera KHayal bhi teri tarah sitamgar hai

jahan pe chahiye aana wahin nahin aata

jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije

jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata

ye mera dil hai ki manzar ujaD basti ka

khule hue hain sabhi dar makin nahin aata

bichhaDna hai to bichhaD ja isi do-rahe par

ki moD aage safar mein kahin nahin aata

सियाह रात नहीं लेती नाम ढलने का शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

सियाह रात नहीं लेती नाम ढलने का

यही तो वक़्त है सूरज तिरे निकलने का

यहाँ से गुज़रे हैं गुज़़रेंगे हम से अहल-ए-वफ़ा

ये रास्ता नहीं परछाइयों के चलने का

कहीं न सब को समुंदर बहा के ले जाए

ये खेल ख़त्म करो कश्तियाँ बदलने का

बिगड़ गया जो ये नक़्शा हवस के हाथों से

तो फिर किसी के सँभाले नहीं सँभलने का

ज़मीं ने कर लिया क्या तीरगी से समझौता

ख़याल छोड़ चुके क्या चराग़ जलने का

siyah raat nahin leti nam Dhalne ka Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

siyāh raat nahīñ letī naam Dhalne kā

yahī to vaqt hai sūraj tire nikalne kā

yahāñ se guzre haiñ guzreñge ham se ahl-e-vafā

ye rāsta nahīñ parchhā.iyoñ ke chalne kā

kahīñ na sab ko samundar bahā ke le jaa.e

ye khel ḳhatm karo kashtiyāñ badalne kā

bigaḌ gayā jo ye naqsha havas ke hāthoñ se

to phir kisī ke sambhāle nahīñ sambhalne kā

zamīñ ne kar liyā kyā tīrgī se samjhautā

ḳhayāl chhoḌ chuke kyā charāġh jalne kā

siyah raat nahin leti nam Dhalne ka

yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka

yahan se guzre hain guzrenge hum se ahl-e-wafa

ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka

kahin na sab ko samundar baha ke le jae

ye khel KHatm karo kashtiyan badalne ka

bigaD gaya jo ye naqsha hawas ke hathon se

to phir kisi ke sambhaale nahin sambhalne ka

zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta

KHayal chhoD chuke kya charagh jalne ka

शदीद प्यास थी फिर भी छुआ न पानी को शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

शदीद प्यास थी फिर भी छुआ न पानी को

मैं देखता रहा दरिया तिरी रवानी को

सियाह रात ने बेहाल कर दिया मुझ को

कि तूल दे नहीं पाया किसी कहानी को

बजाए मेरे किसी और का तक़र्रुर हो

क़ुबूल जो करे ख़्वाबों की पासबानी को

अमाँ की जा मुझे ऐ शहर तू ने दी तो है

भुला न पाऊँगा सहरा की बे-करानी को

जो चाहता है कि इक़बाल हो सिवा तेरा

तो सब में बाँट बराबर से शादमानी को

shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

shadīd pyaas thī phir bhī chhuā na paanī ko

maiñ dekhtā rahā dariyā tirī ravānī ko

siyāh raat ne behāl kar diyā mujh ko

ki tuul de nahīñ paayā kisī kahānī ko

bajā.e mere kisī aur kā taqarrur ho

qubūl jo kare ḳhvāboñ kī pāsbānī ko

amaañ kī jā mujhe ai shahr tū ne dī to hai

bhulā na pā.ūñgā sahrā kī be-karānī ko

jo chāhtā hai ki iqbāl ho sivā terā

to sab meñ baañT barābar se shādmānī ko

shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko

main dekhta raha dariya teri rawani ko

siyah raat ne behaal kar diya mujh ko

ki tul de nahin paya kisi kahani ko

bajae mere kisi aur ka taqarrur ho

qubul jo kare KHwabon ki pasbani ko

aman ki ja mujhe ai shahr tu ne di to hai

bhula na paunga sahra ki be-karani ko

jo chahta hai ki iqbaal ho siwa tera

to sab mein banT barabar se shadmani ko

ये क्या है मोहब्बत में तो ऐसा नहीं होता शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

ये क्या है मोहब्बत में तो ऐसा नहीं होता

मैं तुझ से जुदा हो के भी तन्हा नहीं होता

इस मोड़ से आगे भी कोई मोड़ है वर्ना

यूँ मेरे लिए तू कभी ठहरा नहीं होता

क्यूँ मेरा मुक़द्दर है उजालों की सियाही

क्यूँ रात के ढलने पे सवेरा नहीं होता

या इतनी न तब्दील हुई होती ये दुनिया

या मैं ने इसे ख़्वाब में देखा नहीं होता

सुनते हैं सभी ग़ौर से आवाज़-ए-जरस को

मंज़िल की तरफ़ कोई रवाना नहीं होता

दिल तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ पे भी आमादा नहीं है

और हक़ भी अदा इस से वफ़ा का नहीं होता

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

ye kyā hai mohabbat meñ to aisā nahīñ hotā

maiñ tujh se judā ho ke bhī tanhā nahīñ hotā

is moḌ se aage bhī koī moḌ hai varna

yuuñ mere liye tū kabhī Thahrā nahīñ hotā

kyuuñ merā muqaddar hai ujāloñ kī siyāhī

kyuuñ raat ke Dhalne pe saverā nahīñ hotā

yā itnī na tabdīl huī hotī ye duniyā

yā maiñ ne ise ḳhvāb meñ dekhā nahīñ hotā

sunte haiñ sabhī ġhaur se āvāz-e-jaras ko

manzil kī taraf koī ravāna nahīñ hotā

dil tark-e-ta.alluq pe bhī āmāda nahīñ hai

aur haq bhī adā is se vafā kā nahīñ hotā

ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota

main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota

is moD se aage bhi koi moD hai warna

yun mere liye tu kabhi Thahra nahin hota

kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi

kyun raat ke Dhalne pe sawera nahin hota

ya itni na tabdil hui hoti ye duniya

ya main ne ise KHwab mein dekha nahin hota

sunte hain sabhi ghaur se aawaz-e-jaras ko

manzil ki taraf koi rawana nahin hota

dil tark-e-talluq pe bhi aamada nahin hai

aur haq bhi ada is se wafa ka nahin hota

जहाँ मैं होने को ऐ दोस्त यूँ तो सब होगा शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

जहाँ में होने को ऐ दोस्त यूँ तो सब होगा

तिरे लबों पे मिरे लब हों ऐसा कब होगा

इसी उमीद पे कब से धड़क रहा है दिल

तिरे हुज़ूर किसी रोज़ ये तलब होगा

मकाँ तो होंगे मकीनों से सब मगर ख़ाली

यहाँ भी देखूँ तमाशा ये एक शब होगा

कोई नहीं है जो बतलाए मेरे लोगों को

हवा के रुख़ के बदलने से क्या ग़ज़ब होगा

न जाने क्यूँ मुझे लगता है ऐसा हाकिम-ए-शहर

जो हादिसा नहीं पहले हुआ वो अब होगा

jahan main hone ko ai dost yun to sab hoga Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

jahāñ meñ hone ko ai dost yuuñ to sab hogā

tire laboñ pe mire lab hoñ aisā kab hogā

isī umiid pe kab se dhaḌak rahā hai dil

tire huzūr kisī roz ye talab hogā

makāñ to hoñge makīnoñ se sab magar ḳhālī

yahāñ bhī dekhūñ tamāshā ye ek shab hogā

koī nahīñ hai jo batlā.e mere logoñ ko

havā ke ruḳh ke badalne se kyā ġhazab hogā

na jaane kyuuñ mujhe lagtā hai aisā hākim-e-shahr

jo hādisa nahīñ pahle huā vo ab hogā

jahan mein hone ko ai dost yun to sab hoga

tere labon pe mere lab hon aisa kab hoga

isi umid pe kab se dhaDak raha hai dil

tere huzur kisi roz ye talab hoga

makan to honge makinon se sab magar KHali

yahan bhi dekhun tamasha ye ek shab hoga

koi nahin hai jo batlae mere logon ko

hawa ke ruKH ke badalne se kya ghazab hoga

na jaane kyun mujhe lagta hai aisa hakim-e-shahr

jo hadisa nahin pahle hua wo ab hoga

किस किस तरह से मुझ को न रुस्वा किया गया शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

किस किस तरह से मुझ को न रुस्वा किया गया

ग़ैरों का नाम मेरे लहू से लिखा गया

निकला था मैं सदा-ए-जरस की तलाश में

धोके से इस सुकूत के सहरा में आ गया

क्यूँ आज उस का ज़िक्र मुझे ख़ुश न कर सका

क्यूँ आज उस का नाम मिरा दिल दुखा गया

मैं जिस्म के हिसार में महसूर हूँ अभी

वो रूह की हदों से भी आगे चला गया

इस हादसे को सुन के करेगा यक़ीं कोई

सूरज को एक झोंका हवा का बुझा गया

kis kis tarah se mujhko na ruswa kiya gaya Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

kis kis tarah se mujh ko na rusvā kiyā gayā

ġhairoñ kā naam mere lahū se likhā gayā

niklā thā maiñ sadā-e-jaras kī talāsh meñ

dhoke se is sukūt ke sahrā meñ aa gayā

kyuuñ aaj us kā zikr mujhe ḳhush na kar sakā

kyuuñ aaj us kā naam mirā dil dukhā gayā

maiñ jism ke hisār meñ mahsūr huuñ abhī

vo ruuh kī hadoñ se bhī aage chalā gayā

is hādse ko sun ke karegā yaqīñ koī

sūraj ko ek jhoñkā havā kā bujhā gayā

kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya

ghairon ka nam mere lahu se likha gaya

nikla tha main sada-e-jaras ki talash mein

dhoke se is sukut ke sahra mein aa gaya

kyun aaj us ka zikr mujhe KHush na kar saka

kyun aaj us ka nam mera dil dukha gaya

main jism ke hisar mein mahsur hun abhi

wo ruh ki hadon se bhi aage chala gaya

is hadse ko sun ke karega yaqin koi

suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya

आसमाँ कुछ भी नहीं अब तेरे करने के लिए शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

आसमाँ कुछ भी नहीं अब तेरे करने के लिए

मैं ने सब तय्यारियाँ कर ली हैं मरने के लिए

इस बुलंदी ख़ौफ़ से आज़ाद हो उस ने कहा

चाँद से जब भी कहा नीचे उतरने के लिए

अब ज़मीं क्यूँ तेरे नक़्शे से नहीं हटती नज़र

रंग क्या कोई बचा है इस में भरने के लिए

ये जगह हैरत-सराए है कहाँ थी ये ख़बर

यूँही आ निकला था मैं तो सैर करने के लिए

कितना आसाँ लग रहा है मुझ को आगे का सफ़र

छोड़ आया पीछे परछाईं को डरने के लिए

aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

āsmāñ kuchh bhī nahīñ ab tere karne ke liye

maiñ ne sab tayyāriyāñ kar lī haiñ marne ke liye

is bulandī ḳhauf se āzād ho us ne kahā

chāñd se jab bhī kahā nīche utarne ke liye

ab zamīñ kyuuñ tere naqshe se nahīñ haTtī nazar

rañg kyā koī bachā hai is meñ bharne ke liye

ye jagah hairat-sarā.e hai kahāñ thī ye ḳhabar

yūñhī aa niklā thā maiñ to sair karne ke liye

kitnā āsāñ lag rahā hai mujh ko aage kā safar

chhoḌ aayā pīchhe parchhā.īñ ko Darne ke liye

aasman kuchh bhi nahin ab tere karne ke liye

main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye

is bulandi KHauf se aazad ho us ne kaha

chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye

ab zamin kyun tere naqshe se nahin haTti nazar

rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye

ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye KHabar

yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye

kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar

chhoD aaya pichhe parchhain ko Darne ke liye

जागता हूँ मैं एक अकेला दुनिया सोती है शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

जागता हूँ मैं एक अकेला दुनिया सोती है

कितनी वहशत हिज्र की लम्बी रात में होती है

यादों के सैलाब में जिस दम मैं घिर जाता हूँ

दिल-दीवार उधर जाने की ख़्वाहिश होती है

ख़्वाब देखने की हसरत में तन्हाई मेरी

आँखों की बंजर धरती में नींदें बोती है

ख़ुद को तसल्ली देना कितना मुश्किल होता है

कोई क़ीमती चीज़ अचानक जब भी खोती है

उम्र-सफ़र जारी है बस ये खेल देखने को

रूह बदन का बोझ कहाँ तक कब तक ढोती है

jagta hun main ek akela duniya soti hai Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

jāgtā huuñ maiñ ek akelā duniyā sotī hai

kitnī vahshat hijr kī lambī raat meñ hotī hai

yādoñ ke sailāb meñ jis dam maiñ ghir jaatā huuñ

dil-dīvār udhar jaane kī ḳhvāhish hotī hai

ḳhvāb dekhne kī hasrat meñ tanhā.ī merī

āñkhoñ kī banjar dhartī meñ nīndeñ botī hai

ḳhud ko tasallī denā kitnā mushkil hotā hai

koī qīmtī chiiz achānak jab bhī khotī hai

umr-safar jaarī hai bas ye khel dekhne ko

ruuh badan kā bojh kahāñ tak kab tak Dhotī hai

jagta hun main ek akela duniya soti hai

kitni wahshat hijr ki lambi raat mein hoti hai

yaadon ke sailab mein jis dam main ghir jata hun

dil-diwar udhar jaane ki KHwahish hoti hai

KHwab dekhne ki hasrat mein tanhai meri

aankhon ki banjar dharti mein ninden boti hai

KHud ko tasalli dena kitna mushkil hota hai

koi qimti chiz achanak jab bhi khoti hai

umr-safar jari hai bas ye khel dekhne ko

ruh badan ka bojh kahan tak kab tak Dhoti hai

तेरे वा'दे को कभी झूट नहीं समझूँगा शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

तेरे वा'दे को कभी झूट नहीं समझूँगा

आज की रात भी दरवाज़ा खुला रक्खूँगा

देखने के लिए इक चेहरा बहुत होता है

आँख जब तक है तुझे सिर्फ़ तुझे देखूँगा

मेरी तन्हाई की रुस्वाई की मंज़िल आई

वस्ल के लम्हे से मैं हिज्र की शब बदलूँगा

शाम होते ही खुली सड़कों की याद आती है

सोचता रोज़ हूँ मैं घर से नहीं निकलूँगा

ता-कि महफ़ूज़ रहे मेरे क़लम की हुरमत

सच मुझे लिखना है मैं हुस्न को सच लिक्खूंगा

tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

tere va.ade ko kabhī jhuuT nahīñ samjhūñgā

aaj kī raat bhī darvāza khulā rakkhūñgā

dekhne ke liye ik chehra bahut hotā hai

aañkh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhūñgā

merī tanhā.ī kī rusvā.ī kī manzil aa.ī

vasl ke lamhe se maiñ hijr kī shab badlūñgā

shaam hote hī khulī saḌkoñ kī yaad aatī hai

sochtā roz huuñ maiñ ghar se nahīñ niklūñgā

tā-ki mahfūz rahe mere qalam kī hurmat

sach mujhe likhnā hai maiñ husn ko sach likkhūñgā

tere wade ko kabhi jhuT nahin samjhunga

aaj ki raat bhi darwaza khula rakkhunga

dekhne ke liye ek chehra bahut hota hai

aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhunga

meri tanhai ki ruswai ki manzil aai

wasl ke lamhe se main hijr ki shab badlunga

sham hote hi khuli saDkon ki yaad aati hai

sochta roz hun main ghar se nahin niklunga

ta-ki mahfuz rahe mere qalam ki hurmat

sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhunga

उम्मीद से कम चश्म-ए-ख़रीदार में आए शहरयार ग़ज़ल ग़ज़लें 

उम्मीद से कम चश्म-ए-ख़रीदार में आए

हम लोग ज़रा देर से बाज़ार में आए

सच ख़ुद से भी ये लोग नहीं बोलने वाले

ऐ अहल-ए-जुनूँ तुम यहाँ बेकार में आए

ये आग हवस की है झुलस देगी इसे भी

सूरज से कहो साया-ए-दीवार में आए

बढ़ती ही चली जाती है तन्हाई हमारी

क्या सोच के हम वादी-ए-इंकार में आए

ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae Shahryar Ghazal Shaharyar Ghazals

ummīd se kam chashm-e-ḳharīdār meñ aa.e

ham log zarā der se bāzār meñ aa.e

sach ḳhud se bhī ye log nahīñ bolne vaale

ai ahl-e-junūñ tum yahāñ bekār meñ aa.e

ye aag havas kī hai jhulas degī ise bhī

sūraj se kaho sāya-e-dīvār meñ aa.e

baḌhtī hī chalī jaatī hai tanhā.ī hamārī

kyā soch ke ham vādī-e-inkār meñ aa.e

ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae

hum log zara der se bazar mein aae

sach KHud se bhi ye log nahin bolne wale

ai ahl-e-junun tum yahan bekar mein aae

ye aag hawas ki hai jhulas degi ise bhi

suraj se kaho saya-e-diwar mein aae

baDhti hi chali jati hai tanhai hamari

kya soch ke hum wadi-e-inkar mein aae


अख़लाक़ मुहम्मद ख़ान


'शहरयार'
Shahryar Ghazal writer poet

जन्म16 जून 1936
बरेलीउत्तर प्रदेश
मौत13 फ़रवरी 2012 (उम्र 75 वर्ष)
अलीगढ़उत्तर प्रदेश
दूसरे नामशहरयार
पेशागीतकारकवि
राष्ट्रीयताभारतीय
विधाग़ज़ल
विषयप्रेमदर्शन

Comments

Popular posts from this blog

Ye Naina Ye Kajal / ये नैना, ये काजल, ये ज़ुल्फ़ें, ये आँचल

Mira Bai Ke Pad Arth Vyakhya मीराबाई के पद अर्थ सहित

अल्लामा इक़बाल ग़ज़ल /Allama Iqbal Ghazal